!!! Sukoon-e-Qabr !!!

by angel4u on May 14, 2007, 05:09:37 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
Print
Author  (Read 7640 times)
angel4u
Guest
«Reply #75 on: November 03, 2008, 01:53:58 PM »
Sajdon ki jab baat chali humne har dua mein tujhe maanga tha,
tu ban na paaya mohabbat meri, tujhe phir bhi be-panah chaha tha,
Ye tere ashq dubo to dete saara aalam lekin aye sanam,
kaash tune inki ladi tootne par koi ehsaan na jataya hota...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
woh aaye qabr par meri aur kehne lage..... by jianrangrej in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~~~ Meri Qabr Bikharti Hai ~~~~ {Angel} by angel4u in Shayri-E-Dard
Qabr Main Sone De by Roja in Shayri-E-Dard
Qabr Ke Sannate _______________ {Angel} by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Teri Qabr Ke Qareeb Hum.. by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
sajid_ghayel
Guest
«Reply #76 on: November 03, 2008, 02:26:28 PM »
Sajdon ki jab baat chali humne har dua mein tujhe maanga tha,
tu ban na paaya mohabbat meri, tujhe phir bhi be-panah chaha tha,
Ye tere ashq dubo to dete saara aalam lekin aye sanam,
kaash tune inki ladi tootne par koi ehsaan na jataya hota...
Dua mangne ka tujko hunar na tha
Tere andar zara sa sabar na tha
Sar marna zameen pe tha maqsad tera
Tere sajdon me koi asar na tha

                           -sg-
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #77 on: November 03, 2008, 02:44:39 PM »
Very nice Angel.. Thumbs UP

Very nice Sajid ji.. Thumbs UP
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #78 on: November 03, 2008, 05:52:32 PM »
...thanks a lot everyone for appreciation...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #79 on: November 04, 2008, 02:43:19 AM »
Dua mangne ka tujko hunar na tha
Tere andar zara sa sabar na tha
Sar marna zameen pe tha maqsad tera
Tere sajdon me koi asar na tha

                           -sg-


Tu sajdon ke asar ki baat na kar mujhse,
yehi berukhi ne hi chhini saansein mujhse,
chahta to tu bhi lad leta haathon ki laqeeron se,
bas yun hua ke tera guroor jeet gaya tujhse...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #80 on: November 04, 2008, 08:31:56 AM »
Tu sajdon ke asar ki baat na kar mujhse,
yehi berukhi ne hi chhini saansein mujhse,
chahta to tu bhi lad leta haathon ki laqeeron se,
bas yun hua ke tera guroor jeet gaya tujhse...

Mera gurur to tu thi
Aur tu jeet gayee mujse  tearyeyed
Logged
angel4u
Guest
«Reply #81 on: November 04, 2008, 02:18:04 PM »
Guroor to tu bhi tha mera, teri zidd se phir bhi bebas hoon aaj,
shayad mohabbat jhulas ke haari hai is anaon ki tapish mein...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #82 on: November 04, 2008, 02:42:32 PM »
Guroor to tu bhi tha mera, teri zidd se phir bhi bebas hoon aaj,
shayad mohabbat jhulas ke haari hai is anaon ki tapish mein...
meri zidd to bas itni thi
tujme sama jaoo main tu mujme sama jaye
par tuje fikr thi kahi tera mom sa nazuk badan
meri mohabbat ki aag me jhulas na jaye
Logged
angel4u
Guest
«Reply #83 on: November 05, 2008, 02:45:54 AM »
Meri mohabbat ki tapish itni thi meri jaan ke,
Tere wajood ka har zarra pighal jaata meri chahaton mein,
tujhe shayad kabhi qadar na hui meri wafaon ki sathiya,
warna teri har zidd puri karna shaamil tha meri aadaton mein...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #84 on: November 05, 2008, 03:59:32 AM »
Meri mohabbat ki tapish itni thi meri jaan ke,
Tere wajood ka har zarra pighal jaata meri chahaton mein,
tujhe shayad kabhi qadar na hui meri wafaon ki sathiya,
warna teri har zidd puri karna shaamil tha meri aadaton mein...
main to aaj bhi pigalne ko taiyaar bhaitha hu
teri raho me ban ke phool bikharne ko yaar bhaitha hu
aa ek baar gale se laga le muje
ek muddat se tujse milne ko bekarar bhaitha hu
Logged
angel4u
Guest
«Reply #85 on: November 05, 2008, 02:53:04 PM »
Bekarariyonke silsilone meri hasti ko qabr tak pahucha diya hai,
meri roohne phir bhi chaha tujhe is aakhri maqaam se zyada hai,
tanhaiyonke qafan mein aaj bhi kuch ashqon ke daag baaqi hai,
meri paak mohabbat ka teri sangdil wafaone bas yehi sila diya hai...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #86 on: November 05, 2008, 03:26:07 PM »
Bekarariyonke silsilone meri hasti ko qabr tak pahucha diya hai,
meri roohne phir bhi chaha tujhe is aakhri maqaam se zyada hai,
tanhaiyonke qafan mein aaj bhi kuch ashqon ke daag baaqi hai,
meri paak mohabbat ka teri sangdil wafaone bas yehi sila diya hai...
q karti hain aisi batein q dil jalati hain
kya duniya ne kam sataya hain jo tu bhi satati hain
tera marna kya kam taklifde tha zalim
jo bevafa kehkar dil ko aur bhi dukhati hain
Logged
angel4u
Guest
«Reply #87 on: November 06, 2008, 02:18:59 PM »
mujhse nahi tere hi dilse jawab maang le,
tune bewafayi nahi ki ye safayi maang le,
mera qafan taras gaya tere ek ashq ke liye,
is chahatka apni hi rooh se hisaab maang le...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #88 on: November 06, 2008, 06:24:15 PM »
mujhse nahi tere hi dilse jawab maang le,
tune bewafayi nahi ki ye safayi maang le,
mera qafan taras gaya tere ek ashq ke liye,
is chahatka apni hi rooh se hisaab maang le...

tuje khud se ziyada chaha humne, khud se bewafaiee ki
tuje khushiya dekar apni tere gam le liye, apni khushiyo se bewafaiee ki
apne dosto ko bhool gaye tumse milkar, humne dosto se bewafaiee ki
ek pal na teri yaad ne soney diya, humne apni neend se bewafaiee ki
lo aaj has has ke humne bhi jan dedi, humne zindagi se bewafaiee ki
yeh hain mera hisab-e-zindagi, ab yeh na kehna ghayel ne hiisab me bewafaiee ki
Logged
angel4u
Guest
«Reply #89 on: November 07, 2008, 02:24:45 AM »
Aaj tune deke hisaab apni qurbaaniyon ka aaj ehsaan jata diya,
bewafayi to ki hi tune sabse par hamein gair hone ke ehsaas dila diya,
hisaabki baat chali hai to aye sanam ye hisaab bhi de dun tujhe,
bewafayi to humne b ki apni saanson se, teri chahatme ye sukoon-e-qabr paa liya...
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 05:31:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer