ZARRAA - YE SAFAR JO TANHA HAI IS QADAR

by zarraa on August 29, 2014, 10:25:39 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1141 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
ye safar jo tanha hai is qadar, to phir uth raha hai ghubaar kyooN
n nasheb*  hai n faraaz* hai, to kathin hai raahguzaar kyooN


n to theeN ayaaN wo mohabbateiN, huwee usko bhi kayee muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir, tere naam par hooN nisaar kyooN


jo n qurbatoN si theeN qurbateiN, to fasurda* kyooN haiN ye furqateiN
jo suroor hi n chardha kabhi, to utar raha hai khumaar kyooN


jo n mil saka wo hai jaane kya, jo bhi mil gaya hai wo kya bura
jo n uth saka ho wo bojh kya, jo utha liya hai wo baar* kyooN


hai jamaal-e-husn bhi roo-ba-roo, hai fusoon*-e-ishq bhi chaar-soo
teri aaNkheiN khwaab meiN mehv* kyooN, tere sar junoon sawaar kyooN


bhale gard kar mera aasmaaN, bhale dasht kar mera gulsitaaN
bhale khaak kar mera aashiyaaN, maiN kahooN qafas ko dayaar kyooN


maiN ne yooN bhi sab se suna bahaut, karo kis liye meri taaziyat*
mujhe saNg yooN bhi mile kayee, to banaao mera mazaar kyooN

   
tujhe shauq-e-laala-o-gul agar, to lahoo se seeNch ke surkh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye, tujhe intezaar-e-bahaar kyooN


buree is qadar jo sharaab hai, to phir apna khud hi hisaab hai
jise mil raha ye azaab* hai, rahe khush wo baada-gusaar kyooN


sabhi chaak-e-daamaaN* rafoo huwe, sabhi zakhm-e-jaan-o-jigar bhare
to hai “zarraa” ab bhi barahna* kyooN, to hai “zaraa” ab bhi figaar* kyooN


-zarraa


*
nasheb = downward slope
faraaz = upward incline
fasurda = depressed
baar = burden
fusoon = magical spell
mehv = immersed
taaziyat = condolence
azaab = punishment
daamaaN = skirt
barahna = naked
figaar = wounded
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: August 30, 2014, 01:30:01 AM »
waah waah waah bahut khoob
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #2 on: August 30, 2014, 04:28:40 AM »
WAAAAAAAH WAAAAAAAAAH WAAAAAAAAAAAAH

kya baaat hai zarra sahab... behad umdaa behad khooooob.. Usual Smile Usual Smile

Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #3 on: August 30, 2014, 04:37:10 AM »
waaaaahhhhhhhh waaaaahhhhhhhh bahuuuuuuttt khub zarraji....

har sher bahut gahra hai..... 1 rau aapke lie.......
Logged
Rajigujral
Khususi Shayar
*****

Rau: 17
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 59 minutes.
Posts: 1703
Member Since: Apr 2014


View Profile
«Reply #4 on: August 30, 2014, 12:33:16 PM »
Bahut Khoobsurat Gazal Kahi Hai. Daad Kabool kijiye
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: August 30, 2014, 03:48:49 PM »
Kya kahne Janab Zarraa saheb. As always , eik khubsurat ghazal hai. Bahut c daad .
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #6 on: August 31, 2014, 12:34:54 AM »
waah waah waah kyaa baat hai, dheron daad.
   icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #7 on: August 31, 2014, 07:49:02 AM »
behtreen peshkash waaaaahhh dherooooo daaaaadddddd
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #8 on: September 01, 2014, 04:42:00 AM »
वाह.....वाह.....

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #9 on: September 04, 2014, 08:33:32 PM »
Aap sab ka bahaut bahaut shukriya

Saini sahab
Touhid bhai
Mann ji
Raji Gujral ji
Hassan sahab
Surindarn ji
Jeet ji
Amit

Aap ki pazeeraayee aur hausla afzaayee ka main dil se mashqoor o mamnoon hoon

Aap sab ko meri jaanib se dheron duaein

Aap ka
Zarraa
Logged
sbechain
Guest
«Reply #10 on: September 04, 2014, 09:12:22 PM »
ye safar jo tanha hai is qadar, to phir uth raha hai ghubaar kyooN
n nasheb*  hai n faraaz* hai, to kathin hai raahguzaar kyooN

aap ko shaayad humsafar ki talaash hai aasaan rahguzar ke liye seedhi baat ko iss tarah ghooma-phira kar shaayar hi kahte hain Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
n to theeN ayaaN wo mohabbateiN, huwee usko bhi kayee muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir, tere naam par hooN nisaar kyooN

sirf tum kabhi-kabhi naam se hi itni mohbaat ho jaati hai ki phir wo insaan kaisa bhi ho. ek film dekhi thi main ne SIRF TUM icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

jo n qurbatoN si theeN qurbateiN, to fasurda* kyooN haiN ye furqateiN
jo suroor hi n chardha kabhi, to utar raha hai khumaar kyooN

    naam-o-nishaan nahin  mohabbat  ka  jo shahr mein!
    phir  iss  tarah  zamanaa  ishq  ka  bimaar  kyon!!


 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower



jo n mil saka wo hai jaane kya, jo bhi mil gaya hai wo kya bura
jo n uth saka ho wo bojh kya, jo utha liya hai wo baar* kyooN
 
acha sawaal hai aur achi soch bhi icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

hai jamaal-e-husn bhi roo-ba-roo, hai fusoon*-e-ishq bhi chaar-soo
teri aaNkheiN khwaab meiN mehv* kyooN, tere sar junoon sawaar kyooN
isliye ki mujhe beauty contest mein aanaa hai Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!

bhale gard kar mera aasmaaN, bhale dasht kar mera gulsitaaN
bhale khaak kar mera aashiyaaN, maiN kahooN qafas ko dayaar kyooN
iss sher ki baariki mujhe samjh nahin aayi icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent!

maiN ne yooN bhi sab se suna bahaut, karo kis liye meri taaziyat*
mujhe saNg yooN bhi mile kayee, to banaao mera mazaar kyooN
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:main iss sher pe rau doon gi ji wah wah kyaa kahne!
   
tujhe shauq-e-laala-o-gul agar, to lahoo se seeNch ke surkh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye, tujhe intezaar-e-bahaar kyooN
wah wah wah wah aur sirf wah kya kya na bayaan karta hai ye sher sab apni apni nazar se sochein to iss do line per poori kitaab likhi jaa sakti hai buss itna hi kahoon gi Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley!

buree is qadar jo sharaab hai, to phir apna khud hi hisaab hai
jise mil raha ye azaab* hai, rahe khush wo baada-gusaar kyooN

 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard =))jaante boojhte aag mein koodne wali baat hai ji!
sabhi chaak-e-daamaaN* rafoo huwe, sabhi zakhm-e-jaan-o-jigar bhare
to hai “zarraa” ab bhi barahna* kyooN, to hai “zaraa” ab bhi figaar* kyooN
zakhm bhar jaaye bhale dard kabhi jataa nahin hai crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2!

-zarraa


*
nasheb = downward slope
faraaz = upward incline
fasurda = depressed
baar = burden
fusoon = magical spell
mehv = immersed
taaziyat = condolence
azaab = punishment
daamaaN = skirt
barahna = naked
figaar = wounded



MR PARTICLE- rau ke liye aap saff mein ho icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #11 on: September 06, 2014, 06:28:11 PM »

MR PARTICLE- rau ke liye aap saff mein ho icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!



rau de diya ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: September 21, 2014, 05:53:23 PM »

MR PARTICLE- rau ke liye aap saff mein ho icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!


Sheba ji ... bahaut bahat shukriya !! Aap ne har sher ki rooh ko chhoo liya hai aur un ke ehsaasaat ke saath pooree tarah se insaaf kiya hai, aur apne khaas andaaz mein khoob maza bhi uthaaya hai Usual Smile bahaut bahaut shukriya aap ka.

jo sher aap pooree tarah par khul naheen paaya, us sher ke bayaan mein hi kamzori hai, aisa mujhe lag raha hai. us sher mein main ne kuchh is tarah se tabdeelee kar di hai ...

bhale gard kar mera gulsitaaN bhale khaak kar mera aashiyaaN
kahooN baaghbaaN saiyaad ko maiN qafas ko apna dayaar kyooN

shayad is se kuchh ayaaN ho sake ye sher. 
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: September 21, 2014, 05:56:49 PM »

rau de diya ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

ji shukriya !! aap to apne waade ki bilkul pakki nikleen Sheba ji Usual Smile kehte hain mazdoor ka paseena sookhne se pehle use apni mazdooree mil jaanee chahiye. aap ne is mazdoor shayar ke saath us ke haq se kaheen ziyada insaaf kiya hai Usual Smile
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 09:36:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer