dard

by nishita on September 08, 2004, 09:55:23 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 24
Print
Author  (Read 12742 times)
yasir_sensitive
Guest
«Reply #45 on: September 23, 2004, 09:47:57 PM »
mujhko rota dekh kar kyon pareshaan hai..?
ye shabnam to meri aankhon ki jaan hai..!

itne gam ke saaye lage hain mere peechhe
khud maut meri zindagi pe hairaan hai

kehne lage woh mere dil ke tukde dekh kar
dekhaa hai kahin..! ye kiska saamaan hai..?

beh rahi hain kashtiyan dil ke kinaaro par
dil ke beech-o-beech to qayaam-e-toofan hai

aik imtehaan thi ibteda-e-zindagi meri
ab anjaam-e-zindagi bhi aik imtehaan hai

kehte ho mere mehboob ko bewafaa ae logo
kuch khauf karo mere bhi moonh mein zabaan hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
nishita
Guest
«Reply #46 on: September 24, 2004, 07:29:15 AM »
nice waheed deepak and yasir...

Tamaam dhadkanon ka hisaab mangte hai log,
kal tabassum ka, aaj ashkon ka hisaab mangte hai log.
ab khamoshi ka bhi hisaab mangte hai log.

Dafnae hai humne teri furqat mein jo sanam,
unhi armanon ka hisaab mangte hai log.

Chan lafzon mein na samet saki apne dil ka fasana,
iss jahan mein mere pyar ka hisaab mangte hai log... (NM)
Logged
Anjaana
Guest
«Reply #47 on: September 24, 2004, 08:18:55 AM »
very nice nishita
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #48 on: September 25, 2004, 08:52:36 PM »
thanx nishita....


Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana .na jaane kahan kho gaya vo zamana ....
tumhen bhuulane ki main koshish karunga .ye vaada karo ke na tum yaad aana ....
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai .tumhen bevafaa kahega zamana
dubara meri qabr pe tum na aana.tumhen dekh kar shaq karega zamana
Logged
nishita
Guest
«Reply #49 on: September 26, 2004, 01:55:38 PM »
thanks anjana...
nice one yasir
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #50 on: September 26, 2004, 03:56:37 PM »
thanx nishita....



Saase aagar hum lena chahe tho le nehi paatE
tumare begaR agar hum jeena chahe tho jee nehi paatE

Eek jhalak jo baan gaya hai humari intzaar ki ghadI
Uss jhalak ko dekhne ke liya umaar bhaar yahan huin mein khadI

Agar tum aa jate tho khuda ko khudayee mil jaati
Aagar tum aa jate tho humme bewafa se wafaae mil jaati

Aise hum jeete hai kaash tum bhi aisa hi jee lete
Tum bhi kabhi shaam ki tanhayee ko mehsoos kar lete

Jaab hum bhi chalE jayenge iss mehfil-e-dard se
Tum bhi aa jana bahane se humara daman chuunE se
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #51 on: September 26, 2004, 03:58:01 PM »
thanx nishita....



Saase aagar hum lena chahe tho le nehi paatE
tumare begaR agar hum jeena chahe tho jee nehi paatE

Eek jhalak jo baan gaya hai humari intzaar ki ghadI
Uss jhalak ko dekhne ke liya umaar bhaar yahan huin mein khadI

Agar tum aa jate tho khuda ko khudayee mil jaati
Aagar tum aa jate tho humme bewafa se wafaae mil jaati

Aise hum jeete hai kaash tum bhi aisa hi jee lete
Tum bhi kabhi shaam ki tanhayee ko mehsoos kar lete

Jaab hum bhi chalE jayenge iss mehfil-e-dard se
Tum bhi aa jana bahane se humara daman chuunE se
Logged
nishita
Guest
«Reply #52 on: September 27, 2004, 09:06:27 AM »
ishq karna hi to karle patthar se ,
ishq karna hi to karle patthar se ,
 is duniya mai hasino ka kya barosa
Logged
nishita
Guest
«Reply #53 on: September 27, 2004, 09:07:50 AM »
Ab tak jo guzaari hai raatein, mere jaagne ka sabab aap the,
Sochti hoon kitni khudgarz thi main, ke apne hi sukun ko jaagti rahi. (NM)
Logged
Talat
Guest
«Reply #54 on: September 27, 2004, 02:15:04 PM »
Nice Yasir & Nishita...

yaqin na aaye to ek baar poochh kar dekho
jo hans raha hai wo zakhmon se choor niklegaa
(Bashir Badar)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #55 on: September 27, 2004, 05:06:45 PM »
good work all.............

Arzoo ka chand dooba gham ki ghayri jheel main
Dard ki waadi main hum aye dost Tanha reh gaye
Is jahaan main kab kisi ka dard apnate hain loog
Rukh hawa ka dekh kar aksar badal jaate hain log.............
Logged
nishita
Guest
«Reply #56 on: September 28, 2004, 08:30:32 AM »
thanks talat & waheed
Logged
Nino
Guest
«Reply #57 on: September 28, 2004, 04:24:57 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
good work all.............

Arzoo ka chand dooba gham ki ghayri jheel main
Dard ki waadi main hum aye dost Tanha reh gaye
Is jahaan main kab kisi ka dard apnate hain loog
Rukh hawa ka dekh kar aksar badal jaate hain log.............



Logon se na Karo Shikawa
na shikayet karo doston se
dard ki wadiyaan mein tanhai hi sahi
mager kuch to pyaar mein paya tumne
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #58 on: September 29, 2004, 05:47:58 AM »
thanx nino........nice one...........

Chand Ke Saath Tamaam Shab Jo Jaagte Hain
Khwaabon Ki Parchhaaiyon Ke Peechhe Bhaagte Hain
Aye Khuda Wo Khwaab Na Dikhe Jo Tootne Ko Ho
Toote Taaron Ko Dekh Kar Yeh Dua Maangte Hain  .....................
Logged
Tosha
Guest
«Reply #59 on: September 29, 2004, 06:02:36 AM »
:cry:
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 19, 2024, 11:55:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer