Kal raat doston kay saath bahar jana hua..Order dete hue, ek dost ne yunhi kehdia 'sambhal kay order dena, kismat bahaut kadki hai..' Aur maine kaha,
'Kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai, na ladki hai..'
Bas toh socha kuch yunhi free verse likha jaye..
Kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai na ladki hai..
Main itna najane tanha kyun hoon,
Dil main rehne se tere main mana kyun hoon,
Wafadar ghumon se hi toh sajhi hai zindagi,
Sach kehta hoon bahaut tadpi hai zindagi,
Kabhi humari ankhon main palte khwab toote,
Toh kabhi kisi ne dil main jagte armaan loote,
Wakei kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai, na ladki hai..
Paisa dastaak dejaye toh ladki miljaegi,
Warna kisi kadke se kaun dil lagaegi,
Aj kal paisa mohobat se upar hai,
Jaise kayi logon kay liye ashiq Khuda se upar hai,
Inn duniya walon ko najane kab akal ani hai,
Sach kehta hoon, ek dinn inhe moun ki khani hai,
Wakei kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai, na ladki hai..
Dollar shollar dikha kay apna kaam nikalwana,
Qabr main jaa kay kis ko hai paise khilwana,
Jab tak ho duniya main bas sawab kamana,
Warna baad main toh hai sirf pachtana,
Mohobat ne seekhaya mujhe ‘Khamosh’ dil na lagana,
Bewaffai pane se behtar hai tanha waqt beetana,
Waqei kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai, na ladki hai..
Kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai na ladki hai..
~..Rahim..~..A Silent Heart..~