mai apne andar rehta hun

by innocent.devil20 on February 26, 2008, 08:19:24 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1018 times)
innocent.devil20
Guest
Main apne andar rehta hoon
Aur khud se baatein karta hoon,
Yaadon ke puraane album mein
Kuch hanste gaate chehre hain!

Un chehron mein kuchh begaane
Kuch bilkul mere apne hain,
Un chehron ko main chhuta hoon
Aur chhu ker aanhein bharta hoon!

Main tanha hoon, haan tanha hoon
Is duniya se begaana hoon,
Main apne aap mein jeeta hoon
Tum samjho main deewana hoon!

Main raat ka tukda, din ka saaya
Gum ki main parchhayi hoon,
Main shehre-junoon mein faili hui
Apni hi ruswaayi hoon!

Main bolte pinjare ka qaidi
Barson ki khaamoshi hoon,
Main gum ki sarhad paar kiye
Janmon ki udaasi hoon!

Yaadon ke puraane album ke
Chehron mujhse door raho,
Khud mein rehne do mujhko
Khud se baatein karne do."
Logged
innocent.devil20
Guest
«Reply #1 on: February 26, 2008, 08:21:24 AM »
mere samajh me nahi aa raha tha ki is poem ko kis section me rakhu  thats why mai ise manzar-e-kudrat me rakh diya
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #2 on: February 26, 2008, 10:22:58 AM »
innocent ji
ye koi insan apne bare me keh raha albatta ise Shayari e zingdi ya shayari dard mein daal sakte hain.

Apka kalam acha laga, thora so rou tooti mehsus hi par kahin kahin bohot acha ban pada hai.
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: February 26, 2008, 07:41:22 PM »
Nice Sharing Innocent !
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 01:49:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer