A request from New Writer to Yoindia Shayariadab community

by yoindia on June 03, 2012, 03:17:16 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 8033 times)
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
«Reply #30 on: June 05, 2012, 09:36:45 AM »
Below I received a PM from a new member of community. I feel it is will be better if I share this community in open and let the community decide.

Do you think he is right , do you think we should do something about it , kindly give your views


sahi hi to kaha hai


Agar poem ek bhi choti ya badi galti hai to use samjha (sahi tareeke se ) ya batana jaruri hai

chahe wo naya member ho ya poorana

ham jab koi poem padhty hain to usme shabdon ki chaap hoti hai
jo apni kahani bayan karty hai
to hamen unki galtiyan pakad ke batana hai ya fir unko aur jyada paripakva kaise kia ja sakta hai ye sochna acha hai
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #31 on: June 05, 2012, 11:05:10 AM »
sir maine bhi yahan kaafi stories likhi hai agar aap sab memebers gaur kare toh lagbhag maine kaafi kahaniaa likhi hai aap mere profile ek threads mein padh sakte hai aur apne reviews de sakte hai ismein koi shak nahin ki yoindia only shayari mizaaz logo ke liye hi hai but main aapsab se guzaarish karungaa ki main yahan sirf aur srif kahaniya likhta hoo love stories in thriller and many genre admin ke kehne par main yahan aake dekha ki aapsab kitane comments de rahe hai so ek meri taraf se i am the yoindian story writer thank you for reading
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #32 on: June 05, 2012, 01:25:31 PM »
I think there are multiple ways of looking at this situation:

1) Poetry is a persons best emotion expressed in words:Therefore it is obvious that poets will be sensitive about it, a lot of us who are new writers/ poets (we have read less of poetry have less exposure) dont have the complete understanding of poetry, hence lots of times we tend to get offended. but this is the nature of a new learner.

2) lessons are important: We have never had the opportunity to study poetry in an academic manner, but this forum helps us to get tutored by some very renowned poets, which otherwise was not possible. Therefore, new poets (like me) should take it constructively.

3) Feedback should be constructive: like i have received feedback couple of times and i find that those were correct feedback, i have felt being helped by seniors here, but as i said that since poetry is very sensitive, if the feedback is not given nicely, one tends to get offended. This is a medium were one assumes lot of things, since there is no face to face contact and one does not know the feelings behind feedbacks, whether someone is giving it genuinely or is trying to offend someone.

4) Cannot make few examples as a general observation: There could be some stray incidents, but if you seniors stop giving honest feedbacks, how will the new learn and turn into better poets.

5)last but not the least: The symbolism of appreciations according to me is not important. 2 claps vs 4 claps, a poet does not know what he has to improve, i would still prefer a feedback where i get to know what i could have corrected, or what needs improvement. Language, thought, expression - symbolic appreciation might not help us develop our weaker side

These are my instinctive reaction and feel that this is a great medium for new poets to explore and learn.
 
Logged
Qais
Guest
«Reply #33 on: June 05, 2012, 02:43:14 PM »
admin ji , shukriya . New member ne honest feedback ki baat kahi hai. Bahut mushkil kaam hai . Bahr wali post ka feedback alag tarah ka hoga bina bahr wali ka alag . Language , pronunciation ,khayal ki adaaygi sub ka alag alag tarah ka feedback hoga jo hamesha mumkin nahin hai . New Member ye clear kar dein ki wo kin pahluon per feedback chaahte hain to behtar hoga.
   Meri raai mein aap FORUM per hi koi thread create karein jismein log techical feedback  seek  kar  sakein . Kuchh  members islaah  karne  mein  dilchaspi rakhte hain aur mujhe yaqeen hai ki woh khud ko is kaam ke liye zuroor volunteer kareinge .
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #34 on: June 05, 2012, 02:55:31 PM »
Dear Admin,
Thanks for seeking my view. Main apne baare mein honestly bataaun to jo kalam mujhe zyada achha lagta uspe main written comments hi deta hun. Clap unpe deta hun jo mujhe average lagti hain. Aur Jo posts mujhe achhi nahi lagti main padh kar chorr deta hun without any feedback. But I have to start giving written feedback to the posts which i didn't like also, so that the poet gets lesson.

Mere khyaal se New Comer ne jo issue uthaaya hai wo bilkul jayaz hai. Hamein achhe posts pe written comments dene chahiye. Isse New Comer ya kisi ko bhi hausla milega.
Logged
akashsharma1990
Guest
«Reply #35 on: June 05, 2012, 03:20:32 PM »
I think there are multiple ways of looking at this situation:

1) Poetry is a persons best emotion expressed in words:Therefore it is obvious that poets will be sensitive about it, a lot of us who are new writers/ poets (we have read less of poetry have less exposure) dont have the complete understanding of poetry, hence lots of times we tend to get offended. but this is the nature of a new learner.

2) lessons are important: We have never had the opportunity to study poetry in an academic manner, but this forum helps us to get tutored by some very renowned poets, which otherwise was not possible. Therefore, new poets (like me) should take it constructively.

3) Feedback should be constructive: like i have received feedback couple of times and i find that those were correct feedback, i have felt being helped by seniors here, but as i said that since poetry is very sensitive, if the feedback is not given nicely, one tends to get offended. This is a medium were one assumes lot of things, since there is no face to face contact and one does not know the feelings behind feedbacks, whether someone is giving it genuinely or is trying to offend someone.

4) Cannot make few examples as a general observation: There could be some stray incidents, but if you seniors stop giving honest feedbacks, how will the new learn and turn into better poets.

5)last but not the least: The symbolism of appreciations according to me is not important. 2 claps vs 4 claps, a poet does not know what he has to improve, i would still prefer a feedback where i get to know what i could have corrected, or what needs improvement. Language, thought, expression - symbolic appreciation might not help us develop our weaker side

These are my instinctive reaction and feel that this is a great medium for new poets to explore and learn.
 
i totally agree with "livingbytheday"..
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #36 on: June 05, 2012, 05:45:23 PM »
waaaaahhhhh Kabile-e-tareeefff ...

iAdmin sahab ....aapse guzarish hai aap is member ko jinhone ye shikayat ki hee meri or se appreciation zaroor de.....

sabse pehle derse reply ke lye maafi chahuga...

ab aate he mudde ki bat par...
Clap dene se appreciation hota he ....par clap unke liye achha hai jo matter specific ko jyada nhai jante ....
maslan agar meri samajh me koi bat nahi aati par fir bhi mujhe uske kehe jane ka tareeqa achha lagta he to me animated clap karun ....chalta hai...
par agar mai us bat ko samajhta hu or uske tareeqe ki khami ko nazaraandaaz karta hu to ye bemaani hai kam se kam aise insaan ke sath jo seekhna chahta ho...ek ya 10 animated clap se aap formality nibha rahe ho ek tarah se appreciation kii (**** maaf kijiyega mai galat ho sakta hu yahan par ....fir bhi ek risk lekar ye kehena chahta hun ).....


jisne ye guzarish ya shikayat ki wo surely seekhne ki chah rakhne wala banda hai jo chahta he true comments diye jaye jinhe pahkar wo khud me sudhar kar sake...mashallah hamare paas Yo INDIA ke manch par ek se ek shayar maujood hain...fir kyu nhai is bande ko true reply milte...
Appreciation ka ek tareeqa ye bhi to ho sakta he....
mai manta hun ki har kisi ke post pe tipanni nahi ki ja sakti ...par jo chahe true replies mile unhe...to wo Apne post me mention karn ye bat...or fir log unhe us hisab se reply karen...
isse agar kisi ka talent nikharne me hamara koi yogdaan ho paya to ham khushnaseeb hoge dostoo...


iAdmin
sahab gaur farmaiyegaaa.....
Logged
thycreator
Guest
«Reply #37 on: June 05, 2012, 11:56:57 PM »
Thanks i admin for inviting me to contribute to this topic. Now coming to the point of discussion, i agree to the request of the member. In fact when i was an active member of yoindia, i brought this up individually with many of my yoindia friends, but that was more like a personal request, urging them to reply to my posts with some contribution of their own rather than simple words or symbolics of appreciation.....and guess what, they all would respond to it constructively. Now, we can not force anyone to write or reply critically to someone's post.....can we???

I personally feel that it is an individual thing, varies from person to person and can not be enforced. So in the light of these facts, can we actually do something more than urging the members?Huh? I think that the point of discussion should be as to how to outreach majority of members with such a request, and mind you, still then, only few will actually comply.....My 2 cents!!
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #38 on: June 06, 2012, 06:51:43 AM »
MoHtaram Admin ji har insaan ki SalaaHiyyat aur iste'daad doosroN se alag hoti hai, har shakhS apni TarH se sochta hai aur yehi Soorat e Haal posts ki bhi hai. Mera maan.na ye hai ke hameN apni z'immedaari dekhni chaahiye. Agar kalaam meN kahiN koi kami hai ya baat aur behtar Dhang se kahi jaa sakti hai to hameN apnaa farz' samajh kar us ko point out karna chaahiye ho sakta hai ke us par baHc bhi chhiR jaaye lekin ye koi buri baat nahiN hai isi TarH seekhne ko milta hai. Jab baHc ho to daleel ke saath ho. Ye z'uroori nahiN ke hamari raay se ittefaaq hi kiya jaaye (kyoN ke wo ghalaT bhi ho sakti hai). Kisi bhi post se hamara maqSad seekhne aur sikhaane ka hona chaahiye aur ye Sirf taaliyaN peeTne se poora nahiN ho sakta. MaiN khud Sirf written daad aur mubaarakbaad ko bhi aisi Soorat meN kaafi nahiN samajhta ke kalaam meN naqS ya a'ib naZar aa raha ho aur ham Sirf daad de kar nikal jaayeN. HameN pehle kisi bhi post se muta'lliq apni z'immedaari ko samajhna chaahiye aur use anjaam dena chaahiye. wa al-salaam
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #39 on: June 06, 2012, 08:44:02 AM »
Below I received a PM from a new member of community. I feel it is will be better if I share this community in open and let the community decide.

Do you think he is right , do you think we should do something about it , kindly give your views

dear admin,

 hi,

 the given statement by the gentleman is,his own view.i do respect his view but don't agree cent-percent.because for me YOINDIA is a platform to enjoy and share ones feeling and not an institution as i said before in some thread during discussion resembled to the same concern.


  so if some one intends to like a written comments on his or her poem, ghazal, nazm etc should specify on the thread and should ready to bear the negative comments.

i personally don't plead this type of remarks since i am also one of them . because most of us are not proper poet people express their emotions through words and yes they are not capable to handle things completely in that case little hint is enough rather that completly operates the one's KALAAM.

those who intend to learn can approach the experts separately.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #40 on: June 06, 2012, 02:51:10 PM »
Subse Pehle To main in New Member Ki Taareef Karna Chaahunga.. Unhone Kam se kam Is mudde Par Shikaayat to Ki...

Dear Admin..

Bilkul Agree Hoon Main in Naye Member ki Shikaayat se.. Aisi Shikaayat Pehle Kabhi Nahi Aaayi.. To pichle Kuch Mahino me Aisa kya Ho gaya Ki Is Tarah ki Shikaayaten Aayi Hain..? Kyun Nahi Mil Pa raha Naye Members Ko Aapprecation..?

Main Iski Subse Badi Vajah "Rau" Ko maanta hoon.. Jahaan Koi Naya Shaayar….  Sirf Naya Hi Nahi.. Puraana Shayar Bhi Kuch Accha Likhta hai.. To Uski wo Thread Padh ke Use Lafzon Me Comment Nahi Diye Jaate Aajkal.. Sirf Rau Ke ( + )Par Click Kar Diya Jaata Hai.. Ya Rau par Click Kar Ke Member ke liye 2 Taaliyon Ke Symbol Chod Diye jaate hain..!!

Ab Yeh Click Kis Ne Kiya..? Kis Thread Ko Padh Kar Kiya.. 1 Din Me 1 Baar kiya Ya 30 dino me 30 Baar Kiya.. Kuch Nahi Pata.. Is se Writer Ko Thread Par Comment to Kam, Par “Rau” Zaroor Mil Jaate Hain.. Par Ek Sucche Aur Asli Shaayar Ke liye Lafzon me Ki Gai Taareef hi Uske liye Hausla Afzaai hoti Hai.. Jo Use aur Accha Likhe Ko Majboor Karti Hai.. Aur Comment ke Saath Taaliyaan Ek Daad Ka Kaam Karti hain..!!

To Admin ji Baat Zaroor Shayad Buri Lage Aapko Meri… Par is Shikaayat Ke Liye Kahin na Kahin Aap Zimmedaar Hain.. Aapka Yeh “Rau”Zimmedaar Hai.. Main is “Rau” ke Sakht Khilaaf Hoon.. Aur abhi se Nahi, Shuru Se hoon.. !!

Mujhe Nahi Pata Mere Baaki Yo Member Dost “Rau” Ko Pasand karte Hain ya Nahi.. Par Yahan “Rau” Ek Daad Nahi.. PM Ke Zariye Maang Maang Kar Li Jaane wali ek Jabardasti Ki Taareef Ban gai Hai..!! Aur Maang kar Li Jaane wali Daad,, Daad Nahi Hoti…  Subse Pehle To Yeh Band Hona Chaahiye..!!!

Aur Rahi baat Naye Member ko Dene wale Maarg-Darshan Ki.. To Main Yehi kehna chaahunga Ki Har Member apne aap Me ek Khubsoorat shaayar Hai.. Chaahe Naya ho ya Puraana .. wo wahi likhta hai jo uski jazzbaat Hote Hain.. Har shaayar ki soch alag Hoti Hai… Lafz alag Hote Hain.. Lekhni Alag Hoti Hai.. Aage Hoke Kisi Ki Poetry Me Nukhs Nikaalna Sahi Nahi hai.. Phir Bhi agar Kuch Kami Lagti Hai to Uski Us Thread Par nahi PM Ke zariye Use Bataana chahiye.. taaki use Bilkul Bhi bura na Lage.. Zaahir si Baat Hai Thread Par Negetive Comment Padh kar Naye Member ko Bura lagega hi..!!

Aur agar New Member Kisi Old Member se Help Leta Hai apni lekhni sudhaarne ke Liye, to Main kya Koi Bhi Old Member ho.. wo har member uski Help Karne ke Liye Taiyaar rahega.. !!

Thank You…


**~** Mann **~**
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #41 on: June 06, 2012, 06:05:34 PM »
Hello to All my dear's and Admin jee.... !


Aise masle par kuch kahna aur sunna bahut hi ajeeb sa lagta hai... maine bahut
baar aise masle dekhe hai har site par yehi rona hai... ?

But I observed mostly new member's hi aisi shikayat karte haiN.... aur unki shikayat
unki soNch se to sahiN hai par reply's karne waloN ki nahi... maiN aisa isliye
kah raha huN kyuN ke sab jante haiN maiN likhata behad kam huN aur sirf reply's
jyada karta huN... kyuN ke shayari mera shaukh hai yeH paheli baat huyi... so maiN usko
uske hisab se waqt deta huN... Usual Smile

Ab rahi baat comments ki aur shikayat ki toH mera naye member's se yehi kahna hai ke
woH jitna apni kalaam par reply chahte hai usse bahut jyada unhone dusroN ki kalaam ko
pahkar unse sikhne ki koshish karni chahiye aur unki post par apna freely reply dena
chahiye... Usual Smile With fully confidence... Usual Smile
confidence se aik joke yaad aaya... " woH mujhse kahti hai meri zindagi ko jannat
bana deNgi... " jo aik cup chaai thik se nahi bana sakti" but realy confidence ki baat hai ... tongue3


Wel toH maiN kah raha tha ke... new member's ne sab se pahle auroN ki post's padhni
chahiye auroN ko comments dene chahiye jisse woH sab se ghul mil jaaye uske bad agar
unhe sahiN se reply nahi mile toH yeH masla sahiN meiN masla hai... otherwise aise
masla banana bekaar hai... Usual Smile

So it's my request to all new member's ke woH pahle site ke sabhi member's se aise ghul
jaaye ke unhe yeH na lage ke woH naya member hai... Usual Smile

Yeh meri soNch hai aur yeH 100% kaam ki hai ... yeH mera confidence hai... tongue3

Wel keep comment's on this issue maiN phir aauNga is thread par kyuN ke comment's nahi
karne ki wajaaH bhi bataani hai... :D

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile

                     


Logged
ufaq
Guest
«Reply #42 on: June 07, 2012, 06:47:28 AM »
admin sahab aur yoindia ke sabhi member ko mera namaskar aur aadab.....aap sab logo ke views pade..........verbal comments vs symbolic comments wale masale par main kuch nahi kahna chaahata......readers ki choice hai wo kaise comments dena pasand karte hai aur waise bhi agar jhoothi-sachchi taarif hi karni hai to chaahe taaliya bajaao chaahe waah-waah likho kya fark padta hai?........true feedback wale masle par main pm sent karne wale janaab se sahmat hu......yahaan par main qais sahab ki likhi huyi baatein hi duhraana chaahunga.........
              behatr andaaz e bayaan, lafz ka sahi use,beh'r ki paabandi, correct pronunciation ....poetry men aise bahut se pahlu hote hai.ab agar in pahulo se nawaaqif member apne qalaam par islaah mangta hai to islaah dene wala aakhir kahaan-2 correction karenga?........... isliye mera suggestion ye hai ki aik thread create ki jaaye jahaan urdu poetry ke technical aspects aur doosre pahulo par jaankaari di gayi ho........jo log in baato ko nahi samajhe hai aur sikhna chaahate hai ,wo us thread par jaakar seekh sakhte hai..........jo member shaayri ki samajh rakhte hai aur chaahate hai ki is beautiful art ki jaankaari doosro tak pahunche wo volunteer kare........
  iske alaawa aik islaah section bhi banaaya jaaye.......jahaan sirf wo shaayar hi apna qalaam post kare jo urdu poetry ke technical aspects ko jaante ho aur apne qalaam par honest feedback chaahate ho..........
      admin sahab agar aap ye dono initative lete hai to adab ka bahut bhalaa hoga.......technical aspects wali thread men jaakar beginner propre way men seekhenge. na ki idhar-udhar se mili chhit-put aur aadhi-adhuri islaaho se....jo member kisi se poochhne men sharm ya hichkichaahat mahsoos karte hai unke liye to ye best option hoga........aur aik baar jab wo seekh jaayenge to islaah section men apne qalaam post kar sakte hai........afterall there is always a possibility to be better.
             admin sahab aapse aik baar phir se request hai ki meri baato par gaur farmaaiyega.............
                                                   aapka   
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: June 07, 2012, 08:03:30 AM »
Main Jab Yoindia Mein Naya-Naya Aaya Tha, Mujhe Animated Clapping Ke Icons Dekhkar Bahut Acha Laga..Yehi Sochta Rehta Tha Ke Kuch Aisa Likhoon Ke Mujhe Sab Meri Kalaam Mein yeh Clapping Ke Icons Hi post Kare..Par Dheere-Dheere Guzarte Waqt Ke saath Mujhe Daad Paane Ki Bhook Si hone Lagi..Ke Koi Daad De To lafzoN Mein Bhi De..Apne Dil Se De..Inn Taaliyon ke Icons Mein Koi Burai Nahi par Daad To Woh Hi Hai Jo Dil Se Nikle Naa Ki
"ANIMATED CLAPPINGS YA SO CALLED "RAU" Se.. Maine Kayi Baar Yeh Clear Words Mein bhi Kahaa Hai Ke Khushi hai ke Aap Ne Yeh Clappings Ki mere Liye, yeh Bhi zaroori Hai Magar Lafzon Mein Bheji Hui daad Zyaada Ehmiyat rakhti Hai...Aur Naye Members Ke Liye Yehi Ek Sujhaau/Iltija Hai Ke Aap Zyaada Se Zyaada members ko padhiye,Comments kijiye..Khud-Ba-Khud aapko bhi ussi tarah Comments Milna Shuroo Ho jaayenge..


Aur Mann Ji Aapke Comments Padhkar Ek Bahut hi Khoobsurat Ghazal Ke Kuch sher Yaad Aa Gaye..Jo Bilkul Sach Hai..


Shola Hoon Bhadakne Ki Guzaarish Nahi Karta
Sach Mooh Se Nikal Jaata Hai Koshish Nahi Karta

Girtee Hui Deewaar ka Humdard Hoon Lekin
Chadte Hue Sooraj Ki Parastish Nahi Karta
Logged
sarfira
Guest
«Reply #44 on: June 07, 2012, 08:43:26 PM »
mai Khwaish ji ke iss bat e ittefaq nhi rakhta ki kisi post ki khamiyon/gltiyon ko btane k lie writer ko PM kia jae taki use bura na lge--blki kalaam se related jo b bat ho thread pr hi ho--isse dusro ko b seekhne ka moka milega--ek sacha shayr apni gltiyo ka bura nhi manta--blki khus hota h-

Parwaaz sahab ki bat se b sehmat nhi k dusro ke post pr cmnt krke ghul mil jae taki wo apka post dekh ke apko cmnt de--

mera manna h ki reply true hona chahie wo bhi alfaazon me sirf--

sukriya
:-/
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 10:10:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer