Mujhse Dil Na Laga... (Shikha)

by Shikha12 on August 21, 2007, 02:09:59 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2383 times)
Shikha12
Guest
Well, the Introduction to this Poem is In its First Paragraph only... Usual Smile
Kuch jyada hi long poem ho gayi... Please Bear It... :D



Kehte hai mitti se bana hai har insaan,
Aur ek din issi mitti mein mil jaayega…
Gamon ki dhoop mein sookh jaaye mitti,
To kaun mitti se patthar na ho jaayega…
Khushi ki chaanv mein dhoop ki milawat mili,
Harr riste mein jhoote pyaar ki banawat mili...
Gum-e-Dhoop ki garmi mein tar.batar hoon,
Aisa lagta hai jaise main koi patthar hoon...
Mujhse dil na laga main to bas patthar hoon…

Aaj Zubaan meri hai kaisi patharaayi si,
Yeh Pathrili aankh lagti hai neeli neeli si…
Lal doriyon ka samunder theher gaya aise,
Gamon ka pyala bhar ke chalak gaya jaise…
Na-Jaane kaun se gunaah ki mil rahi hai saja,
Kya kahe, kya hai yun patthar hone ki wajah...
Yehi sawaal hai jispar mein Nir.uttar hoon,
Aisa lagta hai jaise main koi patthar hoon...
Mujhse dil na laga main to bas patthar hoon...

Neele gagan ko ek-takk dekha karti hoon,
Panchhi ki tarah udne ki khwaish karti hoon…
Kabhi reit par tikk jaati hai khaali si nazar,
Badkismati par chalta nahin ab koi bhi asar…
Udd jaana chahti hoon khule aasmaanon mein,
Ya Reit si simat jaaun kahin dhalaanon mein...
Kya main is bikhri reit se bhi bat.tar hoon?
Aisa lagta hai jaise main koi patthar hoon...
Mujhse dil na laga main to bas patthar hoon...
[/b]
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2007, 06:16:16 PM »
dil aab soch k thodi na lagayi jati hai sikhaaaaaaaaaaa tongue3
waise nice post Usual Smile
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #2 on: August 21, 2007, 06:46:27 PM »
It is Good Shikha, so easy to see that its really coming from heart only!

Dekhiye zamane mein kuch gham hain
toh kuch khushi bhi hai..
Samjhiye mohabbat mein thora dard hai
toh jannat bhi hai..
Apne dil pe tuh yakeen karr..
Pyar tuh khul kar karr..
Mauka fir mile naa mile zindagi..
ki teri dalil ae ishq mein koi kami naa karr !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2007, 11:16:08 PM »
Really Good One Shikha & Nice Reply Ricky...
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #4 on: August 22, 2007, 10:20:31 AM »
bahut umda Shikha aur ricky ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 23, 2007, 09:47:08 AM »
Bahoot Khoob Bahoot Hi Accha Likha Hai Aapne,.
Shikha Ji Aur Ricky Ji,.
Yunhi Likhte Rahiye,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 23, 2007, 09:50:26 AM »
Dil Kisi Lagaa Lete To Tanha Na Hote,..
Deta Jo Koi Dard To Seh Lete Magar Yun Tanha Na Hote,..

_____________________________________-Jaanasheen-
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: August 23, 2007, 12:46:56 PM »
Thanks a lot for your nice comments  Shahid (RWG), Ricky, Samnoj, Aryan and Azeem... Usual Smile

Baaki jin logo ne padha aur comment nahin kiya... Unko bhi Thanks... :D


@ Shahid (RWG) : Shahid, baat to aapki theek hai, lekin aajkal dil bhi soch samajh kar lagana chahiye... Zamana Kharaab hai... tongue3

@ Ricky : Thanks once again for understanding... and very nice reply by you..

Quote from: "ricky"
Dekhiye zamane mein kuch gham hain
toh kuch khushi bhi hai..
Samjhiye mohabbat mein thora dard hai
toh jannat bhi hai..
Apne dil pe tuh yakeen karr..
Pyar tuh khul kar karr..
Mauka fir mile naa mile zindagi..
ki teri dalil ae ishq mein koi kami naa karr !!


Ab aapka reply :

Dekhe dard ke phaile hue laakh manjar,
Magar Ishq mein humne kab kami ki hai...
Patthar ho kar reh gaye tamashaaiyon mein,
Phir bhi in aankhon mein abhi nami si hai...

@ Azeem : Nice Reply by you too...

Quote from: "jaanasheen"
Dil Kisi Lagaa Lete To Tanha Na Hote,..
Deta Jo Koi Dard To Seh Lete Magar Yun Tanha Na Hote,..


For You :

Humko ruswaai ka na hota zara bhi gila,
Dard na hota, Na Aansoo, No koi Gum...
Dil laga ke bahut toote, bahut roye hai,
Yeh Behtar thha ki tanha hi hote hum...
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #8 on: August 23, 2007, 12:58:08 PM »
Shikha

Zabardast kalaam =D> =D> =D>

Itna badhiya tum likhti ho ki kya kahoon !

Dard mein tumhara likha laajawab hota hai !

Keep it up !

Ricky

Nice reply !

Azeem

Nice too !
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #9 on: August 23, 2007, 01:01:50 PM »
Shukriya Rajbir Ji... Usual Smile

Aapke Comments bahut hausla afzaai karte hai...
Phir bhi Itni tareef naa kiya karey... Sir par chadh jaati hai... :D
Logged
rajrishi
Guest
«Reply #10 on: August 23, 2007, 01:45:48 PM »
good work shikha ji, bhut umda likhti hain aap, lajawab.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: August 23, 2007, 01:47:33 PM »
Thanks a lot Rajrishi for your appreciation... Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: August 23, 2007, 02:18:55 PM »
Quote from: "Shikha12"
Well, the Introduction to this Poem is In its First Paragraph only... Usual Smile
Kuch jyada hi long poem ho gayi... Please Bear It... :D



Kehte hai mitti se bana hai har insaan,
Aur ek din issi mitti mein mil jaayega…
Gamon ki dhoop mein sookh jaaye mitti,
To kaun mitti se patthar na ho jaayega…
Khushi ki chaanv mein dhoop ki milawat mili,
Harr riste mein jhoote pyaar ki banawat mili...
Gum-e-Dhoop ki garmi mein tar.batar hoon,
Aisa lagta hai jaise main koi patthar hoon...
Mujhse dil na laga main to bas patthar hoon…

Aaj Zubaan meri hai kaisi patharaayi si,
Yeh Pathrili aankh lagti hai neeli neeli si…
Lal doriyon ka samunder theher gaya aise,
Gamon ka pyala bhar ke chalak gaya jaise…
Na-Jaane kaun se gunaah ki mil rahi hai saja,
Kya kahe, kya hai yun patthar hone ki wajah...
Yehi sawaal hai jispar mein Nir.uttar hoon,
Aisa lagta hai jaise main koi patthar hoon...
Mujhse dil na laga main to bas patthar hoon...

Neele gagan ko ek-takk dekha karti hoon,
Panchhi ki tarah udne ki khwaish karti hoon…
Kabhi reit par tikk jaati hai khaali si nazar,
Badkismati par chalta nahin ab koi bhi asar…
Udd jaana chahti hoon khule aasmaanon mein,
Ya Reit si simat jaaun kahin dhalaanon mein...
Kya main is bikhri reit se bhi bat.tar hoon?
Aisa lagta hai jaise main koi patthar hoon...
Mujhse dil na laga main to bas patthar hoon...
[/b]



Bahoot khoob shikha!! Last pehrae ki ek ek line dil ko chu gai.. jaise apne dil ki hasrto ko Aina najar aa gaya!! bahoot hi acha likha hai!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #13 on: August 23, 2007, 02:26:39 PM »
Thanks di... Your Comments means a lot to me.. Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: August 23, 2007, 05:15:12 PM »
You welcome Shikha!! Apka likha waqai hi dil ko chu gaya, kalam apne app likhati gai......
98.9% main app sabki shayri pardti hu aor sath ke sath hi jo man mai atta hai ek saans main likh deti hu... Apki shayri pardi jo man mai ayya chah kar bhi yaha nahi likh saki.. is liye usko yaha likhne ke layak banane main kuch waqat lag gaya.... Asha hai apko pasand ayega!!!

Toota hua hai dil, ghayal katra katra yah rooh hui
mujhse na dil lagana, main khud, khud se anjaan hui

Bhawanao ke bhanwar main dil khoya hai
Her ek armaan, na jaane kaha soya hai
Bar bar uski ek pukar per, kyun main phir uski hui
Mujhse Na Dil Lagana, Main khud, khud se Anjaan hui


kabhi is paar, kabhi us paar, khud ko paati hu
na jaane khud se, main khud, kaya chahti hu
her umeend tooti, khud main bahoot lachaar hui
Mujhse Na Dil Lagana, Main khud, khud se Anjaan hui

kabhi pathar khud ko, kabhi ansoo ka dariya paati hu
kabhi majboot iraadein, kabhi khud se hi mukar jaati hu
apne hi khayalo, apne hi sawalo se preshan hui
Mujhse Na Dil Lagana, Main khud, khud se Anjaan hui

raah nahi koi meri, kisi bhi raah chal doogi
mili hai judai mujhko, khud ko khud se hi juda kar doogi
na karna mera bharosa, lagta hai POOJA KE JEEVAN KI AB SHAM HUI
Mujhse Na Dil Lagana, Main khud, khud se Anjaan hui!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 01:34:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer