Tanha hai is qadar....

by Saba_Saba on August 31, 2006, 05:16:16 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 9732 times)
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
Reply with quote
Tanha hai is qadar ke tanhayi sisak uthi
Sookhe huye phoolon se yaado ki mehek uthi


Uljhi si zindagi hai uljhan na suljh saki
Jis ne ki yeh koshish us ki bhi ulajh uthi


Dil me daba ke rakhi thi har ek chingari
Ek teri kaj rawi se shola ban sulag uthi


Har suu tha habs ka aalam har shakh sookhi
Tu aaya ban ke sawan har bulbul chehek uthi
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: September 01, 2006, 03:31:02 AM »
Reply with quote
good one saba.....


tanhai sa sabab tum n ahi samjhoge
karte the jo do baatein unki kami tum nahi samjhoge
reh jati hai yaaden unhanseen palo ki
unki judai ka gum tum nahi samjhoge......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: September 01, 2006, 04:09:56 AM »
Reply with quote
bahut khoob Saba & Vikas ......

aaj yaado ki tadap kyu mann ko jalaane lagi
kyu fir se yeh tanha zindagi mujhe daraane lagi
aansu mein dubi aankhe aaj bhi dhondati hai tumhe
ek teese si dil per fir kyu chhaane lagi !!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: September 06, 2006, 01:59:10 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Saba Sis Vikaas Bhai And Ranjana Sis,.
Nice One,.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #4 on: September 26, 2006, 06:02:12 PM »
Reply with quote
Thanx Vikas, Ranjana and Jaanasheen

Yeh zindagi itni akeli na hoti
Baatein meri paheli na hoti
Gar tum sath chhor na jate
Tanhayi meri saheli na hoti
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #5 on: September 27, 2006, 08:52:16 AM »
Reply with quote
padi milegi tumhe meri laash kisi anjan raha par
janam yeh wo raha hai jis par aashiq chala karte hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: September 27, 2006, 09:37:09 AM »
Reply with quote
Nice One Saba And Vikaas Bhai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: September 27, 2006, 09:38:39 AM »
Reply with quote
Kaise Kat Rahi hai zindagi Meri Tere Bin,..
Ye Tu Kya Jaane, Tujhe To Adat Hai sab se Rooth jaane Ki,..
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #8 on: October 14, 2006, 11:01:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "Saba_Saba"
Tanha hai is qadar ke tanhayi sisak uthi
Sookhe huye phoolon se yaado ki mehek uthi


Uljhi si zindagi hai uljhan na suljh saki
Jis ne ki yeh koshish us ki bhi ulajh uthi


Dil me daba ke rakhi thi har ek chingari
Ek teri kaj rawi se shola ban sulag uthi


Har suu tha habs ka aalam har shakh sookhi
Tu aaya ban ke sawan har bulbul chehek uthi


Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kerte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The


Kiya Baat Hai Kiyoon Mujh Se Khaffa Bethe Ho
Kiya Kissi Aur Ko Dil Apna De Bethe Hoo


Faasale To Pehle Na Hua Kerte The AnMoL
Main Woh Hoon Jispe Tum Aetbaar Kiya Kerte the


Mujh ko Maaloom Hai Gum Hay Koi Sogaat Nahein
Tum Mujhe Apna Kahoo Aise Bhi Haalaat Nahein


Aur Ager Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahein
Zakham To Pehle Bhi Is Dil Pe Lagga Kerte The


Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kertte The ~Saba
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: October 16, 2006, 01:45:59 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Zameer ke Qaidi,..
Kamaal Ka Likha Hai,..
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #10 on: October 16, 2006, 02:57:58 PM »
Reply with quote
Thank You Jis K Liye Likha Us Nay Na janay Dekha
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: October 16, 2006, 03:01:29 PM »
Reply with quote
Yaar Kisne Kya Dekha,..
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #12 on: October 16, 2006, 11:02:55 PM »
Reply with quote
kaash tumaihan daikha na hota
dil main ghum kai phool na khiltay
hountoun pay faryad na hoti
tanhaiuon kay dard na miltay
marnay ka arman na hota
aaj itnay majboor na hotay
sab loghoun say ulfat kartay
ayr khuda say door na hotay
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: October 17, 2006, 04:15:34 PM »
Reply with quote
nice one again
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #14 on: October 17, 2006, 04:55:17 PM »
Reply with quote
ishq ki daastaan saari mehfil sune
ishq dil mein chupaana zaroori nahin

ishq ehsaas hai dil ki awaz hai
sun le saara zamana zaroori nahin

ishq dil mein rahe ga to phat jayga
yunhi tarpe ga machle ga mit jayga
ishq ko yun mitana zaroori nahin

ishq mitt ta nahin hai mehakta hai ye
ishq shola hai dil mein dharakta hai ye
sab ka daaman jalana zaroori nahin

ishq elaan hai ishq toofan hai
tauba tauba na samjhe wo nadan hai
aag dil mein dabana zaroori nahin

ishq dil k dharaknay ki pehchaan hai
ishq be baak ho jaye to badnaam hai
haal -e-dil yun sunana zaroori nahin

ishq ki daastaan saari mehfil sune
ishq dil mein chupaana zaroori nahin
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 01:44:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer