My favourite songs.............

by khushiiiii on June 24, 2005, 04:51:59 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 27
Print
Author  (Read 28452 times)
khushiiiii
Guest
«Reply #105 on: August 04, 2005, 08:37:00 AM »
Arre jaane kaise kab kaha ikraar ho gaya
Hum sochte hi rah gaye aur pyaar ho gaya……..2

Gulshan bani galiya sabhi phool ban gayee kaliya sabhi ……..2
Lagta hai mera sehra taiyaar ho gaya
Hum sochte hi rah gaye aur pyaar ho gaya
Jaane kaise kab kaha……………………..

Tumne hume bebas kiya dil ne hume dhokha diya…………2
Uff tauba jeena kitna dushwaar ho gaya
Hum sochte hi rah gaye aur pyaar ho gaya
Jaane kaise kab kaha…………………………

Hum chup rahe kuch na kaha
Kahne ko kya baaki raha
Bas aankhon hi aankhon mein ikraar ho gaya
Hum sochte hi rah gaye aur pyaar ho gaya

Jaane kaise kab kaha ikraar ho gaya
Hum sochte hi rah gaye aur pyaar ho gaya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My All Time Favourite Songs................... by Talat in Songs & Lyrics « 1 2 ... 29 30 »
My 10 favourite songs..... by Rishi Soumya in Songs & Lyrics
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
khushiiiii
Guest
«Reply #106 on: August 08, 2005, 07:07:59 AM »
--MALE--

ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye
shayad yehi to pyar hai

--FEMALE--

betaabiyon mein dhadkan meri chain paye
shayad yehi to pyar hai

--MALE--
kuch bhi kaha na
kuch bhi suna na
phir bhi
bechain dil hai humara
behke kadam hai
mushkil mein hum hai
dekho
sambhale bhala kaise yaara

--FEMALE--
chahe bina bhi
nazdeek hum chale aaye
shayad yehi to pyar hai
nazarein bichade
pehre laga de
dil pe
par dil kissi ki na maane

--MALE--
kaanton pe chal ke
sholon mein jal ke
roke
milke rahenge deewane

--FEMALE--
chahat ki lau to
aandhi mein bhi jhil milaye
shayad yehi to pyaar hai

--MALE--
ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye
shayad yehi to pyaar hai
yeh mulaqaatein
yeh teri aankhein
ek pal na bhool paaoon

--FEMALE--
kitni mohabbat
hai kitni chahat tumse
kaise bhala main bataoon

--MALE--
acha lage jo
tu saamne muskuraye
shayad yehi to pyar hai

--FEMALE--
ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye
shayad yehi to pyar hai

--MALE--
kuch bhi kaha na
kuch bhi suna na
phir bhi
bechain dil hai humara
behke kadam hai
mushkil mien hum hai
dekho
sambhale bhala kaise yaara

--FEMALE--
chahe bina
nazdeek hum chale aaye
shayad yehi to pyar hai

---MALE--
shayad yehi to pyar hai
--FEMALE--
shayad yehi to pyar hai
--MALE--
shayad yehi to pyar hai
--FEMALE--
shayad yehi to pyar hai
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #107 on: August 08, 2005, 07:18:17 AM »
dil dhoondta hai phir wohi phursat ke raat din...(2)
baithe rahe tasabre jaana kiye hue...
dil dhoondta hai phir wohi phursat ke raat din.....
 
jaado ki narm dhoop aur aangan mein let kar...(2)
aankho se khinch kar tere daaman ke saaye ko...(2)
aaundhe pade rahe kabhi karwat liye hue...
dil dhoondta........
 
 
ya garmiyo ki raat jo purwaiya chale..(2)
thandi safed chadore pe jaage der tak..(2)
taaro ko dekhte rahe chhat par pade hue....
dil dhoondta hai phir wohi.....
 
 
barfile sardiyo mein kisi bhi pahad par...(2)
waadi mein goonjti huyi khamoshiya sune...(2)
aankho mein bheege bheege se lamhe liye hue....
dil dhoondta hai phir wohi........
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #108 on: August 08, 2005, 07:55:22 AM »
waqt ne kiya kya haseen sitam.
tum rahe na tum .......hum rahe na hum

bekarar dil is tarah mile jis tarah kabhi hum juda na the.....
tum bhi kho gaye.....hum bhi  kho gaye
ek raah par chalke do kadam...

waqt ne kiya kya haseen sitam...tum rahe na tum hum rahe na hum..

jayenge kaha soojhta nahin....chal pade magar raaste nahin...(2)
kya talash hai kuch pata nahin....boon rahe dil khwaab dum badum...

waqt ne kiya kya haseen sitam...tum rahe na tum .......hum rahe na hum
Logged
bhambra
Guest
«Reply #109 on: August 17, 2005, 09:40:12 AM »
Nice songs Khushi, BTW how r u?

This song is 4 u...................................

Liye sapne nigahon me, chala hoon teri rahon me
Zindagi aa raha hoon main

Kayi yaadon ke chehre hain, kayi kisse purane hain,
Teri sau dastane hain, tere kitne fasane hain.
Magar ik wo kahani hai, jo ab mujhko sunani hai
Zindagi aa.....

Mere haathon ki garmi se, bigar jayengi zanjeerein,
Mere kadmon ki aahat se, badal jayengi taqdeerein,
Umeedon ke diye lekar, ye sab tere liye lekar
Zindagi ....

Kabhi tujhko gila mujhse, kabhi mujhko shikayat hai,
Magar phirbhi tujhe meri, mujhe teri zaroorat hai,
Main ye iqraar karta hoon, main tujhse pyar karta hoon,
Zindagi aa....
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #110 on: August 31, 2005, 01:02:52 PM »
i m fine bhambraa......hope u r doing fine there

and thnx for the nice song

byeeeeee tc
Logged
bhambra
Guest
«Reply #111 on: September 01, 2005, 10:00:31 AM »
U r welcome khushi, main bilkool thik hu, tum apni batao, kaisi ho? missing u....and nice songs... :wink:
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #112 on: September 01, 2005, 12:27:40 PM »
Main pyaar hoon tera jaane na tu
Jaane na tu haan maane na tu
Main pyaar hoon tera jaane na tu
Jaane na tu haan maane na tu
Tera hi aashiq hoon mein
Mujhko tu pehchaan le
Yun to mein mar jaaoonga
Kehna mera maan le
Kehna mera maan le
Main pyaar hoon tera jaane na tu
Jaane na tu haan maane na tu

Aaya hoon mein paas tere ae sanam
Dil mein chupa ke laya tere ghum
Kya karoon tu bata meri hai kya khata
Kyon pyaar mein mujhe tadpaaye tu
Tadpaaye tu kyon tarsaaye tu
Kyo pyaar mein mujhe tadpaaye tu
Tadpaaye tu kyon tarsaaye tu

Maine tere naam likh di zindagi o o
Kitni bhi karle mujhse berukhi
Le mera imtihaan aur bhi aazmaan
Har saans mein tere bas jaaoonga
Ek din tujhe haan mein paaoonga
Main pyaar hoon tera jaane na tu
Jaane na tu haan maane na tu
Tera hi aashiq hoon mein
Mujhko tu pehchaan le
Yun to mein mar jaaoonga
Kehna mera maan le
Main pyaar hoon tera jaane na tu
Jaane na tu haan maane na tu
Main pyaar hoon tera jaane na tu
Jaane na tu haan maane na tu

This is my fav8 song from Jaan album
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #113 on: October 22, 2005, 04:55:11 PM »
nice song..........Mili.............
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #114 on: November 05, 2005, 09:49:52 AM »
thax waheed bhia.....
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #115 on: December 10, 2005, 09:01:11 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
nice song..........Mili.............


oye waheed...................mere songs ke baare mein to kuch nahi kaha.................

nice song................mili....................
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #116 on: August 04, 2006, 05:35:22 AM »
Bahta hai mann kahi
Kaha jaanti nahi
Koi rok le yahi
Bhaage re mann kahi aage re mann
Chala jaane kidhar jaanu na
Bhaage re mann kahi aage re mann
Chala jaane kidhar jaanu na

Chali thandi hawa sang mann bhi gaya
Dhoondo mein kaha isko
Batla de koi mujhko
Ke sun sun sun
Bhaage re mann kahi aage re mann
Chala jaane kidhar jaanu na

Ho……….haai aisa sama fhir hoga kaha
Jee lo mein ise khul ke
Saawan mein zara dhul ke
Ke sun sun sun
Bhaage re mann kahi aage re mann
Chala jaane kidhar jaanu na
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #117 on: August 04, 2006, 05:35:57 AM »
Tumhe ho na ho mujhko to
Itna yakeen hai mujhe pyaar tumse
Nahi hai nahi hai mujhe pyaar tumse
nahi hai nahi hai
tumhe ho na ho mujhko itna yakeen hai

mujhe pyaar tumse nahi hai……. nahi hai
magar maine ye raaz ab tak na jaana……….2
ke kyun pyaari lagti hai baatein tumhari
mein kyun tumse milne ka dhoondo bahana
kabhi maine chaaha tumhe cho ke dekho
kabhi maine chaha tumhe paas lana
magar fhir bhi is baat ka to yakeen hai
mujhe pyaar tumse nahi hai…nahi hai

fhir bhi jo tum door rahte ho mujhse
to rahte hai dil pe udaasi ke saaye………2
koi khwaab unche makano se jhaanke
koi khwaab baitha rahe sir jhukaaye
kabhi dil ki raho mein ho andhera
kabhi door tak fhir  roshini jhilmilaaye
magar fhir bhi is baat ka to yakeen hai
mujhe pyaar tumse nahi hai nahi hai

tumhe ho na ho mujhko to itna yakeen hai…………….
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #118 on: August 08, 2006, 09:54:45 AM »
wahhhhhhhhhhhhhhh  khusiiiiiiiiiiiiii......... very  nice  songs.........  :lol:  jawaab  nahi  tumhara.... tongue3

Soni Banno Chan Si Chamke
Mathe Uthe Jhumkar Dame
Palka Uth Diya Ne Thum Thum Ke
Main Vari Vari Java
Soni Banno Chan Si Chamke
Mathe Uthe Jhumkar Dame
Palka Uth Diya Ne Thum Thum Ke
Main Vari Vari Java

Tu Vekh Tai Lai Aj Raj Ke
Apne Sariyan Nu
Cheti Apne Nahi Mil De
Ja Banno Pave Khushiyan Te Dil Dariyan Tu
Pave Armaan Sab Dil De
Tu Vekh Tai Lai Aj Raj Ke
Apne Sariyan Nu
Cheti Apne Nahi Mil De
Ja Banno Pave Khushiyan Te Dil Dariyan Tu
Pave Armaan Sab Dil De

Tum Ho Gham Ko Chupaye
Main Hoon Sar Ko Jhukaye
Tum Bhi Chup Ho
Main Bho Chup Hoon
Kaun Kise Samjhaye
Ab Dooriyan Itni Hain To
Milna Yahan Kal Ho Naa Ho
Ab Dooriyan Itni Hain To
Milna Yahan Kal Ho Naa Ho
Tu Vekh Tai Lai Aj Raj Ke
Apne Sariyan Nu
Cheti Apne Nahi Mil De
Ja Banno Pave Khushiyan Te Dil Dariyan Tu
Pave Armaan Sab Dil De

Sach Hai Ke Dil To Dukha Hai
Hamne Magar Socha Hai
Dil Ko Hai Gham Kyon
Aankh Hai Nam Kyon
Hona Hi Tha Jo Hua Hai
Us Baat Ko Jaane Bhi Do
Jiska Nishaan Kal Ho Naa Ho
Har Pal Yahan Je Bhar Jiyo
Jo Hai Sama Kal Ho Naa Ho.............
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #119 on: August 08, 2006, 10:29:02 AM »
thanxxxxxxxxxxxxx waheeddddddddddd..


nice song....................
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 20, 2024, 03:52:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer