Man karta hai!!!

by Pooja on May 28, 2010, 02:31:07 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2987 times)
Pooja
Guest
Sulgate hai armaan, inko aor sulgaane ko man karta hai
Dil hai ajj bechain, khud ko rulane ka man karta hai

Tanha safar, tanha soch, tanha yeh din – raatein
Kahi tanhaai mai ajj, khud ko dafnaane ka man karta hai

Timtimaati ashaaye (hope), aor phir bhikharti zindagi
Sab kuch chor kar, kahi chale jaane ko man karta hai

Jaaye bhi to jaaye insaan kitani door aor kab tak
Her soch ko man se nikaal, kahi bhag jaane ko man karta hai

Socho ke yeh bhawar, Her marti Asha ki lash
Sab bhool kar mar jaane ko man karta hai…..
Kahin door chale jaane ko man karta hai….
Khud ko bahoot rulane ko man karta hai…
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*~*~*JeE kArTa HaI*~*~* by ghayal_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
KYA KARTA by ROMEY in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil nhi karta... by brokenbyluv in Shayri-E-Dard
Dil Karta Hai............................AD by anjaan dharkan in Shayri-E-Dard
****Jee Karta Hai **** by spandana in Shayri for Khumar -e- Ishq
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: May 28, 2010, 06:10:15 AM »
Bahut khoob Pooja ji,hamesha ki tarah bahut dard aur khoobsurti se apne ehsaaso ko bayaan kiya aapne.great creation.keep up the good work Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: May 28, 2010, 07:07:53 AM »
thx Madhu!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: May 28, 2010, 08:16:06 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut khoob Pooja ji... bahut hi sundar kavita likhi hai aapne... sach dil khush ho gaya... kavita likhne ka ye andaaz YO me dekhne ko nahi milta... ye wo andaaz hai jisme shabdon ko na to joda gaya hai na hi sajaya gaya hai... apne aap shabd dil se nikalte gaye aur judte gaye aur kavita banti gayi... aur bahut khoob bani... simply superb...!!!

Do line humne bhi likhne ki koshish ki hai...


ye mann to pagal hai jo ye saare gunah karwaata hai humse,
        gairon ko kareeb laata hai aur apno ko dur karta hai humse,

kuch ummeeden, kuch ashayein, aur kuch armaan hain bas,
        inme kuch adhoore reh jaayen to dard jud jaata hai humse,

iska matlab ye to nahi hai zingadi rooth gayi hai humse,
        har andheri raat ke baad roshan savera milta hai humse...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: May 28, 2010, 09:05:02 AM »
Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Pooja..Dard Se Bhari Yeh Kavita Insaan Dil Se Padhe To Iska Har Ek lafz Mehsoos Kar sakta Hai,Bahut Khoobsurat Jazbaat!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kapil Ji Aapne Bhi Bahut Acha Likha Hai.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Pooja, Aapki Kavita Padhkar,Main Aapse Kuch Kehna Chahunga...

Kuch Aise Nagme Apne Honton par Sajaate Jaao
Agar Zindagi Ek Karz Hai To Yeh Karz Chukaate Jaao..

Agar Har Jageh Saaya Hai Mushkilo Ka To Yeh Hi Sahi!!!
Apni Kamzoriyon Ko Hi Apni Taaqat Banate Jaao...

Karwaan-e-Zindagi Kabhi Rokhne Se nahi Rukhti
Hauslo Buland Rakho,Har Raah Par Khud Ko Aazmate Jaao...

Agar Humesha Khamosh Rahoge To Dil ki Khwaishe Bhi Mar Jaayegi
Apni Tamannao Ko Apni Awaaz Banate Jaao...

Zindagi Ke Faisle Yahan Khud Hi ko Lene Hai!!!
Auro Ko Keh do,"Jo Chaahe Mujh Par Ilzaam lagate Jaao"

"Khwaish" Apni Hi Taqdeer Par kabhi Kisi Ka Bas Chalta Nahi!!
Kaante To Naseeb Mein Likhe Hai Par Raah Mein Phoolon Ko Bhi Sajaate Jaao..
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: May 28, 2010, 09:36:21 AM »
gud one pooja ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: May 28, 2010, 01:04:35 PM »
bahut bahut shukriya Khwaish ji... aur aapne bhi bahut hi khoob likha hai... bahut bahut khoob...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: May 28, 2010, 01:13:52 PM »
Kapil ji and Khwaish ji ,very touching and mindblowing lines.kamaal ke lines hai,bahut hi khoob Hats off to you! Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: May 28, 2010, 01:22:37 PM »
Bahut bahut shukriya Madhu ji...!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: May 28, 2010, 05:06:43 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut khoob Pooja ji... bahut hi sundar kavita likhi hai aapne... sach dil khush ho gaya... kavita likhne ka ye andaaz YO me dekhne ko nahi milta... ye wo andaaz hai jisme shabdon ko na to joda gaya hai na hi sajaya gaya hai... apne aap shabd dil se nikalte gaye aur judte gaye aur kavita banti gayi... aur bahut khoob bani... simply superb...!!!

Do line humne bhi likhne ki koshish ki hai...


ye mann to pagal hai jo ye saare gunah karwaata hai humse,
        gairon ko kareeb laata hai aur apno ko dur karta hai humse,

kuch ummeeden, kuch ashayein, aur kuch armaan hain bas,
        inme kuch adhoore reh jaayen to dard jud jaata hai humse,

iska matlab ye to nahi hai zingadi rooth gayi hai humse,
        har andheri raat ke baad roshan savera milta hai humse...


wah wah wah kaya baat hai... bahoot he simple shabdo mai app bahoot gahrai se jawab likh gaye... bahoot khoob..

gair ban jaate hai apne, apne na jaane kaha kho jaate hai
jo bante hai phir apne, wo bhi na jaane kab ajnabi ban jaate hai

her umeend se badhi asha bhi kab tak sath nibahye Pooja ka
ek ek kar ke asha ke sare dhage toot.te chale jaate hai

na samjhaye arth jeevan ka koi, bikhar bikhar kar, sameta hai isko
phir bhi dil soche, yeh kis jurm ki saja main, jeevan hum jiye chale jaate hai

gair ban jaate hai apne, apne na jaane kaha kho jaate hai....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: May 28, 2010, 06:14:04 PM »
Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Pooja..Dard Se Bhari Yeh Kavita Insaan Dil Se Padhe To Iska Har Ek lafz Mehsoos Kar sakta Hai,Bahut Khoobsurat Jazbaat!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kapil Ji Aapne Bhi Bahut Acha Likha Hai.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Pooja, Aapki Kavita Padhkar,Main Aapse Kuch Kehna Chahunga...

Kuch Aise Nagme Apne Honton par Sajaate Jaao
Agar Zindagi Ek Karz Hai To Yeh Karz Chukaate Jaao..

Agar Har Jageh Saaya Hai Mushkilo Ka To Yeh Hi Sahi!!!
Apni Kamzoriyon Ko Hi Apni Taaqat Banate Jaao...

Karwaan-e-Zindagi Kabhi Rokhne Se nahi Rukhti
Hauslo Buland Rakho,Har Raah Par Khud Ko Aazmate Jaao...

Agar Humesha Khamosh Rahoge To Dil ki Khwaishe Bhi Mar Jaayegi
Apni Tamannao Ko Apni Awaaz Banate Jaao...

Zindagi Ke Faisle Yahan Khud Hi ko Lene Hai!!!
Auro Ko Keh do,"Jo Chaahe Mujh Par Ilzaam lagate Jaao"

"Khwaish" Apni Hi Taqdeer Par kabhi Kisi Ka Bas Chalta Nahi!!
Kaante To Naseeb Mein Likhe Hai Par Raah Mein Phoolon Ko Bhi Sajaate Jaao..


Hamesha ki tarah bahoot he sunder likha hai khwaish ji app ne...zindagi ke kareeb.. bhawnao se bharpoor..

hai kitna karz pata chale to, waqat ka andaza laga le
andhere mai kab tak chukaye karz, kaise koi hontho per nagma saja le

Apno ki kamjoria he karne lage jab khokhla is jeevan ko
tum he batao dost, aise insaano ko kaise apni taqat bana le

Raah-e-zindagi main, kabhi to padav mile is karwan ko
lagataar bhatkati zindagi ko, kaise koi karaar ki baat samjha de

Sunaye kise yeh dil, apne dil ke armaan, aor kis tarah
bin sathi ke kaise koi armaano ke raag hontho per saja le

na koi ilzaam kisi per, na he koi baat kisi se ab
bas kah do is khuda se, bahoot ho gaya,
Pooja ko ab to akhiri nind mai Sula de..
Logged
Bharat
Guest
«Reply #11 on: May 28, 2010, 07:20:26 PM »
Sulgate hai armaan, inko aor sulgaane ko man karta hai
Dil hai ajj bechain, khud ko rulane ka man karta hai

Tanha safar, tanha soch, tanha yeh din – raatein
Kahi tanhaai mai ajj, khud ko dafnaane ka man karta hai

Timtimaati ashaaye (hope), aor phir bhikharti zindagi
Sab kuch chor kar, kahi chale jaane ko man karta hai

Jaaye bhi to jaaye insaan kitani door aor kab tak
Her soch ko man se nikaal, kahi bhag jaane ko man karta hai

Socho ke yeh bhawar, Her marti Asha ki lash
Sab bhool kar mar jaane ko man karta hai…..
Kahin door chale jaane ko man karta hai….
Khud ko bahoot rulane ko man karta hai…


Pooja ji,
Bohot hi khubsurat likha hai !!!
Logged
Bharat
Guest
«Reply #12 on: May 28, 2010, 07:22:09 PM »
Kapil ji and khwaish ji,
Aap dono ne bhi bohot achcha likha hai !!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: May 28, 2010, 10:42:37 PM »
wah wah wah kaya baat hai... bahoot he simple shabdo mai app bahoot gahrai se jawab likh gaye... bahoot khoob..

gair ban jaate hai apne, apne na jaane kaha kho jaate hai
jo bante hai phir apne, wo bhi na jaane kab ajnabi ban jaate hai

her umeend se badhi asha bhi kab tak sath nibahye Pooja ka
ek ek kar ke asha ke sare dhage toot.te chale jaate hai

na samjhaye arth jeevan ka koi, bikhar bikhar kar, sameta hai isko
phir bhi dil soche, yeh kis jurm ki saja main, jeevan hum jiye chale jaate hai

gair ban jaate hai apne, apne na jaane kaha kho jaate hai....


Bahut bahut shukriya Pooja ji... main tahe dil se aapka shukriya adaa karta hoon... aapne bhi bahut khoob likha hai...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause

tutne do un dhaago ko, kuch ashayein fir bandh jaayenge,
     tutne do tum saahil ko, saagar me jaake wo mil jaayenge,

rishton ka ye bandhan anokha, kahin pe bhi jud jaayenge,
      tutne do tum rishto ko bhi, jo apne hain fir laut aayenge,

ret ke jo bhi teele hain wo tut ke saare bikhar jaayenge,
     armano ko ret na samjho wo jaise hain waise reh jaayenge,

aashaayein hi jeewan hai, wo jeewan se alag na ho payenge,
     bas kuch lamho ki deri hogi, khwaab bhi poore ho jaayenge,

ummeedon se bandhi hai asha, wo saath har pal reh jaayenge,
      khud ko agar tum jaan sako to mushkilen na fir reh payenge,

har mushkil ko hasi me udaake zindagi ko hum jee jaayenge,
     kar lo aaj ye waada humse "har pal ab hum muskuraayenge"....



Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #14 on: May 28, 2010, 10:46:31 PM »
Sulgate hai armaan, inko aor sulgaane ko man karta hai
Dil hai ajj bechain, khud ko rulane ka man karta hai

Tanha safar, tanha soch, tanha yeh din – raatein
Kahi tanhaai mai ajj, khud ko dafnaane ka man karta hai

Timtimaati ashaaye (hope), aor phir bhikharti zindagi
Sab kuch chor kar, kahi chale jaane ko man karta hai

Jaaye bhi to jaaye insaan kitani door aor kab tak
Her soch ko man se nikaal, kahi bhag jaane ko man karta hai

Socho ke yeh bhawar, Her marti Asha ki lash
Sab bhool kar mar jaane ko man karta hai…..
Kahin door chale jaane ko man karta hai….
Khud ko bahoot rulane ko man karta hai…


Bahut khoob Pooja Ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 03:10:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.219 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer