ZAKHM AISE BHI HAI JISKI KOI DAWAA NAHI HOTI.......

by khwaish on December 13, 2007, 06:47:23 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
Print
Author  (Read 6226 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #45 on: January 05, 2008, 06:51:33 PM »
Likhne ki koshish ki hai... shayad pasand ayye apko..

zakham aise bhi hai jisaki koi dawa nahi hoti
kaise kare koi fariyaad, koi bhi dua, kamyaab nahi hoti
sulagti rahti hai yaandein, bhigi lakdi ki tarah
magar ankho se ab koi barsaat nahi hoti..

shabd, shabdo ke arth, sab dhundhla se gaye hai
kisi bhi shabd se marham ki koi aass nahi hoti
mit gaya sab, phir bhi mit.ti nahi yandein
khud se khud ki hi koi pehchan nahi hoti..

zakham aise bhi hai jisaki koi dawa nahi hoti
kaise kare koi fariyaad, koi bhi dua, kamyaab nahi hoti...

BAHUT KHOOB POOJA...AAPNE BAHUT HI ACHA LIKHA HAI..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jiski koi Parwaaz Nahi by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
suna he ishk ki duniyaa mei koi dawaa nahi hoti by hameeda in Share:Love Poetry
Ishq Ki Koi Bhi Dawaa Nahi Hoti by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard ZAKHM me na raahat DAWAA me hai...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #46 on: January 05, 2008, 06:57:17 PM »
bahoot bahoot shukria Khwaish ji!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #47 on: January 05, 2008, 07:09:52 PM »
AAPKE FIRST TWO LINES KO LEKE,KUCH AAGE LIKHNE KI KOSHISH KAR RAHA HOON...

ZAKHM AISE BHI HAI,JISKI KOI DAWA NAHI HOTI
KAISE KARE KOI FARIYAAD,KOI DUA KAMYAB NAHI HOTI...
BADE SHAUK SE UDTA HAI PARINDA TEZ HAWAON MEIN
BAND PINJRE MEIN PARINDE KI ZUBAAN NAHI HOTI...

SAAMNE SE GUZAR GAYE WOH KUCH YUH "KHWAISH"
TEHAR SA GAYA WOH PAL ZEHAN MEIN
NA GUZARTA HAI DIN,AB RAAT BHI NAHI HOTI...

MIL BHI JAAYEN AGAR HUM ZINDAGI
MEIN PHIR KABHI,JAANTA HOON
BAHUT SE SAWAAL HAI MAN MEIN DABE HUE,
PAR LABO SE KOI BAAT NAHI HOTI...

PYAAR MEIN JUDAI KE BAAT PHIR CHAAHE
KITNI BHI MULAKATE HO
PYAAR EK BAAR DIL SE HOTA HAI
PHIR WOH SHURUWAT NAHI HOTI...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: January 05, 2008, 08:02:10 PM »
wah kaya likh gaye app.. bahoot  khoob khwaish ji!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #49 on: January 05, 2008, 08:22:31 PM »
Khwaishji! bahot gehra likha hai apane!

Rah main mil jaye toh nazare churate hai humse,
Sharmo haya ab toh jata te hai humse,
jo pahelu main baith roye the kabhi,
Ab beganose pesh ate hai humse!
Benam zindagi jite hai ab toh,
Naam kabhi juda tha jo humse!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: January 05, 2008, 08:26:11 PM »
Good one BeNam ji!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #51 on: January 05, 2008, 10:48:19 PM »
Pooja, Khwaish, BeNam

Aaj aap teeno ko ek saath likhte dekh kar bahut achcha laga.

Sahi mayne mein shayari ka mazaa aata hai aap jaise logon ka likha padh kar.

Roshu bhi zaroor aap logon ka saath degi yahan jaldi.
Logged
BeNam
Guest
«Reply #52 on: January 05, 2008, 10:55:43 PM »
Housla afzai ka shukriya bade bhaiya! Aap hi ko miss kar rahe the hum toh!

tanhai payi hai uski mehfil se ruksat hone ke baad,
Na jane kyun jiye ja rahe hai hum juda hone ke baad!

Logged
Rajbir
Guest
«Reply #53 on: January 05, 2008, 11:14:13 PM »
BeNam bhai,

Humein jab bhi yaad karoge apne saath paoge !

Tanhai mein bhi bass usi ka khayal aata hai
Kya har aashiq mohabbat ka yahi sila paata hai? Roll Eyes sad5
Logged
BeNam
Guest
«Reply #54 on: January 05, 2008, 11:46:03 PM »
Kya baat hai bade bhaiya! Aap toh chha gaye!

Mahobbat ka sila na puchho,
tanhai main ishq ka haal na puchho
Ankhe khuli rah gayi kabra main,
Intazaar-e-husn ka alam na puchho!
Logged
~princess~
Guest
«Reply #55 on: January 06, 2008, 12:21:01 AM »
Zakhmon ka apne mein aaj hisab karne baithi thi
Maine dekha ke zyada Zakhm humne apno se paye honge

Log dard e dil sunkar humari daastan suna kar haste the
Jab Sunte jo asliyat to unke ankho se bhi ansun aye honge

Ashique mein kadam rakhte na jante the ismein shartein hai
Kahbi Kisi Nazm mein hum bhi diwane kehlaye honge

Sota hoga chain se jab tu apni khush rang duniya mein
Us pal khwab chand mere sirhane bhi tere aye honge

bahate hai agar hum ansun tere Intezar mein Raat raat
Khuda jaane inka hisab tere kismat bhi aye honge

Jab puchte honge tujhse ke kya hua humari mohobbat ka
Bewafai ka apni sochkar mathe pe chand sikhaj tere bhi aye honge

~Roshni~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #56 on: January 07, 2008, 07:43:01 PM »
THANX A LOT POOJA,BENAM,PAAJI....

BAHUT KHOOB BENAM,PAAJI AND ROSHU...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #57 on: January 07, 2008, 07:52:36 PM »
MUSKURA SAKTA NAHI,AANSU BAHA SAKTA NAHI
HALAAT APNE MAIN HAR KISI KO BATA SAKTA NAHI...

UNKI YAADON MEIN KUCH YUH KHO GAYA HOON
KHUD APNI KHABAR BHI PAA SAKTA NAI...

ZAKHM WOH KABHI BHARTE NAHI JO DIL PE HOTE HAI
DARD JO AB DIL SE UTHA HAI WOH
TAA-UMAR JAA SAKTA NAHI...

ZINDAGI MEIN KUCH PAL AISE GUZRE HAI
JINHE KAASH MEIN ROK LETA
PAR EK BAAR GUZRA WAQT
PALAT KE AA SAKTA NAHI...

BICHAD KAR TUJHSE ROTA RAHA HOON RAAT BHAR
INSAAN KI APNI APNI MAJBOORI HOTI HAI
"KHWAISH" HAR EK KO YEH SAMJHA SAKTA NAHI...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: January 07, 2008, 08:51:48 PM »
samjha sakte nahi khud hi khud ko jab
kisi ko samjhane kaha jaye
dil mai base dard ko
kaha laker jaye

dard hai aor dard mai teri yaandein
in yaandon ko laker kaha jaaye
mar bhi jaate lekin mare kaise
mout bhi nahi atti, mout ko samjhane kaha jaaye

tu nahi teri yaadein abni qatil
in qatil yaandon se bachne kaha jaaye
samjha sakte nahi khud hi khud ko jab
kisi ko samjhane kaha jaye
dil mai base dard ko, kaha laker jaye
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #59 on: January 07, 2008, 08:59:07 PM »
BeNam, Roshu, Khwaish, Pooja

4-4 dharundhar ek saath !

Mashallah bahut achcha laga aap sabko ek saath likhte dekh kar !

Roshu your turn now Winking tongue3
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 07:59:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer