Har simt hawaaoun mein muhabbat ki rooh hai

by abdbundeli on February 13, 2009, 08:15:26 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1091 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Hai surkhguun shabaab: bahaaroun ki mouj hai!
Haathoun mein hain gulaab: kanwaaroun ki mouj hai!!

Har simt hawaaoun mein muhabbat ki rooh hai;
Din hai usee soofii kaa: hazaaroun ki mouj hai!

Naayaab hain khatoot, likhaa hai alif naheen;
Zaahir hai par payaam: ishaaroun ki mouj hai!

Miltey rahey zaroor madarsey mein ham bahut;
Jab-tab huye tamaam qaraaroun ki mouj hai!

Seenoun mein beyqaraar, baraabar lagi hai aag;
Fir bhi dhuaan naheen hai, sharaaroun ki mouj hai!

Chouhaddiyoun mein kal tak siskaa thaa bahut pyaar;
Aazaadiyaan hain: ishq key maaroun ki mouj hai!

Tab chhup key milaanyeen theen eik baar ungliyaan;
Par aaj haath saath hain: pyaaroun ki mouj hai!

Raanjhoun pai fab raheen hain nayee sheirwaaniyaan;
Heeroun key sarsaraatey garaaroun ki mouj hai!

Sardee hai, gulaabee hai; us par khiley gulaab:
Mousam mein jawaanee hai: nazaaroun ki mouj hai!

Phooloun ki chadariyoun mein, mannat key hain naqaab:
Khushbooyein hain hazaar: mazaaroun ki mouj hai!

Gulfaam, ‘abd’, shaam ko aayegaa shartiyah:
Dariyah key khushgawaar kagaaroun ki mouj hai!

                                - abd bundeli
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 13, 2009, 10:25:51 AM »
Reply with quote
waah waah Kya baat Hai abd Bhaiya, Bohat Hi Badhiya Likha Hai,.
Nice One,.

Bohat Achche,.
yunhi Likhte rahiye,.
May Allah Bless You,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: February 13, 2009, 10:28:31 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Abd Ji...Very beautiful creation on St.Valentine's Day !! Applause Applause Applause


Ishq ka suroor fizaaon main hai,
Khushbu mohabbat ki hawaaon main hai,
Haathon main haath, bekhud nigaahain,
Madmasti ka aalam ghataaon main hai !!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3 on: February 13, 2009, 10:35:16 AM »
Reply with quote
  Applause Applause Applause Applause
bahoot khoob abd ji.....bahoot sunder likha hai aapne..... Applause
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: February 13, 2009, 10:36:36 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Abd Ji...Very beautiful creation on St.Valentine's Day !! Applause Applause Applause


Ishq ka suroor fizaaon main hai,
Khushbu mohabbat ki hawaaon main hai,
Haathon main haath, bekhud nigaahain,
Madmasti ka aalam ghataaon main hai !!
aapki chaar line bhi khoob hain talat
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: February 13, 2009, 10:49:22 AM »
Reply with quote
waah waah Kya baat Hai abd Bhaiya, Bohat Hi Badhiya Likha Hai,.
Nice One,.

Bohat Achche,.
yunhi Likhte rahiye,.
May Allah Bless You,.
Thanks a lot, Jaanasheen ji!
                    - abd bundeli 
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #6 on: February 13, 2009, 10:52:23 AM »
Reply with quote
abd ji and celmira ji dono ne hi bohut khoob likha hai
hats of to both of u Applause  Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: February 13, 2009, 11:02:46 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Abd Ji...Very beautiful creation on St.Valentine's Day !! Applause Applause Applause


Ishq ka suroor fizaaon main hai,
Khushbu mohabbat ki hawaaon main hai,
Haathon main haath, bekhud nigaahain,
Madmasti ka aalam ghataaon main hai !!

Shukriyah Celmira ji!

Mousam hai bahaaroun kaa: gumnaam sanam aaye!
Bulbul sey guzaarish hai, aaye, payaam laaye!
Ab har hawaa kaa jhonkaa wey khushbooyen bikheyrey,
Jin par lahar-lahar kar: aaye salaam, jaaye!!

                              - abd bundeli



Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: February 13, 2009, 11:04:12 AM »
Reply with quote
  Applause Applause Applause Applause
bahoot khoob abd ji.....bahoot sunder likha hai aapne..... Applause
Bahut-bahut shukriyah janaab!
            - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: February 13, 2009, 11:05:22 AM »
Reply with quote
abd ji and celmira ji dono ne hi bohut khoob likha hai
hats of to both of u Applause  Applause
Bahut-bahut shukriyah!
            - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 01:21:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.18 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer