**Laut aao** by Rahim

by dead heart on May 15, 2010, 01:00:47 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 7790 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Aj dil bahaut yaad kar raha hai unn purane dino ko...Woh lamhon ko, woh ...bas kya kahoun...dil bahaut yaad karta hai...

Vikas bhaijan(Mann) ka ek shaer mere dil ke halat sahi maynon main darshata hai:

Mat puch tu mujse judai ka alam,
Roz bikharta hai dil toot kar seene main...

Yeh nazm, main uss shaks ke naam karna chahta hoon jisne Rahim ko jeena seekhaya hai...Yeh nazm, uss shaks ko guzarish karti hai ke 'Laut aao...'
Bahaut dil se likha hai...Umeed hai pasand ayegi!!

Ashkon se bhari nigahein tumhe darkhwast karti hai,
Laut aao mere paas,
Duniya basaenge; zindagi banaenge…

Toot hua tanha yeh dil mera,
Yaad karta hai purane zamane ko,
Woh ghanton ki meethi baaton ko,
Aj guzarish karta hai tumse Zalim,
Laut aao mere paas,
Duniya basaenge; zindagi banaenge…

Bikhri hui adhuri sansein meri,
Yaad karti hai tumhari mahek ko,
Jo duniya ki har khushboo se behtar hai,
Aj guzarish karta hai tumse Zalim,
Laut aao mere paas,
Duniya basaenge; zindagi banaenge…

Bina jaan wali meri dil ki dhadkanein,
Yaad karti hai tumhari dhadkanon ke shor ko,
Jinke sahare yeh bhi dhadakti thi khushi se,
Aj guzarish karta hai tumse Zalim,
Laut aao mere paas,
Duniya basaenge; zindagi banaenge…

‘Khamosh’ tum bin bahaut adhura hai,
Kyun chorr gayi tum mujhe,
Kya galti thi meri,
Sivae iske; ke toot kar chaha hai tumhe,
Meri har sans main tum basti thi,
Meri har dhadkan main tum samati thi,
Aj tum bin jeeya nahin jata,
Aisa lagta hai kisi ne meri parchayi le li,
Yeh zindagi main tum meri zindagi ho,
Dil se kehta hai tumse aj ‘Khamosh’,
Laut aao mere paas,
Duniya bhar ki khushian de dunga,
Ankhon main teri tasveer basaunga,
Dil ki gehrayion main tujhe chupaunga,
Bas itna hi hai kehna,
Guzarish karta hoon tumse Zalim,
Laut aao mere paas,
Duniya basaenge; zindagi banaenge…

~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
--- Woh laut ayi ----- by BeNam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
- Aa Laut Ao - by Meena is back in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
**Meri jaan tu nahin toh 'Rahim' nahin**by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
**Ae musafir laut aa* by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~Laut aya~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #1 on: May 15, 2010, 01:14:54 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Dost!!!

Dil Ke Jazbaaton ko lafz Dena Asaan nahi Hota, Aapki Yeh Nazm Bakhoobi
Haal-E-Dil Bayaan karti Hai..Bahut Khoobsurat Ehsaas

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Uss Ladki Ki taraf se Ek Jawaab!!! Umeed Karta Hoon Bhai rahim Aapko Pasand Aaye...

Yuh Na Samjho Ke Hum Magroor The,
Bas Halaat ke Haathon Majboor The..

Dil Tujhse Kabhi Juda Tha Hi Nahi,
Bas Faaslo Mein Tujhse Bahut Door The....

Khud Ke Khwaisho Ka Qatl Kiya Humne,
Khuda Jaanta Hai Hum Bekasoor The...

Mujhe Zaalim Naa Keh "Rahim"
Aaj Shayad Tere Saath nahi Par kabhi Hum tere Zaroor The...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: May 15, 2010, 01:54:55 PM »

Shukriya Dost..

Uff kya baat hai...Pasand...Hae hae mere dil ko choo gaya...Haan shayad yehi kehti woh...nahin apne jitni khubsoorati se kaha, uss khubsoorati se toh woh bhi nahin kehti...Bahaut bahaut bahaut bahaut ala...bahaut khoob... Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: May 15, 2010, 02:02:26 PM »
Reply with quote

Yuh Na Samjho Ke Hum Magroor The,
Bas Halaat ke Haathon Majboor The..

Dil Tujhse Kabhi Juda Tha Hi Nahi,
Bas Faaslo Mein Tujhse Bahut Door The....

Khud Ke Khwaisho Ka Qatl Kiya Humne,
Khuda Jaanta Hai Hum Bekasoor The...

Mujhe Zaalim Naa Keh "Rahim"
Aaj Shayad Tere Saath nahi Par kabhi Hum tere Zaroor The...

Ek jawab meri taraf se..Umeed hai pasand ayega...

Kya majboori thi jo mujhe tune chorr dia hai,
Sach hai Zalim, tune 'Khamosh' ka dil torr dia hai...

Jab zindagi khushion main behti jaa rahi thi,
Tune zindagi ko meri ghum ki raahon ki taraf morr dia hai...

Aj itni masoomiyat se kehti hai 'mujhe maaf kardo',
Tune toh sharam ki har sima ko torr dia hai...

Sach hai Zalim, tune 'Khamosh' ka dil torr dia hai...
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009

View Profile
«Reply #4 on: May 15, 2010, 02:08:53 PM »
Reply with quote
Waah..!! Bahut Khoob.... Applause Applause Applause

aap dono ne hi kya dilkash nazm pesh ki hai...

Khwahish ji...aur Rahim ji.... aap dono ne bade khoobsurati se alfazo ko samet kar ek na bhulne wali ghazal pesh ki hai... Usual Smile Usual Smile

aise hi likhte rahiye... Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: May 15, 2010, 02:10:09 PM »
Reply with quote
Shukriya Mohammad jee...Bahaut bahaut shukriya Waqt dene ke liye iss nazm ko..
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: May 15, 2010, 02:24:52 PM »
Reply with quote
Aj dil bahaut yaad kar raha hai unn purane dino ko...Woh lamhon ko, woh ...bas kya kahoun...dil bahaut yaad karta hai...

Vikas bhaijan(Mann) ka ek shaer mere dil ke halat sahi maynon main darshata hai:

Mat puch tu mujse judai ka alam,
Roz bikharta hai dil toot kar seene main...

Yeh nazm, main uss shaks ke naam karna chahta hoon jisne Rahim ko jeena seekhaya hai...Yeh nazm, uss shaks ko guzarish karti hai ke 'Laut aao...'
Bahaut dil se likha hai...Umeed hai pasand ayegi!!

Ashkon se bhari nigahein tumhe darkhwast karti hai,
Laut aao mere paas,
Duniya basaenge; zindagi banaenge…

Toot hua tanha yeh dil mera,
Yaad karta hai purane zamane ko,
Woh ghanton ki meethi baaton ko,
Aj guzarish karta hai tumse Zalim,
Laut aao mere paas,
Duniya basaenge; zindagi banaenge…

Bikhri hui adhuri sansein meri,
Yaad karti hai tumhari mahek ko,
Jo duniya ki har khushboo se behtar hai,
Aj guzarish karta hai tumse Zalim,
Laut aao mere paas,
Duniya basaenge; zindagi banaenge…

Bina jaan wali meri dil ki dhadkanein,
Yaad karti hai tumhari dhadkanon ke shor ko,
Jinke sahare yeh bhi dhadakti thi khushi se,
Aj guzarish karta hai tumse Zalim,
Laut aao mere paas,
Duniya basaenge; zindagi banaenge…

‘Khamosh’ tum bin bahaut adhura hai,
Kyun chorr gayi tum mujhe,
Kya galti thi meri,
Sivae iske; ke toot kar chaha hai tumhe,
Meri har sans main tum basti thi,
Meri har dhadkan main tum samati thi,
Aj tum bin jeeya nahin jata,
Aisa lagta hai kisi ne meri parchayi le li,
Yeh zindagi main tum meri zindagi ho,
Dil se kehta hai tumse aj ‘Khamosh’,
Laut aao mere paas,
Duniya bhar ki khushian de dunga,
Ankhon main teri tasveer basaunga,
Dil ki gehrayion main tujhe chupaunga,
Bas itna hi hai kehna,
Guzarish karta hoon tumse Zalim,
Laut aao mere paas,
Duniya basaenge; zindagi banaenge…

~Rahim~

Mera Ek Sher Aapke Dil Par Itna Asar Kar Gaya Rahim Bhai.. Yeh Soch Kar Khushi Kam aur Dil Udaas Zyada Ho Gaya.. Kyunki Aaapko Mere Yeh Alfaaz Phir se Dard Aur Kisi Ki Yaadon ke Ghere Me Le gaye.. Bass itna hi kahana Chaahunga mere dost ki Uske sath Guzaare Meethe Lamhon Ko Yaad kijiye.. Dard Khud-b-khud Kam Ho jayega.. aur humaari Duaayen hain aapke sath.. aapka Pyaar Aapke Paas zaroor Laut kar aayega...!!! icon_thumleft icon_thumleft

Ab Is Nazm ke Bare me Kya Kahun.. Dard Aur Tadap Ko Lafzon Me itni Sanjidgi aur khubsoorati se Utaara hai aapne Ki Har Kisi Ki Aankhen Nam Ho Jayen.. Aapme Yeh Khoobi Hai mere dost Ki Aap Apne Ehasaason Ko, jazzbaaton ko Lafzon me Dhaalna khoob Jaante Hain.. is Nazm ke liye Dil se Daad Kubool Karen..!!  Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #7 on: May 15, 2010, 02:27:19 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Dost!!!

Dil Ke Jazbaaton ko lafz Dena Asaan nahi Hota, Aapki Yeh Nazm Bakhoobi
Haal-E-Dil Bayaan karti Hai..Bahut Khoobsurat Ehsaas

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Uss Ladki Ki taraf se Ek Jawaab!!! Umeed Karta Hoon Bhai rahim Aapko Pasand Aaye...

Yuh Na Samjho Ke Hum Magroor The,
Bas Halaat ke Haathon Majboor The..

Dil Tujhse Kabhi Juda Tha Hi Nahi,
Bas Faaslo Mein Tujhse Bahut Door The....

Khud Ke Khwaisho Ka Qatl Kiya Humne,
Khuda Jaanta Hai Hum Bekasoor The...

Mujhe Zaalim Naa Keh "Rahim"
Aaj Shayad Tere Saath nahi Par kabhi Hum tere Zaroor The...

Khwaaish Bhai Aapka Bhi Jawab Nahi.. Rahim Bhai Ki Is Rachna Ka Behad Khubsoorati se Jawab Diya hai aapne.. Daad Kubool karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: May 15, 2010, 02:40:22 PM »
Reply with quote
Mera Ek Sher Aapke Dil Par Itna Asar Kar Gaya Rahim Bhai.. Yeh Soch Kar Khushi Kam aur Dil Udaas Zyada Ho Gaya.. Kyunki Aaapko Mere Yeh Alfaaz Phir se Dard Aur Kisi Ki Yaadon ke Ghere Me Le gaye.. Bass itna hi kahana Chaahunga mere dost ki Uske sath Guzaare Meethe Lamhon Ko Yaad kijiye.. Dard Khud-b-khud Kam Ho jayega.. aur humaari Duaayen hain aapke sath.. aapka Pyaar Aapke Paas zaroor Laut kar aayega...!!! icon_thumleft icon_thumleft

Ab Is Nazm ke Bare me Kya Kahun.. Dard Aur Tadap Ko Lafzon Me itni Sanjidgi aur khubsoorati se Utaara hai aapne Ki Har Kisi Ki Aankhen Nam Ho Jayen.. Aapme Yeh Khoobi Hai mere dost Ki Aap Apne Ehasaason Ko, jazzbaaton ko Lafzon me Dhaalna khoob Jaante Hain.. is Nazm ke liye Dil se Daad Kubool Karen..!!  Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**

Arey aisi baat nahin hai Dost..Bas apka shaer dil main uttar gaya hai..

Hmm Bahaut bahaut shukriya...Bas ap jaise kuch bahaut ache shayaron ko parrte parrte meri likhayi behtar hogayi...Apka shukriya...Daad dil se kabool hai..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #9 on: May 15, 2010, 02:49:34 PM »
Reply with quote
Shukriya Dost..

Uff kya baat hai...Pasand...Hae hae mere dil ko choo gaya...Haan shayad yehi kehti woh...nahin apne jitni khubsoorati se kaha, uss khubsoorati se toh woh bhi nahin kehti...Bahaut bahaut bahaut bahaut ala...bahaut khoob... Applause Applause

Bhai Rahim,Sab Ki Apni-Apni Majbooriyan Hoti Hai..Aur Mere Bhai Har Khwaish Mukammal Bhi To nahi Hoti..Yehi Zindagi ki Haqeeqat Hai...

Aur rahi Baat Shayari ki,Bhai Rahim Aapne Likha Hi itna Acha Tha Ke hum Bhi Kuch kosish Kar Gaye..Pasand farmane Ke liye Aapka Teh Dil Se shukriya Usual Smile
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: May 15, 2010, 02:52:24 PM »
Reply with quote
Bhai Rahim,Sab Ki Apni-Apni Majbooriyan Hoti Hai..Aur Mere Bhai Har Khwaish Mukammal Bhi To nahi Hoti..Yehi Zindagi ki Haqeeqat Hai...

Aur rahi Baat Shayari ki,Bhai Rahim Aapne Likha Hi itna Acha Tha Ke hum Bhi Kuch kosish Kar Gaye..Pasand farmane Ke liye Aapka Teh Dil Se shukriya Usual Smile

Hmm bahaut sahi kaha...Har khwahish puri nahin hoti... Shukriya dobara..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #11 on: May 15, 2010, 03:44:05 PM »
Reply with quote
waah rahiim ji n khwaish ji bahut hi umda likha hai aap dono ne...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: May 15, 2010, 04:09:28 PM »
Reply with quote
Shukriya Geet jee..
Logged
Pallavi Gupta
Guest
«Reply #13 on: May 16, 2010, 05:55:13 AM »
Reply with quote
nice poem rahim ji..........really nice

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: May 16, 2010, 11:49:58 AM »
Reply with quote
Shukriya Pallavi jee...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 02:18:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.256 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer