Jab Koi Sach Likhta Bahut Hai "Khwaish"

by khwaish on January 05, 2012, 10:42:31 AM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 4474 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #30 on: January 09, 2012, 04:08:59 PM »
Khwaish ji
ApplauseApplause
Sheba ji ke comments ke saath jana chahta hu..sach me jo kuch apne yo ko diya hai uski bharpaai ek award se nahi ki ja sakti. you deserve more than that. Applause


Mkv Ji Yeh Aapka badapan Hai...

Aapka Mere Liye Pyaar Aapke Lafzon Se zaahir hota Hai, wahi bahut Hai mere Liye..Mere Bhai bas Yuhi mera Saath dete rahiyega..Aapka Tahe Dil Se
Bahuttttttttttttt bahuttttttttttt Shukriya icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #31 on: January 09, 2012, 04:59:13 PM »
" Eid Ke Din Udaas Se Ghar Mei'n, Ek Bewa Ghareeb Ro Rahi Thi...
Uss Ka Bachcha Jo Yeh Puch Baitha Ke
"Maa, Eid BungLoun Mei'n Hi Kyu'n Hoti Hai..?"



yeh Ghazal Ek Maa Aur Ek Bete Ki Aapsi Baatcheet Hai
jisme Beta Apni Maa Ko Dilaase De Raha Hai Ke
Rone se Kuch haasil Nahi Hota Isliye Rona Chodd Bhi de..
Muflisi Mein Log Kin Kin MajbooriyoN Ka Saamna Karte Hai
Yeh Ghazal uss Soch par Adhaarit Hai..Dil Ki Nazron se Padhiyega...



Chal Maa Yeh Bazaar  Mujhe Lagta Mehanga Bahut Hai
Paas Jo yeh 20 Rupaye Hai yeh Yahan Sasta Bahut hai

kahin jaakar Do Roti Se Apni Bhook Mita Lenge Hum Dono
Gareeb Ke liye  Bas jeene Ke Liye Yahan Itna Bahut Hai

Khwaishon Ko Be-Maut Marne Diya Kar Naa  Eh Maaa!!!!
Paani Ka Dariya Aankhon Me Bewajah Rukhta Bahut hai

Mere Kapdo Ki Koi Parwaah Naa Kar,yeh Thik Thaak se Hai
Sharir Ko Dhakne Ke Liye Yeh Kapda Bhi Itna Bahut Hai

Taqdeer se Yuh Haar kar Roti Kyon Hai Maaa.....!!!!
jo Bhi hai jaisa Bhi hai,Yaad Rakh Mera Khuda Acha bahut hai

Sirf Paisa Paas Ho To Hi sab Kuch Nahi Hai Naa Maa..!!!!
Par Woh Baat Aur Hai ke Paiso Se,Apna Pet Bharta Bahut hai

Suuna Hai Ke iss Duniya mein Gham Ka Koi Khareedar nahi
Kya Kare Maa...Yahan  Insaan Ka Imaan Bikhta Bahut Hai

Tujhe Andaaza Bhi Nahi Yahan Log Kaise Jeete Hai...!!!!!!
Woh Andhero Mein Rota Hai Jo Ujaalo Me Hasta Bahut Hai

"Khwaish" Kuch Yuh Likh Ke Teri kalam Bhi Ro Pade...!!!!!
Ashq Aankhon Se Girte Hai Tab , Jab Koi Sach Likhta Bahut hai

                  ~~~~~Khwaish~~~~~


Wonderful creation Khwaish ji.Haqeeqat bayan ki hai apne. Behad khubsurat alfaz hain.

No doubt you deserved this Prestigious "Member of the year award".

Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek baar phir apke achievement ke liye CONGRATULATIONS.  
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
YoIndia ke aakash mein yun hi chamakte rahiye.
Thumbs UP

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #32 on: January 10, 2012, 08:26:18 AM »
Bahut khoob,khwaish ji.Dil se daad.

Aapka Bahut Bahut Shukriya Hasan Ji icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #33 on: January 10, 2012, 09:20:14 AM »
Khawahish Jee Aadaab!

Janab itna kareebi se observation aur itne gehre khayaaloN
ko aapne kalam baND kiya behad khub janab..

Aur aise khayaaloN ko mehsus karne waala shaks waqai saaf dil
aur nek insaan hi ho sakta hai.. Usual Smile
Achchi kalaam kahi hai janab.. hazaaroN daad har ahsaar par
har khayaal par.. Usual Smile

Dili daad O mubarakbad kabul kijiye.. likhate rahiye..
Aate rahiye.. Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile
   




Parwaaz Ji Aapke Comments Padhkar yakeen Maniye Behad Khushi Mehsoos Hui hai, Aapne Humesha se Mere Har Kalaam Ko pna waqt diya Hai..Aapka Bahut Bahut Shukriya..Aur Mere Bhai Hum Wahi Likhte Hai Jo Hum kabhi Mehsoos karte Hai, Hum Hurdum Physically To kisi Ka Saath nahi De Paate Par uska Dard, uski Soch Ko Apne Lafzon Mein Utaarne Ki kosish Zaroor Karte Hai..  Yuhi Humesha Apni Raaye Humein Dete rahiyega..Thanks a lotttttt icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #34 on: January 10, 2012, 10:13:59 AM »
khawaish ji sach kahun aankhon mein aansun bhi aye aur hausla bhi aya . Salute to you for realty

Thankyou Soooooo Much For Your Kind Words Saahil ji

Khushi Iss Baat Se Hui hai Ke Aap mein isse Padhkar hausla Aaya Hai Jo Sabse Zaroori Hai.. icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #35 on: January 10, 2012, 11:08:26 AM »
" Eid Ke Din Udaas Se Ghar Mei'n, Ek Bewa Ghareeb Ro Rahi Thi...
Uss Ka Bachcha Jo Yeh Puch Baitha Ke
"Maa, Eid BungLoun Mei'n Hi Kyu'n Hoti Hai..?"



yeh Ghazal Ek Maa Aur Ek Bete Ki Aapsi Baatcheet Hai
jisme Beta Apni Maa Ko Dilaase De Raha Hai Ke
Rone se Kuch haasil Nahi Hota Isliye Rona Chodd Bhi de..
Muflisi Mein Log Kin Kin MajbooriyoN Ka Saamna Karte Hai
Yeh Ghazal uss Soch par Adhaarit Hai..Dil Ki Nazron se Padhiyega...



Chal Maa Yeh Bazaar  Mujhe Lagta Mehanga Bahut Hai
Paas Jo yeh 20 Rupaye Hai yeh Yahan Sasta Bahut hai

kahin jaakar Do Roti Se Apni Bhook Mita Lenge Hum Dono
Gareeb Ke liye  Bas jeene Ke Liye Yahan Itna Bahut Hai

Khwaishon Ko Be-Maut Marne Diya Kar Naa  Eh Maaa!!!!
Paani Ka Dariya Aankhon Me Bewajah Rukhta Bahut hai

Mere Kapdo Ki Koi Parwaah Naa Kar,yeh Thik Thaak se Hai
Sharir Ko Dhakne Ke Liye Yeh Kapda Bhi Itna Bahut Hai

Taqdeer se Yuh Haar kar Roti Kyon Hai Maaa.....!!!!
jo Bhi hai jaisa Bhi hai,Yaad Rakh Mera Khuda Acha bahut hai

Sirf Paisa Paas Ho To Hi sab Kuch Nahi Hai Naa Maa..!!!!
Par Woh Baat Aur Hai ke Paiso Se,Apna Pet Bharta Bahut hai

Suuna Hai Ke iss Duniya mein Gham Ka Koi Khareedar nahi
Kya Kare Maa...Yahan  Insaan Ka Imaan Bikhta Bahut Hai

Tujhe Andaaza Bhi Nahi Yahan Log Kaise Jeete Hai...!!!!!!
Woh Andhero Mein Rota Hai Jo Ujaalo Me Hasta Bahut Hai

"Khwaish" Kuch Yuh Likh Ke Teri kalam Bhi Ro Pade...!!!!!
Ashq Aankhon Se Girte Hai Tab , Jab Koi Sach Likhta Bahut hai

                  ~~~~~Khwaish~~~~~



waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaaah  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley waaaaaaaaaaaaaaaah aur sirf waaaaaaaaaaaaaaaaah maine ek nazar dekha to thaa.
phir na jaane kyon puraa padh nahin payaa..... SUBHAN ALLAH kya khaqaa khincha hai. ghareebi ka.   waaaaaaaaaaaaaaah aur phir waaaaaaaaaaah. aap aise hi khubsoorat ghazal aur nazam likhte rahein. ALLAH AAP KO KHUSH RAKHE AUR AALAATAREEN LIKHNE KI SALAAHIYAT BAKHSE.    MAIN ADIR SE PADHNE KE LIYE MAAFI CHAHTA HOON
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #36 on: January 10, 2012, 12:50:56 PM »
waah…. I really dnt hv words for appreciation khwaish ji….. Behad khoobsurat jajbaat piroye hai aapne…. Social subject par is se behtar rachna nahi padhi maine…  hats off to u….
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: January 11, 2012, 01:13:01 PM »
gajab yaar i have noooooo words. sukriyaaaaaaa khawaish jiiii hila diya....,




Aapka Bahut bhaut Shukriya Dil Shah Ji
Jo Aapne Waqt Diya icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #38 on: January 11, 2012, 02:55:25 PM »

Bohot Khoob Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Aapka Bahut bahut Shukriya Janaab!!! icon_flower
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #39 on: January 12, 2012, 04:04:22 PM »
Is Rachna Ki Taareef Ke Liye Mere Paas Lafz Nahi Hai Bhai.. Kya Kahun Main..? Great Creation Bhai.. Aapki Soch, aapke Lafz aur is Rachna Se Jude Pehloo apni Dard Bhari Kahaani Bayaan Kar Rahe Hain.. Behad Umda Peshkash.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aur daad Ke sath Meri taraf se Yeh Salut Bhi..  icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut



**~** Mann **~**
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #40 on: January 12, 2012, 05:17:41 PM »

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP


Aapka bahut bahut shukriya Qalb ji.. icon_flower
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #41 on: January 14, 2012, 07:53:08 AM »
There is not much to left to say here but you have written very nice composition. Almost every sher has its own deep meaning and beauty.

Like this one :
Quote
Chal Maa Yeh Bazaar  Mujhe Lagta Mehanga Bahut Hai
Paas Jo yeh 20 Rupaye Hai yeh Yahan Sasta Bahut hai

And this showing the understanding of boy :
Quote
Mere Kapdo Ki Koi Parwaah Naa Kar,yeh Thik Thaak se Hai
Sharir Ko Dhakne Ke Liye Yeh Kapda Bhi Itna Bahut Hai

Then this one, still showing belief in God..
Quote
Taqdeer se Yuh Haar kar Roti Kyon Hai Maaa.....!!!!
jo Bhi hai jaisa Bhi hai,Yaad Rakh Mera Khuda Acha bahut hai

Right form start to end, so expressive and written from heart.

Nice work.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: January 15, 2012, 06:56:16 PM »
 Applause Applause Applause Applause

bahoot khoob... her ek line kmaal hai, magar yeh lines to dil chu kar dil mai rah gai

Mere Kapdo Ki Koi Parwaah Naa Kar,yeh Thik Thaak se Hai
Sharir Ko Dhakne Ke Liye Yeh Kapda Bhi Itna Bahut Hai

Taqdeer se Yuh Haar kar Roti Kyon Hai Maaa.....!!!!
jo Bhi hai jaisa Bhi hai,Yaad Rakh Mera Khuda Acha bahut hai
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #43 on: January 17, 2012, 07:04:34 AM »
Khawish Sahab aadab ,,

Apki Is Murassa Takhleeq Ke kya hi kahene hain ,,,Ap yaqeenan Jazbat ke shahinshah Hai..Meri dad khubool kare.N Is Dard bhari Takhleeq pe ...Allah apko do jahan ki Barkaton se nawaze ..


Dua go

Qadeertoopchi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #44 on: February 21, 2012, 07:17:47 AM »
Bahut hee achchhaa likhaa hai , Kittu ji aapney! Badhaayee! Bahut hee pyaaraa dil paayaa hai aapney! Kaash ham-aap aas-paas hotey!



Bahut Bahut Shukriya Saheb!!!!

Saheb Aaj Ke daur mein Dil Se Dil Milen Rahe To bahut Hai, FaasloN Mein Kya Rakha Hai...Aapka Pyaar, Aapka Aasirwaad Yuhi saath rahe..yehi Iltija hai aapse..

 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:31:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.287 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer