**Tu dhoor rehkar mere sabse kareeb hai** by Rahim

by dead heart on April 09, 2010, 12:47:39 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4110 times)
dead heart
Guest
Aj ankhein bhar ayi hai..Ek koshish kar raha hoon...

Aj phir dil bahaut udaas hai,
Teri baahon main jeene ki aas hai,
Bahaut adhura sa lagta hai tujh bin mujhe Zalim,
Tu dhoor rehkar bhi mere sabse kareeb hai...

Tujh bin jeeya nahin jata mujse,
Tujh bin sans lene ko mann nahin hota,
Ashkon main doob kar bahaut thak gaya hoon  main Zalim,
Tu dhoor rehkar bhi mere sabse kareeb hai...

Tu mera kal bhi hai aur aj bhi,
Mujh main mujse zada toh tu basa hai,
Kya gunaah kiya tha ‘Rahim’ ne jo tujh jaisa anmol tofa kho dia,
Tu dhoor rehkar bhi mere sabse kareeb hai...

Log kehte hai zindagi main agey badna seekho,
Kal ko bhoola ke; aj main jeena seekho,
Mager jo meri dhadkan hai usse kaise main kal main chorr sakta hoon Zalim,
Tu dhoor rehkar bhi mere sabse kareeb hai...

Bas ab aur likha nahin jaega mujse,
Bas itna kehna chahta hoon tujse Zalim,
Rahim ne bahaut mohobat ki hai tujse,
Bahaut zada mohobat,
Kya tu mera nahin ho sakta?
Kash tujhe dil cheer kar main dikha pata,
Ke tu nahin toh kuch bhi nahin,
Kuch bhi nahin,
Wakei meri jaan,
Tu dhoor rehkar bhi mere sabse kareeb hai...


~Rahim~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 09, 2010, 01:01:16 PM »
Bahut Bahut Khoob Bhai Rahim.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Hi Jazbaati Peshkash..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: April 09, 2010, 02:39:52 PM »
Shukriya Khwahish bhaijan...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: April 09, 2010, 08:37:25 PM »
Wah! Rahim Ji, Kamaal ki peshkash hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: April 09, 2010, 10:19:39 PM »
Bahut hi khoobsurat kavita likhi hai aapne Rahim bhai... kavita nahi aapne bas dard likha hai... aapki kahani se milti julti meri bhi kahani hai dost... isliye kaafi hadd tak main aapke dard ko mehsoos kar sakta hoon... aaj fir se main aapke dard pe wah wah keh raha hoon Rahim bhai.... bahut khoob likha hai aapne... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

mohabbat dekar wo hamari jaan le gayi haseen kaatil,
apni yaadein chhodke hamari saanse le gayi wo haseen kaatil...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: April 10, 2010, 05:17:16 AM »
Shukriya Rajesh jee...

Shukriya Kapil dost...haan dard hi dard likha hai...bahaut tanha mehsoos kar raha tha toh socha tanhai ko lavzon main ked karloun...Waise apka shaer bahaut acha hai..Bahaut hi zada acha...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: April 10, 2010, 07:03:43 AM »
Dard Bhari Yeh Peshkash Dil Ki Gehraaiyon Tak utar gaye Rahimmmmmm Bhai.. Aisa Laga Jaise dil Nikaal kar rakh diya ho aapne.. Bahut Lajawab aur Jabardast Peshkash Hai Bhai... Applause Applause

Daad Kubool karen...  Clapping Smiley icon_thumleft Clapping Smiley icon_thumleft Clapping Smiley icon_thumleft Clapping Smiley



Jab Se Muah Moda Hai Us Dil-e-Yaar Ne Mujhse,
Har Manzar Bewafaai Se Labrez Nazar Aata Hai....!!




**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: April 10, 2010, 07:51:14 AM »
Bahaut bahaut shukriya Vikas bhaijan...Teh dil se shukriya!! Usual Smile

Apne bahaut acha shaer likha hai... Toooooo good! Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #8 on: April 10, 2010, 09:24:00 AM »
Shukriya Rahim Bhai.. Usual Smile Usual Smile



**~** Mann **~**
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: April 10, 2010, 10:25:20 AM »
bahut bahut shukriya Rahim bhai ... aur khud ko yun tanha na mehsus kiya karo... !!!

Shukriya Rajesh jee...

Shukriya Kapil dost...haan dard hi dard likha hai...bahaut tanha mehsoos kar raha tha toh socha tanhai ko lavzon main ked karloun...Waise apka shaer bahaut acha hai..Bahaut hi zada acha...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: April 10, 2010, 06:56:56 PM »
bahut bahut shukriya Rahim bhai ... aur khud ko yun tanha na mehsus kiya karo... !!!

Koshish karenge ke tanhayi pas na aye mager ek baat kahoun...parchai ko insaan se alag kaise karte hai, yeh Rahim ne aj tak jana nahin...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: April 10, 2010, 07:05:36 PM »
Rahim bhai main ye to nahi bata sakta ki parchhai ko insaan se alag kaise karte hain par kabhi kabhi sochta hoon ki kya aur kyun udaas ho rahe hain hum. kya unke aane se pehle hamari zindagi itni tanha thi. agar nahi to unke jaane k baad q hai...

kabhi unko kabhi unke ghum ko yaad karte hain,
unki mohabbat ko har ghadi hum to yaad karte hain,
hum to unhe apni parchhai samajh rahe hain,
kya kabhi bhoole se wo humko yaad karte hain...


Koshish karenge ke tanhayi pas na aye mager ek baat kahoun...parchai ko insaan se alag kaise karte hai, yeh Rahim ne aj tak jana nahin...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: April 10, 2010, 07:13:14 PM »
Ek shaer yaad agaya jab apne kaha unke ane se pehle;

Zindagi main bas do ghadiyan kathin guzri hai,
Ek uske ane se pehle aur ek uske jane ke baad...


Rahim kal bhi tanha tha, aj bhi hai...Bas uske saath jo lamhein guzre, woh zindagi ke sabse behtrin lamhe the...sabse khubsoorat...Main unn lamhon ko dobara jeena chahunga ager zindagi aur kismat moka de...Nahin mujhe kehna chahiye ager Allah ki marzi ho toh...Woh jo karta hai, behtar karta hai...sabse acha karta hai...

Waise bahaut dard bhar dia inn 4 lines main...akhri line toh bas main kya kahoun... Applause Applause

Shayad sach hai 'Rahim' ke woh hume yaad nahin karte,
Mager yeh bhi sach hai ke mohobat maine ki hai; usne nahin...

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: April 10, 2010, 07:39:29 PM »
Haan baat to aap sahi keh rahe hain . Mohabbat hoti hi itni nasheeli ki uske aage sab kuch feeka pad jaata hai. Mera bhi mann karta hai ki ek baar fir se un dino ko jee lu. Jo tab na kar saka ab kar lu. Aur sab uparwaale k haath hi hai . Sach me wo jo karta hai achcha hi karta hai...

aur bahut bahut shukriya aapka Rahim bhai hamare dard bhare lines ki taarif k liye aur unhe samajhne k liye...!!!

Ye mere ek kavita k akhri k kuch lines hain.. poora yahaan nahi paste kar raha ... link de raa hoon wahaan padh lijiye... kuch lambi hai wo kavita...

sang beeta wo waqt tha aisa,
kam tha lekin tha wo pyara,
kabhi kabhi ye sochta hoon main,
kaash wo waqt wapas laa pata,
kuch palon ki khushiyaan dekar,
jaane kahaan wo aaj kho gayi,
un dino ki kuch yaadein hai,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain...


http://www.yoindia.com/shayariadab/shayri-for-dard-e-judai/wo-beete-lamhe-yaad-aate-hain-t55548.0.html
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: April 10, 2010, 07:51:27 PM »
Haan...kya lamhe the woh...woh humari thi aur hum unke..Aj...sab tanha tanha sa lagta hai..khair, dard bahaut hota hai woh sab soch kar mager koi bhalayi hogi humari...

Iss kavita ka reply, main original thread main dunga usse puri parr kar...

Khushi hui yeh jankar ke main apka dard samaj paya...
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 07:45:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.185 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer