dard-e-tadap

by aru12 on January 13, 2013, 10:18:15 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 637 times)
aru12
Guest
Reply with quote
Tumhee meri mohabbat,
tumhee meri bandigi,
tumhjee se meri sari jindagi hai. aye the kabhie vo mujhse karne pyaar
sab kuch apna lutaane ko yaar
dost mere ab vo din dhal gaye
dekhte dekhte vo kitna badal gaye badlein hain vo kuch is tarah se
jaise mera sab kuch lootne jaa rahe hain bade pyaar se usne badla the mera naam
subhah shaam use lena bas yehi tha kaam
aaj ye nujhe thodi taqleef pahunchata hai
jab koi aur mujhe "aru' pukarta hai bhoolen hain vo mera naam kuch is tarah se
jaise koi apni bhoolta yaadshasht hai usne to katl mera kar hee diya tha
jaanta hoon bas mein kaise jiya tha
dil ab bhi kahin mera nahin lagta hai
naa jeete banta hai naa marte banta hai jeete hai ab hum kuch is tarah se
jaise kisi gunaah kee saja kaat rahe hain choodti maa baap ke liye to gum nahin hota
choodti paise ke liya vo bhi kam nahin hota
chooda kisi aur ke liya bas ye gila hai
meri mohabbat ka kya ye sila hai sehte hai sab hum kuch is tarah se
jaise tadpane mein maja aa raha hai jaane vo kya tha jo usne kiya tha
jaane vo kya tha jo usne diya tha
itna to ab hum bhi jaante hain
naa use pyaar naa dil kehte hain karte hain sanam pyaar kuch is tarah se
jaise apna sab kuch lutaane jaa rahe hain dost mere kehte hain use too bool jaa
vo gayee choodkar,too ye kubool jaa
kehte hain hum doston bhoola use jaata hai
jise kabhie yaad kiya jaata hai karte hain yaad hum kuch is tarah se
jaise ek saans ke baad aati doosri saans hai kabhie hum bhi hanste the mere doston
kabhie hum bhi hansaate the mere doston
aaj ye aalam hai kee jidhar se gujarte hain
log dekhkar hansna band kar dete hain hansenge ek din hum kuch is tarah se
jaise koi jaane waala karta aakhiri salaam hai aaj bhi yaad hai apnee aakhiri mulaqat
pata hota mujhko to jee bhar kar mil leta
e mere sanam ehsaan ek kar do
aakhiri mulaqat kehkar aakhiri baar mil lo milenge us din hum kuch is tarah se
jaise kal hee duniya choodne jaa rahe hain uskee tasveeron ko dekh nahin paata hoon
uske tohfon ko fenq nahin pata hon
kya karoon main kuch samajh nahin pata hoon
uske likhe khat jala nahin pata hoon jaloonga sab ek din kuch is tarah se
jaise koi khud hee apnee jalata chita hai usko hee dekhkar likha karte the
ek ek rachna use padaya karte the
doston hum aaj bhi badlein nahin hain
kal ho ya aaj ho likhte usee pe hain likhte hain par kuch is tarah se
jaise koi beemar apne dard ko karta bayan hai kabhie mana karte the vo peene se
aaj mana karte hain vo jeene se
magar yaaron hum aaj bhi pee lete hain
shayad isiliye hum jee lete hain peete hain par kuch is tarah se
jaise jeene kee dava pee rahe hain vo din jab hame pata chalee baat thi
naa poochoo doston qyamat kee raat thi
aankhon se mere aasoon bahe jaa rahe the
mere dard kee daastan kahe jaa rahe the roya the us din hum kuch is tarah se
jaise samandar mein aa gaya sailaab hai jasbaaton se kisi ke khela nahin karte
pyaar se diye tohfe fenkaa nahin karte
isse to accha mujhe lota dete
seene se laga kar hum rakh lete chalte hain sadak parhum kuch is tarah se
jaise apne tohfe dhoondte jaa rahe hain jaata hoon ab bhi un jagahon par
milte the kabhie hum jin jagahon par
aag se ek tan man mein lag jaati hai
har taraf vo hee mujhe nazar aati hai lagta hai vahan par kuch is tarah se
jaise mujhe jagah jagah dafan kar diya hai khuda mere ye din kisi ko naa dikhaye
jab uska pyaar use chood kar chala jaaye
mere doston vo waqt bahut hee gujarta bura hai
jab apnaa hee yaar ghopnta chura hai jeete hain yaaron hum kuch is tarah se
jasie apnee saason kaa lihaaz kar rahe hain vo kehte hain hume maaf kar do
hum kehte hain jara insaaf kar do
sab kuch kisi kaa leke jaaya nahin karte
yaa phir uskee jindagi mein aaya nahin karte hoga insaaf ek din kuch is tarah se
jaise khuda ko sab kuch dikhaye de raha hai mere doston mera ek kaam kar dena
mere marne kee kahabr un tak pahuncha dena
ho sakta hai aankhen ashkon se bhar jaaye
aur shayd labon par mere naam bhi aa jaaye sawar jayegi meri kismat kuch is tarah se
jaise kisi shaheed ko marne ke baad milta inaam
hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
^^TADAP HAI^^ by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
Tadap rahi hun main tadap raha hai tu jabse by deepika_divya in Shayri-E-Dard
Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard Kya Hai by syednaami in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
TADAP TADAP AUR SIRF TADAP by faheem_akayla in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mai Tadap Tadap Ke Jiyaa by Alam Qazi in Share Poetry You Like
aru12
Guest
«Reply #1 on: January 13, 2013, 10:19:18 AM »
Reply with quote
Tumhee meri mohabbat,
tumhee meri bandigi,
tumhjee se meri sari jindagi hai.

aye the kabhie vo mujhse karne pyaar
sab kuch apna lutaane ko yaar
dost mere ab vo din dhal gaye
dekhte dekhte vo kitna badal gaye
badlein hain vo kuch is tarah se
jaise mera sab kuch lootne jaa rahe hain

bade pyaar se usne badla the mera naam
subhah shaam use lena bas yehi tha kaam
aaj ye nujhe thodi taqleef pahunchata hai
jab koi aur mujhe "aru' pukarta hai
bhoolen hain vo mera naam kuch is tarah se
jaise koi apni bhoolta yaadshasht hai

usne to katl mera kar hee diya tha
jaanta hoon bas mein kaise jiya tha
dil ab bhi kahin mera nahin lagta hai
naa jeete banta hai naa marte banta hai
 jeete hai ab hum kuch is tarah se
jaise kisi gunaah kee saja kaat rahe hain

choodti maa baap ke liye to gum nahin hota
choodti paise ke liya vo bhi kam nahin hota
chooda kisi aur ke liya bas ye gila hai
meri mohabbat ka kya ye sila hai
sehte hai sab hum kuch is tarah se
jaise tadpane mein maja aa raha hai

 jaane vo kya tha jo usne kiya tha
jaane vo kya tha jo usne diya tha
itna to ab hum bhi jaante hain
naa use pyaar naa dil kehte hain
karte hain sanam pyaar kuch is tarah se
jaise apna sab kuch lutaane jaa rahe hain

 dost mere kehte hain use too bool jaa
vo gayee choodkar,too ye kubool jaa
kehte hain hum, doston bhoola use jaata hai
jise kabhie yaad kiya jaata hai
 karte hain yaad hum kuch is tarah se
jaise ek saans ke baad aati doosri saans hai

kabhie hum bhi hanste the mere doston
kabhie hum bhi hansaate the mere doston
aaj ye aalam hai kee jidhar se gujarte hain
log dekhkar hansna band kar dete hain
hansenge ek din hum kuch is tarah se
jaise koi jaane waala karta aakhiri salaam hai

aaj bhi yaad hai apnee aakhiri mulaqat
pata hota mujhko to jee bhar kar mil leta
e mere sanam ehsaan ek kar do
aakhiri mulaqat kehkar aakhiri baar mil lo milenge us din hum kuch is tarah se
jaise kal hee duniya choodne jaa rahe hain

uskee tasveeron ko dekh nahin paata hoon
uske tohfon ko fenq nahin pata hoon
kya karoon main kuch samajh nahin pata hoon
uske likhe khat jala nahin pata hoon
jaloonga sab ek din kuch is tarah se
jaise koi khud hee apnee jalata chita hai

usko hee dekhkar likha karte the
ek ek rachna use padaya karte the
doston hum aaj bhi badlein nahin hain
kal ho ya aaj ho likhte usee pe hain
likhte hain par kuch is tarah se
jaise koi beemar apne dard ko karta bayan hai

kabhie mana karte the vo peene se
aaj mana karte hain vo jeene se
magar yaaron hum aaj bhi pee lete hain
shayad isiliye hum jee lete hain
peete hain par kuch is tarah se
jaise jeene kee dava pee rahe hain

vo din jab hame pata chalee baat thi
naa poochoo doston qyamat kee raat thi
aankhon se mere aasoon bahe jaa rahe the
mere dard kee daastan kahe jaa rahe the
roye the us din hum kuch is tarah se
jaise samandar mein aa gaya sailaab hai

jasbaaton se kisi ke khela nahin karte
pyaar se diye tohfe fenkaa nahin karte
isse to accha mujhe lota dete
seene se laga kar hum rakh lete
chalte hain sadak par hum kuch is tarah se
jaise apne tohfe dhoondte jaa rahe hain

jaata hoon ab bhi un jagahon par
milte the kabhie hum jin jagahon par
aag se ek tan man mein lag jaati hai
har taraf vo hee mujhe nazar aati hai
lagta hai vahan par kuch is tarah se
jaise mujhe jagah jagah dafan kar diya hai

khuda mere ye din kisi ko naa dikhaye
jab uska pyaar use chhod kar chala jaaye
mere doston vo waqt bahut hee gujarta bura hai
jab apnaa hee yaar ghopnta chura hai
jeete hain yaaron hum kuch is tarah se
jasie apnee saason kaa lihaaz kar rahe hain

vo kehte hain hume maaf kar do
hum kehte hain jara insaaf kar do
sab kuch kisi kaa leke jaaya nahin karte
yaa phir uskee jindagi mein aaya nahin karte hoga insaaf ek din kuch is tarah se
jaise khuda ko sab kuch dikhaye de raha hai

mere doston mera ek kaam kar dena
mere marne kee kahabr un tak pahuncha dena
ho sakta hai aankhen ashkon se bhar jaaye
aur shayd labon par mera naam bhi aa jaaye
sawar jayegi meri kismat kuch is tarah se
jaise kisi shaheed ko marne ke baad milta inaam hai,
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 14 hours and 9 minutes.
Posts: 18588
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #2 on: January 13, 2013, 10:23:39 AM »
Reply with quote
waah boht boht khub aru ji
Logged
aqsh
Guest
«Reply #3 on: January 14, 2013, 05:11:55 AM »
Reply with quote
kya baat hai aru jee bahut khoob
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 07:37:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.209 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer