Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard Kya Hai

by syednaami on May 10, 2008, 05:25:50 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2235 times)
syednaami
Guest
Reply with quote
              Ghazal Pattern










Aaj humne jaana muhabbat kya hai, -
Yeh tadap kya hai yeh dard kya hai. -

Dil men uthhti teeson ka sabab kya hai, -
Dhadkanon ke darmiyan yeh jang kya hai, -
Aankhon men sada uska aks rehne ki wajah kya hai, -
Dabbe Izhaar ko na pahchaan-ne ka gham kya hai. -

Aaj humne jaana muhabbat kya hai, -
Yeh tadap kya hai yeh dard kya hai. -

Usse paas na paakar visvise uthhne ka amal kya hai, -
Lagaaye rakhna uski tasveer ko seene se maamla kya hai, -
Bichhadne ke ahsaas par khoob rona haalat-e-zaar kya hai, -
Uski Tasveer ko dekh ashk bahaana chaahat kya hai. -

Aaj humne jaana muhabbat kya hai, -
Yeh tadap kya hai yeh dard kya hai. -

Dur rahne ke khayaal se satpataana bechaini kya hai, -
Uski qurbat ka dil men rach bas jana inqalaab kya hai, -
Judai ke naam se dil ka jal jaana maajra kya hai, -
Har pal betaabi har lamha yaad aana aashiqi kya hai. -


Aaj humne jaana muhabbat kya hai, -
Yeh tadap kya hai yeh dard kya hai. -



(Syed Naami)

               
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tadap by Nino in Shayri-E-Dard
tadap by yammy in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Tadap rahi hun main tadap raha hai tu jabse by deepika_divya in Shayri-E-Dard
dard-e-tadap by aru12 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Roja
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2008, 01:06:45 AM »
Reply with quote
Quote
Usse paas na paakar visvise uthhne ka amal kya hai, -
Lagaaye rakhna uski tasveer ko seene se maamla kya hai, -
Bichhadne ke ahsaas par khoob rona haalat-e-zaar kya hai, -
Uski Tasveer ko dekh ashk bahaana chaahat kya hai. -

Aaj humne jaana muhabbat kya hai, -
Yeh tadap kya hai yeh dard kya hai. -

Syed ji bahut umda likha hai aapne. The above lines bahut hi accha bana hai. Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2008, 01:11:22 AM »
Reply with quote
Chahne walon pe yu mashke sitam teek nahi
Berukhi hum se teri, teri kasam teek nahi

Yu na tadpao ki hum jaan gava baitenge
Ho chuka imteha.n, ab sitam teek nahi

Dene wale koyi saugat mohabbat deta
Kya diya tumne zamane ka aalam teek nahi

Bazam me aur bhi they mere alawa betab
Mujhpe hi itni jafa, itne sitam teek nahi
Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2008, 10:23:00 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Roja, Yeh ghazal aap ko kahan se mili kaise mili, par achha hua. Aap ne pahil karke mere shayiri ko saraaha tah-e-dil se mamnoon va mashkoer hun.

Aapka chhota sa jawaab buhat hi nirala hai, buhat hi kamaal misrae likhen hain aapne, saath dene ka buhat shukriya.
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: May 16, 2008, 11:19:37 AM »
Reply with quote
Very nice S.Naami and Roja sis !!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #5 on: May 16, 2008, 11:24:31 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Celmira jee, Nice to see you here too.
Thanks again
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #6 on: May 20, 2008, 11:09:04 AM »
Reply with quote
SYEDNAMI ji

zindagi mein agar kisi ke liye tadapna hota hai
wahi toh pyaar ka matlab hota hai
zindagi mein agar dard hota hai
wahi toh pyaar ko qurbaan karne ka matlab hota hai

agar kisi ke liye tadap hai dil mein
toh woh humari chahat hai
agar kisi ke liye dard hai dil mein
toh woh humari humdardi hai

khush rahena har kisi ko naseeb nahi hota
tadapte rahena khush naseebon ko milta
har koi apna dard kisi ko bayaan nahi karta
zindagi mein dard usi ko hota jo apne ka dard dil-o-dimag mein leta............

arey tadap toh pyaar ka dusra naam
or dard izhaar ka  pahela naam hai .............

********************************MUSKAN*************************
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: May 25, 2008, 09:18:50 AM »
Reply with quote
Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard Kya Hai V.2

Juda hokar jab unse raha na jaaye, -
Tadap aur bhi ziyada dil ko sataaye, -
Roshni men bhi kuchh nazar na aaye, -
Dard men izaafa hi hota jaaye, -

Ab dil ko kon bahlaye kon samjhaaye, -
Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard kya hai, -

Uski chaahat ka asar badhta hi jaaye, -
Tab jism aur bhi machalna chaahe, -
Sondha sa dard dil ko satpataaye, -
Aise men chain-o-sukoon tabah ho jaaye, -

Ab dil ko kon bahlaye kon samjhaaye, -
Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard kya hai, -


Jab khush naseebi roothh kar chali jaaye, -
Tab dil jale aur aazarda man ho jaaye, -
Apnon se mila dard kon kaise bhulaye, -
Yeh kasak yeh tees yeh takleef ab ruk na paaye, -

Ab dil ko kon bahlaye kon samjhaaye, -
Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard kya hai, -



(Syed Naami)
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=

Quote from: Muskan
agar kisi ke liye tadap hai dil mein
toh woh humari chahat hai
agar kisi ke liye dard hai dil mein
toh woh humari humdardi hai

Muskan Jee,
Buhat hi saral alfaaz men pura matlab samjha diya, aap ne lajawaab kardiya.
Buhat buhat shukriya....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: May 30, 2008, 07:52:35 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah!! wah!! wah!!

bahoot khoob Sami, Roja and Muskaan!!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: May 31, 2008, 09:21:49 AM »
Reply with quote
Bohat khoob likha hai Syed ..  Clapping Smiley

Bohat khoob likha hai Roja aur muskaan dear..Usual Smile

 
Hum aapki mohabbat mein saare zindagi guzaar lenge
Hum aapki aankhon mein aapni khwabon ko saja lenge
Hum aapse milne ke pyaas leye baithe hai
Hum aapki mohabbat mein saare zindagi guzaar lenge
Logged
syednaami
Guest
«Reply #10 on: May 31, 2008, 12:48:09 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah!! wah!! wah!!

bahoot khoob Sami, Roja and Muskaan!!

Jee Thank you jee, so nice of you, you too write something please...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #11 on: May 31, 2008, 01:20:10 PM »
Reply with quote
Bohat khoob likha hai Syed ..  Clapping Smiley

Bohat khoob likha hai Roja aur muskaan dear..Usual Smile
 
Hum aapki mohabbat mein saare zindagi guzaar lenge
Hum aapki aankhon mein aapni khwabon ko saja lenge
Hum aapse milne ke pyaas leye baithe hai
Hum aapki mohabbat mein saare zindagi guzaar lenge


Dildar se dur jaane ki soch se darna, -
Deewanigi se us ki chaahat men jalna, -
Waqt bewaqt dil ka zor se dhadakna, -
Unse hogi mulaqaat kab yehi baat sochna. -

In saari baaton ka matlab koi samjhaye, -
Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard Kya Hai. -


(Syed Naami)

=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Thanks HoneyRose Jee buhat umda paishkash hai....
Logged
punam
Guest
«Reply #12 on: May 31, 2008, 01:56:13 PM »
Reply with quote
arre yeh thread main abhi dekh rahi..syed ji bahot khoob ..
muskan and Honey di bahot acha likhe ho aap bhi...
let me try....


jab paas ho to kuchh bol na pana
dur jaane baat par man ka ghabrana
khaamosh rahke bhi kuchh kah pana
baat karte huye yun haklaana...
chaahte huye bhi kuch kah na pana
baat baat pe yun sharmake munh chhupana....

isse kahte hain kya mujhe batlana
yeh tadap kya hai zara mujhe samjhana...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #13 on: May 31, 2008, 04:26:16 PM »
Reply with quote
Chalo "Der aayad durust aayad"...

Waise aapne bhi mahfil ki shama ko roshan rakha aur jo ashaar paish kiy buhat dil lubhane waale hain,,, zabardast...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: May 31, 2008, 04:34:23 PM »
Reply with quote
 Haan meine bhi ye topic miss kardi thi aab acha laga fir se shuru hue
Shukriya Syed ..Usual Smile
Bohat acha likhe ho aap punam dear..Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 07:59:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.163 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer