Merre namazi ki ada...Geet...

by brokenbyluv on February 26, 2011, 04:18:59 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1876 times)
brokenbyluv
Guest
Reply with quote
Adaab dosto,merri is peshkash ko sirrf mhbt ki nazro se padhe main kisi mazhab ki tauheen karne k irade se nhi likhi..bus jo mehsus kiya wahi likh diya...maafi chahungi agar kuch galat likha ho tou...



Din ka pehla peher aur vo namaz ki pehli pukar,
haule se unka ankhe kholna jaise pyar se chhuna merre rukhsar,

zohar ki namaz tak waqt ka kuch badal jana,
kabhi unka merrre paas hona kabhi deed k liye tarsana,

asar ki azan ne hamesha duao mein asar dikhaya hai,
merre namazi ki adao ne mujhpe qeher barsaya hai,

magreeb ki azan mein aksar khamosh rahe hai,
kuch hosh mein tou kuch behosh rahe hai,

din ki akhri namaz mein allah k aage sache dil se sar jhukaya hai,
aur din k har peher mein uski bepanah mhbt ko paya hai.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Merre ajnabi... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Ye kya hai merre aas paas??? by brokenbyluv in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahe se ehsas...merre dil k... by brokenbyluv in Shayri-E-Dard
Wahi merre khuda wahi merri ibadat...Geet... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri
Mehez merre nagmo ka andaz nhi hai...Geet... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq
nirala
Guest
«Reply #1 on: February 26, 2011, 04:56:36 PM »
Reply with quote
bahut khoob BBL ji.
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #2 on: February 26, 2011, 05:28:02 PM »
Reply with quote
Shukriya nirala ji..
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #3 on: February 26, 2011, 06:18:23 PM »
Reply with quote
Aapne musalmano ki Ibadat ki tauheen ki hai aapko iske liye kabhi maaf nahi kar sakta main. Waise aapki marzi hai aap jo chahe likhe jiski chahe tauheen kare poora ikhtiyaar hai aapko. Lekin mera yeh manna hai ke kisi ko koi haq nahi ke woh kisi ke mazhab ka mazaak banaye.

Main bhi bohat si ut patang cheeze mehsoos karta hu par iska matlab yeh nahi unko likhne bhaith jaoo aur mehfil me pesh kar du.......mohabbat ki nazar se padha jaye to behuda cheeze sahi nahi ho jaati.

Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: February 27, 2011, 04:59:08 AM »
Reply with quote
KhayaaloN ko iss tarha  mazhabi liibaas pehnaa ke pesh karnaa ... kisi bhi tarha zaayez nahi hai ... meri vyagtiigat raaye hai isse pahrez kareN ... aap bahut accha likhte hai ... meri baat ko anyeThaa nahi lenge ... khush rahen ... !

apna khayaal rakhen
duaaoN ke saath ... !
Logged
nirala
Guest
«Reply #5 on: February 27, 2011, 06:12:55 AM »
Reply with quote
Sazid ji aur Naresh ji--
aaplogo se mai iss tread me kuch poochna chahunga--
agr ye thread Delete na hua to mera ek sawaal he--
wapis aakar poochta hu
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #6 on: February 27, 2011, 04:47:22 PM »
Reply with quote
Mujhe aap logo ki baat mein koi galati nhi lagi per ye merri soch hai aur maine isme bus din mein ki gyi har namaz mein kya kya face kiya hai wahi likha hai jaise ki maine apse kaha ki jinse main pyar karti hu vo ek muslim hai aur main unke aur apne relgion ki poori izzat karti hu har azan ne merre din ko ek nayi pehchan di hai mujhe nhi lagta maine koi galati ki hai waise bhi har chhoti baat pe yoindia mein sab issue banane mein maahir hai isiliye mujhe kisi se kuch nhi kehna baaki main sabse phir maafi mangti hu...maaf karna na karna aap sab logo k hath mein hai...mujhe bus itna hi kehna hai..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: February 27, 2011, 04:51:28 PM »
Reply with quote
Sazid ji aur Naresh ji--
aaplogo se mai iss tread me kuch poochna chahunga--
agr ye thread Delete na hua to mera ek sawaal he--
wapis aakar poochta hu

Kya sawal hai apka nirala ji...
Logged
nirala
Guest
«Reply #8 on: February 27, 2011, 05:20:50 PM »
Reply with quote
hmm chota sa hi sawaal hai::
maine hazaaron nagme aise sune aur parhe hain jinme shayro ne Mohabt ko khuda ki bandgi aur Apne mehbub ko KHUDA ka darza dia hai.
tab koi sawaal nahi krta koi !!
"
aapne bhi iss post me mohabat aur Khuda ki Ibadat ko bahut shaleenta se alfaazo me piroya hai--fir ye post Khuda ki Ibadat ki Tauheen kaise ho gai ?
""
mene jab shuru me reply kiya tab mere khayal me aya tha ki aisa kuch objection hoga yahan--lekin bahut socha to samjh aya aapki paak mohabt ki ibatat hai ye.
thanx
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #9 on: February 27, 2011, 05:35:49 PM »
Reply with quote
hmm chota sa hi sawaal hai::
maine hazaaron nagme aise sune aur parhe hain jinme shayro ne Mohabt ko khuda ki bandgi aur Apne mehbub ko KHUDA ka darza dia hai.
tab koi sawaal nahi krta koi !!
"
aapne bhi iss post me mohabat aur Khuda ki Ibadat ko bahut shaleenta se alfaazo me piroya hai--fir ye post Khuda ki Ibadat ki Tauheen kaise ho gai ?
""
mene jab shuru me reply kiya tab mere khayal me aya tha ki aisa kuch objection hoga yahan--lekin bahut socha to samjh aya aapki paak mohabt ki ibatat hai ye.
thanx

Pehle tou main apka shukriya ada karungi ki apne merre lafzo aur merri nek niyat ko smjha,aur mujhe malum tha ki merre is thread pe kaafi ungliya uthengi isiliye maine shuruat mein hi maafi ki arzi ki thi ab main baat maine kabhi bhi khuda,allah ko apne mehbub ka darja nhi diya vo merre liye allah ki den hai tou main unka darja kaisi kisi ko de sakti hu,jaisa ki apne kaha main sirrf khuda ki ibadat k lamho ko apni mhbt k ehsaso mein likha hai shayad main ek muslim hoti tab bhi main yahi likhti aur shayad tab kisi ko koi aetraaz bhi nhi hota lekin uperwale ne hi mhbt ko banaya hai aur dekha jaye tou har pal khuda k naam ka hai har pal uski ibadat ka hai..apne merra sath diya uske liye tahe dil main apki shukr guzar hu aur umeed karungi ki aap apna reply mitayenge nhi kyunki yoindia pe aksar jo jaisa hota hai dikhta nhi hai...merra zat'ti tajurba hai isiliye kaha..khair main phir bhi ek baat kahungi ki agar kisi aur member ko merre is thread se pareshani hai tou main is thread ko abhi delete kar dungi..main yahan apne lafzo k zariye mhbt k har ehsas har mazhab ki pakezgi ko dikhana chahti hu kisi ka dil dukhake ya kisi mazhab ki tauheen kar k mujhe kuch haasil nhi karna...take care...
Logged
nirala
Guest
«Reply #10 on: February 27, 2011, 05:59:34 PM »
Reply with quote
Geet--sabse pahle aap ye jaan lijiye ke agar aapne ye post delete kiya to YO se Mera naata khatam.
aur aap galat saabit kar doge khud ko.
pahle hi kaha h mene Mai kisi Religion ko nhi manta aur sabhi Religion ko manta hun.
aur aapka post lajawaab hai ji.
sabki apni marzi hai jise jo chahe soche.
wese hi wo shayar hi kya jo alfaazo ke ehsaas se dusre shayr ki niyat na samjhe.
""
iss khubsurat post ko Salaam hai ji
""
be happy dear
take wala care Usual Smile
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #11 on: February 27, 2011, 06:04:29 PM »
Reply with quote
Geet--sabse pahle aap ye jaan lijiye ke agar aapne ye post delete kiya to YO se Mera naata khatam.
aur aap galat saabit kar doge khud ko.
pahle hi kaha h mene Mai kisi Religion ko nhi manta aur sabhi Religion ko manta hun.
aur aapka post lajawaab hai ji.
sabki apni marzi hai jise jo chahe soche.
wese hi wo shayar hi kya jo alfaazo ke ehsaas se dusre shayr ki niyat na samjhe.
""
iss khubsurat post ko Salaam hai ji
""
be happy dear
take wala care Usual Smile

Apke is zindadili k andaz ko dil se salaam nirala ji..aur yoindia jaisi khubsurat jagah se naata todne ki baat kabhi mat kahiyega aur vo bhi mujhe jaisi nadan shayara ki wajah se tou bilkul nhi,hamesha apke lafzo ka sath mila hai aage bhi yu hi sath dete rahiyega..tahe dil se apka shukriya...god bless u n u too take care..Usual Smile
Logged
nirala
Guest
«Reply #12 on: February 27, 2011, 06:12:39 PM »
Reply with quote
hahaha Geet sahiba kamaal krti ho aap--
"
aji hum Zinda hai
aur issliye to Dil bhi Zinda hai
maano to ek par ka parinda hai
na maano to zaleem chuninda hain
"
jeete raho --khus raho--
aabaad raho
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #13 on: February 27, 2011, 06:15:54 PM »
Reply with quote
hahaha Geet sahiba kamaal krti ho aap--
"
aji hum Zinda hai
aur issliye to Dil bhi Zinda hai
maano to ek par ka parinda hai
na maano to zaleem chuninda hain
"
jeete raho --khus raho--
aabaad raho

Shukriya ji...Usual Smile
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #14 on: February 28, 2011, 03:12:25 PM »
Reply with quote
Geet Ji Mujhe aapki Yeh Poem Bahut Pyaari Lagi.. Aapne Jo Mehsoos Kiya wahi apne Lafzon Me likha.. aur Behad Khubsoorati se apne ehasaason Ko Yahan Pesh kiya hai..!!

Bade bade shayaron ne Mohabbat Ko Khuda ka naam Diya Hai.. aur hum Bhi yehi Kahate Hain Ki Pyaar Ishwar Hai.. Yahan Pahale Bhi aisa Hota aaya Hai Ki Kuch Member Kisi Ke ehasaason ko Mazhab se jod dete hain....!! Ab kisi Ke Padhne ke Nazariya Hi Galat Ho To Koi Kya Sakta Hai.. Koi Yoindia Ka sukh shanti Bhara Maahol Kharaab Hi Karna chahe to Uska To Koi Ilaaj Nahi..!! Bassss Ignore hi kar Sakte Hain.. Waisa hi aap Bhi Kijiye.!! Aur Plz Geet ji Kisi se Yahan Maafi Mat Maangiye..!! Aur Na Hi Kisi Ke Aise Mazhabi Comment Ka Jawab dijiye..!!

iAdmin Ko Agar is Poem me Kuch Galti Lage to wo Zaroor ise Delete Kar Sakte Hain.. par Mujhe isme Koi galat Soch Nahi lagi..!!

Daad Kubool Karen Is Khubsoorat Poem Ke Liye..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 01:15:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer