-Ek Khilona Hi To Hai-

by Meena on June 02, 2005, 05:24:19 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 7542 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #15 on: June 03, 2005, 09:00:06 PM »
Jinka pyar paane ki tamanna dil me thi,

judai ab hum unki sehte hai,

fursat nahi unhe hamara gum sunne ki,

isliye har baat khudi se kehte hai...!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
!!Khilona!! by amrita in Shayeri for Dard -e- Bewafai
KHILONA by NETRAPAL in Miscellaneous Shayri
Nari khilona nahi hai by mistufer in Shayri-E-Dard
Me Uske Vaste Jaise Koi Khilona Tha by Shayaries_King in Share: Poetry of Pain
~ ~ ~Khilona thi.... by thinkhattk in Shayeri for Dard -e- Bewafai
HumTum
Guest
«Reply #16 on: June 04, 2005, 12:17:49 AM »
Quote from: "Aryaan"
Nice reply HumTum.................................


Thanx AryaaN !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #17 on: June 04, 2005, 12:22:24 AM »
Thanx Creator !! n nice one ....

Ab sulagate dil ko angaar bana lo yaaron
Saath de kar meri guphtaar badha lo yaaron

Likh loonga main radeef, mila loonga qafiya
Phikre-bahar ek tum uthaa lo yaaron

Kaajal ki kothari men hain kaalikh se bekhabar
In rahnumaaon pe taras to khaa lo yaaron
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #18 on: June 04, 2005, 04:35:13 AM »
Quote from: "Meena"
Dosto, phir se kuch likha hai, janti hoon ke sab kuch bejood hai par phir bhi likh rahi hoon. mere fans (jo ke hai nahin) sab nirash honge par yeh risk bhi manzoor hai!  :D

Gumon ki raaton me aise hi hum jaghte rahe,
Kabhi duniya se to kabhi khud se hum baghte rahe,
Mudat ke baad neend se mulakat hogi meri,
Ke kabar me aab so chain se sona hi to hai!

Sochte hai aab, ke bohot log milte hai rah-e-guzar me,
Par sirf ek hi shaks bha gaya pehli hi nazar me,
Jante to hai ke woh humare ho nahin sakhte,
Phir kyu talab hai uski, jis se juda hona hi to hai!!

Jazbaato ka is duniya me to vyapaar hota hai,
Mante hai hum  jise apna, dhokebaaz who yaar bhi hota hai,
Kyu soch rahi hai itna bazar-e-duniya ke bare me,
Tu bhi to yaha, “Meena”, ek khilona hi to hai!


Meena- Sheelu Ji.....

kalaam to bahut aacha laga...lekin dil udaas ho gaya.....kutch nahi kahoonga ....jaanta hoon dard baante se kam ho jaata hai.....

dua karoonga ki aap khush rahein.....

aapka apna.....
Logged
thycreator
Guest
«Reply #19 on: June 04, 2005, 06:52:11 AM »
Quote from: "HumTum"
Thanx Creator !! n nice one ....

Ab sulagate dil ko angaar bana lo yaaron
Saath de kar meri guphtaar badha lo yaaron

Likh loonga main radeef, mila loonga qafiya
Phikre-bahar ek tum uthaa lo yaaron

Kaajal ki kothari men hain kaalikh se bekhabar
In rahnumaaon pe taras to khaa lo yaaron


Thanx a lot meena ji, waheed bhai aur Hum Tum ji....
Hum Tum ji,
Dost kehte ho tum sabko aur phir taras ki bat karte ho,
Sharm aaye hame khud par kyu aise halat karte ho,
Hum toh kayal hai tumhari likhi hui har ek nazm ke,
Yuhi likhte raho, jeewan mein tum naye jajbat bharte ho...
Logged
Meena
Guest
«Reply #20 on: June 04, 2005, 10:03:05 AM »
Quote from: "Aman_rahi"
Quote from: "Meena"
Dosto, phir se kuch likha hai, janti hoon ke sab kuch bejood hai par phir bhi likh rahi hoon. mere fans (jo ke hai nahin) sab nirash honge par yeh risk bhi manzoor hai!  :D

]


Meena- Sheelu Ji.....

kalaam to bahut aacha laga...lekin dil udaas ho gaya.....kutch nahi kahoonga ....jaanta hoon dard baante se kam ho jaata hai.....

dua karoonga ki aap khush rahein.....

aapka apna.....


hmm thank u aman ji, im sorry apko udas karne ka bilkul irada nahin tha mera  sad5  aur dard bantne se kam hota hai agar jante ho to humare saath banto na  sad5  dost hai akhir!  Usual Smile
Logged
pandit
Guest
«Reply #21 on: June 04, 2005, 10:09:27 AM »
nice meena ji............................................... ................
Logged
dolly
Guest
«Reply #22 on: June 04, 2005, 10:38:31 AM »
Quote from: "Meena"
Dosto, phir se kuch likha hai, janti hoon ke sab kuch bejood hai par phir bhi likh rahi hoon. mere fans (jo ke hai nahin) sab nirash honge par yeh risk bhi manzoor hai!  :D

Gumon ki raaton me aise hi hum jaghte rahe,
Kabhi duniya se to kabhi khud se hum baghte rahe,
Mudat ke baad neend se mulakat hogi meri,
Ke kabar me aab so chain se sona hi to hai!

Sochte hai aab, ke bohot log milte hai rah-e-guzar me,
Par sirf ek hi shaks bha gaya pehli hi nazar me,
Jante to hai ke woh humare ho nahin sakhte,
Phir kyu talab hai uski, jis se juda hona hi to hai!!

Jazbaato ka is duniya me to vyapaar hota hai,
Mante hai hum  jise apna, dhokebaaz who yaar bhi hota hai,
Kyu soch rahi hai itna bazar-e-duniya ke bare me,
Tu bhi to yaha, “Meena”, ek khilona hi to hai!


wow wow..Meena sis.......bahut bahut achha ahi.....aur bilkul sachha bhi hai...........
Logged
Meena
Guest
«Reply #23 on: June 04, 2005, 10:40:42 AM »
oye thank u dolly kuddiye!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #24 on: June 04, 2005, 11:30:37 AM »
Quote from: "thycreator"
Quote from: "HumTum"
Thanx Creator !! n nice one ....

Ab sulagate dil ko angaar bana lo yaaron
Saath de kar meri guphtaar badha lo yaaron

Likh loonga main radeef, mila loonga qafiya
Phikre-bahar ek tum uthaa lo yaaron

Kaajal ki kothari men hain kaalikh se bekhabar
In rahnumaaon pe taras to khaa lo yaaron


Thanx a lot meena ji, waheed bhai aur Hum Tum ji....
Hum Tum ji,
Dost kehte ho tum sabko aur phir taras ki bat karte ho,
Sharm aaye hame khud par kyu aise halat karte ho,
Hum toh kayal hai tumhari likhi hui har ek nazm ke,
Yuhi likhte raho, jeewan mein tum naye jajbat bharte ho...


Shukriya Creator ji.... jo hamarey likhey chend jazbaat aap ke pasand aaye !! aur kya khoob likha hai aapney bhi !! kuch likhney ki khosish ker rha hoon !! umeed hai pasand ayega !!

Sirf patthar ko bhigaye woh baarish kya hai
apna hi rahe zikr jismay woh khwahish kya hai

bujhtay huey bhi jalayein auro ke fanoos
khud hi jalney se dare woh maachis kya hai

itna toh lahoo ho ragon mein, koi aur bhi ji jaye
apney hi dil mein machaley woh jumbhish kya hai

"HumTum ji" yun kijiyega yha jazbaat-e-byaaN apna
har numainda puchey, tere jigar mein khalish kya hai !!

jawab ka muntzir  :D
Logged
Meena
Guest
«Reply #25 on: June 04, 2005, 04:10:18 PM »
guddddd creator and humtum!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

 :D
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #26 on: June 04, 2005, 04:17:10 PM »
very  nice  thy...................hum  tum.........................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #27 on: June 04, 2005, 04:19:58 PM »
Very Nice thycreator & HumTum.....

Ab khushi hai na koi dard rulaane waala
Hum ne apna liya harr rang zamaane waala

Ek musafir ke safar jaisi hai sabki dunya
koi jaldi mein tau koi deir se jaane waala

Ek be-chehra si umeed hai chehra chehra
Jis taraf dekhiye aane ko hai aane waala
Logged
Tosha
Guest
«Reply #28 on: June 06, 2005, 04:28:57 PM »
kuch main bhi yaha kahe dun
is dil main bhi ek armaan hai
chahat ke azooba hai tum ek misal ho
ek aakhon ko wo ek nazar main jo bhagaya
kasoor-e-deewane dil ka kya
na pasakungi usse to kya yeh dil khelona ho gaya
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #29 on: December 09, 2011, 10:11:38 PM »
Dosto, phir se kuch likha hai, janti hoon ke sab kuch bejood hai par phir bhi likh rahi hoon. mere fans (jo ke hai nahin) sab nirash honge par yeh risk bhi manzoor hai!  :D

Gumon ki raaton me aise hi hum jaghte rahe,
Kabhi duniya se to kabhi khud se hum baghte rahe,
Mudat ke baad neend se mulakat hogi meri,
Ke kabar me aab so chain se sona hi to hai!

Sochte hai aab, ke bohot log milte hai rah-e-guzar me,
Par sirf ek hi shaks bha gaya pehli hi nazar me,

Jante to hai ke woh humare ho nahin sakhte,
Phir kyu talab hai uski, jis se juda hona hi to hai!!

Jazbaato ka is duniya me to vyapaar hota hai,
Mante hai hum  jise apna, dhokebaaz who yaar bhi hota hai,
Kyu soch rahi hai itna bazar-e-duniya ke bare me,
Tu bhi to yaha, “Meena”, ek khilona hi to hai!



bahut khubsurat likha hai meena ji
wah wah dill se daad deta hun....
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 03:24:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer