------------------- Kabhi toh ake mil -------------

by BeNam on September 19, 2005, 04:00:33 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 3521 times)
BeNam
Guest
Reply with quote
Humane pyaar kiya hai jabse,
Apane aap ko bhula diya hai tabase,
Na ruth kar tadapao dil ko itana ke dur kar do khudse,
Apane dil ko dosh na do ki kyon pyaar kiya mujhase!

Khamoshi teri tadapa rahi hai kaise tujhe samajhaun,
Kya ho tum mere liye kaise tumhe yeh bataun,
Teri gali main deewana sa bhatakata hun main,
herdum tumhe manane ka sabab puchata hun main!

Mer na jaun tumhe dekhe bina darta hai dil,
Ruh bhatakegi meri, kahegi woh bhi kabhi toh ake mil

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 19, 2005, 04:10:24 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoon Benaam ji !!

Mer na jaun tumhe dekhe bina darta hai dil,
Ruh bhatakegi meri, kahegi woh bhi kabhi toh ake mil !!!
-------

Dill-e-dard bin, Ishaq-e-Izhaar nahi milta
yah hai wo phool, jo har dil mai bhi nahi khilta!!!

Ho jai jo payar, to khud ko khushnaseeb samjhana
Payar karane wala dil, her kisi shaks ko nahi milta!!!

kar lo kisi ko apna, ya ho jao kisi ke tum
Dono taraf ho agg, yah, es sansaar mai, mujko nahi dikhata!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #2 on: September 19, 2005, 04:31:58 PM »
Reply with quote
--- You are really too Good Poojaji -----

Dil main araman hai ke ishq ke anjam tak pahunch paun,
khud ko mita du main, aur teri bahon main sama jaun.

Pyaar ka woh hasin manzaar dekh lun ghadi do ghadi,
Fir Maut bhi aa jaye teri bahon main humey gum nahi!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: September 19, 2005, 04:40:07 PM »
Reply with quote
khud ko dikha kar jannat, payar ke bahon ki hasarat khoob
payar ko yaadgaar banane ke liye, uski bahon mai mar jaane ki hasarat khoob
Payar ke dil per kaya bitegi shayad kabhi socha nahi
De kar do pal ka sath, jeewan bhar ki judai ki yah apki dua, wah kaya khoob!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #4 on: September 19, 2005, 05:10:22 PM »
Reply with quote
--- Excellent Poojaji -------

Hasaraton ka na puchho, kya arman rah gaye hai baki,
Mahobaat main mer mitane ka abhi her anjam hai baki!
Na tamana Ki kabhi ke paye jannat hum kabhi,
bus tera deedar ho yehi tamanna rahe gayi hai baki!

Pyaar ke do pal main jee li hai humane zindagi sathi,
Tujhase na mil paye toh kya, tere deedar ka araman abhi hai baki!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: September 19, 2005, 05:15:44 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai!!! kaya Zazbaat hai!!!
bahoot hi khoobsoorat jawab likha hai apne!!!!!

Pyaar ke do pal main jee li hai humane zindagi sathi,
Tujhase na mil paye toh kya, tere deedar ka araman abhi hai baki!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #6 on: September 19, 2005, 05:19:47 PM »
Reply with quote
--- Thanks Poojaji ------

Yunhi nahi milati hai mahobaat main judai,
Mahobaat ki agnipariksha hai judai,
Ruth kar chale jana husn ki adat hai,
Ishq ki her ghadi maut hai judai!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: September 19, 2005, 05:23:37 PM »
Reply with quote
Wah kaya khood likha apne!!!!

Ruthe na jo husan, to yah agg kaise baregi
na ho jo tarap to, payar ki mahak kaise banegi
mana ki Ishq ki her ghadi maut hai judai!!!
jo na ho judai to, milan ki mithas kaise baregi!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #8 on: September 19, 2005, 05:30:49 PM »
Reply with quote
--- Wah Poojaji hamara aap ko Guru Kahena galat nahi hai ---

Mana ke milan ka maza badhati hai judai,
Dekhana kabhi kitani maur marta hai deewana aur kya deta hai duhai!
Her waqt dil main ek hi arman liye jeeta hai deewana,
Kabhi toh nazare karam honge, aur milan ki raat layegi judai!
Deewano se Tadapane ka sabab puchh lo,
Fir bayan karana kya khub rang lati hai judai!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: September 19, 2005, 05:57:58 PM »
Reply with quote
Wah kaya baat hai!!! bahoot hi acha jawab likha hai apne!!!

Husan ki ankho mai haya ka sajna jaroori hai
Deewano ki juban per, milan ka sajda jaroori hai
Din aor raat ka, subah aor sham mai, milana jaroori hai
bujhani ho jo payar ki payaas, usse pahle is payaas ka barna jaroori hai!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #10 on: September 19, 2005, 06:27:49 PM »
Reply with quote
---- Wah Poojaji Aapki kya tarif kare ----

Raat aur din kiya hai barson intazaar jiska,
Woh milan ki ghadi toh aye, ke bus deedar ho uska,
Mahobaat to kar ke dekhale, Na manzoor hogi tumhe bhi judai ki ratain,
Yunhi nahi nahi karatain hum deewano si batain!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: September 19, 2005, 06:33:42 PM »
Reply with quote
Lub per jo jaam akar chala jaaye
uski tarap mai apna hai ek maja
ankho ankho mai jo ho jai baaty
usko nahi kahaty kabhi saja!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #12 on: September 19, 2005, 06:51:43 PM »
Reply with quote
--- Bahot achhe ---

Ankhon se na pilayee hoti toh hum na zumate,
Shehar shehar, gali gali, tera naam liye tujhe na dhundhate!
Mai ke do paimane hai teri woh do ankhen,
Bus dub raha hun main aur arman bhi nahi ke koi bacha le!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: September 19, 2005, 07:01:17 PM »
Reply with quote
bahoot khoob!!!!


Khud doob kar, sathi ko badnaam kiya karty ho
Parwaano se mil kar, shamma per ilzaam diya karty ho
Khud hi atty ho mahkhane mai bahkane ke liye
Kayun phir saaki ko bahkaane ka ilzaam diya karty ho!!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #14 on: September 19, 2005, 07:11:43 PM »
Reply with quote
--- Aapne toh muh tod jawab diya hai ----

Nahi dosh un mad bhari ankhon ka, Jinho do ghunt humey pilayee,
Bus shikayat hai ki yeh mahobaat humey kyun raaz na ayee!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 08:53:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer