"kitne mousam"

by aaina on February 18, 2009, 08:07:24 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 733 times)
aaina
Guest
Reply with quote
kitne mousam sargardaan thay mujse haath milne mai
meine shayaad dair laga di khud se bahar aane mai

ek nigah ka sannata hai, ek awaaz ka banjar pan
mein kitna tanha baitha hun qurbat ke veeraane mai

bistar se karwat ka rishta toot gaya ek yaad ke sath
khaab sarhaane se uth baitha takiye ko sarkaane mai

wo ek phool ki khushboo mujh maein paiham shor machati hai
jisne behad ujlat barti khilne aur murjhaane mai   (azm behzaad)
Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 18, 2009, 09:37:10 AM »
Reply with quote
Nice Sharing Aaina Ji
Logged
aaina
Guest
«Reply #2 on: February 18, 2009, 01:28:33 PM »
Reply with quote
thnxx celmira ji.................
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 18, 2009, 01:56:47 PM »
Reply with quote
Nice One Aaina Ji,.
Nice Sharing,.
Logged
aaina
Guest
«Reply #4 on: February 19, 2009, 06:56:50 AM »
Reply with quote
Nice One Aaina Ji,.
Nice Sharing,.

thnxx janasheen................


                   Kabhi Kabhi

May 3rd, 2007 Popularized by the movie “kabhi kabhi”, the nazm featured in Sahir’s “talKhiyaaN” and was later simplified for the movie version.  The movie contained two different versions of the nazm, the one that was sung by Mukesh and then Mukesh and Lata and the other version was from ‘talKhiyaaN’, recited by Amitabh Bachchan.  The one I’m posting right now is straight from his book ‘talKhiyaaN’ and was recited by Amitabh Bachchan in the movie “Kabhi Kabhi”

kabhii kabhii mere dil meiN Khayaal aataa hai

k zindagii tirii zulfoN ke narm chaaoN meiN
guzarne paati to shaadaab ho bhi saktii thii
ye teeragi jo miri zeest ka muqaddar hai
tirii nazar ki shu’aaoN meiN kho bhi sakti thii

ajab na thaa k maiN begaana-e-alam ho kar
tirii jamaal ki ra’anaaiyoN meiN kho rahtaa
tiraa gudaaz badan terii neembaaz aaNkheiN
inheeN haseen fasaanoN meiN mahv ho rahtaa

pukaarti mujhe jab talKhiyaaN zamaane ki
tire laboN se halaavat ke ghooNT pee letaa
hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur maiN
ghaneri zulfoN ke saaye meiN chhup ke jee letaa

magar ye ho na sakaa aur ab ye ‘aalam hai
k tuu nahiiN tira Gham , teri justajoo bhi nahiiN
guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise
ise kisii ke sahaare ki aarzoo bhi nahiiN

zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa chukaa houN gale
guzar rahaa houN kuchh anjaani rah-guzaaroN se
muheeb saaye mirii samt baRhte aate haiN
hayaat-o-maut ke purhaul KhaarzaaroN se

na koii jaadaa, na manzil, na roshnii ka suraag
bhaTak rahii hai KhalaaoN meiN zindagii meri
inhii KhalaaoN meiN rah jaaouNgaa kabhii kho kar
maiN jaantaa houN mirii ham nafas magar yuuN hi

kabhi kabhi mere dil meiN Khayaal aataa hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 01:28:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer