.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 24 25 26 27 [28] 29 30 31 32 ... 36
Print
Author  (Read 33021 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #405 on: September 08, 2006, 03:15:26 PM »
jo bas me mere hai tujhe sab kuchh to zahir hai
magar dil ka jalana tera phir bhi is tarah se hai
kahaaan tak saath me aaungi tujhse kah na paaungi
magar haan door jaaker bhi tu mere saath hi hoga
nahi duniya pasand mujhko tujhe maaloom sara hai
jahaan tak hun vahaan tak hun rahungi saath par tere
tu jab chahe mujhko sochna bas main vahaan hungi
andhere badhte aaten hain meri janib vo dekho to
nahi hai roshani koi zara si bhi  ye dekho to
main aankhe band kar ke khwaab me bas ji rahi hun suno
ek tohfa tujhko dene ko main kab se chun rahin hun suno
rahega saath tere vo nahi main jo nahi hi sahi
kahaan thi saath pahle bhi jo rah paungi saath tere
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
tabassum shakeel
Guest
«Reply #406 on: September 10, 2006, 07:34:11 PM »
   jo teri yaad ko lekar chali aai main kamare me
to bas duniya vahi meri main rehati hun bas kamre me
ye jitani khidkiyan hain inko bhi main band rakhti hun
kahi ye yaad teri ud na jae ghut ke kamare me
hamara kya hai jeena ham to bas ik yaad se khush hain
hamari saans hai ye yaad hawa kyun ho is kamre me
nahi koi roshani ki chah na roshandaan khola hai
ki jitna ho andhera paas aati yaad kamare me
kabhi socha bhi hai maine ki tum aao is kamare me
magar ye soch hi bas hai kya tum aaoge kamare me?
nazar se door ho tumto mere dil me hi rahte ho
nazar se door hun main kya dil me tere ab bhi hun?
chalo rahne bhi do baaten ham is ik yaad se khush hain
is ik chhoti duniya me hamara ye sahara hai
ham isake saath hi khush hain sabhi se door kamare me                  
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #407 on: September 11, 2006, 01:56:08 PM »
The Style Guru Says.......


Nazron se jab nazron ka takraav hota hai,
Har mod par kisi ka intezaar hota hai,

Dil rota hai aur zakhm hanste hain,
Isi ka naam to Pyaar hota hai......
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #408 on: September 11, 2006, 04:43:14 PM »
         tum jo is likhe ko padh lo to koi baat bane
isame khud ko jo padho tab to koi baat bane
sara tumko hi likha hamne jahaan bhi likha
isko tum jo kahin padhlo to koi baat bane
ruk na paya hai qalam socha tujhe hai jab bhi
tum jo is soch ko roko to koi baat bane................
     
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #409 on: September 12, 2006, 02:55:48 PM »
The Style Guru Says.....


Meri chahat ne use khushi de di,
Badle me usne mujhe khamoshi de di,

Khuda se dua maangi thi marne ki,
Lekin usne tadapne ke liye ye zindagi de di.....

Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #410 on: September 12, 2006, 06:35:00 PM »
           ye mere dil pe dastak diye jaata kon hai
vo to naa aega pata hai ye diwana kon hai

dil ka dastoor hai ye chaand hi hai mangta
aasmaan pe hai vo ye sochta kon hai

ek khwaab sa hi hai vo jise chaha kiya
par is khwaab ko khwaab manta kon hai
   
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #411 on: September 14, 2006, 10:50:33 AM »
The Style Guru Says......


Arz Hai,

Koi dikha kar roye koi chupa ke roye,
Hume rulane waala hume rula ke roye,

Marne ka maza to tab hai jab,
Maarne wala zanaze par aa ke roye...

Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #412 on: September 14, 2006, 10:52:50 AM »
Well said..


Sau Bar Chaman Mahkaa..
Sau Bar Bahar Aayee..

Dunyaa Kee Wahee Rounak..
Dil Kee Wahee tanhaayee..

Ques...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #413 on: September 14, 2006, 12:52:21 PM »
na apne gham pe roe hain na apne dard par roe
na jaane dil hai kyun aisa ki sabke gham pe ye roe

parstish ki bhi ek had hai mohabbat ki nahi koi
hadon ki baat jab nikali ye dil na jaane kyun roe

nahi ab door jaana hai ki bas ab manzilon par hain
nahi chahata ye dil hai kabhi koi bhi aankh mujhe roe
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #414 on: September 15, 2006, 02:47:00 PM »
The Style Guru Says......


Well said Qutub bhai!!!


Arz Hai,

Saalon baad na jaane kya sama hoga,
Hum me se na jaane kaun kahan hoga,

Phir milna hua to milenge yaadon me,
Jaise sookhe gulab milte hain kitabon me....

Logged
Style_guru
Guest
«Reply #415 on: September 21, 2006, 02:50:13 PM »
The Style Guru Says.....


Jaise chahte hain hum unhe,
Wo bhi hume chahte to kya baat hoti,

Unhe paane ka armaan to hai,
Par bin maange mil jaate to kya baat hoti.....

Logged
Style_guru
Guest
«Reply #416 on: September 22, 2006, 12:32:43 PM »
The Style Guru Says......


Ek mere dil ki bezaar dhadkan,
Ek tere dil ke ye gham-geen fasaane,

Ek taraf meri thaki aankhon ka jhuk jaana,
Aur vahin teri yaaden aayen mujhko jagaane,

Hume manzoor hai gham-e-hirzaan bhi tera,
Jo gham hi na ho to khushi ko kaun jaane,

Hum aaj bhi zinda hain teri aarzu me zaalim,
Kabhi chehra hi dikha ja raah-guzar ke bahane,

Ye baat aur hai ki tujhe jafa hai pasand,
Par anjaam-e-maut jaan ke bhi jalte hain parwane....
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #417 on: September 24, 2006, 11:24:15 AM »
The Style Guru Says.....


Haal to kuch aisa hai apna,
Ki dekhne waale bhi marne ki dua dete hain

Ek wo hain jinke diye zakhm abhi bhare nahi,
Bas wahi hume jeene ki bad-dua dete hain....
Logged
Tosha
Guest
«Reply #418 on: September 24, 2006, 11:27:20 AM »
Je lo unke khatir jo mangte hai tumhari zindgi ki dua
diye honge anjaane main zakham jo kabhi, tumbhi to dedo unhe wafa
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #419 on: September 25, 2006, 01:31:43 PM »
The Style Guru Says........


Jab kisi ke sapne armaan ban jayen,
Jab kisi ki hansi kisi ki muskaan ban jaaye,

Bepanah pyaar kehte hain usey,
Jab kisi ki saanse kisi ki jaan ban jayen....
Logged
Pages: 1 ... 24 25 26 27 [28] 29 30 31 32 ... 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 16, 2024, 05:54:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer