patte.....

by @kaash on February 21, 2009, 06:58:03 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 927 times)
@kaash
Guest
Reply with quote

patte bhi kya kya baat karte hain
hamesha usi khat ka usi phool ka saath ke patton ka saath chahte hain

patton ki khamoshi me bhi saadgi ki baaten hoti hain
inki zindagi inhe poori apni khamoshiyun se lagti hai

jab uge honge kahin to unme bhi ek tarang hogi
shaakhon se kabhi saba se badhti umang hogi

kitna suhaana unka bachpan bhi raha hoga
kabhi saath ke patton ka kabhi titliyun ka sang raha hoga

kabhi suhaane mausam me vo din bhar jhoomte honge
paas apne phool ko pake use khush dekh aur khush hote honge

phir jab ishq ne phool ke saath patton ko bhi apna lia
unhe shaakh se alag to kia par unhe aur zinda kia

har mohabbat me phool ke saath ye bhi chahne vale ko milte hain
ishq ko bhale judaai mile par ye phool se nahi alag hote hain


chahe kitne din baad bhi dekhen ye us khat me aise nazar aate hain
jaise unki masoomiyat unka bachpan khat ko shaakh samajhna chahte hain


hamesha khush rahte hain bus inhe zara hifazat ki zarurat hoti hai
haan inhe khat padhne ke saath use kareene se rakhne ki chahat hoti hai
ek patta bhi jo galti se gir kar kho jaaye to na poochiye kya inki halat hoti hai
inhe bilkul bhi jeene ki hasrat nahi hoti hai

ye kahte hain ki inhe bhi padho
kitne khat simte hain inme,inhe bhi padho
aur jab inhe koi is tarah se pyaar se padhta hai
phir bade saleeke se qitaab me rakhta hai
inme jeene ki chahat bani rahti hai
inhe kisi se koi shikayat nahi rahti hai
haqeeqat yehi hai inki khushi se khushi bhi khush rahti hai





Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard patte ka by qayda in Ghazals
pippal de patte by sharma.reema@yahoo.com in Pain in Love : Punjabi poetry
Dard TooTte Patte Ka.... by qayda in Shayri-E-Dard
Shaakh ke sookhe patte by Aroob in Share:Miscellaneous Shayari
HAI NAZAR JISKI PATTE -PATTE PAR ............MKV by mkv in Ghazals « 1 2 3 4 »
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 10:23:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer