~*~ Fav Lines ~*~

by dead heart on February 07, 2011, 03:41:36 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1014 times)
dead heart
Guest
Salaam Doston..

Hum tamam log jo yahan alag alag kism ki nazmein parrte hai, zaroor aisa hota hoga kay kisi shayar ki nazm ki koi line ya ashaar bahaut ache lage ho..

Kabhi kabhi aisa hota hai kay nazm achi lagti hai mager uss main kuch lines bahaut hi zada achi lagti hai..

Toh yeh thread hai unn khaas lines kay naam..


Main chahunga kay sab aye aur share karein yahan..Bas uss shayar ka username likhna hoga aur woh line ya woh ashaar pesh karna hoga..Ager chahe toh uss nazm ki link bhi de sakte hai..

Yeh post Yo kay unn shayaron ki unn lines ko izzat dene kay liye hai..

Shukriya..


Qadeer Saheb ki ek ghazal ki line mujhe bahaut achi lagi thi jo aj tak yaad hai..'Bhooki beti ne pucha chirrya dana kahan se lati hai??'
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
LINES by unicorn_girl in Quotable Phrase and Quotes
nirala
Guest
«Reply #1 on: February 07, 2011, 04:20:06 PM »
wah dost bahut badhiya thread likha pesh kiya--
hats off aapki soch ko.
mai bhi kuch share karunga lekin thodi der baad Usual Smile
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #2 on: February 07, 2011, 04:50:51 PM »
Title: tanhaai- e-khandhar ka sath mil gaya….
Post by: Pooja on February 06, 2010, 05:33:00 AM
Ashqo main dil ka dard gunah ban gaya
khyalo main uska aks ek pyaas ban gaya
khumar tha bahoot, jis ka na maan rakh saka wo
khud ka maan, apni najar main, ek sawal ban gaya
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #3 on: February 07, 2011, 06:47:21 PM »
Salaam Doston..

Hum tamam log jo yahan alag alag kism ki nazmein parrte hai, zaroor aisa hota hoga kay kisi shayar ki nazm ki koi line ya ashaar bahaut ache lage ho..

Kabhi kabhi aisa hota hai kay nazm achi lagti hai mager uss main kuch lines bahaut hi zada achi lagti hai..

Toh yeh thread hai unn khaas lines kay naam..


Main chahunga kay sab aye aur share karein yahan..Bas uss shayar ka username likhna hoga aur woh line ya woh ashaar pesh karna hoga..Ager chahe toh uss nazm ki link bhi de sakte hai..

Yeh post Yo kay unn shayaron ki unn lines ko izzat dene kay liye hai..

Shukriya..


Qadeer Saheb ki ek ghazal ki line mujhe bahaut achi lagi thi jo aj tak yaad hai..'Bhooki beti ne pucha chirrya dana kahan se lati hai??'

haan ji RAHIM SAHAB QADIR BHAI KE GHAZAL KI YE LINE MUJHE BHI BAHUT PASAND HAI AAPNE WAQYI EK BEHTREEN GHAZAL KO CHUNA HAI
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: February 07, 2011, 06:58:11 PM »
wah dost bahut badhiya thread likha pesh kiya--
hats off aapki soch ko.
mai bhi kuch share karunga lekin thodi der baad Usual Smile
Teh dil se shukriya Nirala dost..
Intezar rahega..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: February 07, 2011, 07:01:14 PM »
Title: tanhaai- e-khandhar ka sath mil gaya….
Post by: Pooja on February 06, 2010, 05:33:00 AM
Ashqo main dil ka dard gunah ban gaya
khyalo main uska aks ek pyaas ban gaya
khumar tha bahoot, jis ka na maan rakh saka wo
khud ka maan, apni najar main, ek sawal ban gaya
Thank you for joining Koyal di..
Ate rahiyega yahan..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: February 07, 2011, 07:02:02 PM »
haan ji RAHIM SAHAB QADIR BHAI KE GHAZAL KI YE LINE MUJHE BHI BAHUT PASAND HAI AAPNE WAQYI EK BEHTREEN GHAZAL KO CHUNA HAI
Sahi kaha Adil jee bahaut umda ghazal thi woh..
Ap bhi kuch share karte toh aur acha lagta..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: February 07, 2011, 07:27:54 PM »
Mujhe apni khud ki ek nazm ki do lines bahaut zada pasand hai:

'Kitna baar kaha, likhte hue bhatka na karo 'Khamosh',
Ek hum hi hai kay seekhte nahin..'
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: February 07, 2011, 08:33:15 PM »
Bahaut bahaut shukriya Shihab bhaijan..
Aur yeh mouka bhi hai new comers ko unn kalamon
ko parrne ka jo ek zamane main umda rahe hai aur aj bhi
beshak umda hai..
Khush rahiye..!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #9 on: February 08, 2011, 01:56:43 PM »
Bahut Khub Rahim Bhai
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #10 on: February 08, 2011, 03:42:05 PM »
Jaani pehchaani si Rehguzar pe ae Zindagi,
Yeh moud kaisa Anchaaha sa Ajnabi jaisa..

Dhudhle dhudhle hone lage Apne se Chehre,
Har rishta lagne laga kisi Farebi jaisa..

Ro kar guzaar dein chalo ye Gumon ki Raat,
Kabhi to utrega savera bhi Mehzabin jaisa..

Bhula dein unko apni neik Duaaon ke Saath,
Ehsaan jataaye Jo dekar Tohfa Garibi jaisa..

Dil ka Rishta to unse Kabhi hua hi Nahin,
Rishta wo Jhooth ka, Lagta tha Matlabi jaisa..

... Shikha
Title: Rishta Wo Matlabi Jaisa (Shikha)
Post by: Shikha12 on December 31, 2008, 03:15:37 PM
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: February 08, 2011, 05:09:41 PM »
Jaani pehchaani si Rehguzar pe ae Zindagi,
Yeh moud kaisa Anchaaha sa Ajnabi jaisa..

Dhudhle dhudhle hone lage Apne se Chehre,
Har rishta lagne laga kisi Farebi jaisa..

Ro kar guzaar dein chalo ye Gumon ki Raat,
Kabhi to utrega savera bhi Mehzabin jaisa..

Bhula dein unko apni neik Duaaon ke Saath,
Ehsaan jataaye Jo dekar Tohfa Garibi jaisa..

Dil ka Rishta to unse Kabhi hua hi Nahin,
Rishta wo Jhooth ka, Lagta tha Matlabi jaisa..

... Shikha
Title: Rishta Wo Matlabi Jaisa (Shikha)
Post by: Shikha12 on December 31, 2008, 03:15:37 PM

Nice Koyal di..
thanks for sharing..!
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 12:48:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer