Halaat Se Ladte Rehna,Ek Aadat Si Ban Gayi Hai Ab Toh.........

by khwaish on January 29, 2009, 06:47:15 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3127 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Yeh Nazm Khaas Kar,Uss Shaks Ko Zehan Mein Rekh Kar Likh Raha Hoon,Jinka Yoindia Ki Mehfil Se Ek Gehra Rishta Raha Hai,Umeed Karta Hoon,Woh Yeh Nazm Zaroor Padhe..

Kashti Ke Musafir Ne Samundar Nahi Dekha,
Kabhi Kisi Aur Ke Jazbaat Mein Behkar Nahi Dekha...

Aaene se Chupa Raha Dil Ka Woh Zakhm Umar Bhar,
Bahaar Ki Khoobsurti Dekhi Usne,
kabhi Insaan Ke Andar Nahi Dekha....

Halaat Se Ladte Rehna,Ek Aadat Si Ban Gayi Hai Ab toh,
Gardish-e-safar Mein Bahut Khuch Khoya Hai Par,
Usne Kabhi Peeche Mud Kar Nahi Dekha....

Woh Shaks Saath Mein Reh Kar Bhi Saath-Saath Naa Reh Saka,
Aankhon ke Saamne Tha Par Kabhi Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha....

Mehfilo Mein Daad Dene Walo Ki Kami Nahi Hai "KHWAISH"
Par Kabhi Kisi Ne Auro Ke Gham Par Rokar Nahi Dekha....

Yuh To "Khwaish" Kabhi Majbooriyon Ke Basti Ka Bashinda Naa Tha,
Par Pehle Usne Kabhi Yuh Bebasi Ke Aalam Se Guzar Kar Nahi Dekha....

Yeh Baat Sach Hai Ke Guzre Waqt Ke Saath,
Yahan Logon Ke Khayalaat Badal Jaate hai,
Par Pathar Hi Samajte Rahe Usse Samajne Wale,
Woh To Mom Ki Tarah Hai,
Kabhi Kisi Ne Usse Chukar Nahi Dekha....


      ~~~~~~KHWAISH~~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
...aadat si ho gayi hai... by diya786 in Shayri-E-Dard
----- /// Aadat si ho gayi hai /// ----- by ~Hriday~ in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aadat Si Ho Gayi Hai..........Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
zindagi se ladte ladte haare hain............ by SURESH SANGWAN in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Woh bhool jaane ki aadat nahi gayi uski by livingbytheday in Ghazals
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 29, 2009, 07:24:52 PM »
Reply with quote
Bohat Hi Badiya Hai, Nice One KHwaish Brother,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2009, 07:43:00 PM »
Reply with quote
Bohat khooooob Khwaish..... Clapping Smiley

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 30, 2009, 02:13:48 AM »
Reply with quote
Bohat Hi Badiya Hai, Nice One KHwaish Brother,.

Bahut Bahut Shukriya Azeem Bro...
Logged
cara
Guest
«Reply #4 on: January 30, 2009, 02:32:13 AM »
Reply with quote
bahut hi badiya likha hai....khwaish ji.....

na jaane kyun koi,kis chahera dekh kar hi usko samajh jaata,
kyun na koi kisi ke dil mein jaake,us ke  haalat samajh leta.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 30, 2009, 11:15:35 AM »
Reply with quote
Bohat khooooob Khwaish..... Clapping Smiley



Bahut Bahut Shukriya Sajid Bhai..
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: January 31, 2009, 10:50:32 AM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob Khwaish ... bohot achcha likha hai aapne Applause Applause
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #7 on: January 31, 2009, 01:42:33 PM »
Reply with quote
bahoth bahoth qoob kuwish sahab Jawab nahi apke is kalami inqalaab ka hazaro parde gira gaya apka ye kalam janab ishare ba qobi diya apne aur humne samjh bhi liye wo wapas bhi agaya yoindia per jiska gahera rista tha ab ye samjho ke maine bolaya usko ya waqath ne bath juda nahi !! aur janab qayal hiagye apki nazam ke hum kya saaf tariqe se shikayath ki hai apne mashallah ,allah apke sare kalamoo ko miyar izzath bakshe sahab dil se dad qobol karen !! aur mazirath chahunga ke nazar zara der se pade apke kalam pe magar ahsen hai ye nazar ke miyari padi !! he he he

Qadeer Toopchi
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: January 31, 2009, 02:03:07 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

Bahut khoob Khwaish jii.... Wonderful creation...  Applause Thumbs UP
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: January 31, 2009, 02:09:45 PM »
Reply with quote
Applause Applause

Wah khawish ji aapne bohat khoob likha hai wonderfull work ji... Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: January 31, 2009, 06:27:08 PM »
Reply with quote
Yeh Nazm Khaas Kar,Uss Shaks Ko Zehan Mein Rekh Kar Likh Raha Hoon,Jinka Yoindia Ki Mehfil Se Ek Gehra Rishta Raha Hai,Umeed Karta Hoon,Woh Yeh Nazm Zaroor Padhe..

Kashti Ke Musafir Ne Samundar Nahi Dekha,
Kabhi Kisi Aur Ke Jazbaat Mein Behkar Nahi Dekha...

Aaene se Chupa Raha Dil Ko Woh Zakhm Umar Bhar,
Bahaar Ki Khoobsurti Dekhi Usne,
kabhi Insaan Ke Andar Nahi Dekha....

Halaat Se Ladte Rehna,Ek Aadat Si Ban Gayi Hai Ab toh,
Gardish-e-safar Mein Bahut Khuch Khoya Hai Par,
Usne Kabhi Peeche Mud Kar Nahi Dekha....

Woh Shaks Saath Mein Reh Kar Bhi Saath-Saath Naa Reh Saka,
Aankhon ke Saamne Tha Par Kabhi Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha....

Mehfilo Mein Daad Dene Walo Ki Kami Nahi Hai "KHWAISH"
Par Kabhi Kisi Ne Auro Ke Gham Par Rokar Nahi Dekha....

Yuh To "Khwaish" Kabhi Majbooriyon Ke Basti Ka Bashinda Naa Tha,
Par Pehle Usne Kabhi Yuh Bebasi Ke Aalam Se Guzar Kar Nahi Dekha....

Yeh Baat Sach Hai Ke Guzre Waqt Ke Saath,
Yahan Logon Ke Khayalaat Badal Jaate hai,
Par Pathar Hi Samajte Rahe Usse Samajne Wale,
Woh To Mom Ki Tarah Hai,
Kabhi Kisi Ne Usse Chukar Nahi Dekha....


      ~~~~~~KHWAISH~~~~~~


Bahut hi achha likha hia khwahish...

Mere ashqon pe ungli uthanewale the mehfil mein har koi,
Kisne Dil mein jalte hue armanoke sailaab ko nahi dekha,
kehne ko to kehti hia duniya bhool jaate hai musaafir,
kisine un rehguzaron ki naummeedon ko nai dekha...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: January 31, 2009, 07:30:33 PM »
Reply with quote
bahut hi badiya likha hai....khwaish ji.....

na jaane kyun koi,kis chahera dekh kar hi usko samajh jaata,
kyun na koi kisi ke dil mein jaake,us ke  haalat samajh leta.

Bahut Bahut Shukriya Cara..

Aur aapne Bahut Khoob likha..cara aapki Haazir-jawaabi ka main hamesha se Kaayal raha hoon..aur shukriya hamesha se saath dene ka..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #12 on: January 31, 2009, 07:55:16 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Khwaish Ji
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #13 on: February 01, 2009, 03:58:52 PM »
Reply with quote
Bohat khoob... keep it up

Sajid Hadayat
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 02, 2009, 05:45:14 PM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob Khwaish ... bohot achcha likha hai aapne Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Talat aapka..Aapne isse Padha Aur saraha Dost,Yeh Jaankar Bahut khushi hui..
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 07:24:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer