Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,.

by Jaanasheen on November 29, 2008, 03:39:59 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Author  (Read 12652 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 34 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19900
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #15 on: December 04, 2008, 09:14:21 AM »
Shukriya Sirda Ji,
And Pooja Didi,.

Inshallah Aur Bhi Postings Karoonga,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #16 on: December 07, 2008, 05:24:48 PM »
Tere Mere Beech Zamana Parta Hai
Dil ko Kitni Baar Batana Perta Hai.

Thehar Gayi Hai Baat Muqadder Per Aa Ker
Khud Ko Yeh Aksar Samjhana Parta hai .

Sochon ko Kab Qaid Koi ker Paya hai
Lekin Khud ko Tu Samjhana Parta hai .

Rasta ho Dushwaar Ya Raahi Anjaane
iss Jeevan ka Saath Nibhana Parta hai .

Khamoshi ke Dassne ka Darr Ho Jis Dam
Ayse Mein Khud Shor Machaana Parta hai .

paas mere tou sirf tumhari yaaden hain
Yaadon Se Dil ko Behlaana Parta hai.
N/M

Nice sharing Shihab Ji
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #17 on: December 07, 2008, 05:41:49 PM »
Jaansheen Ji,

Bahut hi behtareen aur meaningful shaayri padhne ko mili. Shukriya.Afsoos bhee hua apni urdu ki na ke barabar knowledge par. Saath saath do suggestions hein mere....yadi aapko uchit lage to grehan kijiyega nahi to jaane dijiyega.

Aapka thread keval dard mein dooba hua nahi he balki ismey khummar bhee bahut hein...(Aisi shaayri jo rula de appko) ke jis sheershak ke antargat aap yeh posts kar rahe hein...mere khyaal se iska naam..'gehri shayriyaan' ya kuch aur milta julta...jo aapko sahi lage.Doosra, yeh thodi si personal request hi samjhe...agar sambhav ho...jahan aap itni mehnat kar rahen hein..to urdu ke jo bhee mushkil shabd hein unkey....arth kavitaaon ke neeche de denge to chaar chand lug jaayenge.Padhtey hi arth pata lug jaana aur padhne ke baad hur shabd ka arth google mein dhoondne mein bahut fark ho jaata hein.

Maine itna sub kuch jo likha hein ..woh isliye ki maine poora thread ki rachnaaye bahut dhyaan se padhi hein(chahta to sirf...waah-waah kar ke nikal sakta thaa),aur shaayri vaakai jaandaar hein....gehri hein....

Bahut Bahut shkria,aazeem bhai.

Sihaab ji,bahut acche,bahut badhiya.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 34 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19900
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #18 on: December 08, 2008, 08:26:51 AM »

Pehle Aapka Tahe Dil Se Shukriya Aataa Karenge,.
Ke Aapne Is Thread KO Dekha,.

Aur Inshallah Hum Aapke Gile Shikwa Door Karenge,.
Thank U For Ur Sugesstion,.
Inshallah Aage Se Urdu Alfaaz Ko Translete Bhi Kar  Ke Poist Karenge,.

Thank U,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 34 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19900
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #19 on: December 08, 2008, 08:28:09 AM »
Tere Mere Beech Zamana Parta Hai
Dil ko Kitni Baar Batana Perta Hai.

Thehar Gayi Hai Baat Muqadder Per Aa Ker
Khud Ko Yeh Aksar Samjhana Parta hai .

Sochon ko Kab Qaid Koi ker Paya hai
Lekin Khud ko Tu Samjhana Parta hai .

Rasta ho Dushwaar Ya Raahi Anjaane
iss Jeevan ka Saath Nibhana Parta hai .

Khamoshi ke Dassne ka Darr Ho Jis Dam
Ayse Mein Khud Shor Machaana Parta hai .

paas mere tou sirf tumhari yaaden hain
Yaadon Se Dil ko Behlaana Parta hai.
N/M

waah Mere Bhai,.
Bohat Badhiya Sharing Hai,.
Nice One,.

Yunhi Saath Dete Raho,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 34 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19900
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #20 on: December 08, 2008, 09:16:27 AM »
tum pucho aur main na bataun aise to halat nahin
ek zara sa dil tuta hai aur to koi baat nahin

kis ko khabar thi sanwale badal bin barse ur jate hain
sawan aya lekin apni qismat mein barsaat nahin

mana jiwan mein aurat ek bar mohabbat karti hai
lekin mujhko ye to bata de kya tu aurat zaat nahin

khatm hua mera afsana ab ye ansu ponch bhi lo
jis mein koi tara chamke aj ki rat wo raaat nahin

mere gam-gin hone par ahbab hain yon hairan "Qateel"
jaise main patthar hun mere sine mein jazbaat nahin

________________________-Qateel Shifaai-
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #21 on: December 08, 2008, 03:28:22 PM »
Pehle Aapka Tahe Dil Se Shukriya Aataa Karenge,.
Ke Aapne Is Thread KO Dekha,.

Aur Inshallah Hum Aapke Gile Shikwa Door Karenge,.
Thank U For Ur Sugesstion,.
Inshallah Aage Se Urdu Alfaaz Ko Translete Bhi Kar  Ke Poist Karenge,.

Thank U,.

Shukriya samajhne ke liye.Baaki jo aapse kaha thaawoh dwarkhasth
thee gile-shikwe bilkul nahi.Sahi urdu he na aazeem bhai....
Aap post karte rahe...yakeenan padhne laayak hein.beshak Quantity kum rahe pur Quality bani rahe.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #22 on: December 08, 2008, 05:11:13 PM »
tum pucho aur main na bataun aise to halat nahin
ek zara sa dil tuta hai aur to koi baat nahin

kis ko khabar thi sanwale badal bin barse ur jate hain
sawan aya lekin apni qismat mein barsaat nahin

mana jiwan mein aurat ek bar mohabbat karti hai
lekin mujhko ye to bata de kya tu aurat zaat nahin

khatm hua mera afsana ab ye ansu ponch bhi lo
jis mein koi tara chamke aj ki rat wo raaat nahin

mere gam-gin hone par ahbab hain yon hairan "Qateel"
jaise main patthar hun mere sine mein jazbaat nahin

________________________-Qateel Shifaai-
Nice sharing Jaanasheen Bhai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 34 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19900
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #23 on: December 11, 2008, 12:27:54 PM »

Shukriya samajhne ke liye.Baaki jo aapse kaha thaawoh dwarkhasth
thee gile-shikwe bilkul nahi.Sahi urdu he na aazeem bhai....
Aap post karte rahe...yakeenan padhne laayak hein.beshak Quantity kum rahe pur Quality bani rahe.

Inshallah Hum Poori Koshish Karenhge Ke Quality Pehle Ho,.
Aur Shukriya,m.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 34 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19900
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #24 on: December 11, 2008, 12:30:27 PM »
Bohat Khoob Azeem Bhai...

tuu is qadar mujhe apne qareeb lagtaa hai
tujhe alag se jo sochuuN, ajiib lagtaa hai

jise na Husn se matlab na ishq se sarokaar
vo shaksh mujh ko bahut bad-nasiib lagtaa hai

huduud-e-zaat se baahar nikal ke dekh zaraa
na ko’ii Ghair, na ko’ii raqeeb lagtaa hai

ye dostii, ye maraasim, ye chaahateiN ye Khuluus
kabhii kabhii ye sab kuch ajiib lagtaa hai

ufaq pe duur chamaktaa huvaa ko’ii taaraa
mujhe charaaGh-e-dayaar-e-Habeeb lagtaa hai

na jaane kab ko’ii tuufaaN aaye gaa yaaroN
buland mauj se saaHil qareeb lagtaa hai
N/M

Bohat Achchi Sharing Hai Bhaijaan,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 34 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19900
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #25 on: December 11, 2008, 12:33:21 PM »
wafa k shish mahal mein saja liya main ne
wo ek dil jise patthar bana liya main ne

ye soch kar k na ho tak mein khushi koi
gamon ki ot mein khud ko chupa liya main ne

kabhi na khatm kiya main ne roshani ka muhaz
agar chirag bujha, dil jala liya main ne

kamal ye hai k jo dushman pe chalana tha
wo tir apne kaleje pe kha liya main ne

'Qateel' jiski adawat mein ek pyar bhi tha
us admi ko gale se laga liya main ne

_____________________-Qateel shifaai-
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #26 on: December 11, 2008, 12:41:37 PM »
wafa k shish mahal mein saja liya main ne
wo ek dil jise patthar bana liya main ne

ye soch kar k na ho tak mein khushi koi
gamon ki ot mein khud ko chupa liya main ne

kabhi na khatm kiya main ne roshani ka muhaz
agar chirag bujha, dil jala liya main ne

kamal ye hai k jo dushman pe chalana tha
wo tir apne kaleje pe kha liya main ne

'Qateel' jiski adawat mein ek pyar bhi tha
us admi ko gale se laga liya main ne

_____________________-Qateel shifaai-

Nice sharing Jaanasheen Ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 34 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19900
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #27 on: December 12, 2008, 09:20:11 AM »
Shukriya Rajesh Bhaiya,.

dard se mera daman bhar de ya allah
phir chahe diwana kar de ya Allah

main ne tujhse chand sitare kab mange
raushan dil bedar nazar de ya Allah

suraj si ik chiz to ham sab dekh chuke
sach-much ki ab koi sahar de ya Allah

ya dharti k zakhmon par marham rakh de
ya mera dil patthar kar de ya Allah

____________________-Qateel Shifaai-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 34 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19900
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #28 on: December 13, 2008, 12:50:01 PM »
Bohat Khoob Azeem Keep It Up Bro...

zindagii ek kiraaye ka ghar hai ek na ek din badalanaa padegaa
maut jab ham ko aavaaz degi ghar se baahar nikalanaa padegaa

Dher mittii ka har aadamii hai baad marne ke honaa yahii hai
yaa zameeno.n mein turbat banenge yaa chitaaon pe jalanaa padegaa

raat ke baad hogaa saveraa dekhanaa hai agar tum ko din suneharaa
paaon phuulon pe rakhne se pahale tum ko kaanton pe chalanaa padegaa

aitabaar un ke vaadon ka mar kar varnaa aey dil mere zindagii bhar
tujh ko bhi mombatti ki tarah qatraa qatraa pighalnaa padegaa

ye javaanii hai pal bhar ka sapnaa Dhoond le koi mahaboob apnaa
ye javaanii agar Dhal gayi to umar bhar haath malnaa padegaa
N/M

Waah Bhai waah,.
Kya Nazm Share Ki Hai Apne,.
Bohat Achche,.
Waise ye Qawali Bohat Pasand Hai Hume,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 34 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19900
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #29 on: December 13, 2008, 12:51:48 PM »
dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain
jaise bichre huye kabe main sanam ate hain

ik ik kar k huye jate hain tare raushan
meri manzil k taraf tere qadam ate hain

raqs-e-may tez karo, saz k lay tez karo
su-e-maikhana safiran-e-haram ate hain

kuch hamin ko nahin ehsan uthane ka dimag
wo to jab ate hain mail-ba-karam ate hain

aur kuch der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai wo yad bhi kam ate hain

____________________-Faiz Ahmed,.
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
July 27, 2024, 02:54:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[July 12, 2024, 10:07:58 AM]

[July 07, 2024, 08:57:29 AM]

[July 07, 2024, 08:56:36 AM]

[July 03, 2024, 09:17:49 AM]

[June 29, 2024, 10:14:36 AM]

[June 28, 2024, 11:07:01 AM]

[June 27, 2024, 09:39:21 AM]

[June 27, 2024, 09:29:05 AM]

[June 26, 2024, 08:34:09 AM]

[June 26, 2024, 08:32:48 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8501 Real Poets and poetry admirer