~~"AANKHEIN MAJBOOR HUI"~~

by k.shael on December 15, 2008, 10:40:16 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2455 times)
k.shael
Guest
BARSO SE CHAMAK SUBAH KI INSE KOSSO DOOR HUI,
YE AANKHEIN PATHAR JAISI KHUDA JAANE KYUN ITNI
MAJBOOR HUI,

AANKHON ME MERI KAYII SADIYO KA ANDHERA NAZAR
AATA HAI, AAJ BHI GAMMO KA SAYA INHE GHERE HUE
NAZAR AATA HAI,

DEKH LE JO INHE WO DEEWANA HOTA NAHI HAAN
MAGAR DEKH KE AANSOO INME KHUD HI KISI ANJAANE
GAMM ME KHO JAATA HAI,

LOG KEHTE HAI PYAAR U HI HO JAATA HAI, POOCHE JO
KOI INSE PYAAR KA MATLAB TO SACH YE HAI PYAAR ME
SAB KUCH BEGANA HO JAATA HAI,

JISSE KHUDA MAAN KAR SUBAH ME DEKHA KARTE THE WAHI
INSAAN RAAT KE ANDHERE ME THOKAR DENE WALA PATHAR
SAMAJH AATA HAI,

INN AANKHON KE GEHREPAN ME HAME AAJ BHI EK HASTA
HUA CHEHRA NAZAR AATA HAI, WO JO HO NA SAKA APNA
BAAR BAAR AAJ BHI AANKHON KO RULAATA HAI,

YE AANKHEIN PATHAR JAISI KHUDA JAANE KYUN ITNI
MAJBOOR HUI…


SHALLY.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"Aankhein Khoob Roti Hay" by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
/////////"""HAAL-E-BAYAAN"""/////////////// by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
Teri AankheiN.!!----------------------------------"Sagar" by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: December 15, 2008, 10:55:14 AM »
BARSO SE CHAMAK SUBAH KI INSE KOSSO DOOR HUI,
YE AANKHEIN PATHAR JAISI KHUDA JAANE KYUN ITNI
MAJBOOR HUI,

AANKHON ME MERI KAYII SADIYO KA ANDHERA NAZAR
AATA HAI, AAJ BHI GAMMO KA SAYA INHE GHERE HUE
NAZAR AATA HAI,

DEKH LE JO INHE WO DEEWANA HOTA NAHI HAAN
MAGAR DEKH KE AANSOO INME KHUD HI KISI ANJAANE
GAMM ME KHO JAATA HAI,

LOG KEHTE HAI PYAAR U HI HO JAATA HAI, POOCHE JO
KOI INSE PYAAR KA MATLAB TO SACH YE HAI PYAAR ME
SAB KUCH BEGANA HO JAATA HAI,

JISSE KHUDA MAAN KAR SUBAH ME DEKHA KARTE THE WAHI
INSAAN RAAT KE ANDHERE ME THOKAR DENE WALA PATHAR
SAMAJH AATA HAI,

INN AANKHON KE GEHREPAN ME HAME AAJ BHI EK HASTA
HUA CHEHRA NAZAR AATA HAI, WO JO HO NA SAKA APNA
BAAR BAAR AAJ BHI AANKHON KO RULAATA HAI,

YE AANKHEIN PATHAR JAISI KHUDA JAANE KYUN ITNI
MAJBOOR HUI…


SHALLY.

Waah Shally Bohat Achche./
Yunhi Likhte Raho,.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: December 15, 2008, 10:58:25 AM »
Waah Shally Bohat Achche./
Yunhi Likhte Raho,.


SHUKRIYA AZEEM JI,
PAR AACHA LAGTA AGAR AAP SAATH LIKHTE TO,

SHALLY.
Logged
Sammual
Guest
«Reply #3 on: December 15, 2008, 11:05:17 AM »
Wah Kya Baat Hai.Bahut Khoob Shally Ji.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: December 15, 2008, 11:05:41 AM »
BARSO SE CHAMAK SUBAH KI INSE KOSSO DOOR HUI,
YE AANKHEIN PATHAR JAISI KHUDA JAANE KYUN ITNI
MAJBOOR HUI,

AANKHON ME MERI KAYII SADIYO KA ANDHERA NAZAR
AATA HAI, AAJ BHI GAMMO KA SAYA INHE GHERE HUE
NAZAR AATA HAI,

DEKH LE JO INHE WO DEEWANA HOTA NAHI HAAN
MAGAR DEKH KE AANSOO INME KHUD HI KISI ANJAANE
GAMM ME KHO JAATA HAI,

LOG KEHTE HAI PYAAR U HI HO JAATA HAI, POOCHE JO
KOI INSE PYAAR KA MATLAB TO SACH YE HAI PYAAR ME
SAB KUCH BEGANA HO JAATA HAI,

JISSE KHUDA MAAN KAR SUBAH ME DEKHA KARTE THE WAHI
INSAAN RAAT KE ANDHERE ME THOKAR DENE WALA PATHAR
SAMAJH AATA HAI,

INN AANKHON KE GEHREPAN ME HAME AAJ BHI EK HASTA
HUA CHEHRA NAZAR AATA HAI, WO JO HO NA SAKA APNA
BAAR BAAR AAJ BHI AANKHON KO RULAATA HAI,

YE AANKHEIN PATHAR JAISI KHUDA JAANE KYUN ITNI
MAJBOOR HUI…


SHALLY.

Teri Aankhon Ki Zabaan Main Samajh Na Saka,.
Anjaan Raha Tere, Ghamon Ki Kahaani Se,.

Sandgdil Tha Main, Jo Tera Dard Na Pehchaan Saka,.
Kuch Log Hote Hain, Jo Samajh Jaate Hain Sabkuch,
Aakhon Ke Behte Is Paani Se,.

Afsos Ke Main Samajh Na Saka,.
_________________________________-Jaanasheen-

Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: December 15, 2008, 11:07:43 AM »
Wah Kya Baat Hai.Bahut Khoob Shally Ji.

SHUKRIYA KI AAPNE HAMARE KALAAM KO
PASAND KIYA, PAR AUR BHI AACHA LAGTA
AGAR AAP BHI KUCH LIKH DETE TO,

SHALLY.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: December 15, 2008, 11:14:12 AM »
Teri Aankhon Ki Zabaan Main Samajh Na Saka,.
Anjaan Raha Tere, Ghamon Ki Kahaani Se,.

Sandgdil Tha Main, Jo Tera Dard Na Pehchaan Saka,.
Kuch Log Hote Hain, Jo Samajh Jaate Hain Sabkuch,
Aakhon Ke Behte Is Paani Se,.

Afsos Ke Main Samajh Na Saka,.
_________________________________-Jaanasheen-



JISS BAAT PE AAJ TUNE GAUR FARMAYA HAI,
USS BAAT KO SAMJHANE ME HAMNE EK ARSA GWAYA HAI,

THI KABHI TERE AUR MERE BEECH EK DORR RISHTE KI,
PAR AAB HAM DONO KE BEECH SADIYO KA FASLA AAYA HAI,

KYA KAROO INN AANKHON ME AAJ PHIR NAMI HAI,
LAGTA HAI DEKH KE TUJHE DIL ME PHIR SE SAILAAB UMAD AAYA HAI,

BADI MUSHQIL SE HALAATOON KO APNE BASS ME KIYA THA,
AAJ PHIR SE SUNKE TERI AAHAT DIL MERA GHABRAYA HAI.

SHALLY




Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: December 15, 2008, 11:27:59 AM »
JISS BAAT PE AAJ TUNE GAUR FARMAYA HAI,
USS BAAT KO SAMJHANE ME HAMNE EK ARSA GWAYA HAI,

THI KABHI TERE AUR MERE BEECH EK DORR RISHTE KI,
PAR AAB HAM DONO KE BEECH SADIYO KA FASLA AAYA HAI,

KYA KAROO INN AANKHON ME AAJ PHIR NAMI HAI,
LAGTA HAI DEKH KE TUJHE DIL ME PHIR SE SAILAAB UMAD AAYA HAI,

BADI MUSHQIL SE HALAATOON KO APNE BASS ME KIYA THA,
AAJ PHIR SE SUNKE TERI AAHAT DIL MERA GHABRAYA HAI.

SHALLY



Waah Waah, Bohat Achcha Likha Hai,.

Meri Jaan, Tu Mujhse Khafaa Kyun Hai,.
Saath Hokar Bhi Mujhse Judaa Kyun Hai.,

Shikwe Shikayatein Karna, Teri Fitrat Hai,.
Kar Kuch Gile Mujhse, Aaj Mujhse Ruswaa Kyun Hai,.

Tune Saath Chorda Tha Mera, Ye Kehkar "Jaana",.
Ke Tu Mehfilein Sajaayegi, Phir Aaj Tu Tanhaa Kyun Hai,.

Dard Jitne Bhi Mile Hain, Tere Hi Karamo Ke Hain,.
Mera Koi Kasoor Nahi, Phir Mujhse Gilaa Kyun Hai,.

___________________________________-Jaanasheen-



Logged
Sammual
Guest
«Reply #8 on: December 15, 2008, 11:31:39 AM »
Good Shally And Jaanasheen Ji.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #9 on: December 15, 2008, 11:43:39 AM »


Waah Waah, Bohat Achcha Likha Hai,.

Meri Jaan, Tu Mujhse Khafaa Kyun Hai,.
Saath Hokar Bhi Mujhse Judaa Kyun Hai.,

Shikwe Shikayatein Karna, Teri Fitrat Hai,.
Kar Kuch Gile Mujhse, Aaj Mujhse Ruswaa Kyun Hai,.

Tune Saath Chorda Tha Mera, Ye Kehkar "Jaana",.
Ke Tu Mehfilein Sajaayegi, Phir Aaj Tu Tanhaa Kyun Hai,.

Dard Jitne Bhi Mile Hain, Tere Hi Karamo Ke Hain,.
Mera Koi Kasoor Nahi, Phir Mujhse Gilaa Kyun Hai,.

___________________________________-Jaanasheen-





SHUKRIYA AUR AAPNE BHI KYA KHOOB LIKHA HAI,

TUJHSE KAROO KYA GILLA MEIN, KHUD SE BAHUT KHAFA HO,
MEHFIL TO ROZ SAJTI HAI YAAR PAR MEIN TERI YAADON ME
GAMJADA HO,

LOG SAMJHTE HAI KI AANKHOON ME U HI PAANI RAKHTA HO,
PAR SACH HAI KI AAJ BHI DIL KE KAALE PANNO PE TERI
KAHAANI RAKHTA HO,

TERE EK DIDAAR KO TARSI THI LAAKH BAAR MERI NAZRE
PAR TAB TUNE KAHA THA MEIN KUCH AACHE LOGO SE HI
MILNE KI CHAHAT RAKHTA HO,

AAJ JAB HAI AANKHON ME NAMII MERI TO HAATH AAGE
KARKE KYUN KEHTE HO LAAO MEIN SAAF KARTA HO...

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 15, 2008, 11:46:18 AM »
Good Shally And Jaanasheen Ji.

Shukriya Sammual Bhai,.

Saans Lena, Mujhe Na Zaroori Lagti Hai,.
Khushi Ko Apnaana Bhi, Ab Majboori Lagti Hai,.

Tujhse To Kuch Umeed Nahi, Ghamon Ke Siwa "Jaana",.
Phir Bhi Tere, Bagair Zindagi Adhoori Lagti Hai,.

_____________________________-Jaanasheen-


Logged
k.shael
Guest
«Reply #11 on: December 15, 2008, 11:49:57 AM »
Good Shally And Jaanasheen Ji.

SHUKRIYA SAMMUAL PAR AAP BHI AGAR KUCH LIKH DETE

SHALLY.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: December 15, 2008, 11:52:59 AM »
SHUKRIYA AUR AAPNE BHI KYA KHOOB LIKHA HAI,

TUJHSE KAROO KYA GILLA MEIN, KHUD SE BAHUT KHAFA HO,
MEHFIL TO ROZ SAJTI HAI YAAR PAR MEIN TERI YAADON ME
GAMJADA HO,

LOG SAMJHTE HAI KI AANKHOON ME U HI PAANI RAKHTA HO,
PAR SACH HAI KI AAJ BHI DIL KE KAALE PANNO PE TERI
KAHAANI RAKHTA HO,

TERE EK DIDAAR KO TARSI THI LAAKH BAAR MERI NAZRE
PAR TAB TUNE KAHA THA MEIN KUCH AACHE LOGO SE HI
MILNE KI CHAHAT RAKHTA HO,

AAJ JAB HAI AANKHON ME NAMII MERI TO HAATH AAGE
KARKE KYUN KEHTE HO LAAO MEIN SAAF KARTA HO...



Nice One,.

Ye Sab Dikhaawa Hai, Tune Meri Kami Na Mehsoos Ki,.
Teri Mehfilein Gawaahi Deti Hai, Meri Ruswaai Ki,.

Tere Chehre Pe Tha Udaasi Ka Naqaab, Main Jaan Gaya,.
Dil Mein Tere Khushi Thi, Tu Baat Na Kar Tanhaai Ki,.

Tanhaai Kisko Kehte Hain, Mere Ghar Aakar Tu Dekh Kabhi,.
Charaag Jalaaon Bhi To Ujaala Nahi, Log Rehkar Bhi Veeraana Lage,.
Ghar Aa, Haqeeqat Ko Dekh, Meri Tabaahi Tujhse, Sachcha Fasaana Lage,.

___________________________________-Jaanasheen


Logged
k.shael
Guest
«Reply #13 on: December 15, 2008, 12:00:48 PM »
Nice One,.

Ye Sab Dikhaawa Hai, Tune Meri Kami Na Mehsoos Ki,.
Teri Mehfilein Gawaahi Deti Hai, Meri Ruswaai Ki,.

Tere Chehre Pe Tha Udaasi Ka Naqaab, Main Jaan Gaya,.
Dil Mein Tere Khushi Thi, Tu Baat Na Kar Tanhaai Ki,.

Tanhaai Kisko Kehte Hain, Mere Ghar Aakar Tu Dekh Kabhi,.
Charaag Jalaaon Bhi To Ujaala Nahi, Log Rehkar Bhi Veeraana Lage,.
Ghar Aa, Haqeeqat Ko Dekh, Meri Tabaahi Tujhse, Sachcha Fasaana Lage,.

___________________________________-Jaanasheen




NICE ONE AZEEM,

HAM TO KARKE BHI MOHABBAT BADNAAM HUE,
DEKH TERE HI LAFZO KE SAHAARE HAM BARBAAD HUE,

BAAT KARTA HAI TO TANHAI AUR YAADOON KI,
WO TERI HI INAYETE HAI JO HAM MEHFILO ME BETHNE KO
MAJBOOR HUE,

TERE GHAR KE CHIRAAG BUJHTE HONGE, KABHI AANA MERE GHAR
ME YAHAAN TO SADIYO SE HAI ANDHERE SAMAYE HUE,

DEKH KE SURAAT MERI TU BHI SEHAAM JAAYEGA,
YE HAAL HAM KHUD KA HAI TERE PYAAR ME BANAYE HUE.

SHALLY.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 15, 2008, 12:09:28 PM »
NICE ONE AZEEM,

HAM TO KARKE BHI MOHABBAT BADNAAM HUE,
DEKH TERE HI LAFZO KE SAHAARE HAM BARBAAD HUE,

BAAT KARTA HAI TO TANHAI AUR YAADOON KI,
WO TERI HI INAYETE HAI JO HAM MEHFILO ME BETHNE KO
MAJBOOR HUE,

TERE GHAR KE CHIRAAG BUJHTE HONGE, KABHI AANA MERE GHAR
ME YAHAAN TO SADIYO SE HAI ANDHERE SAMAYE HUE,

DEKH KE SURAAT MERI TU BHI SEHAAM JAAYEGA,
YE HAAL HAM KHUD KA HAI TERE PYAAR ME BANAYE HUE.

SHALLY.



Karke Mohabbat Tu Badnaam Na Hui,.
Meri Mohabbat Teri Pehchaan Bangayi,.

Mujhe Chahte The Sab, Khush the Mujhse,.
Tu Aai, Mere Saath Sab Tujhe Chahne Lage.,
Bankar Meri Zindagi, Tu Anjaan Bangayi,.

Main Bhi Kaise Jeete Us Zindagi Ko Lekar,.
Jo Meri Zindagi, Kisi Aur Ki Jaan Bangayi,

_________________________-Jaanasheen-

Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 06:32:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer