HASEE AA GAYEE......(GHAYEL)

by sajid_ghayel on December 01, 2008, 07:55:11 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Author  (Read 4218 times)
sajid_ghayel
Guest
Itna roye ke apne haal pe hasee aa gayee
Duniya ne samjha deewana aur unki samajh pe hasi aa gayee

Tukde apne dil ke jama karne lage jo ek roz
Dil todne walo pe humko hasee aa gayee

Kuch purane khat us nazneen ke jo padne lage kal raat
Us bevafah ke ahde wafa* par hasee aa gayee

Khaufzada hona lazmi hain jiske aane pe yaha yaro
Woh maut jab aayee, hame hasee aa gayee

Meri maut pe sab khush the mera qatil udas tha
Kudrat ne jab yeh dekha use hasee aa gayee

Na dad mili na ki kisi ne saraha GHAYEL ko
Jo khatam hui meri ghazal sabko hasee aa gayee

                             -Sajid Ghayel-

* Pyaar nibhane ki kasam

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zindagi tamam ho gayee.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
Hasee aa gayee.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
sahab hasee udaate,,,, by shambhu_007 in Share:Miscellaneous Shayari
teri us hasee ko by saahill in Shayri-E-Dard
hasee,n duniya,,,,,,,,,,,, by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: December 01, 2008, 08:52:59 AM »
Bohat Badhiya,.
Sajid Bhai,.
Pardhkar Achcha Laga,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 01, 2008, 09:01:35 AM »
Itna roye ke apne haal pe hasee aa gayee
Duniya ne samjha deewana aur unki samajh pe hasi aa gayee

Tukde apne dil ke jama karne lage jo ek roz
Dil todne walo pe humko hasee aa gayee

Kuch purane khat us nazneen ke jo padne lage kal raat
Us bevafah ke ahde wafa* par hasee aa gayee

Khaufzada hona lazmi hain jiske aane pe yaha yaro
Woh maut jab aayee, hame hasee aa gayee

Meri maut pe sab khush the mera qatil udas tha
Kudrat ne jab yeh dekha use hasee aa gayee

Na dad mili na ki kisi ne saraha GHAYEL ko
Jo khatam hui meri ghazal sabko hasee aa gayee

                             -Sajid Ghayel-

* Pyaar nibhane ki kasam



Haal Tera Sunkar, Mujhe Khud Par Hasi Aagayi,.
Main Samjatha Main Akela Ye Sadma Uthaa Raha Hoon,.

Dil Mera Bhi Tootkar Bikhar Gaya Kaise, Ye Mat Pooch,.
Tu Apne Lagaa "Sajid, Ilsiye Tujhe Haal Apna Sunaa Raha Hoon,.

Jeete Raha Main Tanhaa, Tanhaa Hi Mar Jaoonga, Ek Din,.
Jab Tak Zinda Hoon, Sab Ko Mohabbat Ki Maar Dikhaa Raha Hoon,.

Koi Tha Mera, Jo Mere Liye Muskuraata Tha, Aaj Wo Badal Gaya,.
Duniya Me Rishton Ki Ehmiyat Nahi, Ye Jaan Gaya, Isliye Sabko Bataa Raha Hoon,.

__________________________________-Jaanasheen-


Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: December 01, 2008, 09:06:04 AM »
Bohat bohat shukriya azeem and equally beautiful reply  Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: December 01, 2008, 09:09:20 AM »
Bohat bohat shukriya azeem and equally beautiful reply  Clapping Smiley

Thank U Brother,.
Ab Aage Ka Silsilaa Bhi Badhaao,
Taaki Hume Bhi Kuch Seekhne KO Mile,.
Logged
saloni bharani
Guest
«Reply #5 on: December 01, 2008, 09:13:22 AM »
sajid ji bahut acha likha hain
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: December 01, 2008, 09:15:08 AM »
Meri Tanhaai Mujhse, Aksar Ye Sawaal Karti Hai,.
Kahaan Hai Teri Mohabbat Jise Ye Nazar Talaash Karti Hai,.

Chupp Rehta Hoon, Kuch Kehta Nahi Main, Is Se, "Jaan",.
Sataati Hai Mujhe Aur Rone Ka Mera Haal Karti Hai,.
Meri Tanhaai Mujhse, Aksar Ye Sawaal Karti Hai,.

____________________________-Jaanasheen
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: December 01, 2008, 09:18:23 AM »
Jal chuka parwana shama ki arzoo me
Aur uski is ada pe hame hasee aa gayee

                           -sg-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: December 01, 2008, 09:21:20 AM »
Jinka Ilzaam Sar Pe Liyaa Maine,.
Unhone Bhi Patthar Maara, To Hasi Aa Gayi,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: December 01, 2008, 09:22:21 AM »
Meri Tanhaai Mujhse, Aksar Ye Sawaal Karti Hai,.
Kahaan Hai Teri Mohabbat Jise Ye Nazar Talaash Karti Hai,.

Chupp Rehta Hoon, Kuch Kehta Nahi Main, Is Se, "Jaan",.
Sataati Hai Mujhe Aur Rone Ka Mera Haal Karti Hai,.
Meri Tanhaai Mujhse, Aksar Ye Sawaal Karti Hai,.

____________________________-Jaanasheen

Tanhaiyo ko apni tanha kabhi na rakhna
Jo woh nahi to ghayel unki yado ko sath rakhna

                             -SG-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: December 01, 2008, 09:24:24 AM »
Mera mehboob bhi wahi tha mera munsif bhi wahi
Saza maut ki sunaee to hasee aa gayee

                              -SG-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: December 01, 2008, 09:27:21 AM »
Tanhaiyo ko apni tanha kabhi na rakhna
Jo woh nahi to ghayel unki yado ko sath rakhna

                             -SG-


Ab Tak To Unke Hi Yaadon Me Jeete Aaye Hain,.
Kuch Bhi Haasil Na Hua Mohabbat Karke,.
Ek Tanhaai Hi Mili Jisko Sajaate Aaye Hain,.

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: December 01, 2008, 09:28:40 AM »
Mera mehboob bhi wahi tha mera munsif bhi wahi
Saza maut ki sunaee to hasee aa gayee

                              -SG-


Socha Tanhaa Musafir Tha Main, Dard Ki Raahon Ko,.
Tujhe Bhi Yahaan Dekha, To Hasi Aa Gayi,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: December 01, 2008, 09:34:51 AM »
Mera kissa-e-mohabbat mera dushman suna ke roya
Jise sunkar mere dosto ko hasee aa gayee

                                -sg-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 01, 2008, 12:15:58 PM »
Mera kissa-e-mohabbat mera dushman suna ke roya
Jise sunkar mere dosto ko hasee aa gayee

                                -sg-

Us Khisse Mein, Maine Khud Ki Tasweer Dekhi,.
Sunkar Tera Haal, Mere Haal Pe Hasi A Gayi,.

___________________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 07:22:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer