Lautoge Kab........( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on May 04, 2010, 09:07:16 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1842 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote
Dosto rozi roti ki talash me salo se dar badar bhatak raha hu laghbhagh aadhi duniya to ghoom hi chuka hu........par fir bhi apne ghar jaisa apni mitti jaisi baat kahi nahi..........aur kuch to badbaseeb aise bhi hai jinse apni mitti ka sath hamesha hamesha ke liye chuut gaya.........bas inhi jazbato ke sath ek geet likha hai...........waise to mujhe geet likhne ki itni samjah nahi chend haqeeqato ko lafzo me pirone ki koshish ki hai........apni mitti apna gaav unse jo pardesi ho gaye unse kya kehta hai aap sab ki nazar hai.....



Kach_che makano ki tooti khid_kiyaa.N
Kach_che raasto ki veeraniyaa.N
Poochti hai humse lautoge kab
Gaav se purkho ki nishaniyaa.N

Yeh zamee.N kya zamee.N ab tumhari nahi
Zindagi gaav ki kya tumko pyaari nahi
Mere damen q bhar gaye mehroomiyaa.N
Poochti hai humse lautoge kab
Gaav se purkho ki nishaniyaa.N

Maa bankar nadiyo me nehlaya tujhe
Chaav me peepal ki sualaya tujhe
Geet lori sa chidiyo ne sunaya tujhe
Kya wajah gaav phir bhi na bhaya tujhe
Mujhse behtar hai shehro me kya khoobiyaa.N
Poochti hai humse lautoge kab
Gaav se purkho ki nishaniyaa.N

Bhooli tujhko nahi kya mujhko bhoola hai tu
Bichad kar apni mitti se kitna akayla hai tu
Aa abhi laut aa mai bhi MAA hu teri
Tu saga hai mera na sautela koi
Gaav tera le raha aakhri hichkiyaa.N
Poochti hai humse lautoge kab
Gaav se purkho ki nishaniyaa.N

Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel na yaha hota........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Ghayel ne dillagi karli.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ek Kahani Ghayel ki zubani........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: May 04, 2010, 09:21:08 PM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Sajid ji.apne ehsaaso ko bahut khoobsurti se pesh kiya.great and touching song.marvelous creation. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
neelgold
Guest
«Reply #2 on: May 04, 2010, 10:00:28 PM »
Reply with quote
Vry Vry nyc ...........

BHut kuch yaad dila diya app ne .........

Thnx
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 2 hours and 38 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 04, 2010, 10:08:43 PM »
Reply with quote
Panch Waqt Namaz Ke Paband Ban Jaaiye
Phir Aapko Rozi Ke Liye Yahan Wahan Bhatakna Nahi Parehga.
Kyun Ki ALLAH Ka Wada Hai..Namaz Ke Paband Banoge To Main
Tumpe Rozi Roti Aasan Kardunda.....
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #4 on: May 04, 2010, 10:33:32 PM »
Reply with quote
wah bhai wah ,, kya kahene sajid sahab ,, bahoth qoob mere bhai .. dad hazir hai qubool karen ..har bandh khubsurath hai ..allah tumhe hamesha khush rakhe ..



duwa go

qadeertoopchi
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #5 on: May 05, 2010, 06:08:31 AM »
Reply with quote
apne gaon ki judai ka bahut umda khayal diya hai aapne...
ashk le aaye jo aankho me wo alfaz diya hai aapne..
aapki jitni tareef ki jaye kam hai sajid sahab.,
duriyo ke jazbato ko ish andaz me pesh kiya hai aapne..,


bahut khoob... hello2 icon_salut
Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: May 05, 2010, 06:53:18 AM »
Reply with quote
Wah kya baat hai           Sajid_Ghayel ji........


Lautoge kab- puchhte hai sab..

raha dekhti hai tere abbu ki thaki aankhen
har aahat pe teri ammi bhahar jaanke
fiki par gayi hai tere munne ki muskan
be-sabar hoti jaa rahi hai tere liye teri jaan
veeran sa hogaya hai tere bin ye ghar
do waqt ki roti bangaya hai iski jhad
shyad door se bejhi hui do waqt ki roti
bin tere saath khaye mazaa nahi deti 
issey baheter toh yahan teri kamayi hui ik waqt ki roti thi
tere saath baithkar sabko khaane ka aanand toh deti thi
ke aaja.... "Lautoge kab"-puchhte hai sab..
 

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: May 05, 2010, 09:16:40 AM »
Reply with quote
Wah Cara ji bahut khoob,very touching lines.great creation.bahut achi lagi aapke lines Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: May 05, 2010, 10:18:24 AM »
Reply with quote
Dosto rozi roti ki talash me salo se dar badar bhatak raha hu laghbhagh aadhi duniya to ghoom hi chuka hu........par fir bhi apne ghar jaisa apni mitti jaisi baat kahi nahi..........aur kuch to badbaseeb aise bhi hai jinse apni mitti ka sath hamesha hamesha ke liye chuut gaya.........bas inhi jazbato ke sath ek geet likha hai...........waise to mujhe geet likhne ki itni samjah nahi chend haqeeqato ko lafzo me pirone ki koshish ki hai........apni mitti apna gaav unse jo pardesi ho gaye unse kya kehta hai aap sab ki nazar hai.....



Kach_che makano ki tooti khid_kiyaa.N
Kach_che raasto ki veeraniyaa.N
Poochti hai humse lautoge kab
Gaav se purkho ki nishaniyaa.N

Yeh zamee.N kya zamee.N ab tumhari nahi
Zindagi gaav ki kya tumko pyaari nahi
Mere damen q bhar gaye mehroomiyaa.N
Poochti hai humse lautoge kab
Gaav se purkho ki nishaniyaa.N

Maa bankar nadiyo me nehlaya tujhe
Chaav me peepal ki sualaya tujhe
Geet lori sa chidiyo ne sunaya tujhe
Kya wajah gaav phir bhi na bhaya tujhe
Mujhse behtar hai shehro me kya khoobiyaa.N
Poochti hai humse lautoge kab
Gaav se purkho ki nishaniyaa.N

Bhooli tujhko nahi kya mujhko bhoola hai tu
Bichad kar apni mitti se kitna akayla hai tu
Aa abhi laut aa mai bhi MAA hu teri
Tu saga hai mera na sautela koi
Gaav tera le raha aakhri hichkiyaa.N
Poochti hai humse lautoge kab
Gaav se purkho ki nishaniyaa.N

Sajid Ghayel

Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Sajid Bhai..

Bahut Hi khoobsurat Ehsaaso Ko Aapne Kalam-Band kiya hai iss Nazm Mein..

Bahut Si baatein Zindagi Ki Haqeeqat Ko Bayaan karti hai..Aise Na Jaane Kitne Log honge is duniya mein jo apne Ghar,APne watan se Koso Door rehkar Do Roti kamaane mein apni Zindagi beeta dete hai..

Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #9 on: May 05, 2010, 04:12:36 PM »
Reply with quote
bohat bohat khoob Sajid bhai. har baar ki tarah bohat khoob likha hai aapne ....
bohat achchhe bhai kya kahein ab taareef mein.. Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #10 on: May 05, 2010, 08:42:55 PM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Sajid ji.apne ehsaaso ko bahut khoobsurti se pesh kiya.great and touching song.marvelous creation. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft

Thanks for your time and comment Madhu.........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: May 08, 2010, 07:14:37 AM »
Reply with quote
mere bhai rula diya aaj aapne mujhe........kasam se ghar kii yaad aa gayi pad kar


main akela hoon nahin meri maa kii duayein saath hain
main agar bhoola oose uski hichkiyaan mere saath hain
yaadon main hai woh mere aise jaise e bhanwar
jisme mein dooba jab toh phir na koi paas hain
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #12 on: May 08, 2010, 06:40:37 PM »
Reply with quote
Vry Vry nyc ...........

BHut kuch yaad dila diya app ne .........

Thnx


Badi meharbani Neelgold Jee jo aapne apna waqt diya...
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #13 on: May 14, 2010, 02:04:18 PM »
Reply with quote
Panch Waqt Namaz Ke Paband Ban Jaaiye
Phir Aapko Rozi Ke Liye Yahan Wahan Bhatakna Nahi Parehga.
Kyun Ki ALLAH Ka Wada Hai..Namaz Ke Paband Banoge To Main
Tumpe Rozi Roti Aasan Kardunda.....


Thanks for your time and comment.........
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #14 on: June 01, 2010, 08:43:11 AM »
Reply with quote
wah bhai wah ,, kya kahene sajid sahab ,, bahoth qoob mere bhai .. dad hazir hai qubool karen ..har bandh khubsurath hai ..allah tumhe hamesha khush rakhe ..



duwa go

qadeertoopchi

Badi meharbani mere bhai jab aapke jaisa Bada shayer tareef karta hai to sach me aisa lagta hai ke mehnat zaya nahi gayee....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 05:55:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer