!!! Sukoon-e-Qabr !!!

by angel4u on May 14, 2007, 05:09:37 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 10
Print
Author  (Read 7621 times)
angel4u
Guest

Kehte Hai Duniya Wale Kyon Qabr Mere Is Naye Makaan Ko,
Ye Naya Ghar Mera Taj Mahal Se Zyada Khoobsoorat Hai,

Sukun Mila Na Jeete Jee Mujhe Ek Pal Ka Us Duniya Mein,
Is Tanhayi Mein Maine Jannat Sa Sukoon Paaya Hai,

Wahan Jahan Pairon Tale Khud Apna Saaya Kuchal Jaata Tha,
Yahan Is Mitti Ki Chadar Ne Mujhe Kitna Aaram Dilaya Hai,

Na Yahan Pe Aansu Hai, Na Hi Gam-O-Dard Kisi Baat Pe,
Meri Maut Ne Mera Har Dard Bhulaya, Har Aansu Chhupaya Hai,

Us Duniya Ki Jagmagahat Mein Bheed Mein Bhi Tanhayi Thi,
Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai,

Khela Tha Jiske Aanchal Tale Mera Bachpan Us Maa Ne Ehsaan Kar Diya,
Qafan Ki Jagah Mere Chehre Ko Usne Apni Mamta Ka Aanchal Odhaya Hai,


Thak Jaate The Jab Qadam Bich Raah Mein, Qaandhon Pe Bitha Lete The,
Abbu Ne Mujhe Aakhri Safar Mein Apne Qaandhon Ka Sahaara Diya Hai,

Zindagi Ki Raahon Pe Jisne Ungli Pakadke Chalna Sikhaya,
In Qabr Ke Andheron Mein Bhi Aaj Unhone Rasta Dikhaya Hai,
,

Kaha Maine Na Jao Yahan Chhod Ke Mujhe Akela, Dar Lagta Hai Is Andhere Se,
Kya Karenge Wo, Jab Saanson Ne Hi Dhadkan Se Rishta Naa Nibhaya Hai,

Boli Maa, So Jaa Meri Bachhi Is Andhere Mein Tujhe Sadiyon Rehna Hai,
Haar Gayi Aaj Main, Isliye Farishton Ke Hawale Aaj Tujhe Kiya Hai,

Maine Kaha Maa, Aansu Na Baha Mujhe Dar Nahi Lagta In Andheron Se,
Samajh Lena Aapne Apni Bachhi Ka Ghar Basa Ke Use Vida Kiya Hai,

Gaye Ghar Mere Maa Aur Abbu, Gale Se Lagaya, Kaha Mujhe KHUDA HAFIZ,
Hafiz Ab Khuda Hai Sirf Mera, Meri Rooh Ka Wohi Rakhwala Hai,

Yaad Aati Hai Maa Ki God Jispe Sar Rakhke Har Raat Guzari Thi,
Is Sard Mitti Ki Chaadar Mein Maa Ki God Ki Thandak Samayi Hai,

Ye Kiski Aahat Hai Jo Badh Rahi Hai Meri Jaanib Dhire Dhire,
Na Jagana Mujhe, Maine Sadiyon Baad Apni Aankhon Ko Band Paaya Hai,

Kaise Sambhalun Main Is Bejaan Si Dhadkano Ko ANGEL,
Mera Sanam Mujhe Khoobsurat Gulabon Se Sajane Aaya Hai,

Jo Na Tha WaaQif Mere Kisi Dard Se Jab Main Saans Leti Thi,
Aaj Usne Meri Qabr Ko Na Jaane Kyon AshQon Se Bhigoya Hai,

Ya Khuda Doob Na Jaaye Mera Ghar In AshQon Ke Sailaab Mein,
Mere Ghar Ko Na Tabaah Karo, Yehi Mera Aakhri Thikana Hai...
* * * * *
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
woh aaye qabr par meri aur kehne lage..... by jianrangrej in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~~~ Meri Qabr Bikharti Hai ~~~~ {Angel} by angel4u in Shayri-E-Dard
Qabr Main Sone De by Roja in Shayri-E-Dard
Qabr Ke Sannate _______________ {Angel} by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Teri Qabr Ke Qareeb Hum.. by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #1 on: May 14, 2007, 05:13:51 PM »
bahut khoob angel jiii...!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2007, 05:19:33 PM »
Thanks Pushkar sad5
Logged
tanha_kamal
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2007, 06:29:56 PM »
ultimate title and ultimate poem..loved it..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: May 15, 2007, 05:28:46 PM »
thanks..

lagta hia yoindians sab kho gaye hia idhar udhar sab jagah, koi comments nahi, bas 3 comments 24 hours me, great, well yoindia has not remained as before, all have to agree
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #5 on: May 16, 2007, 11:18:29 AM »
Just gonna say Angel tht its MIND BLOWING ...
Every words are really beautifully used ...
Thanks a lot for giving such good nazm to us ...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: May 16, 2007, 05:07:10 PM »
Thanks JHL.
SO nice to see that atleast someone sees my poem,
others seem to be quite busy ELSE WHERE :D
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: May 18, 2007, 05:07:03 PM »

Soyi Aaj Is Jagah Main Lagta Hai Ek Pal Jaise Baras Beete,
Tanhaayi Meri Qabr Mein Itni Shiddat Se Gunjti Hai,

Dhoondti Hai Meri Aankhein AshQon Ke Sailaab Ko,
Mitti Mere Qabr Ki Har Ek Boond Yun Sametti Hai,

Aake Aaj Wo Meri Qabr Par Roya Be-Intehaan,
Dekh Ke Usko Aise Haal Mein Meri Rooh Tadapti Hai,

Aye Khuda Baksh De Mujhe Bas Ek Pal Ki Zindagi,
Keh Sakun Usse, Mat Rowo Ke Meri Qabr Bikharti Hai,

Geeli Hai Abhi Mere Qabr Ki Mitti Zara Dhyan Rakho,
Teri Ye Namm Aankehin Meri Rooh Tak Ko Bhigoti Hai,

Zindagi Ne Bahut Dukh Diye The Hoon Yahan Sukoon Se,
Na Udaas Ho Sanam, Teri Deewani Yahan Sukoon Se Rehti Hai,

Jiski Aankh Mein Tha Tera Sapna Wo Aankhein Ab Na Khulegi Kabhi,
Jo Thi Teri Jaan Kabhi Aaj Is Qabr Ke Seene Mein Dhadakti Hai,

Bahut Mann Karta Hai Tere Seene Se Lagne Ka Jaanam,
Tere Us Ehsaas Se Ye Qabr Ki Mitti Bhi Mehekti Hai,

Hai Pata Tujhe Tera Har Ek AshQ Dega Takleef Mujhe,
Phir Kyon Teri Aankhon Se Ye Barsaat Nahi Thamti Hai,

Ya Allah Meri Har Neki Ka Hisaab Itna Sa Kar De,
Khush Rahe Wo Sada, Ye Nachiz Bas Itni Si Dua Mangti Hai,

Kyon Rakh Rahe Ho Ye Gulaab Ke Phool Meri Qabr Par,
Hamein Inki Narmahat Bhi Na Jaane Ab Bahut Chubhti Hai,

Ghar Jao Kyon Khudko Ruswa Yun Karate Ho, Duniya Zalim Hai,
Wo To Qabrastan Mein Aane Tak Ka Jawab Maangti Hai,

Ab to hai janmon ke faasle tere aur mere darmiyaan,
zindagi ki zanjeeron se meri rooh rihayi maangti hai,

Teri Judayi Ne Diya Hai Jo Ranj-o-Gam Mere Humnasheen,
Nass Nass Meri Ab Tere Chhuan Ki Shifa Maangti Hai,

Milenge Kabhi Khwabon Mein, Kabhi Khayalon Mein Hum Phir Se,
Keh Do Ab KHUDA HAFIZ Sanam, Mujhe Neend Bahut Aati Hai...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: May 18, 2007, 05:10:20 PM »
aise kyun socha Angle.. busy hu magar apki likhi lavita hameha pardti hu....

wonderful work!!
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #9 on: May 18, 2007, 05:12:23 PM »
Quote from: "angel4u"

Kehte Hai Duniya Wale Kyon Qabr Mere Is Naye Makaan Ko,
Ye Naya Ghar Mera Taj Mahal Se Zyada Khoobsoorat Hai,

Sukun Mila Na Jeete Jee Mujhe Ek Pal Ka Us Duniya Mein,
Is Tanhayi Mein Maine Jannat Sa Sukoon Paaya Hai,

Wahan Jahan Pairon Tale Khud Apna Saaya Kuchal Jaata Tha,
Yahan Is Mitti Ki Chadar Ne Mujhe Kitna Aaram Dilaya Hai,

Na Yahan Pe Aansu Hai, Na Hi Gam-O-Dard Kisi Baat Pe,
Meri Maut Ne Mera Har Dard Bhulaya, Har Aansu Chhupaya Hai,

Us Duniya Ki Jagmagahat Mein Bheed Mein Bhi Tanhayi Thi,
Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai,

Khela Tha Jiske Aanchal Tale Mera Bachpan Us Maa Ne Ehsaan Kar Diya,
Qafan Ki Jagah Mere Chehre Ko Usne Apni Mamta Ka Aanchal Odhaya Hai,


Thak Jaate The Jab Qadam Bich Raah Mein, Qaandhon Pe Bitha Lete The,
Abbu Ne Mujhe Aakhri Safar Mein Apne Qaandhon Ka Sahaara Diya Hai,

Zindagi Ki Raahon Pe Jisne Ungli Pakadke Chalna Sikhaya,
In Qabr Ke Andheron Mein Bhi Aaj Unhone Rasta Dikhaya Hai,
,

Kaha Maine Na Jao Yahan Chhod Ke Mujhe Akela, Dar Lagta Hai Is Andhere Se,
Kya Karenge Wo, Jab Saanson Ne Hi Dhadkan Se Rishta Naa Nibhaya Hai,

Boli Maa, So Jaa Meri Bachhi Is Andhere Mein Tujhe Sadiyon Rehna Hai,
Haar Gayi Aaj Main, Isliye Farishton Ke Hawale Aaj Tujhe Kiya Hai,

Maine Kaha Maa, Aansu Na Baha Mujhe Dar Nahi Lagta In Andheron Se,
Samajh Lena Aapne Apni Bachhi Ka Ghar Basa Ke Use Vida Kiya Hai,

Gaye Ghar Mere Maa Aur Abbu, Gale Se Lagaya, Kaha Mujhe KHUDA HAFIZ,
Hafiz Ab Khuda Hai Sirf Mera, Meri Rooh Ka Wohi Rakhwala Hai,

Yaad Aati Hai Maa Ki God Jispe Sar Rakhke Har Raat Guzari Thi,
Is Sard Mitti Ki Chaadar Mein Maa Ki God Ki Thandak Samayi Hai,

Ye Kiski Aahat Hai Jo Badh Rahi Hai Meri Jaanib Dhire Dhire,
Na Jagana Mujhe, Maine Sadiyon Baad Apni Aankhon Ko Band Paaya Hai,

Kaise Sambhalun Main Is Bejaan Si Dhadkano Ko ANGEL,
Mera Sanam Mujhe Khoobsurat Gulabon Se Sajane Aaya Hai,

Jo Na Tha WaaQif Mere Kisi Dard Se Jab Main Saans Leti Thi,
Aaj Usne Meri Qabr Ko Na Jaane Kyon AshQon Se Bhigoya Hai,

Ya Khuda Doob Na Jaaye Mera Ghar In AshQon Ke Sailaab Mein,
Mere Ghar Ko Na Tabaah Karo, Yehi Mera Aakhri Thikana Hai...
* * * * *


kya baat hai angel............dil ko chu gaya ye alfaz sab!!!

Jindagi ne diya tha hame ek toufa......
Jiski jaroorat ham mehsus na kar paye!
Unki ehsaso ko kabhi paas na aane diys,
Aanjane me hamne unpar ye kya sitam hai dhaye!...
Unki aankho ki aaskho ko hamne sirf paani samjha,
Par hame kya maloom tha,ke unho ne hakikat me khoon hai bahaye..
Jab tak unke saaye me raha,lagta tha ham unki jarurat hain..
Jab se gayin durr wo, tab ehsas huwa kya paya tha aab tak,aur kya hai jindagi me gawayein!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: May 18, 2007, 05:17:00 PM »
bas aise hi socha, kyonki koi padhta nahi hai sad5
sirf aap aur kuch dusre members padhte hai,
love you di Usual Smile

thanks re shahid,
bahut acha likha hia tumne bhi.
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: May 24, 2007, 10:24:22 AM »
Angel...bohot bohot khoobsurat Angel.....Thanks for sharing Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: May 24, 2007, 04:55:16 PM »
Thanks Talat ji Usual Smile
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #13 on: May 27, 2007, 05:04:02 PM »
I m also busy dear but reading ur peoms and writing mine ...
So dont mind if somebody replies lately ...


Just Keep writing ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #14 on: May 27, 2007, 05:28:33 PM »
Ek bewafaai sa tallukat mehsus hua hame sanam ki bewafaai mein,
Bas kuchh waqt tha aur thi thodi saanse meri tanhaai mein,
Aansu khair sukh hi chuke the meri aakhon se judaai ke baad,
Par samundar ka ab bhi basera tha meri aankhon ki gehraai mein ...
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 10:58:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.156 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer