Dahej Ki Aag 'Shaadi Yaa Saudebaazi??' "Khwaish"

by khwaish on May 21, 2012, 11:41:46 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 34993 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Survey Results Year 2010-2011...
"The Indian police say that they receive over 2,500 reports
of bride-burning alone
every year while the number of dowry deaths is about 9000.
These numbers increase at a rate of 1-2% every year.
It is also a reason why many parents don’t want to have daughters,
because of the dowry they will have to shell out at her marriage,
 and the stress they go through due to never-ending demands from her in-laws.
In fact dowry deaths of a newly married bride are regularly in the news

Today dowry is not the innocent practice that it started out as
but has turned into a social menace that cannot be reverted back
to its original form; hence it must be eradicated from our society permanently."




Iss Topic Par bahut Pehle Hi Socha Tha,Kuch Likhoon Par Phir LafzoN Ne Saath
Naa Diya Par jab Kal  'Satyamev Jayate" Ka Episode Dekh Raha Tha Khud Ba Khud
Lafz Judte Gaye Aur Yeh Kalaam Likh Gaya..Mujhe Kisi Ki Daad Se Zyaada Uss Ehsaas
Ko Jagaane Ki Khwaish Hai, Ke Koi Yeh Kalaam Padhe Aur Iss Prata Ko Rokne Ki Koshish
Mein Juud Sake..Shukriya



Kamre Mein Baithi Thi Dulhan Saj-Daj Kar Sharmaai Hui
Ek Ajnabi Se Bahut Si Umeedein Thi Lagaayi Hui

Aeane Mein Khud Ko Dekhti Rehti,Mann Hi Mann Khush Hoti..!!!!
Duniya Ki Saari Khushiyan Thi jaise Uske Dar par Aayi Hui

Laal Jode Mein Baiti,Haathon Mein Chudiyan Pehne
Chehre Par Muskaan,Aankhein Thi Kaajal Se Sajayi Hui

Phir Kuch Der Baad Awaaz Aayi,"Yeh Shaadi Nahi Ho Sakti"
yeh Suunkar Dulhan Ka Dil Toota Aur Thi Woh Ghabrayi Hui

Ladke Ke Maa-Baap Ne Kahaa, "Dahej Aur Chahiye"
Ladki WaloN Ne Socha Ab Baat Izzat pe Hai Ban Aayi Hui

Sab Kuch Bech-Baach kar Apni bitiyan Ki Shaadi Ki..!!!
Maa-Baap Ka Dil Tha Bhara Hua Aur Aankhein bhi Thi bhar Aayi hui

Beti Ne Paraye Ghar Ko Apna Ghar Samjha,Dil Se Seva Ki
Par Har kadam Par Apne TamanyoN ko Thi Woh Dabayi Hui

Dulhan Ka Mol...Ek Sofa, Ek Car, Ek Fridge, Ek Bistar..!!!!!!!
Yeh Kaisi Shaadi Jisme Dulhan Ki Boli Thi Paiso Se Lagaayi Hui

Har Baat Par Bahuu Ko Taane "Kya Diya Tere Maa-baap Ne??" !!!
Dulhan Ke Khwaab,Umeedeein,Khushiyan Sab Pal Bhar Me Parayi Hui

Dulhan Roti-tadapti Par Apne Maa-Baap Se Kuch Naa kehti
Iss Haal Mein Kya Uske pati Ko Bhi Koi Sharm Naa Thi Aayi Hui

"Khwaish" Puchta Hai Sabse,Kya yeh Shaadi hai yaa Saude-Baazi
Jahaa Pyaar Hona Chahiye Wahaan Hisaab-Kitaab Ki baatein

AAKHIR KISNE HAI YEH DAHEJ KI AAG LAGAYI HUI??


                        ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: May 21, 2012, 11:45:47 AM »
khwaish ji aapne bahut hee buning topic par ye kalaam pesh karke qaabile taareef kaam kiyaa hai main dil se mubarakbaad detaa hoon
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: May 21, 2012, 11:49:36 AM »
Survey Results Year 2010-2011...
"The Indian police say that they receive over 2,500 reports
of bride-burning alone
every year while the number of dowry deaths is about 9000.
These numbers increase at a rate of 1-2% every year.
It is also a reason why many parents don’t want to have daughters,
because of the dowry they will have to shell out at her marriage,
 and the stress they go through due to never-ending demands from her in-laws.
In fact dowry deaths of a newly married bride are regularly in the news

Today dowry is not the innocent practice that it started out as
but has turned into a social menace that cannot be reverted back
to its original form; hence it must be eradicated from our society permanently."




Iss Topic Par bahut Pehle Hi Socha Tha,Kuch Likhoon Par Phir LafzoN Ne Saath
Naa Diya Par jab Kal  'Satyamev Jayate" Ka Episode Dekh Raha Tha Khud Ba Khud
Lafz Judte Gaye Aur Yeh Kalaam Likh Gaya..Mujhe Kisi Ki Daad Se Zyaada Uss Ehsaas
Ko Jagaane Ki Khwaish Hai, Ke Koi Yeh Kalaam Padhe Aur Iss Prata Ko Rokne Ki Koshish
Mein Juud Sake..Shukriya



Kamre Mein Baithi Thi Dulhan Saj-Daj Kar Sharmaai Hui
Ek Ajnabi Se Bahut Si Umeedein Thi Lagaayi Hui

Aeane Mein Khud Ko Dekhti Rehti,Mann Hi Mann Khush Hoti..!!!!
Duniya Ki Saari Khushiyan Thi jaise Uske Dar par Aayi Hui

Laal Jode Mein Baiti,Haathon Mein Chudiyan Pehne
Chehre Par Muskaan,Aankhein Thi Kaajal Se Sajayi Hui

Phir Kuch Der Baad Awaaz Aayi,"Yeh Shaadi Nahi Ho Sakti"
yeh Suunkar Dulhan Ka Dil Toota Aur Thi Woh Ghabrayi Hui

Ladke Ke Maa-Baap Ne Kahaa, "Dahej Aur Chahiye"
Ladki WaloN se Socha Ab baat Izzat pe Hai Ban Aayi Hui

Sab Kuch Bech-Baach kar Apni bitiyan Ki Shaadi Ki..!!!
Maa-Baap Ka Dil Tha Bhara Hua Aur Aankhein bhi Thi bhar Aayi hui

Beti Ne Paraye Ghar Ko Apna Ghar Samjha,Dil Se Seva Ki
Par Har kadam Par Apne TamanyoN ko Thi Woh Dabayi Hui

Dulhan Ka Mol...Ek Sofa, Ek Car, Ek Fridge, Ek Bistar..!!!!!!!
Yeh Kaisi Shaadi Jisme Dulhan Ki Boli Thi Paiso Se Lagaayi Hui

Har Baat Par Bahu Ko Taane Ke, Kya Diya Tere Maa-baap Ne!!!
Dulhan Ke Khwaab,Umeedeein,Khushiyan Sab Parayi Hui

Dulhan Roti-tadapti Par Apne Maa-Baap Se Kuch Naa kehti
iss Haal Mein Kya Uske pati Ko Bhi Koi Sharm Naa Thi Aayi Hui

"Khwaish" Puchta Hai Sabse,Kya yeh Shaadi hai yaa Saude-baazi
Jahaa Pyaar Hona Chahiye Wahaan Hisaab-Kitaab Ki baatein

AAKHIR KISNE HAI YEH DAHEJ KI AAG LAGAYI HUI??


                        ~~~~~Khwaish~~~~~



haan sahab ye bahut hi ghaur-o-fikr ki baat hai

  bahut gambhir aur aham peshkash khawaish ji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #3 on: May 21, 2012, 12:44:16 PM »
sahi kaha aapne khwaish ji,
    betiyon ko abhishaap bana diya chand logo ne lalach ki khatir afsos to is baat ka hai chand log ab kuchh pratishat tak ho gaye hein aur apne aapko jamane ke saath chalta hua mahsoos karte hein,
    aapki rachna bahut hi achhi ban padi hai aapke dil ki awaaj logon tak pahunche aur log apne vichar badlen aur betiyon ko vardaan samjhen, yahi meri kaamna hai

ghansham das ahuja   
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: May 21, 2012, 02:54:12 PM »
khwaish ji aapne bahut hee buning topic par ye kalaam pesh karke qaabile taareef kaam kiyaa hai main dil se mubarakbaad detaa hoon

Saheb Aapne Apna Waqt Diya, yehi bahut Hai..

Aapka Bahut bahut Shukriya icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: May 21, 2012, 03:17:45 PM »
Kawaish  ji .  Aap   mubarakbaad  ke   mustaheq   hain   ki  apni poems  mein   aksar  bahut  aham   muddon   ko   uthhate  hain  aur  readers  ko  food  for  thought  dete  hain .  Dahej  samaj  ki  eik   badi  laanat  hai  jiska   khatma   jitni  jaldi  ho jaaye  achha  hai .  Lekin  iske  liye   na   sirf  aam  raai bulki  kuchh  sakht  samaaji  paabandiyaan  bhi  zaroori  hain .Isska  eik  pahloo  bahut  aham  hai  jo  main  share  karna chaahoonga . Mujhe  yaad  padta  hai  mere  eik  dost  eik  ladki ke  ishq  mein  giraftaar  ho  gaye  thhe  jo  doosri  zaat  ki thhi  aur  jiske  parents  ke  paas  jahez  mein  dene  ke  liye kuchh  khaas  na  thha . Mere  dost  darmiyaani  haisyat  lekin  oonche  khaandan  ke  thhe . Isliye  unke  parents  rishte  ke liye  raazi  nahi  thhe . Mere  dost  ne  hum  kuchh  doston   ko apne  parents  ko  convince  karne  ki  zimmedari  sounpi . Hum ne dost  ke  parents  ko  zaat  mein  farq  per  to  convince  kar liya  lekin  unki  mother  ki  eik  baat  ka  hamaare  paas  koi convincing  jawaab  na  thha . Unki  mother  ne  kaha  thha  : ' Mera  eik  ladka  hai  3  ladkiyaan  hain . Meri  itni  haisyat nahi  ki  in  ladkiyon  ka  jahez  de  sakoon .  Jo  is  ladke  ke jahez  mein  loongi  use  baaqi  ko  niptaane  mein  madad milegi . Agar  main  jahez  na  loon  to  is  baat  ki  kya  guarantee hai  ki  mujhe  mere  jaise  hi  jahez  na  maangnewaale  ladke mil  jaayeinge  aur  meri  ladkiyaan  ghar  mein  baithi  na  rah jaayeingi' . Yeh  samaaj ki  eik  kadvi   haqeeqat  hai . Satyamev Jayate  mein  eik  achha  hal  bhi  eik  organization  ki koshishon  se  mila  hai  jo  society  ki  kuchh  sanctions (e.g. unka  decision  ki  aisi  koi  shaadi  na  attend  kareinge jismein  jahez  liya  jaata ho ) ki  wajah  se  mumkin  hua  hai. ... Khuda  kare  aapki  poem   dahez  ki  laanat  par  sanjeeda soch  paida  kare . HASAN
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: May 21, 2012, 04:06:42 PM »

haan sahab ye bahut hi ghaur-o-fikr ki baat hai

  bahut gambhir aur aham peshkash khawaish ji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Aapka Teh Dil Se Shukriya Adil ji, Jo Aapne Apna Waqt Diya..

Thanks a Lot For Your Appreciation icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: May 21, 2012, 04:18:05 PM »
Bahut khoob Khwaish ji
people have already expressed their positive views on the topic. you have really touched the hearts.

Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: May 21, 2012, 05:31:33 PM »
 Applause Applause Applause
Logged
ripan dev
Guest
«Reply #9 on: May 22, 2012, 03:49:16 AM »
hmmm khawahish ji bahut gambhir mudda hai .....aur yeh aaj se nahi kaisalon se haamare desh ki sabse badi samsyon mein se ek hai...aapne apni nazm ke jariye ise utara hai bahut hi achhe tarike se ....par main sochta hoon ki yahan yoindia par itne log ise nahi padh payenge  koi aisa tareeka aapnaye jisse net ki dunia ke alawa bhi log ise padhein sune aur is gambhir samasya ko samjh kar ise dur karne mein madad karein........aapke kuch kalm padhe maine har bar aap aamir khan ki tarah ek naye aur gambhir mudde par likhte hai ...jo na sirf kabil-e-tareef hai balki himmat-e-daad bhi hai.
Logged
sarfira
Guest
«Reply #10 on: May 22, 2012, 05:08:53 AM »
iss topic pr kuch kehne ka sahas hi nhi hua--
jo aapne kaha h wo sach hai--
jab kisi ke sapne tootte hain mahaz kuch rupayon ki khatir
kisi ki zindgi ujadi jati hai kuch apni lalach ko poori krne ke lie--
to iss pr kya keh skte h--ye aisi samvednaayen hain jo jite ji insaan ko laash bana deti h--
agr iss pratha ko rokna h tab mere khyal se Auraton ko jada jagruk hona hoga
logo ko khud smjhna hoga is bat ko--
kanoon to bht h pr issko rokna bht muskil h qki
aaj ka insaan paise ka pujari h!!

khus rahen
Logged
dolly
Guest
«Reply #11 on: May 22, 2012, 05:27:06 AM »
bahut umda bahut khoob khwahishji....

Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley

Views already expressed....girls need to be taught  to live independently..education can help but change in psychology is reqd..which is lacking in our society....

U hv beautifully expressed ur views....daad....
Logged
khujli
Guest
«Reply #12 on: May 22, 2012, 06:53:12 AM »
Survey Results Year 2010-2011...
"The Indian police say that they receive over 2,500 reports
of bride-burning alone
every year while the number of dowry deaths is about 9000.
These numbers increase at a rate of 1-2% every year.
It is also a reason why many parents don’t want to have daughters,
because of the dowry they will have to shell out at her marriage,
 and the stress they go through due to never-ending demands from her in-laws.
In fact dowry deaths of a newly married bride are regularly in the news

Today dowry is not the innocent practice that it started out as
but has turned into a social menace that cannot be reverted back
to its original form; hence it must be eradicated from our society permanently."




Iss Topic Par bahut Pehle Hi Socha Tha,Kuch Likhoon Par Phir LafzoN Ne Saath
Naa Diya Par jab Kal  'Satyamev Jayate" Ka Episode Dekh Raha Tha Khud Ba Khud
Lafz Judte Gaye Aur Yeh Kalaam Likh Gaya..Mujhe Kisi Ki Daad Se Zyaada Uss Ehsaas
Ko Jagaane Ki Khwaish Hai, Ke Koi Yeh Kalaam Padhe Aur Iss Prata Ko Rokne Ki Koshish
Mein Juud Sake..Shukriya



Kamre Mein Baithi Thi Dulhan Saj-Daj Kar Sharmaai Hui
Ek Ajnabi Se Bahut Si Umeedein Thi Lagaayi Hui

Aeane Mein Khud Ko Dekhti Rehti,Mann Hi Mann Khush Hoti..!!!!
Duniya Ki Saari Khushiyan Thi jaise Uske Dar par Aayi Hui

Laal Jode Mein Baiti,Haathon Mein Chudiyan Pehne
Chehre Par Muskaan,Aankhein Thi Kaajal Se Sajayi Hui

Phir Kuch Der Baad Awaaz Aayi,"Yeh Shaadi Nahi Ho Sakti"
yeh Suunkar Dulhan Ka Dil Toota Aur Thi Woh Ghabrayi Hui

Ladke Ke Maa-Baap Ne Kahaa, "Dahej Aur Chahiye"
Ladki WaloN se Socha Ab baat Izzat pe Hai Ban Aayi Hui

Sab Kuch Bech-Baach kar Apni bitiyan Ki Shaadi Ki..!!!
Maa-Baap Ka Dil Tha Bhara Hua Aur Aankhein bhi Thi bhar Aayi hui

Beti Ne Paraye Ghar Ko Apna Ghar Samjha,Dil Se Seva Ki
Par Har kadam Par Apne TamanyoN ko Thi Woh Dabayi Hui

Dulhan Ka Mol...Ek Sofa, Ek Car, Ek Fridge, Ek Bistar..!!!!!!!
Yeh Kaisi Shaadi Jisme Dulhan Ki Boli Thi Paiso Se Lagaayi Hui

Har Baat Par Bahuu Ko Taane "Kya Diya Tere Maa-baap Ne??" !!!
Dulhan Ke Khwaab,Umeedeein,Khushiyan Sab Pal Bhar Me Parayi Hui

Dulhan Roti-tadapti Par Apne Maa-Baap Se Kuch Naa kehti
Iss Haal Mein Kya Uske pati Ko Bhi Koi Sharm Naa Thi Aayi Hui

"Khwaish" Puchta Hai Sabse,Kya yeh Shaadi hai yaa Saude-Baazi
Jahaa Pyaar Hona Chahiye Wahaan Hisaab-Kitaab Ki baatein

AAKHIR KISNE HAI YEH DAHEJ KI AAG LAGAYI HUI??


                        ~~~~~Khwaish~~~~~


 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP sad10 sad10 sad10 sad10 sad10 sad10 sad10 sad10 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #13 on: May 22, 2012, 08:37:55 AM »
Dahej ek aisa roop bhi h jisme ye lagta hai var paksh ko ki unhone to bete ko ghar diya ,padhaya likhaya ,mehnat ki kharcha kiya.aur  isko pati banakar iss ladki ke hawaale kar diya.iss ladki ke hisse mein jo aaya wo kahan hai.??
Bus yahi mansikta rehti hai var paksh ki.Iska solution bataaye please....

aapne bahut sunder tareeke se pesh kiya hai ek ladki ki feelings ko.
daaad kubool kijiye.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: May 22, 2012, 10:03:28 AM »
sahi kaha aapne khwaish ji,
    betiyon ko abhishaap bana diya chand logo ne lalach ki khatir afsos to is baat ka hai chand log ab kuchh pratishat tak ho gaye hein aur apne aapko jamane ke saath chalta hua mahsoos karte hein,
    aapki rachna bahut hi achhi ban padi hai aapke dil ki awaaj logon tak pahunche aur log apne vichar badlen aur betiyon ko vardaan samjhen, yahi meri kaamna hai

ghansham das ahuja   


Ghansham Ji Aapke Khayalaat Bade Nek Aur Khoobsurat Hai..

Aapne Apna Waqt Diya..Aapka Bahut Bahut Shukriya icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 06:06:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.259 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer