.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 30 31 32 33 [34] 35 36
Print
Author  (Read 32926 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #495 on: December 17, 2006, 03:25:44 PM »
Shukran,..
Bahoot Khoob Mehfile Jamaai Hai Aap Sab Doston Ne,..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
tabassum shakeel
Guest
«Reply #496 on: December 21, 2006, 06:32:11 AM »
   ik tera naam jo kisi ne liya
saare namon ko main to bhool gai

ik tera zikr jahaan par hai hua
main to sab bhool kar vahaan pahunchi

ik teri yaad jab bhi aai hai
main to saara hi jahaan bhool gai

aisa jeena bhi koi jeena hai
ek lambi si neend ho jaiise

kisi bas ek khwaab ki chaah liye
zehan se ik ladai jaari hai

kahin kuchh bhi nazar nahi aata
kyun main kuchh soch hi nahi paati

tu bhi kya mujhko yaad karta hai
kisi kagaz pe mujhko likhta hai

ya thi vo ek dillagi teri
ban gai jo bas zindagi meri.......................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #497 on: December 21, 2006, 06:32:43 AM »
   ik tera naam jo kisi ne liya
saare namon ko main to bhool gai

ik tera zikr jahaan par hai hua
main to sab bhool kar vahaan pahunchi

ik teri yaad jab bhi aai hai
main to saara hi jahaan bhool gai

aisa jeena bhi koi jeena hai
ek lambi si neend ho jaiise

kisi bas ek khwaab ki chaah liye
zehan se ik ladai jaari hai

kahin kuchh bhi nazar nahi aata
kyun main kuchh soch hi nahi paati

tu bhi kya mujhko yaad karta hai
kisi kagaz pe mujhko likhta hai

ya thi vo ek dillagi teri
ban gai jo bas zindagi meri.......................
Logged
Tosha
Guest
«Reply #498 on: December 21, 2006, 09:46:38 AM »
bahut pyaara likha hai tabassum ji!!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #499 on: December 23, 2006, 03:34:14 PM »
thanx  a lot  tosha


jo tum ko yaad karke ro dete to achcha tha
jo dil me tha use tumse jo kah dete to achcha tha

jo bhoole yaad me teri hui mujhse
vo unki lambi ginati yaad jo mujhko rahi hoti

vo sari tujhe kah detti aur main khud ko
kahin teri panahon me chhupa deti

magar tu samne aaya to main andar chali aai......................

 
Logged
Roja
Guest
«Reply #500 on: December 24, 2006, 04:09:29 PM »
Quote from: "tabassum shakeel"
   ik tera naam jo kisi ne liya
saare namon ko main to bhool gai

ik tera zikr jahaan par hai hua
main to sab bhool kar vahaan pahunchi

ik teri yaad jab bhi aai hai
main to saara hi jahaan bhool gai

aisa jeena bhi koi jeena hai
ek lambi si neend ho jaiise

kisi bas ek khwaab ki chaah liye
zehan se ik ladai jaari hai

kahin kuchh bhi nazar nahi aata
kyun main kuchh soch hi nahi paati

tu bhi kya mujhko yaad karta hai
kisi kagaz pe mujhko likhta hai

ya thi vo ek dillagi teri
ban gai jo bas zindagi meri.......................



Superb... di

Kuch roj yeh bhi rang raha intezar ka,
Aankh ut gayee jidhar, bas udhar dekhte rahe..

Khuda kare ki maza intezar ka na mite
Mere sawaal ka wo de jawaab barson main..

Roja
[/color]
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #501 on: December 31, 2006, 01:51:35 PM »
nice one roja


sheeshon se nazuk sapne ye
jab aankhon me mere toote
usake tukadon se deed gai
ab kuchh bhi nazar nahi aata

ya sapne na bas nazuk hon
ya vo na hon bas aankhon me
ya phir vo yun na toote kabhi
ya phir bas ye sapne na hon............
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #502 on: January 04, 2007, 03:48:30 PM »
The Style Guru Says......




Kuch Baat Hi Aisi Huyi Ki Ye Dil Hi Jal Gaya,
Mere Rehbar Ke Haathon Hi Ek Teer Sa Chal Gaya,


Ye Meri Kismat Ki Main Sambhal Ke Bhi Gir Pada,
Ye Uski Kismat Ki Wo Gir Ke Bhi Sambhal Gaya,


Shayad Ab Unhe talaash hai naye raqeebon ki,
Main jis dil me basta tha-Us Dil Se Hi Nikal Gaya,


Ya khuda ab tu hi meri taqdeer ka faisla kar,
Main Tere Dikhaye Raaste Pe Chal Kar Bhi Fisal Gaya....
[/color]
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #503 on: January 04, 2007, 05:16:18 PM »
sou din jo vo na bole to koi baat nahi hai
ik shaam na bloun to vo  sou teer chalae

main usko likhun bhi to sada pyar se likhun
vo mujh pe bhale chahe jo ilzaam lagaae

mere rafeeqon ki badi fehrist banade
aur usaki is khata pe bhi mujhe gussa na aae

dil me raha hai hansta vohi ,vo hi rahega
ye mera qalam usko  faqat likhta hi jaae............
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #504 on: January 08, 2007, 03:41:13 PM »
The Style Guru Says......


Arz-e-Gustakhi hai,


Theher Jaao Ki Gulshanon Ke Nazaare Abhi Baaki Hain,
Mere Baaghon me aani Bahaaren Abhi Baaki Hain,

Yaad Kar Apna Muddaton Ke Saath Ka Vaada,
Meri Kashti Na Chhod Ki Kinaare Abhi Baaki Hain,

Ho Teri Raza To Main Apni Rooh Aazad Kar Doon,
Ye Aur Baat Ki Chand Din Hamare Abhi Baaki Hain,

Tujhe Jaate Hue Bhi Duayen Deta Hai Ye Dil Mera,
Tu Chala Gaya Par Gham Tumhare Abhi Baaki Hain,

Hai Aaj Bhi Teri aas Liye Dil Me Baitha 'Tarun' Wahin,
Kam Hua Faasla Par Chand Deewaren Abhi Baaki Hain....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #505 on: January 08, 2007, 06:11:52 PM »
    very nice ji aapse seekhne ka silsila khatm nahi hota ...............



teri khushiyon ki thi chahat
vo chahat ab bhi baaqi hai

gaya tu door to hamse
teri yaad ab bhi baaqi hai

teri kishti ko mile saahil
doa ye ab bhi baaqi hai

na kar ab baat tu aise
ki teri khushiyaan baaqi hai

na koi had rakhi maine
teri chahat jo dil me rakhi

na jaane tujhko kyun ye laga
kami koi bhi baaqi hai
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #506 on: January 08, 2007, 06:13:20 PM »
    meri yadon me rahta tha
meri neenden vo sota tha
meri subah bhi lekar vo
mujhi par hans bhi deta tha
usine ye mujhe phir kaha
nahi aisa nahi karna
na ab tum yaad hi karna
na ab tum nam hi lena
na raaton ko khyaal karna
na mujhko subah hi dena
na tum ho justju meri
na main hi khwaab hun tera ...............
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #507 on: January 08, 2007, 06:14:47 PM »
ek khoya hua zindagi ka khwaab main bhi hun
kore hain warq jisake vo kitaab main bhi hun

ujhan bani hai zeest bas suljhana hai ise
jo khil na paya aisa ik gulaab mainbhi hun

har roz ek jung hai dil se dimaag ki
aur isaka na rakhne pati bas hisaab main bhi hun

kamzor jab hue hain to pani bhi sar chadha
yun rakhe hatheli pe aaftaab main bhi hun
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #508 on: January 08, 2007, 06:17:34 PM »
 kabhi na dil se bharam yun jaae
ki jeena mushkil phir aur bhi ho
bharam hamara jo tha banaya
khud hi tha hamne ye soch ke bas
ki daayra sa ye khwaab ka hai
isi me jee lenge kuchh aur din bas
khushi nahi thi kabhi bhi koim
kabhi bhi koi na chahaten thin
barsati barish ghamo ki ham par
ki ham sarapa hi tar batar the
jo ik bharam ye na pala hota
to itane din bhi nahi the katne
ye tukda tukda se lafz tere
bane sahaara the kuchh dino ka
jo ab ye toota aur tanha
lage hain khud ko sametane me
karen ikttha kahin se khud ko
ki zindigi ki abhi zaroorat
kuchh aur din hain kuchh aur shaame
hame to khud ko sambnalna hai .......
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #509 on: January 10, 2007, 03:28:17 PM »
The Style Guru Says.....



Ziqr Jab Mehfil Me Unka Aata Hai Doston,
Dil Me Ek Khumaar Sa Utha Jaata Hai Doston,

Ye Hum Ab Hum Nahi Rahte Sar-e-Mehfil,
Jab Unka Deedar Hua Jaata Hai Doston,

Yahan Mere Qaatil Bhi Shaamil Hain Aaj,
Har Shaqs Gunaahgaar Hua Jata Hai Doston,

Kisse Unki Wafa Ke Aaj Bhi Kaayam Hain Yahan,
Har Ghadi Unse Aur Pyaar Hua Jaata Hai Doston....







Logged
Pages: 1 ... 30 31 32 33 [34] 35 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 07:00:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer