.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 23 24 25 26 [27] 28 29 30 31 ... 36
Print
Author  (Read 33022 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #390 on: September 02, 2006, 12:49:55 PM »
thanx tarun  aaj nahi likha kyun..............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
tabassum shakeel
Guest
«Reply #391 on: September 03, 2006, 06:41:10 AM »
kagaz

zindagi ke shahar me kagazon ka dher hai
dil ke maaron ka basar kagazon se hi to hai
likh saken in par hi ham padh sake inko hi ham
chahaton ko likh diya aansuon ko likh diya
phool shabnam mahtaab sab ko hamne likh diya
silsila jaari hai aaj ek bas kagaz ke saath
zinda koi bhi bashar saath ab mere nahi
chahaten aur furqaten sab hi is pe bah chukin
dil ka aaina sa hai koi sirf kaagaz nahi
aur ab main kya kahun ye mujhe pyare bahut
saare sapne in pe maine apne phailae bahut
in ko koi phadna na inko koi phenkna
sab jagah se tang hokaar aae ye kagaz pe hain
rang inme dekh kar bas khil si jaatin hun kabhi
aur kabhi mere ye kagaz aansuon se bheegate
saara kuchh apna hai in pe ye faqat bas main hi hun
aaj koi zinda bashar na main bhi bas kagaz hi hun
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #392 on: September 03, 2006, 01:47:15 PM »
meri bazm-e-dil tou ujar chuki,
mera farsh-e-jaan tou simat chuka,

sabhi ja chukay meray humnashin,
magar aik shakhs gia nahi,

ghum-e-zindagi teri rah main,
shab-e-aarzoo teri chah main,

jo ujar gia vo basa nahi,
jo bichar gia vo mila nahi,

mera hamsafar jo ajib hay,
tou ajib hun main ap bhi,

mujhay manzalon ki khabar Nahi...

Ques...
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #393 on: September 04, 2006, 02:08:56 PM »
The Style Guru Says......



Main aaj bhi apni basti ka thikaana nahi bhoola,
Mar kar bhi guzra zamana nahi bhoola,

Main aaj bhi rah-guzar hoon un fizaon ka,
Main un sitaron ka tim-timana nahi bhoola,

Mujhe yaad hai wo dasht-o-sehra ka safar,
Main apne pairon ka jal jaana nahi bhoola,

Na jaane kitne bismil hain mukhtasar aaj bhi,
Main un tanha raaton ka karhana nahi bhoola,

Na bujhi wo pyaas jo tumne kabhi jagayi thi,
Main bhi bardaasht ki had se guzar jaana nahi bhoola......
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #394 on: September 04, 2006, 02:52:33 PM »
bahut khoob likha hai qutub ji aapne ....tarun achcha hi  likha hai phir se.................

dil ko bhi tera saath suhana nahi bhoola
dekha hi nahi phir bhi diwana nahi bhoola

ye ik kashish si kaisi tere saath ki sanam
isaki bhi saza dena zamana nahi bhoola

sab ranjo gham hamare chhup door hai jaaten
likha jo hamne saath vo tarana nahi bhoola

tu bhi to hai ajeeb khush rahta na kabhi
tujh ko kun jaane gham ka bahana nahi bhoola

hain tang aae apni ab zindagi se ham
aur tujhko roz hamko satana nahi bhoola
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #395 on: September 05, 2006, 07:20:47 AM »
Well Said tabassum shakeel..

nahi bhoola....

Ques..
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #396 on: September 05, 2006, 11:52:46 AM »
The Style Guru Says......


Wo dard hi kya jo aankhon se beh jaaye,
Wo khushi hi kya jo honton pe reh jaaye,

Kabhi to samjhe koi kisi ki khamoshi ko,
Wo baat hi kya jise alfaaz aasani se keh jaayen....

Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #397 on: September 05, 2006, 02:55:40 PM »
shukriya qutub ji

hamne bhi dard aankho se bahane nahi diya
aankhon ko bhi to qissae gham kahne nahi diya

sou dard sahe dil ne magar uff bhi nahi ki
taqdeer ne jhunjhla ke naya gham phir de diya

ab isko paal pos ke karna bada hame
hamne  kabhi gham ka use naam hi nahi diya

jo kuchh mila naseeb ka sahna hai lazmi
ab hans ke jo saha to kya ahsaan kar diya

hain apni fitraten ki na bas haar manana
is par hi to taqdeer ne gham barha diya...............
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #398 on: September 06, 2006, 06:22:42 AM »
tabassum,

Well said again...

 ... gham phir de diya ...

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #399 on: September 06, 2006, 12:09:59 PM »
Samay kay sath gar hum bhi
badal jate to achcha tha !
Bahut arman they dil mein ,
nikal jate to achcha tha,

Na sheeshey ke hi rah paye,
na patthar ke hi ho paye.
Kisee achche se saanche mein
jo dhal jate to achcha tha.
 
Girey to yun gire peekar ,
Giraya sab ne nazaron se !
Jara sa larkhara kar hi ,
sambhal jate to achacha tha !!
 
Woh humse aise roothey hain ,
key hum ander se tootey hain !
Kisee bachchey ki manind hi ,
machal jate to achcha tha !!

Safar mein ho koi sathee,
to aasani si rehaty hai !
Akelepan ke Zalim pal ,
jo tal jate to achcha tha !!

Ques...
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #400 on: September 06, 2006, 12:25:37 PM »
The Style Guru Says......



Nice work Qutub Bhai!!!!!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #401 on: September 06, 2006, 04:02:13 PM »
thanx qutub ji aur bahut khoob likha hai aapne...........tarun likha kyun nahi?Huh?Huh???


jo thoda sa vo apna bas rakhe khyaal to achcha tha
na kuchh bas chaha tujh se hai rahe achcha to achcha tha

jo hai jeena vo apna hai magar jo saath tera hai
nahi zyada magar kuchh door rah pata   to achcha tha

koi na zor tujh pe hai magar phir bhi ye khwahish hai
tu mere dil ki bas itani raza rakhle to achcha tha

safar lamba kata kaise bina tere bhi jeete the
magar tu ab safar me koi saathi le   to achcha tha
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #402 on: September 07, 2006, 02:34:52 PM »
The Style Guru Says.....


Teri maasoom nigahon ka ye mohtat payaam,
Aaj Na jaane kyon begana lage,

Ye haqeeqat hai ki tu mera humnafas hai,
Phir aaj kyon ye safar anjaana lage.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #403 on: September 08, 2006, 05:14:17 AM »
tum kahte ho .........
main raat ki kaali chader par
meri aankh se moti bunati rahun
main kahti hun.........
meri aankhen dhundhali si hain sanam
teri yaad me main roi thi bahut
ab bhi aansu bas jari hain
ek kohra tei yaad ka hai
jo mujhko ghere baitha hai
ye mera pahre daar sa hai
teri yaad ka pahra baitha hai.........
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #404 on: September 08, 2006, 01:44:13 PM »
The Style Guru Says.......



Zindagi ke kisi haseen mod pe,
Tum agar mujhe chhod jaoge,

Mujhe is sehra me jalta hua chhod kar,
Kya tum khush reh paoge,

Ye sawaal main aksar karta hoon apne aap se,
Ki kya tum bhi kabhi bewafa ban jaoge,

Phir agar ye hua to kaise jiyunga main,
Phir agar ye hua to kya tum ji paoge,

Isi kashmakash me ye din guzar jaata hai,
Kya raat ko tum mere khwab me aaoge,

Bas yahi sawaal meri zindagi pe bhaari hain,
Kya tum phir kabhi laut ke aaoge,

Mere khwab-meri khushiyan-Meri neenden-Mera chain,
Ye sab jo tum le gaye the,Kya kabhi inhe lautaoge......
Logged
Pages: 1 ... 23 24 25 26 [27] 28 29 30 31 ... 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 16, 2024, 06:19:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.177 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer