aap ko aisa dost chaiya jo aisa hoon

by muneeb on August 29, 2004, 03:27:23 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4109 times)
muneeb
Guest
Reply with quote
""Assalam-o-alaikum !!

Aap ko aisa dost chahiay?

Jo aap ko zaheen bana day,

maaloomaat barha day.

Chhor kar na jaaye,

naata torr kar na jaaye,

Aap ko bore na karay,

aap ki tanhai mein shor na karay.

Aap ko dhoka na day,

shikaayat ka moqa na day.

Bay jaa taareef na karay,

aap ka mazaaq na uraaye.

Aap ka maal na churaaye,

aap say kuchh na chhupaaye,

aap ka raaz na bataaye.

Aap kay saath rahay,

kaheen na jaaye.

Jab pukaara fauran aa jaaye.

Jo aap ko maaloom woh us ko maaloom,

jo us ko maaloom woh aap ko maaloom.

Naadaano ko irfan day,

bay zabaano ko bayaan day.

Murdo kay haalaat bataaye,

zindo ko raah dikhaaye.

Har mushkil ka hull bata day aur seedhi raah dikha day.


Woh to kab say aap say dosti kayliay bay chain hai.

kiya Aap dosti kayliay tayyaar hein?

To phir uthiay, aur aaj hi us say dosti kar lein.


Naam pata maaloom hai? Masjid ki kisi almaari mein para hoga,

ghar kay kisi taaq par rakha hoga.


Us ka naam Quran hai. Yeh tamaam khoobiyaan Quran mein hein.

Aaj hi usay dost bana lein.

Yaad rahay woh apni baat manwaanay ki shart zaroor lagaata hai.

Aap us ki baat maanein, woh aap ko kaamyaab kar dayga.

Allah Hafiz
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tum ko aisa dost chaiya yo aisa hoon by muneeb in Ghazals
Koi Aisa Bhi..... by Aman Sarhadi in Shayri for Khumar -e- Ishq
ek aisa geet gana chahta hoon me by khatru in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Aisa Intezaar Hoon by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Ek dost aisa bhi...(for a street dog) by Pramod singh in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Amit Janglan
Guest
«Reply #1 on: August 29, 2004, 03:29:34 PM »
Reply with quote
muneeb ji wah wah bahut khub.
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #2 on: August 29, 2004, 03:36:00 PM »
Reply with quote
GOOD ONE MUNEEB
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: August 30, 2004, 05:58:23 PM »
Reply with quote
nice muneeb.
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #4 on: September 02, 2004, 07:54:30 PM »
Reply with quote
Ab to Mazhab koi aisa chalaya jaye
Jismen Insan ko Insan banaya Jaye
Jiski khushboo se mahak jaaye padosi ka bhi ghar
Phool is kism ka har simt Khilaya jaye
Logged
nishita
Guest
«Reply #5 on: September 03, 2004, 05:42:35 PM »
Reply with quote
very nice muneeb
Logged
flower
Guest
«Reply #6 on: September 12, 2004, 11:58:03 AM »
Reply with quote
subhanallau masha-allah
jo kaha such kaha huq kaha
kya khob kaha kya khob kaha

say again & again
khudha aap perrehmataynazil karay
aap kay valaydain ko jannat may ghar ata karay
khuda hafiz
Logged
Anonymous
Guest
«Reply #7 on: September 12, 2004, 04:45:36 PM »
Reply with quote
Thank  you to all
Logged
Tosha
Guest
«Reply #8 on: September 14, 2004, 08:22:23 AM »
Reply with quote
gajab...Usual Smile
Logged
Beena Jain
Guest
«Reply #9 on: November 07, 2004, 06:05:11 PM »
Reply with quote
bhhookey ko bhojan ki zaroorat hoti hei
jaisey pyaasey ko pani ki zaroorat hoti hei
jo khhud kaabiley taareef aur ek misaal ho
usey Quran ki kya zaroorat ho sakthi hei? *giggle*
Logged
Cult
Guest
«Reply #10 on: November 17, 2004, 07:47:19 AM »
Reply with quote

Mana Khuda tak tayri rashi hea
per tuj say posheda hea insan ka maqam

Tayri Namaz may baqi na Jalal hea na Jamal
Tayri Ahzan may nahi ab kisi ki SHER KA PAYAM

Per may hon Her Qabelay ki Ahnko ka tara
Shabab mayra hea bay-dag or zarb hea QARI

Mujay mumqin hea yahan her mushqil say nejat
Kay mayri Faqiri may hea HADER-E-KARARI
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #11 on: December 16, 2004, 10:54:41 AM »
Reply with quote
Nice written cult ji!! Waaah!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 02:47:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer