my favourite GHAZALS

by bekarar on June 20, 2008, 02:23:00 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 4901 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #30 on: June 20, 2008, 06:54:25 PM »
hmmm to ye baat hai chalo ek baar fir se un dino ko yaad keejiye hello2

ye ghazal mujhe sunne me bahoot achchi lagti hai

maine dil se kahaa -2, ai deevaane bataa
maine dil se kahaa, ai deevaane bataa
jab se koi milaa, tu hai khoyaa huaa
ye kahaani hai kyaa, hai ye kyaa silsilaa, ai deevaane bataa
maine dil se kahaa, ai deevaane bataa

dhaDkanoN mein chhupi, kaisi aavaaz hai
kaisaa ye geet hai kaisaa ye saaz hai
kaisi ye baat hai, kaisaa ye raaz hai, ai deevaane bataa

mere dil ne kahaa -2, jab se koi milaa
chaaNd taare fizaa, phool bhaNvre havaa
ye hasin vaadiyaaN, neelaa ye aasmaaN
sab hai jaise nayaa, mere dil ne kahaa

maine dil se kahaa, mujhko ye to bataa
jo hai tujhko milaa, usmein kyaa baat hai
kyaa hai jaadoogari, kaun hai vo pari, ai deevaane bataa

mere dil ne kahaa
naa vo koi pari, naa koi maahjabin
naa vo duniyaaN mein sabse hai zyaadaa hasin
seedhi saadhi si hai, bholi bhaali si hai
lekin usmein adaa ik niraali si hai
uske bin meraa jeenaa hi bekaar hai

maine dil se kahaa
baat itni si hai ki tujhe pyaar hai
mere dil ne kahaa mujhko iqaraar hai
haaN mujhe pyaar hai -4
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghazals by majid in Ghazals
ghazals by poonam singh in Ghazals
ghazals by poonam singh in Share:Poetry of Separation
°°° My New Experiment in Ghazals °°° by Zaif in Ghazals « 1 2  All »
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #31 on: June 20, 2008, 06:57:07 PM »
    ye bhi mujhe sunne aur gungunane me pasand hai

    apne hoThoN par sajaana chaahta hooN
     aa tuJhe maiN gun-gunaana chaahta hooN
 
     koi aaNsoo tere daaman par girakar
     boond ko moti banaana chaahta hooN

     thak gaya maiN karte-karte yaad tuJhko
     ab tuJhe maiN yaad aana chaahta hooN

     chaa raha hai saari basti meiN andhera
     roshni ko ghar jalaana chaahta hooN

     aakhri hichki tere zaanO pe aaye
     maut ko bhi shaayarana chaahta hooN
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: June 20, 2008, 06:57:40 PM »
AJJ KAL KAI BAR GUNGUNA HE JAATI HU...

     ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
     aa fir se muJhe choD ke jaane ke liye aa

     ab tak dil-e-khush seham ko tujh se hain ummeedeN
     ye aakhri shamme bhi buJhaane ke liye aa
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: June 20, 2008, 07:02:38 PM »
Mujhse ab ruka nahi ja raha hai: Ok ek song main bhi add kar rahi hu:

Humne dekhi hai un aankhon ki mahakti khusboo
Haath Se chhu ke ise rishton ka ilzaam na do
Sirf ehsaas hai ye rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do koi naam na do

Pyar koi bol nahi, pyar aawaz nahi
Ek khamoshi hai sunti hai kaha karti hai
Na ye bujhtee hai, na rukti hai, na thahri hai kahin
Noor ki boond hai sadiyon se baha karti hai
Sirf ehsaas hai ye rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do koi naam na do

Muskarahat si khili rehti aankhon mein kahin
Aur palkon pe ujaale se jhuke rehte hain
Honth kuch kehte nahi kaanpte hothon pe magar
Kitne khaamsoh se afsaane ruke rehte hain
Sirf ehsaas hai ye rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do koi naam na do
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #34 on: June 20, 2008, 07:08:26 PM »
 Applause Applause Applause nice choice


Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan,
Zulfon Mein Sitare Bharlena,
Aise Hi Kabhi Jab Shaam Dhale,
Tab Yaad Hamen Bhi Karlena,
Aachal Mein Saja Lena Kaliyan..

Aaya Tha Yahan Begana Sa (2),
Chal Dunga Kahin Deewana Sa (2),
Deewane Ki Khatir Tum Koyi,
Ilzaam Na Apne Sar Lena,
Aise Hi Kabhi Jab Shaam Dhale,
Tab Yaad Hamen Bhi Kar Lena,
Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan..

Rasta Jo Mile Anjaan Koyi, (2)
Aajaaye Agar Toofan Koyi, (2)
Apne Ko Akela Jaan Ke Tum,
Aakhon Ne Aasun Bharlena,
Aise Hi Kabhi Jab Shaam Dhale,
Tab Yaad Hamen Bhi Kar Lena,
Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan..
Zulfon Mein Sitare Bharlena,
Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan..

 Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: June 20, 2008, 07:12:10 PM »
Ok, one more:

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye
Chupke Se Aaye
Mere Khayaalon Ke Aangan Mein
Koi Sapnon Ke Deep Jalaaye

Kabhi Yun Hi Jab Hui Bojhal Saansen
Bhar Aai Baithe Baithe Jab Yun Hi Aankhen
Kabhi Machal Ke Pyar Se Chal Ke
Chhuye Koi Mujhe Par Nazar Na Aaye
Kahin Door...

Kahin To Yeh Dil Kabhi Mil Nahin Paate
Kahin Pe Nikal Aaye Janmon Ke Naate
Thami Thi Uljhan Bairi Apna Man
Apna Hi Hoke Sahe Dard Paraaye
Kahin Door...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #36 on: June 21, 2008, 04:21:09 AM »
 Applause Applause good one again

shola ho bhaDakne ki guzaarish nahin karta
     sach muuh se nikal jaata hai koshish nahin karta

     girti huyee diwaar ka humdard hooN lekin
     chaDhte huye sooraj ki parasthish nahin karta

     maathe ke paseene ki mahak aaye na jaisi
     wo khoon mere jisM meiN gardish nahin karta
   
     humdard ye ehbaab se darta hoon 'Muzaffar'
     main zakhm to rakhta hoon numaish nahin karta

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #37 on: June 21, 2008, 04:26:49 AM »
     maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon maiN
     lekin hawa ke rehmo-karam par nahiN hoon maiN

     insaan hooN dhaDkte huye dil par haath rakh
     yoon doob kar na dekh samandar nahiN hoon maiN

     chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki
     aaiynaa haath meiN hai sikandar nahiN hoon maiN

     'ghalib' tere zameen meiN likhi to hai ghazal
     tere kad-e-sukhan ke baraabar nahiN hoon maiN
 
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #38 on: June 21, 2008, 04:33:01 AM »
jinko duniyaN kee nigaaHoN se chupaaye rakha
     jinko ik umR kaleje se lagaaye rakha
     din jinko, jinHe eemaan banaaye rakha
     tune duniyaN kee nigaaHoN se jo bachkar likhe
     salha-saal mere naam baraabar likhe
     kabhi din meiN to kabhi raat meiN uThkar likhe
     pyaar meiN dooBe huye khat maiN jalaata kaise
     tere haathoN ke likhe khat maiN jalaata kaise
     tere khat aaj maiN ganga meiN baha aaya hooN
     aag jalte huye paaNi meiN laga aaya hooN.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #39 on: June 21, 2008, 04:34:38 AM »
manzil na de charaag na de hauslaa to de
     tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de
 
     maiNe ye kab kaha ke mere haq meiN ho jawaab
     lekin khamosh kyooN hai tu koi faislaa to de

     barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb
     mere khuda kahaN hai tu apna pata to de

     beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar
     lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #40 on: June 21, 2008, 04:39:03 AM »
apni aankho ke samundar meiN utar jaane de
     tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de

     ay nayey dosth maiN samjhoonga tujhe bhee apna
     pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de

     aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee
     koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de

     zakhm kitne teri chaahat se mile haiN mujko
     soNchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #41 on: June 21, 2008, 04:54:07 AM »
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN
     itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyoon haiN

     main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon
     roshni vaalay meray naam say jaltay kyoon haiN

     neend se mera taaluq hi nahin barso sein
     khawab aa aa kay meri chhat pay tehltay kyoon haiN

     mod hotaa hai jawaani ka sambhalne kay liye
     aur sab log yahin aa kay fisaltay kyoon haiN
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #42 on: June 23, 2008, 08:58:34 AM »
Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi
Guzarte Waqt Ki Har Mauj Thehar Jayegi

Yeh Chand Beete Zamanon Ka Aaina Hoga
Bhatakti Abra Mein Chehra Koi Bana Hoga
Udaas Raah Koi Dastaan Sunayegi
Karoge Yaad To...

Barasta Bheegta Mausam Dhuan - Dhuan Hoga
Pighalti Shammon Pe Dil Ka Mere Guma Hoga
Hatheliyon Ki Heena Yaad Kuchh Dilayegi
Karoge Yaad To...

Gali Ke Modh Pe Soona Sa Koi Darwaaza
Tarasti Aankhon Se Rasta Kisika Dekhega
Nigaah Door Talak Jaake Laut Aayegi
Karoge Yaad To...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #43 on: June 23, 2008, 09:06:37 AM »
Aa aa aa aa, aa aa aa
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye - 2
Bas ek baar mera kaha
Bas ek baar mera kaha maan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Is anjuman mein aap ko
Is anjuman mein, aah, aah aah aah
Is anjuman mein aap ko
Is anjuman mein aap ko aana hai baar baar
Aana hai baar baar
Deevaar-o-dar ko gaur se
Deevaar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Maana ke doston ko nahin
Doston, doston ko nahin
Maana ke doston ko nahin dosti ka paas
Lekin yeh kya ke gair ka
Lekin yeh kya ke gair ka ehsaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Kahiye to
Kahiye to aasmaan ko
Kahiye to aasmaan ko zameen par utaar laaye
Mushkil nahin hai kuch bhi
Mushkil nahin hai kuch bhi agar thaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Bas ek baar, bas ek baar
Bas ek baar mera kaha maan lijiye
Maan lijiye, maan lijiye
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #44 on: June 23, 2008, 09:12:16 AM »
Dikhayi Diye Yoon Ke Bekhudh Kiya
Humein Aapse Bhi Judaa Kar Chale

Jabhi Sajda Karte Hi Sarse Gayi
Haq-E-Bandigi Hum Ada Kar Chale

Parastish Kiya Tak Ke Aye But Tujhe
Nazar Mein Saboki Khuda Kar Gaye

Bahut Arzoo Thi Gali Ki Tere
So Ya Se Lahoo Mein Naha Kar Chale

Fakirana Ae Sada Kar Chale
Miya Khush Raho Hum Dua Kar Chale

Jo Tujh Bin Na Jeene Ka Kehte Hum
So Us Ahad Ko Ab Wafa Kar Chale

Koi Na Umeed Na Karte Nigahen
So Tum Humse Munh Bhi Chhupa Kar Chale
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 02:34:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer