"Na Umeedi"

by Heart_throb620 on June 15, 2008, 01:25:48 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1934 times)
Heart_throb620
Guest
Na thi umeed koi to kaise jee lete,jo zakhm diye zamane ne unhe kaise see lete...
par ek umeed nazar ayi tere deedar k baad,k na hogi na umeedi teri umeed k baad...
yahi akhri ilteja hai rab se k na tod de wo meri umeed ko,k na hogi ab koi umeed is na umeedi k baad...
Chahte to hum bh hain k jeeien teri zulf k saye mien,par jaan gaye hain ab na ayegi umeed;haqeeqat k chhaye mien,
k yeh umeed thi teri ankhon se peene k baad...
aur peene k baad rehta hai kaun hosh me,wo umeed nahi hoti hai puri jo ho bekhudi k baad...kehte hain log k rakho umeed "Samad" k umeed pe duniya hai qayam,aap he btaien main karun kya is na umeedi k baad...
__$__
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #1 on: June 15, 2008, 02:49:52 PM »
Accha likha hai Heart_throb jee
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: June 16, 2008, 12:07:47 PM »
bohut khoob likha hai
 
rakh umeed na umeedi umeed mei ek din badal jaayegi
aaj bhatak raha hai tu raahon se par ek din manzil mil hi jaayegi
mohobbat k raaste aasan nahi hote hai par tu khuda se kar dua
ek na ek din teri b dua puri ho  hi jaayegi
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
September 04, 2025, 10:42:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.182 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8515 Real Poets and poetry admirer