"Ajaoo Kisii Din"

by bus1pal on April 15, 2008, 08:12:29 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 812 times)
bus1pal
Guest
chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din....

raazon kii tarah utaro mere dil me kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din....

PeDon kii tarah husn kii baarish me nahaa loo
baadal kii tarah JhoOm ke ghir aao kisii din...

Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
phoOlon kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din..

phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzarain jo mere ghar se to ruk jaayain sitaare
is tarah merii raat ko chamakaao kisii din...

main apanii har ik SaaNs usii raat ko de DoON

sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din...
 
 Applause Applause Applause
  (Umair Khan) hello
~*~buss1pal~*~
   :icon_salut:0333-2368962

--------------------------------------------------------------------------------
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
~~~~~~""'"nazar-e-ishq"""~~~~~~~ by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
/////////"""HAAL-E-BAYAAN"""/////////////// by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
harashmahajan
Guest
«Reply #1 on: April 16, 2008, 02:30:47 AM »
Ek achhi peshkash umair khan ji.....but ye tehreer already maiN kahiNN paRh chuka hooN..our iss per revapne reviews bhi de chuka hooN Embarrased icon_scratch
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #2 on: April 16, 2008, 02:33:18 AM »
Ek achhi peshkash umair khan ji.....but ye tehreer already maiN kahiNN paRh chuka hooN..our iss per revapne reviews bhi de chuka hooN Embarrased icon_scratch

haha haha Humne bhi pade hai ..mujhe bass ekpal sochna hai  tongue3
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #3 on: April 16, 2008, 03:02:20 AM »
HaaN sonia jii yaad yaad ayaa....ye Tehreer mmash_hoor shayar Amjad Islam Amjad ki hai....inhe hamne bahoot suna hai....achhii kavish haiN inki sabhi...badii muddat baad ye kaviish saamne aayii hai.....
Inhii shayar kii ek our Ghazal thii jo bahoot mash_hoor hui thii...."kisii kii aa.Nkh jo pur_nam nahii.n hai "...kya khoob thii ye bhi....

kisii kii aa.Nkh jo pur_nam nahii.n hai
na samajho ye ke us ko Gam nahii.n hai

savaad-e-dard me.n tanhaa kha.Daa huu.N
palaT jaa_uu.N magar mausam nahii.n hai

Ye sher bahoot hi badiyaa the unki Ghazal ke.....

Shukriya^h Umair khaan jii unkii kavish ko yaaad kerane ke liye....


Harash

haha haha Humne bhi pade hai ..mujhe bass ekpal sochna hai  tongue3
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #4 on: April 16, 2008, 05:35:34 AM »
HaaN sonia jii yaad yaad ayaa....ye Tehreer mmash_hoor shayar Amjad Islam Amjad ki hai....inhe hamne bahoot suna hai....achhii kavish haiN inki sabhi...badii muddat baad ye kaviish saamne aayii hai.....
Inhii shayar kii ek our Ghazal thii jo bahoot mash_hoor hui thii...."kisii kii aa.Nkh jo pur_nam nahii.n hai "...kya khoob thii ye bhi....

kisii kii aa.Nkh jo pur_nam nahii.n hai
na samajho ye ke us ko Gam nahii.n hai

savaad-e-dard me.n tanhaa kha.Daa huu.N
palaT jaa_uu.N magar mausam nahii.n hai

Ye sher bahoot hi badiyaa the unki Ghazal ke.....

Shukriya^h Umair khaan jii unkii kavish ko yaaad kerane ke liye....


Harash


sahi kaha harash jee Ahmed Islam Ahmed jee ka ek aur kalam jo hame behat pasandila hai. "Tumhe Mujhse Mohabbat Hai"

Yahan Mai Unka ek Gazal Share Karti hu Hope Harash jee
aapko pasand aayega.
Mohabbat ki tabiyyat mein
Ye kaisa bachpana kudrat ne rakha hai
Ke ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
Ise taeed-e-taaza ki zarorat phir bhi rehti hai
Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon mein lehlahati ho
Nigahon se tapakti ho,lahu mein jagmagati ho
Hazaron tarah ke dilkash, haseen haale banati ho
Ise izhaar ke lafzon ki hajat phir bhi rehti hai
Mohabbat maangti hai yun gawahi apne hone ki
Ke jaise,tafl sada shaam ko ik beej boye
Aur shab mein baarha uthe
Zameen ko khod kar dekhe ke poda ab kahan tak hai
Mohabbat ki tabiyyat mein ajab takrar ki khu hai
Ke ye iqrar ke lafzon ko sun’ne se nahi thakti
Bicharne ki ghari ho ya koi milne ki sa’at ho
Ise bus aik hi dhun hai
Kaho, mujhse mohabbat hai
Tumhein, mujh se mohabbat hai
Kaho, mujhse mohabbat hai

amjad islam amjad



Logged
natural
Guest
«Reply #5 on: April 16, 2008, 05:54:43 AM »
chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din....

raazon kii tarah utaro mere dil me kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din....

PeDon kii tarah husn kii baarish me nahaa loo
baadal kii tarah JhoOm ke ghir aao kisii din...

Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
phoOlon kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din..

phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzarain jo mere ghar se to ruk jaayain sitaare
is tarah merii raat ko chamakaao kisii din...

main apanii har ik SaaNs usii raat ko de DoON

sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din...
 
 Applause Applause Applause
  (Umair Khan) hello
~*~buss1pal~*~
   :icon_salut:0333-2368962

--------------------------------------------------------------------------------
Nice Sharing bus1pal.... But it's a polite request from yoindia team to mention [not mine] or original author's name when the creation is not yours.

Thanks
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #6 on: April 16, 2008, 06:50:13 AM »
Bahoot khoob tehreer hai soniaa ji......I like it......

sahi kaha harash jee Ahmed Islam Ahmed jee ka ek aur kalam jo hame behat pasandila hai. "Tumhe Mujhse Mohabbat Hai"

Yahan Mai Unka ek Gazal Share Karti hu Hope Harash jee
aapko pasand aayega.
Mohabbat ki tabiyyat mein
Ye kaisa bachpana kudrat ne rakha hai
Ke ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
Ise taeed-e-taaza ki zarorat phir bhi rehti hai
Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon mein lehlahati ho
Nigahon se tapakti ho,lahu mein jagmagati ho
Hazaron tarah ke dilkash, haseen haale banati ho
Ise izhaar ke lafzon ki hajat phir bhi rehti hai
Mohabbat maangti hai yun gawahi apne hone ki
Ke jaise,tafl sada shaam ko ik beej boye
Aur shab mein baarha uthe
Zameen ko khod kar dekhe ke poda ab kahan tak hai
Mohabbat ki tabiyyat mein ajab takrar ki khu hai
Ke ye iqrar ke lafzon ko sun’ne se nahi thakti
Bicharne ki ghari ho ya koi milne ki sa’at ho
Ise bus aik hi dhun hai
Kaho, mujhse mohabbat hai
Tumhein, mujh se mohabbat hai
Kaho, mujhse mohabbat hai

amjad islam amjad




Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 05:55:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer