Kaho kuchh, ki, kyoun paas aatey nahin ho?

by abdbundeli on August 07, 2010, 03:15:42 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1156 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Kaho kuchh, ki, kyoun paas aatey nahin ho?
Sataatey ho, par, kuchh bataatey nahin ho?

Lalaktee hai jab bahr ko mouj-e-dariyah:
Mujhey, yar, tab bhee bulaatey nahin ho?

Rahuun kab talak eid kaa muntazir mein:
Musalsal ta'aanuk ko aatey nahin ho?

Raqeeboun pai phir sey meyharbaan huye ho?
Palat kyaa tabhi munh dikhaatey nahin ho?

Liye saath gulbun key gunchhey ki surkhee,
Shafaq kyoun nigaahoun mein laatey nahin ho?

Guzartaa nahin chain sey ab lamhaa bhee!
Guzarteen hain raateyn, sulaatey nahin ho?

Uqaaboun ki 'choun-choun' sey aajiz hun, fir bhee,
Gazal andleebee sunaatey nahin ho?

Bhataktaa hun khaamosh taareekiyoun mein:
Shamaa husn kee kyoun jalaatey nahin ho?

Halaf thaa, ki, 'taahashra hai saath apnaa!'
'Abd' ab ahad kyoun nibhaatey nahin ho?

                      - abd bundeli
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: August 08, 2010, 01:24:16 PM »

Its too good........bulandi sahab ! very nice creation...

duaaon ke saath...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: August 09, 2010, 04:43:48 AM »
Reply with quote
Its too good........bulandi sahab ! very nice creation...

duaaon ke saath...

Shukriyah janaab! Mein bulandi nahin, bundeli hun! Bulandi hota to kabhee kaa bulandiyoun par pahunch chukaa hotaa! Khush rahiye!

                          - abd bundeli
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #3 on: August 09, 2010, 05:10:35 AM »
Reply with quote
bht khubbb abdbundeli saheb.bht mast likha hai...
aapki tarah urdu nahin aati hume likhni par koshish ki hai kuch kehne ki galat ho to sahi kar lijiye ga...

aana chahte hain paas hum bhi aapke
lekin kya karen sharm se kadam uthte nahin hai

dekhne ki lalak me khinche aate hain galiyaare me
par jab aapko dekhta paate hain nazar utha paate nahin hain

ye parde ka chalan hai kya karen hum bhi
hata k isko aapko chand dikha sakte nahin hain

hain sharm se gulabi ye meri aankhein
tujhse nazar milake ye hum keh sakte nahin hain

hai tujhi se mahobbat mujhe ee mere deewane
ye chahkar bhi tujhe bata sakte nahin hain...!!!
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: August 09, 2010, 05:14:20 AM »
Reply with quote
Kaho kuchh, ki, kyoun paas aatey nahin ho?
Sataatey ho, par, kuchh bataatey nahin ho?

Lalaktee hai jab bahr ko mouj-e-dariyah:
Mujhey, yar, tab bhee bulaatey nahin ho?

Rahuun kab talak eid kaa muntazir mein:
Musalsal ta'aanuk ko aatey nahin ho?

Raqeeboun pai phir sey meyharbaan huye ho?
Palat kyaa tabhi munh dikhaatey nahin ho?

Liye saath gulbun key gunchhey ki surkhee,
Shafaq kyoun nigaahoun mein laatey nahin ho?

Guzartaa nahin chain sey ab lamhaa bhee!
Guzarteen hain raateyn, sulaatey nahin ho?

Uqaaboun ki 'choun-choun' sey aajiz hun, fir bhee,
Gazal andleebee sunaatey nahin ho?

Bhataktaa hun khaamosh taareekiyoun mein:
Shamaa husn kee kyoun jalaatey nahin ho?

Halaf thaa, ki, 'taahashra hai saath apnaa!'
'Abd' ab ahad kyoun nibhaatey nahin ho?

                      - abd bundeli

Good one Abd Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: August 09, 2010, 02:50:17 PM »
Reply with quote
bht khubbb abdbundeli saheb.bht mast likha hai...
aapki tarah urdu nahin aati hume likhni par koshish ki hai kuch kehne ki galat ho to sahi kar lijiye ga...

aana chahte hain paas hum bhi aapke
lekin kya karen sharm se kadam uthte nahin hai

dekhne ki lalak me khinche aate hain galiyaare me
par jab aapko dekhta paate hain nazar utha paate nahin hain

ye parde ka chalan hai kya karen hum bhi
hata k isko aapko chand dikha sakte nahin hain

hain sharm se gulabi ye meri aankhein
tujhse nazar milake ye hum keh sakte nahin hain

hai tujhi se mahobbat mujhe ee mere deewane
ye chahkar bhi tujhe bata sakte nahin hain...!!!

Likhtey rahiye: 'the development of the subject and the related thoughts' bahut achchhey hain! 'Flow' bhee zaldee hi lahroun mein 'athhkheyliyaan' karney lageygaa!

My best wishes are with you!

              - abd bundeli
        
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: August 09, 2010, 02:54:05 PM »
Reply with quote
Good one Abd Ji

Dhanyawaad Rajesh ji!

      -abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 05:41:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.176 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer