Yeh mere shehar ko......( Ghayel )

by sajid_ghayel on June 08, 2009, 02:49:20 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1814 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Ek ajeeb si peshkash ki hai shayed aap sabko itni pasand na aaye, ise aap kavita bhi keh sakte hain, bas likhta chala gaya.........waise aap sabko bohat miss kiya hain aaj hi lauta hu kokan se, apni gairhazri ke liye aap sab se mafi chahta hu.

Yeh mere shehar ko kya ho gaya
Woh masoom bachpan woh ladakpan kaha kho gaya
Bheed me bhi tanha akayla hu main
Kaha hain woh galiya jinpe khela hu main
Aaj ka bachpan jawani se pehle budha ho gaya

Woh dango ka shor woh mao ki cheekh
Har sadak ke kinare phaila aachal
Phaili nanhi bahe mangti bheek
Har chehra yaha par hain murjha gaya
Kisi ko thoda mila to koi bhookha so gaya

Har ghar me yaha ek berozgaar hain
Yeh shehar jaise mano beemar hain lachar hain
Achchi degree nahi kam aati hain aaj
Arey naukri hi nahi yaha to bikti hain laaj
Har shaks yaha par bikta gaya
Koi kismat ke hatho majboor tha to koi lalchi ho gaya

Woh izzat kaha hain bahu beti ki aaj
Kahi sati ki chita to kahi dahej ki aag
Ma bhi aurat hain yeh bhool jate hain logh
Ladki paida ho to matam manate hain logh
Sharm se hain aaj sar mera jhuk gaya
Jo sapna maine dekha tha sapna hi reh gaya

Na hi koi Mahatma na Tilak hain aaj
Gandi bastiyo me hain dooba mera samaj
Koi mujhko aakhir mera bachpan lauta do
Woh hasta khelta masoom sa shehar lauta do
Woh shehar jisme na koi bhooka ho na mange koi bheekh
Na suhagan ka suhaag ujde na sunaiee de mao ki cheekh
Jaha dharam ke nam par koi na jhagde na hi koi fasad ho
Jaha har raat diwali lage aur har din mano eid ki yaad ho
Phir koi na kahega yeh mere shehar ko kya ho gaya
Woh masoom bachpan woh ladakpan kaha kho gaya

-Sajid Ghayel-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Shehar Unka Ek Shehar Apna,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
MERE LABO SE MERI..........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Mere bare me.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shairi - E - Zindagi
SHEHAR KE HALAAT.........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Mere Abba......(Ghayel) by sajid_ghayel in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: June 08, 2009, 07:54:57 PM »
Reply with quote
Welcome back Sajid Bhai......Aapne to aaj ke daur ki sachchai likh daali hai yahan....Bohot hi Khoob....Daad dete hue taklef bhi hoti hai ki jo likha hai wo bohot takleefdah sach bhi hai......Aapne is sach ko, iss dard ko alfaaz main dhaal diya...Bohot  Khoob !!  Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: June 08, 2009, 09:16:24 PM »
Reply with quote
Applause Applause Bahaut bahaut acha likha hai Ghayel Saheb...Welcome back...
Logged
pakichamp
Guest
«Reply #3 on: June 08, 2009, 10:29:37 PM »
Reply with quote
bohot khoob very touching words

thanks for sharing
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: June 09, 2009, 12:10:22 AM »
Reply with quote
Very beautiful creation Sajid ji,kyun aapne socha pasand na aaye shayad,
Excellent,bahut acha likha aapne. Applause Applause Applause


 



Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: June 09, 2009, 05:11:26 AM »
Reply with quote
Ek ajeeb si peshkash ki hai shayed aap sabko itni pasand na aaye, ise aap kavita bhi keh sakte hain, bas likhta chala gaya.........waise aap sabko bohat miss kiya hain aaj hi lauta hu kokan se, apni gairhazri ke liye aap sab se mafi chahta hu.

Yeh mere shehar ko kya ho gaya
Woh masoom bachpan woh ladakpan kaha kho gaya
Bheed me bhi tanha akayla hu main
Kaha hain woh galiya jinpe khela hu main
Aaj ka bachpan jawani se pehle budha ho gaya

Woh dango ka shor woh mao ki cheekh
Har sadak ke kinare phaila aachal
Phaili nanhi bahe mangti bheek
Har chehra yaha par hain murjha gaya
Kisi ko thoda mila to koi bhookha so gaya

Har ghar me yaha ek berozgaar hain
Yeh shehar jaise mano beemar hain lachar hain
Achchi degree nahi kam aati hain aaj
Arey naukri hi nahi yaha to bikti hain laaj
Har shaks yaha par bikta gaya
Koi kismat ke hatho majboor tha to koi lalchi ho gaya

Woh izzat kaha hain bahu beti ki aaj
Kahi sati ki chita to kahi dahej ki aag
Ma bhi aurat hain yeh bhool jate hain logh
Ladki paida ho to matam manate hain logh
Sharm se hain aaj sar mera jhuk gaya
Jo sapna maine dekha tha sapna hi reh gaya

Na hi koi Mahatma na Tilak hain aaj
Gandi bastiyo me hain dooba mera samaj
Koi mujhko aakhir mera bachpan lauta do
Woh hasta khelta masoom sa shehar lauta do
Woh shehar jisme na koi bhooka ho na mange koi bheekh
Na suhagan ka suhaag ujde na sunaiee de mao ki cheekh
Jaha dharam ke nam par koi na jhagde na hi koi fasad ho
Jaha har raat diwali lage aur har din mano eid ki yaad ho
Phir koi na kahega yeh mere shehar ko kya ho gaya
Woh masoom bachpan woh ladakpan kaha kho gaya

-Sajid Ghayel-


BAHAUT ACHCHI PESHKASH..........S_G
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: June 09, 2009, 06:02:31 AM »
Reply with quote
Waah Subhan Allah,.
Aate Hi Kamaal Kar Diya Bhai Aapne,.
Great JOb, Ek Haqeeqat Ko Aapne Bakhoobi Se Yahaan Bayaan Kar Diya,.

Subhan Allah,.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: June 09, 2009, 03:46:11 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Sajid bhai..Zindagi Ki Kuch Sachaiyon ko Alfaazo Mein Dhaala Hai Aapne.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #8 on: June 10, 2009, 04:08:08 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Wah Wah Ghayal Ji
Kamal kar diya aapne
Bahut khooooob
SARVESH RASTOGI
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: June 12, 2009, 03:35:49 AM »
Reply with quote
Waah bahot khoob Sajid ji,aate hi behatareen peshkash ki hai aapne,awesome poem,welcome back dear

Bohat shukriyaan Kaash for your time and comment
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 07:28:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer