dostoN, phir junooN meiN ek aur ghazal bak di hai, padhne ka dard seh lijiyegaa.
kyuNki ye gham e dil ka bayaan hai isliye kucchh uljhee huee ho shayad ... shayad raddee ki tokree ke hi laayak hai, par ussey bhi apna puraanaa yaaraana hai

(rozmarra ki zabaan se alag kucchh alfaaz istemaal kiye hain jinka tarjumaan aakhir mein hai.)
arz kiya hai ...
khud apnee tamaanaoN ka gaddaar hee hooN maiN
phir kiskaa juz azaab talabgaar hee hooN maiN
apne ilaaj-e-gham se to bezaar hee hooN maiN
pur-dard jaankar gham-e-aghyaar hee hooN maiN
khud apne nakhunoN se zakhmkaar hee hooN maiN
qaabil naheeN hifaazat-o-teemaar hee hooN maiN
apnee gahan ke naap ka phandaa hooN ek maiN
apne lahoo ki muntazir talwaar hee hooN maiN
wo bhee ye maantaa hai ki maanooN n kucchh use
maanaa ki zamaane ka gireftaar hee hooN maiN
jitne hee be-maze se shauq aazmaaya tha
utne junooN se kar rahaa begaar hee hooN maiN
aaNkhoN meiN pyaar lab pe haNsee kyuN na talaashooN
maanaa khadaa huwa sar-e-baazaar hee hooN maiN
maqsad n sukhan-e-soz-e-gham ka arz-e-mehr hai
ghamkhwaar hooN apna n tarafdaar hee hooN maiN
zarra n hooN bad-mast to kaise kahooN b uzr
maiN bhee hooN duniyadaar bas maikhwaar hee hooN maiN
juz = other than, azaab = punishment, talabgaar = desirous, pur-dard = full of pain, aghyaar = others / antagonists, gahan = neck, teemaar = nursing, muntazir = waiting for, begaar = bonded labour, sukhan-e-soz-e-gham = narrating the intense pain of sorrow, arz-e-meher = plea for mercy, bad mast = drunk, b uzr = as pretext, maikhwaar = alchoholic