Chhoda hai...

by brokenbyluv on March 24, 2010, 07:11:24 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 5568 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #30 on: April 02, 2010, 01:38:47 PM »
Reply with quote
Shukriya Nikhaar ji...!!!

Bahut hi khoob Sahihab ji....aapne iss thread ka rang aur bhi badha diya.....
Yu hi likhte rahiye...... Clapping Smiley

Klaskar ji khoob saath diya aapne bbl ji ka...... Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khwabon ka bhi saath chhoda by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Sitaaro ne sath chhoda by praveen k in Shayari ki Batein- Sawaal Jawaab
chhoda haath hausle ne..............saru.............. by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #31 on: April 02, 2010, 03:39:12 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Geet ji... maafi chahunga reply late kar raha hoon... darasal maine dekha nahi tha aapka post... aj hi dekha... bahut achcha likha hai aapne...

kalam to bas ek bahana hai,
ehsaas-e-mohabbat likhta hai dil,
saanson ka bandhan aksar tut jaata hai,
chalti hai kalam aur rota hai dil...


ji sahi kaha apne...

Kalam likhti hai haal-e-dil,
dil karta hai bayan ehsas ko lafzo se,
dono ka rishta sanso se hota hai..
aur dono ki shuruwat bhi hoti hai jazbato se......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #32 on: April 02, 2010, 06:57:46 PM »
Reply with quote
koi baat nhi kapil ji maafi ki zarurat nhi..bahut khoob baat kahi apne...


Hum apna dard likhte hai tou zamana hasta hai,
koi hamare alfazo mein likhe dard ko nhi dekhta,
hum tou tadap k kalam chalane lagte hai..
per koi syahi mein mile hamare ansuo ko nhi dekhta......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #33 on: April 03, 2010, 07:58:39 AM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Madhu ji....!!!

Wah bahut khoob Shihab ji,Geet ji,Kapil ji.bahut dard aur khoobsurti se likha aap sabne.really touched.great work.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #34 on: April 03, 2010, 08:22:41 AM »
Reply with quote
Bahut pyara likha hai aapne Geet ji... dard ko har koi nahi samajh sakta... Jo na samjhe unke liye q aansu bahana...

na ho udaas agar koi tere gham pe hasta hai,
kalam k chalne ko zamana pagalpan samajhta hai,
aasun bhare alfaaz to khaamosh hote hain,
dil k likhe ko to bas dil samajhta hai...


koi baat nhi kapil ji maafi ki zarurat nhi..bahut khoob baat kahi apne...


Hum apna dard likhte hai tou zamana hasta hai,
koi hamare alfazo mein likhe dard ko nhi dekhta,
hum tou tadap k kalam chalane lagte hai..
per koi syahi mein mile hamare ansuo ko nhi dekhta......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #35 on: April 03, 2010, 12:51:53 PM »
Reply with quote
Bahut pyara likha hai aapne Geet ji... dard ko har koi nahi samajh sakta... Jo na samjhe unke liye q aansu bahana...

na ho udaas agar koi tere gham pe hasta hai,
kalam k chalne ko zamana pagalpan samajhta hai,
aasun bhare alfaaz to khaamosh hote hain,
dil k likhe ko to bas dil samajhta hai...



shukriya kapil ji aur bahut khoob jawab mein likha hai apne...



Sochte the ki ankho mein basne wale,
mhbt ko hi apna khuda maan lete hai,
pujte hai apne sanam ko raat din..
aur unki har dukhti dhadkan ko pehchaan lete hai......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #36 on: April 03, 2010, 01:34:59 PM »
Reply with quote

Bahut Bahut Shukariya Geet Ji Pasand Farmane K Liye
Aapne Bhi Bahut Achcha Jawaab Diya Hai...





shukriya shihab ji...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #37 on: April 03, 2010, 01:51:09 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Klaskar Ji Aur Geet Ji
Achchi Jugalbandi Hai Keep It Up...


Shukriya shihab ji pasand karne k liye...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #38 on: April 03, 2010, 09:36:34 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Shihab ji...!!!

Bahut Khub Klaskar Ji Aur Geet Ji
Achchi Jugalbandi Hai Keep It Up...

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #39 on: April 03, 2010, 10:07:15 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai aapne Geet ji... par aapse ek sawaal hai chhota sa... aap ek taraf to mohabbat ko khuda banake pooj rahe ho aur ye bhi keh rahe ho ki unki dukhti dhadkan ko pehchaan lete ho... par khuda ko to dard nahi hota na ?

aankhon me basaake poojte ho maangte ho humein humse kyu,
sach kaho agar pyar hai to fir dil me itna ghum hai kyu,
kehte khuda humein ho tum to hoga humein fir dard kyun,
agar khuda ko dard ho to fir naam hai "khuda" hi kyun...


shukriya kapil ji aur bahut khoob jawab mein likha hai apne...



Sochte the ki ankho mein basne wale,
mhbt ko hi apna khuda maan lete hai,
pujte hai apne sanam ko raat din..
aur unki har dukhti dhadkan ko pehchaan lete hai......

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #40 on: April 06, 2010, 10:36:39 AM »
Reply with quote
shukriya kapil ji..kapil ji khuda ko dard hota hai zarur hota hai jab vo apne hi banaye insaan ko kisika dil dunkhate ye koi aur galat kaam karte dekhte hai tou unhe bhi takleef hoti hai..jab hum kisi pe aetbaar karte hai aur hamara dil koi dukhata hai tou hum kitne toot jaate hai...per vo khuda hai aur vo ye sab dekhke bhi apne bande ko uske haq ki cheez dene se parhez nhi karte..isliye tou vo khuda hai aur hum maamuli se insaan...isliye main sochti thi ki pyar karne wale kabhi khudgarzz nhi hote..per kehte hai naa ki hath ki pancho ungliya ek si nhi hoti...


Dard ka koi ant nhi hota,
naa hi uski koi hadh hoti hai,
insaan ho ya khuda ek baat sach hai..
aetbaar ki zarurat dono taraf hoti hai......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #41 on: April 06, 2010, 04:08:54 PM »
Reply with quote
bahut sahi kaha aapne Geet ji... aapki baat se poori tarah sehmat hoon... par sab kuch to usi khuda ka hi banaya hua hai na ... kuch achcha hota hai to wo bhi khuda hi karwaata hai aur bura hota hai wo bhi... wo to bas upar baithe muskurata rehta hai... agar usko dard hota to wo kabhi bhi hume dard nahi deta... us khuda ko to shayad dard ka matlab bhi nahi pata hoga... dard se tadapte hum hain aur usko lagta hoga ki hum usi me khush ho rahe hain...

dard agar hota khuda ko to insaan tadapta nahi,
hoti khushiyaan har taraf dard na hota kahi,
ishq hi hota jahaan me koi bewafaa hota nahi,
aap hote, hum bhi hote, ye baatein tab hoti nahi...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #42 on: April 07, 2010, 08:09:30 PM »
Reply with quote
kapil ji khuda hamein jism deta hai,jaan deta hai,dil deta hai,dhadkan deta hai sab kuch dekar vo hamein iss zamane k kaabil banata hai...bus hamein apni zindgi ko sahi raah mein kaise jina hai ye vo hum per chhod deta hai..jab vo itna sab kuch karta hai hamare liye tou kya hum uske liye dard mein muskura nhi sakte..shikwe gile na karte hue usi mein khush rehne ki koshish kyun nhi kar sakte jo usne hamein diya hai..dard khuda ka hi banaya ehsas hai per khushi bhi tou usi ki den hai..tou jab hum khushi mein gile nhi karte tou dard mein kyun kare...think hai naa ji...


Har haal mein jina hi tou zindgi hai,
khushi mein shikwe nhi tou gum mein kaise gile,
khuda ansu k sang muskaan bhi tou deta hai..
aur hum khush hai hamein dono mein se chahe jo bhi mile......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #43 on: April 08, 2010, 03:45:44 PM »
Reply with quote
Bahut khoob kaha aapne geet ji...!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Chaliye ye bhi sahi hai. Jab aapne keh diya to humein manna hi padega. Ab hum dard se hi rishta jod lete hain bina kisi shikayat k...

har dard ko ab sehna hoga, har ghum me muskurana hoga,
chahe koi saanse bhi maang le, haste haste de dena hoga,
ab humein na kabhi dard hoga, har dard ab bedard hoga,
hanske sahenge har zulm ko, ab ghum hi apna humdard hoga...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #44 on: April 08, 2010, 04:47:27 PM »
Reply with quote
Wah Kya Baaat hai Hai Geet Ji & Kapil Bhai.. Behad khubsoorat Jugalbandi chal rahi Hai.. Is Silsile ko jaari Rakhiyega...!! Bahut Khoooooob.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 08:01:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer