Ghayel lajawab hoga......

by Nafseeyati_Mareez on April 20, 2010, 08:41:39 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1180 times)
Nafseeyati_Mareez
Guest
Matla bhi achcha hoga, na Makta kharaab hoga
Sher meri ghazal ka koi, jo tera jawab hoga

Upar padi dhool par, na aitbaar karna
Jo dil me agar jhako, pyaar behisaab hoga

Chehre ki khoobsurti, se behtar hain amal
Jo seerat haseen hogi, chehra aaftab hoga

Sath har subah ke, jo ban jaye haqeeqat
Muflis ka nahi yaro, vaziro ka khwaab hoga

Meri khubiyaa.N ho chahe, badnamiyaa.N ho meri
Chahe jaha se samjho, Ghayel lajawaab hoga

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jo bevafa hoga.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Mera mehboob aisa hoga.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Janta Ko Jagna Hoga Khud Apna Neta Bannna Hoga by @kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Bohat dhuaa hoga.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
dead heart
Guest
«Reply #1 on: April 20, 2010, 08:46:18 PM »
Wah..Bahaut khoob... Applause Applause
Logged
neelgold
Guest
«Reply #2 on: April 20, 2010, 11:10:50 PM »
Wah ji wah!!!!!!!!!!!!!
Bhut hi khoob kaha
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: April 21, 2010, 10:50:11 AM »
Wah wah Ghayal Sb. bahot hi khoobsurat takhleeq hai aapki jo bahot achhi lagi. Bahot achhe aur waseetar khayalaat ka izhaar aapne kiya hai. Marhaba. Dua hai ho zore-qalam aur zyada.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 21, 2010, 12:20:00 PM »
Bahut Bahut Khoob!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Nafseeyati_Mareez
Guest
«Reply #5 on: April 21, 2010, 02:03:24 PM »
Bahut Bahut Khoob!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Wah wah Ghayal Sb. bahot hi khoobsurat takhleeq hai aapki jo bahot achhi lagi. Bahot achhe aur waseetar khayalaat ka izhaar aapne kiya hai. Marhaba. Dua hai ho zore-qalam aur zyada.
Wah ji wah!!!!!!!!!!!!!
Bhut hi khoob kaha
Bahut Umda Sajid Bhai Applause Applause Applause
Dil Bagh Bagh Ho Gaya Parhke

Hazaaron Da'd Hazir Hai, Kabul Farmaye.

Welcome Back...Achcha Laga Aapko Dubara Dekhkar

Yun Hi Mehfil Ki Raunaq Afazaai Karte Rahiye...


Khush Rahiye...


~Shihab~

Wah..Bahaut khoob... Applause Applause

Khwaish Saheb, Riyaz Jee, Neelgold jee, Shihab Jee, Rahim mere bhai aaj aap sabne meri aakhe nam kardi. Aaj ek zamane baad mujhe mere gharwalo ne mere naam se pukara. Bohat dino se apni galtiyo ki saza bhugat raha hu aur ab to yeh bhi pata nahi ke saza ki muddat kab khatm hogi.

Yeh Yoindians ka pyaar hi tha jisne mujhe is kabil banaya ke aaj main thoda bohat likh leta hu. Aur yahi pyaar hai jo mujhe baar baar majboor karta hai ke main aap sab ke beech me chala aata hu. Main nahi chahta main is wahiyaat ID se aap sabko mukhatib karu. Main to hamesha Ghayel tha aapka Ghayel aur hamesha wahi bana rehna chahta hu. Par jab tak Admin saheb aur monitors ijazat na de shayed yeh mumkin nahi.

Allah se dua hai ke hamare dilo me jo purani ranjishe aur galatfehniya hain woh khatam ho jaye aur hum phir se ek naye khoobsurat safar ki shuruaat kare.

Yu to kaiee baar main dohra chuka hu par aaj ek baar phir main sare members monitors aur Admin saheb se apni galtiyo ki mafi mangta hu. Please mere purane ID ko phir se zinda karde bohat si yadein judi hai us id se woh sirf ek ID nahi meri zindagi hai.

Allah hum sabko duniya aur aakhirat me kamyabi ata kare...AAMEEN

Ghayel.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: April 21, 2010, 02:14:04 PM »
Wah! Ghayel Ji bahut hi umda peshkash hai aap ki
Logged
Nafseeyati_Mareez
Guest
«Reply #7 on: April 21, 2010, 02:29:47 PM »
Wah! Ghayel Ji bahut hi umda peshkash hai aap ki

Bohat shukriyaa.N Rajesh Bhai, waise abhi to school ki chuttiya chal rahi hogi....kahiye kaise waqt beet raha hai.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: April 21, 2010, 02:42:43 PM »
U R Most  Welcome Banner  Ghayel Bhai

Chuttiyan 30 April se shuru hongi Fiji mein
Abhi to Term End Exam hai bachchon ka
Logged
cara
Guest
«Reply #9 on: April 21, 2010, 02:46:42 PM »
Wah Ghayel ji  wah..... aapka firse bahut  bahut swagat hai....

Na zameen maangta hai na aasman maangta hai
aap sab se apni galtiyon ki mafi maangta hai
jis naam se jaana jaata tha ye "GHAYEL" bas wah hi naam maangta hai...
Logged
Nafseeyati_Mareez
Guest
«Reply #10 on: April 21, 2010, 07:49:16 PM »
Wah Ghayel ji  wah..... aapka firse bahut  bahut swagat hai....

Na zameen maangta hai na aasman maangta hai
aap sab se apni galtiyon ki mafi maangta hai
jis naam se jaana jaata tha ye "GHAYEL" bas wah hi naam maangta hai...

Badi meharbani CARA jee aapka andaz hamesha se yuhi josh se bhara raha hai...........aur aaj aapne jis tarah se mere man ki baat bayaa.N ki dil khush kar diya aapne.

Allah aapka damen duniya ki tamam khushiyo se bhar de.....AAMEEN
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: April 21, 2010, 08:30:03 PM »
Na zameen maangta hai na aasman maangta hai
aap sab se apni galtiyon ki mafi maangta hai
jis naam se jaana jaata tha ye "GHAYEL" bas wah hi naam maangta hai...
Bahaut bahaut khoob Cara jee...Kya baat kehdi!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:16:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer