"Khwaish" Hum Insaan To Ho Gaye!!!!

by khwaish on May 02, 2011, 08:31:26 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3635 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Aaj kisi Baat Ko Lekar Mann Bhar Sa Aaya,
Apne Iss dard Ko Kuch Halka karne Ke Liye Kuch Lafzon Ka Sahaara Le Raha Hoon.
Kuch Baatein,Kuch Yaadein Aur Kuch Duniya-Daari Ki Ajeeb Si Rasme
Jinhe Main Kabhi Samaj Naa Saka..



Saath Unke Peharo Baithkar Muskurate The Hum
Aaj Naa jaane Kyon Wahi Shaks Anjaan Se Ho Gaye

Kuch Yaadein,Kuch Baatein Dil mein Abhi Qaid Hai
Naa Jaane Kyon Kuch Rishte Yuh bejaan Se Ho Gaye

Jinhe Hum Kehte The "Yeh To Mera Apna Hai!!
Aaj Hum unke Liye Pal Do Pal Ke mehmaan Se Ho Gaye

Agar "Bhai" Kehte Ho To Yaar Bhaiyon Jaisa Sulook Bhi Karo!!
Saath hai par Saath Nahi Jism mein Jaise Ek Nishaan Se Ho Gaye

 Gham iss Baat Ka Bilkul Bhi Nahi Ke Main Tanha Hoon!!!
Tanhai mein Rehkar Aaj Hum Tanhaiyon ke kadardaan Se Ho gaye

Main Duniya-daari naa Samaj Saka Yehi To mera Ek kasoor Tha
Jiske Paas Shohrat Hai Log Ussi par Hi bas Meharbaan Se Ho Gaye

"Khwaish" Sheesha Toote To Woh uski Fitrat Hai!!!
Dil Toote To Woh Uski Buri Kismat Hai!!!

Koi Gham Nahi!! Aaj Toot-Toothkar Hi Sahi!!
"Khwaish" Hum Insaan To Ho Gaye..
 
        ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: May 02, 2011, 08:39:13 AM »
Aaj kisi Baat Ko Lekar Mann Bhar Sa Aaya,
Apne Iss dard Ko Kuch Halka karne Ke Liye Kuch Lafzon Ka Sahaara Le Raha Hoon.
Kuch Baatein,Kuch Yaadein Aur Kuch Duniya-Daari Ki Ajeeb Si Rasme
Jinhe Main Kabhi Samaj Naa Saka..



Saath Unke Peharo Baithkar Muskurate The Hum
Aaj Naa jaane Kyon Wahi Shaks Anjaan Se Ho Gaye

Kuch Yaadein,Kuch Baatein Dil mein Abhi Qaid Hai
Naa Jaane Kyon Kuch Rishte Yuh bejaan Se Ho Gaye

Jinhe Hum Kehte The "Yeh To Mera Apna Hai!!
Aaj Hum unke Liye Pal Do Pal Ke mehmaan Se Ho Gaye

Agar Bhai Kehte Ho To Yaar Bhaiyon Jaisa Sulook Bhi Karo!!
Saath hai par Saath Nahi,Jism mein Jaise Ek Nishaan Se Ho Gaye

 Gham iss Baat Ka Bilkul Bhi Nahi Ke Main Tanha Hoon!!!
Tanhai mein Rehkar Aaj Hum Tanhaiyon ke Bhi kadardaan Se Ho gaye

Main Duniya-daari naa Samaj Saka Yehi To mera Ek kasoor Tha
Jiske Paas Shohrat Hai Log Ussi par Hi bas Meharbaan Se Ho Gaye

"Khwaish" Sheesha Toote To Woh uski Fitrat Hai!!!
Dil Toote To Woh Uski Buri Kismat Hai!!!

Koi Gham Nahi!! Aaj Toot-Toothkar Hi Sahi!!
"Khwaish" Hum Insaan To Ho Gaye..
 
        ~~~~~Khwaish~~~~~


maqta kaafi wazni raha aapke kalaam mein. bahut khoob
Logged
manjum
Guest
«Reply #2 on: May 02, 2011, 10:12:28 AM »
kya baat hai khwaishji.. aapka dard ek ek lafz main hai.. aur dil tak pahunch raha hai... kya baat hai....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: May 02, 2011, 11:02:08 AM »
Dost,
Bahaut dard mehsoos hua iss nazm main..
Kuch aj ki sachayian hi hai kay paisa, insaan ki burayion ko chupa deta hai..
Aur akhri ashaar woh dil main uttar gaya..
"Kay hum insaan toh hogaye"
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Dil dil dil se daad mere dost..
Khush rahiye..!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: May 02, 2011, 08:16:22 PM »
Khawahish Jee Aadaab!

Janab kia kahne aapke waah bahut khoob likha hai
aapne .... Sabhi ashaar behad khoob aur asardar rahe
aapki kalam meiN waqai wazn hai jo dil par mehsus hota
hai.... Usual Smile

Is khoob kalaam par dil se daad kabul kijiye... Usual Smile
Likhate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #5 on: May 03, 2011, 01:09:26 AM »
bahot khub khuaish ji…
sachaiyo ki uljhan hai kalaam me…

ek sacha insaan hi iss feel ko alfaaz de skta hai…

daad dil se
khus rahiye
sukriya
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: May 03, 2011, 08:28:00 AM »
maqta kaafi wazni raha aapke kalaam mein. bahut khoob

Aapka Bahut Bahut Shukriya Khamosh Awaaz Ji..

Umeed Karta Hoon Aap yuhi Saath Dete Rahenge..Shukriya icon_flower

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 03, 2011, 09:01:02 AM »
kya baat hai khwaishji.. aapka dard ek ek lafz main hai.. aur dil tak pahunch raha hai... kya baat hai....

Aapka Bahut Bahut Shukriya Anju Ji..Yuhi saath rahiyega Humesha.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: May 04, 2011, 02:24:10 PM »
Dost,
Bahaut dard mehsoos hua iss nazm main..
Kuch aj ki sachayian hi hai kay paisa, insaan ki burayion ko chupa deta hai..
Aur akhri ashaar woh dil main uttar gaya..
"Kay hum insaan toh hogaye"
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Dil dil dil se daad mere dost..
Khush rahiye..!

Aapka teh Dil Se shukriya Bhai Rahim..

Bilkul sach!!! Aaj ka daur Yehi sab kehta Hai...

Yuhi saath Dete rahiyga Dost icon_flower


Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #9 on: May 04, 2011, 03:41:20 PM »
waaah dil ko choo lene wale alfaz aur bebak bayani aapki shayri me chaar chand laga deti hai..........bahooooot khooob bro
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: May 04, 2011, 03:50:30 PM »
Bahut Khub Khwaish Bhai
Matla Bahut Paand Aaya Mujhey...

Shad o Aabad Rhiye...


~Shihab~

Bahut bahut Shukriya Mere Bhai..
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #11 on: May 04, 2011, 04:55:24 PM »
kha itna dard samet rakha hai khwaish ji....jo dard kisi se na baat sake unhe lafjon mein pirona....waah kya baat hai.....again hav no words.....
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #12 on: May 05, 2011, 02:17:10 AM »
Bohat Bohat Khoob Khwaish Ji Applause
Logged
manjum
Guest
«Reply #13 on: May 19, 2011, 09:31:47 AM »
wah kya baat hai khwaishji... ekdam sach kaha aapne...

waqt ke sath har ek shai ko badalte dekha.
hamne apno ko yahan rang badalte dekha....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 05:07:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer