"Khwaish" Kya Hum Sach Mein Azaad Hai?????

by khwaish on August 14, 2011, 02:53:05 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5747 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Yeh Nazm Ek Sawaal Hai Hum sab Se,
 Ke kya Hum Sahi Maayno mein Azaad Hai???
Azaadi yahan Sirf Desh Ki Nahi,Azaadi Apne Soch-Samaj Ki,
Azaadi Rishwat-Khori Ki,AZaadi Galat Rasm-o-Riwaaz Ki,
Azaadi Fakr se yeh keh Paane Ki Ke "Haan Hum Azaad Hai
Kuch baatein Aisi Hai Jo Humein Yeh Sochne Par Majboor Karti hai,
Bas Unhi Kuch Bataon Ko Zehan Mein Rakhkar Yeh Nazm Likh Gaya....
yeh Nazm aaj se Teen saal pehle likhi gayi thi par
isse aur pukhta karke Phir Aaj likh Raha hoon...Zaroor Saath Dijiyega




Insaan Ke Roop mein Phirte Hai Naa Jaane Bhediye kitne
Inn Aankhon Ke Saamne Hote Hai Naa Jaane Haadse Kitne

Chup Rehte Hai,Sab Sehte Hai,Sochte Hai Khamosh Rehna,
Hi Behtar Hai Varna Kat Naa Jaaye Yahan Gale Kitne

Ek Fakeer Jo Do Roti Ke Liye Tarasta Hai
Haath Failaye Humare Saamne Se Guzarta Hai
Har Din Jo Gareebi Ki Maut Marta Hai
Phir Bhi Zinda Rehne Ke Liye Waqt Se Ladta Hai

Ek Neta Jo Kursi Par Apni Nazar Tikaye Rakhta Hai
Hazaro Ghotale Karke Bhi Singaashan Par Jaa Baithta Hai
Jhoote Wado karke Jo Jebe Apni Bharta Hai
Kya Koi Neta Kabhi kisi kanoon Se Darta hai??

Ek Sadhaaran Se Ladka Jee-jaan lagakar padhta Hai
Pardes Mein jaakar Settle Ho jaane Ki Baatein Karta hai
par Main Sochta Hoon,Yeh Kar Bhi Kya Sakta Hai,
Iss Mehangai Mein Woh Ab Aage Kaise Badh Sakta Hai??

Main Aur kisi Ki Nahi,Apne Doston Ki Baat Sunata Hoon
Sab Ne Khoob padhai Ki,Koi U.s Koi U.k Koi Arab mein jaa basa hai
Main Puchta Hoon Ke Kya Yuvak Peedhi Ki Yehi Ek Disha Hai??

Ek Beti Jo Apne Maa-Baap Ke Aankh Ka Taara Hai
Ek Beti Bete Se Badhkar Aaj Maa-Baap Ka Sahara hai
Bade Hone Par Beti Ki Shaadi Ache ghar Pe Ho,
Har Maa-Baap Ko Chinta Hoti Hai,Dahej Ki tayari Naa
kar sake To Sapno Se Bhari Aankhein Inki Roti Hai

Aao Hum Sab Milkar Iss Baat Ka Ehsaas Kare
Iss Desh Ke Liye Shaheedo Ne Jaan Bhi Dedi!!!
Aaj iss Desh Ko Humari Shaheedi Ki Zaroorat Nahi

Kabhi mazhab kabhi Jaat-Paat Ke Naam par Hum ladhte Rahe
kya hum Sahi Maayne Mein Hardum Tareeki Ki Orre Badhte Rahe???


Aaj Ke Halaat Dekhkar Dil mein Mere Ek Choti Si Baat Hai!!!
 "Khwaish" Kya Hum Sach Mein Azaad Hai???


               ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #1 on: August 14, 2011, 03:08:51 PM »
Reply with quote

bahut khoob....khwais ji... Usual Smile

sach ko bahut hi achhi tareeke se lafzo me piroya hai aapne...

dhero daad...... Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: August 14, 2011, 03:22:36 PM »
Reply with quote
wah Kya Baat Hai Khwaish Bhai.. Aaj Ke Haalaat To Waqai gulaami se Bhi Badtar Hain... Ek Kadwa Such Aapne apne Lajawab Lafzon Ke Zariye Yahan Pesh Kiya Hai..!!! Applause Applause

Aapki Qalam Jab Bhi Chalti Hai Kuch Kamaal karti Hai.. Umda Peshkash Hai Bhai.... daad Kubool Karen....  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley




**~** Mann **~**
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: August 14, 2011, 06:07:50 PM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab!

Janab aapke khayaaloN ki kia kaheN waqai gehrai se
sochte hai aap Usual Smile Har aik muqtaleef khayaal se aapne
kalaam ko sajaaya hai... Usual Smile

Jee janab sahiN kaha hai aapne " Hum Aazaad KahaaN "
SahiN mayne meiN aazaadi kia hai.. Shayad aaj ka har
Hindustaani aaj ke din yehi soch raha hoNga...  Feared.

"Kia Hum Aazaad Hai "Agar is sawaal ko aik contest ke tour
par liya jaye to 100% har aam aadmi yehi kaheNga kaahe
ki aazaadi " Aazaad toH desh hua hai.. Desh waasi toH ab
bhi usi gulaami meiN jee rahe hai... Jo 64 saal pahele
bhi thi aur aaj bhi wohi rahi......  sad5 sad7 sad7      


Khair jaane kab hume aazaadi mile........ sad5

Aapke vichaar achche rahe... Likhate rahiye..
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez Usual Smile
  

Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: August 14, 2011, 07:03:13 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob Khwaish ji
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: August 14, 2011, 07:06:53 PM »
Reply with quote
khwaaish ji,bahut achhe tareeqe se aap ne samaaj ke dard ko pesh kiya hai.aajk din hamein inn sub baaton per ghaur karna hai.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 14, 2011, 07:43:40 PM »
Reply with quote

bahut khoob....khwais ji... Usual Smile

sach ko bahut hi achhi tareeke se lafzo me piroya hai aapne...

dhero daad...... Applause Applause Applause Applause Applause


Touhid Ji, Aapne Apna Waqt Diya..

Aapka Bahut Bahut Shukriya icon_flower
Logged
sbechain
Guest
«Reply #7 on: August 14, 2011, 07:49:06 PM »
Reply with quote
Yeh Nazm Ek Sawaal Hai Hum sab Se,
 Ke kya Hum Sahi Maayno mein Azaad Hai???
Azaadi yahan Sirf Desh Ki Nahi,Azaadi Apne Soch-Samaj Ki,
Azaadi Rishwat-Khori Ki,AZaadi Galat Rasm-o-Riwaaz Ki,
Azaadi Fakr se yeh keh Paane Ki Ke "Haan Hum Azaad Hai
Kuch baatein Aisi Hai Jo Humein Yeh Sochne Par Majboor Karti hai,
Bas Unhi Kuch Bataon Ko Zehan Mein Rakhkar Yeh Nazm Likh Gaya....
yeh Nazm aaj se Teen saal pehle likhi gayi thi par
isse aur pukhta karke Phir Aaj likh Raha hoon...Zaroor Saath Dijiyega




Insaan Ke Roop mein Phirte Hai Naa Jaane Bhediye kitne
Inn Aankhon Ke Saamne Hote Hai Naa Jaane Haadse Kitne

Chup Rehte Hai,Sab Sehte Hai,Sochte Hai Khamosh Rehna,
Hi Behtar Hai Varna Kat Naa Jaaye Yahan Gale Kitne

Ek Fakeer Jo Do Roti Ke Liye Tarasta Hai
Haath Failaye Humare Saamne Se Guzarta Hai
Har Din Jo Gareebi Ki Maut Marta Hai
Phir Bhi Zinda Rehne Ke Liye Waqt Se Ladta Hai

Ek Neta Jo Kursi Par Apni Nazar Tikaye Rakhta Hai
Hazaro Ghotale Karke Bhi Singaashan Par Jaa Baithta Hai
Jhoote Wado karke Jo Jebe Apni Bharta Hai
Kya Koi Neta Kabhi kisi kanoon Se Darta hai??

Ek Sadhaaran Se Ladka Jee-jaan lagakar padhta Hai
Pardes Mein jaakar Settle Ho jaane Ki Baatein Karta hai
par Main Sochta Hoon,Yeh Kar Bhi Kya Sakta Hai,
Iss Mehangai Mein Woh Ab Aage Kaise Badh Sakta Hai??

Main Aur kisi Ki Nahi,Apne Doston Ki Baat Sunata Hoon
Sab Ne Khoob padhai Ki,Koi U.s Koi U.k Koi Arab mein jaa basa hai
Main Puchta Hoon Ke Kya Yuvak Peedhi Ki Yehi Ek Disha Hai??

Ek Beti Jo Apne Maa-Baap Ke Aankh Ka Taara Hai
Ek Beti Bete Se Badhkar Aaj Maa-Baap Ka Sahara hai
Bade Hone Par Beti Ki Shaadi Ache ghar Pe Ho,
Har Maa-Baap Ko Chinta Hoti Hai,Dahej Ki tayari Naa
kar sake To Sapno Se Bhari Aankhein Inki Roti Hai

Aao Hum Sab Milkar Iss Baat Ka Ehsaas Kare
Iss Desh Ke Liye Shaheedo Ne Jaan Bhi Dedi!!!
Aaj iss Desh Ko Humari Shaheedi Ki Zaroorat Nahi

Kabhi mazhab kabhi Jaat-Paat Ke Naam par Hum ladhte Rahe
kya hum Sahi Maayne Mein Hardum Tareeki Ki Orre Badhte Rahe???


Aaj Ke Halaat Dekhkar Dil mein Mere Ek Choti Si Baat Hai!!!
 "Khwaish" Kya Hum Sach Mein Azaad Hai???


               ~~~~~Khwaish~~~~~


TUM MUJHE KHOON DO MAIN TUJHE AZAADI DOONGA- SUBHASH CHANRA BOSE



 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #8 on: August 15, 2011, 06:44:58 AM »
Reply with quote
bht hi khoob peshkash khwaish ji....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: August 15, 2011, 07:23:24 AM »
Reply with quote
wah Kya Baat Hai Khwaish Bhai.. Aaj Ke Haalaat To Waqai gulaami se Bhi Badtar Hain... Ek Kadwa Such Aapne apne Lajawab Lafzon Ke Zariye Yahan Pesh Kiya Hai..!!! Applause Applause

Aapki Qalam Jab Bhi Chalti Hai Kuch Kamaal karti Hai.. Umda Peshkash Hai Bhai.... daad Kubool Karen....  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley




**~** Mann **~**

Mann Ji Kamaal Aap Sab ka Hai, Jo Meri Har Likhi Kalaam Ko Aap Sab Apna Waqt Dete Ho..Aapka Bahut Bahut Aur Bahut Shukriya Bhai..

Aapne Sach Kaha Aaj Ke Halaat Ke Mutaabik Hum Phir Gulaami Ki Orre Hi Jaa Rahe Hai..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: August 15, 2011, 10:57:40 AM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab!

Janab aapke khayaaloN ki kia kaheN waqai gehrai se
sochte hai aap Usual Smile Har aik muqtaleef khayaal se aapne
kalaam ko sajaaya hai... Usual Smile

Jee janab sahiN kaha hai aapne " Hum Aazaad KahaaN "
SahiN mayne meiN aazaadi kia hai.. Shayad aaj ka har
Hindustaani aaj ke din yehi soch raha hoNga...  Feared.

"Kia Hum Aazaad Hai "Agar is sawaal ko aik contest ke tour
par liya jaye to 100% har aam aadmi yehi kaheNga kaahe
ki aazaadi " Aazaad toH desh hua hai.. Desh waasi toH ab
bhi usi gulaami meiN jee rahe hai... Jo 64 saal pahele
bhi thi aur aaj bhi wohi rahi......  sad5 sad7 sad7     


Khair jaane kab hume aazaadi mile........ sad5

Aapke vichaar achche rahe... Likhate rahiye..
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez Usual Smile
   



parwaaz Ji Aapne Mere Dil Ki baat kehdi, Main yehi kehna Chahata Hoon iss Nazm mein Ke AZAAD To Desh Hua Hai Hum Nahi..Azaadi ke theek Baad Hi Politics Ne Apna Raaj jamaya Hum par..Kabhi-Kabhi Yuh Bhi mehsoos Hota Hai Ke Jin Shaheedo ne Jaan Dedi iss Watan Ke Liye Gar woh bhi Dekhte To Kya Sochte,Ke Aakhir Yeh Hai Woh Azaadi Jiske Liye Humne Apni jaan De di...

Khair Aapne Apna Waqt Diya..Aapka Teh dil Se Shukriya Mere Bhai icon_flower
Logged
M.ASGHAR MIRPURI
Guest
«Reply #11 on: August 15, 2011, 11:30:08 AM »
Reply with quote
PYARI NAZAM HAI KHAWAISH BHAI.ASGHAR
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: August 15, 2011, 05:58:05 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob Khwaish ji


Thankyou Soooooooooooooooooo Much Dear pooja...

Aapki daad Mil jaaye To Hum Saatve Aasman mein Pahunch Jaate Hai..

Kirpya Karke Yuhi Yoindia Mein Aate Raha kariye icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: August 16, 2011, 11:26:54 AM »
Reply with quote
khwaaish ji,bahut achhe tareeqe se aap ne samaaj ke dard ko pesh kiya hai.aajk din hamein inn sub baaton per ghaur karna hai.

Ji Aapne Apna Waqt Diya, Aapka Bahut Bahut Shukriya Siidiqui Ji.. icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: August 18, 2011, 09:29:18 AM »
Reply with quote

TUM MUJHE KHOON DO MAIN TUJHE AZAADI DOONGA- SUBHASH CHANRA BOSE



 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed

Sach Hai....

Aapne Waqt Diya Aapka Bahut bahut Shukriya Shebaji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 09:45:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer