my favourite GHAZALS

by bekarar on June 20, 2008, 02:23:00 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 4910 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
huuun huuuum aaaa aaa-2

(chamakte chand ko
chamakte chand ko tuta hua tara bana dala X2
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala
chamakte)-2

huuun huuuum aaaa aaa-2

bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain X2
yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
chamakte chand...

main is duniya ko aksar dekh kar  hairaan hota hun X2
na mujhse ban saka chhota saghar,din raat rota hun
khudaya  tune kaise  ye jahan sara bana dala
chamakte chand...

mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai X2
teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai
kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala
chamakte chand...

yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha X2
mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghazals by majid in Ghazals
ghazals by poonam singh in Ghazals
ghazals by poonam singh in Share:Poetry of Separation
°°° My New Experiment in Ghazals °°° by Zaif in Ghazals « 1 2  All »
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: June 20, 2008, 02:24:23 PM »
Jhuki Jhuki si nazar, bekaraar hai ki nahi
Jhuki Jhuki si nazar, bekaraar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar

Tu apni dil ki jawan dhadkano ko, gin ke bata
Tu apni dil ki jawan dhadkano ko, gin ke bata
Meri taranh tera dil, bekaraar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar

Wo pal ke jisme mohhabbat, jawan hoti hai
Wo pal ke jisme mohhabbat, jawan hoti hai
Us ek pal ka tujhe, intazar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar

Teri ummed pe thukra raha hoon, duniya ko
Teri ummed pe thukra raha hoon, duniya ko
Tujhe bhi apne pe ye etbaar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2 on: June 20, 2008, 02:59:34 PM »
Koi Ye Kaise Bataaye

Koi ye kaise bataye ki, wo tanha kyon hai
Wo jo apna tha wohi, Or kisi ka kyoon hai
Yahi duniya hai to phir, aisi ye duniya kyoon hai
Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyoon hai

Ik zara haath bada de to, pakdle daaman
Uske seene mein sama jaye, hamari dhadkan
Itni Kurbat hai to phir, faasla itna kyoon hai

Dile barbaad se nikla nahi, ab tak koi
Ik loote ghar pe diya karta hai, dastak koi
Aas jo toot gayi, phir se, bandhaata kyoon hai

Tum masarrat ka kaho ya, ise gum ka rishta
Kehtein hai pyaar ka rishta hai, janam ka rishta
Hai janam ka rishta jo ye to, badalta kyoon hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: June 20, 2008, 03:09:12 PM »
wah kaya baat hai teeno he meri Fav, gazals main aatti hai!! Nice to read here! Thanks for sharing with us Bekarar ji!!!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: June 20, 2008, 03:20:53 PM »


wah kaya baat hai teeno he meri Fav, gazals main aatti hai!!

thanks pooja ji waise ye mujhe maalum tha

kahate hain mujhase ishq ka afasaana chaahiye
rusvaayi ho gayi tumhein sharmaana chaahiye

kuddaar itani fitarat-e-rindaana chaahiye
saaqi ye kud kahe tujhe paimaana chaahiye

aashiq bagair husn-o-jawaani fuzuul hai
jab shamma jal gayi hai to parawaana chaahiye

aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zuruur
warana mariz-e-hijr ko mar jaana chaahiye

vaada tha unake raat ke aane ka ai ' qamar'
ab chaand chhup gaya unhein aa jaana chaahiye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: June 20, 2008, 03:23:37 PM »
nice one Bekarar ji!! waise apko kaise pata wo teeno meri bhi Fav. hai?
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: June 20, 2008, 03:26:55 PM »
post karte waqt mai ye soch raha tha..just guess....

ye alag baat hai saaqi ke mujhe hosh nahin
varana main kuchh bhi huun ehasaan-faraamosh nahin

main teri mast-nigaahi ka bharam rakh luunga
hosh aaya bhi to kah duunga mujhe hosh nahin

hangaama hai kyuun barapa thodi si jo pi li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai

us may se nahin matalab dil jisase ho begaana
makasuud hai us may se dil hi mein jo khinchati hai

suuraj mein lage dhabba fitarat ke karishme hain
but hamako kahein kaafir allaah ki marzi hai

naatajurbaakaari se vaayiz ki ye baatein hain
is rang ko kya jaane puuchho jo kabhi pi hai

waan dil mein ki sadamein do, yaan ji mein ki sab sah lo
unaka bhi ajab dil hai, mera bhi ajab ji hai

har zarra chamakata hai anawaar-e-ilaahi se
har saans ye kahati hai ham hain to kuda bhi hai

e shauq wahi may pi ai hosh zara so ja
mehamaan-e-nazar is dam ik bark-e-tazali hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: June 20, 2008, 03:30:07 PM »
wah bahoot purani gazal laaye hai app, Gulam Ali jee ne kaya gaai hai yah Gazal..

Thanks for sharing here!!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #8 on: June 20, 2008, 03:31:06 PM »
ye bata de muJhe zindagi
     pyaar ki raah ke humsafar
     kis tarah ban gaye ajnabee

     ye bata de muJhe zindagi
     phool kyooN saare muJhaa gaye
     kis liye buJh gayee chandini

     kal jo baahoN meiN thee
     aur nigaahoN meiN thee
     ab wo garmi kahaaN kho gayee

     na wo andaaz hai
     na wo awaaz hai
     ab wo narmi kahaaN kho gayee
  
     bewafa tum nahiN
     bewafa hum nahiN
     fir wo jazbaat kyooN so gaye

     pyaar tumko bhi hai
     pyaar humko bhi hai
     faasle phir ye kyooN ho gaye

     ye bata de muJhe zindagee
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: June 20, 2008, 03:36:58 PM »
ek ek line is gaane ki dil ko chu jaati hai!!

pyaar tumko bhi hai
     pyaar humko bhi hai
     faasle phir ye kyooN ho gaye

     ye bata de muJhe zindagee

kamal ki baat hai ki zindagi waqat waqat per samjhati hai aor hum samjh kar bhi samjhna pasand nahi karte!!

Again Good sharing Bekarar ji!!!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #10 on: June 20, 2008, 03:42:24 PM »
thanks pooja ji,
ghulam ali ji ki gayi hui ye gazal aapki nazar..

zakm-e-tanhaayi mein kushbuu-e-hina kisaki thi
saaya diwaar pe mera tha sada kisaki thi

aansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera
haath to mainne uthaaye the duwa kisaki thi

meri aahon ki zabaan koyi samajhata kaise
zindagi itani dukhi mere siva kisaki thi

chhod di kisake liye tuune ' muzaffar'  duniya
justazu si tujhe har waqt bata kisaki thi

usaki raftaar mein lipati rahin meri aankhein
usane mud kar bhi na dekha ki wafa kisaki thi

waqt ki tarah dabe paanv ye kaun aaya hai
main andhera jise samajha wo qaba kisaki thi

aag se dosti usaki thi jala ghar mera
di gayi kisako saza aur kata kisaki thi

mainne binaayiyaan bokar bhi andhere kaate
kisake bas mein thi zamin aab-o-hawa kisaki thi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: June 20, 2008, 03:46:28 PM »
Bahoot khoob Bekarar ji!! sahi guess kiya apne.. again one of My Fav. Gazal!! aor yah lines to kamal hai!!

meri aahon ki zabaan koyi samajhata kaise
zindagi itani dukhi mere siva kisaki thi

aag se dosti usaki thi jala ghar mera
di gayi kisako saza aur kata kisaki thi

mainne binaayiyaan bokar bhi andhere kaate
kisake bas mein thi zamin aab-o-hawa kisaki thi
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #12 on: June 20, 2008, 03:49:52 PM »
Bahoot saade shabdon me bahoot gahri baat...    


     tum ko dekha to ye khayaal aaya
     zindagi dhoop tum ghana chaaya

     aaj phir dil ne ik tamanna ki
     aaj phir dil ko humNe samJhaaya
     zindagi dhoop tum ghana chaaya

     tum chale jaaoge to socheNge
     humne kya khoya humne kya paaya
     zindagi dhoop tum ghana chaaya


     hum jise gunguna nahiN sakte
     waqt ne aisa geet kyooN gaaya
     zindagi dhoop tum ghana chaaya

Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: June 20, 2008, 03:53:10 PM »
wah bahoot khoob!!

aaj phir dil ne ik tamanna ki
aaj phir dil ko humNe samJhaaya

hum jise gunguna nahiN sakte
waqt ne aisa geet kyooN gaaya

wah likhne wale kaya kamal ka likhte hai!! Thanks for sharing with us!!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #14 on: June 20, 2008, 05:27:12 PM »
ur welcome pooja ji....one more evergreen ghazal

ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo
     bhale cheen lo muJhse meri jawaani
     magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
     wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

     mohalle ki sabse nishaani purani
     wo buDhiya jise bachche kehte the naani
     wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa
     wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera
     bhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi
     wo choti see raateN wo lambi kahaaNi

     kaDi dhooP meiN apne ghar se nikalna
     wo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDna
     wo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDna
     wo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNa
     wo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fe
     wo TuTi hui chudiYoN ki nishaani

     kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaana
     gharOnde banana, banaake miTaana
     wo maasoom chaahat ki tasveer apni
     wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni
     na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan
     baDi khoobsoorat thi wo zindgaani
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 07, 2024, 03:55:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer