My favourite songs.............

by khushiiiii on June 24, 2005, 04:51:59 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 27
Print
Author  (Read 28438 times)
khushiiiii
Guest
«Reply #75 on: July 15, 2005, 05:28:49 AM »
Kasam ki kasam hai kasam hai
Hume pyaar hai sirf tumse
Ab ye pyaar na hoga fhir humse……….2

Log kahte hai paagal hoon mein ye bhi na jaanu
Dil lagaya hai maine ab kisi ki na maanu
Chain dekar ke maine bechainiya ye li hai
Neende uda ke maine tumse wafaaye ki hai
Kasam ki kasam hai kasam se
Jee rahe hai hum sanam tere dum se
Ab ye pyaar na hoga fhir humse

Kasam ki kasam ……….…………………


Kuch ishaaro mein tumne humse jo ye kaha hai
Ab yakin aa raha hai tumko bhi kuch hua hai
Kyun tumko dekhte hai kya dil mein sochte hai
Toofan jo uth raha hai hum usko rokte hai
Kasam ki kasam hai kasam se
Ye Milan hai sanam ka sanam se
Ab ye pyaar na hoga fhir humse

Kasam ki kasam hai kasam se………………………..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My All Time Favourite Songs................... by Talat in Songs & Lyrics « 1 2 ... 29 30 »
My 10 favourite songs..... by Rishi Soumya in Songs & Lyrics
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
khushiiiii
Guest
«Reply #76 on: July 15, 2005, 05:49:05 AM »
Aahista aahista milte hai dil sanam
Kyun na karle aapse pyaar hum………………2

Baat hi baat mein ek mulaakat mein………..2
Aisa kya ho gaya ho gaye hosh gum

Aahista aahista…………….

Jeene ki aas tum dil ka ehsaas tum…………..2
Sang tumhara hume chahiye har janam

Aahista aahista……………………………

Raaste ye naye inme hum kho gaye……..2
Manzilo ka pata milke dhoondhege hum

Aahista aahista milte hai dil sanam……………………
Logged
bhambra
Guest
«Reply #77 on: July 15, 2005, 08:36:56 AM »
Khushi nice songs yaar, mujhe lagta hai hum dono ki pasand bahot milti hai...

--MALE--
Hey la la la la, la la la la, la la la la la la
La la la la, la la la la, la la la la la la
Dekha jo tumko, yeh dil ko kya hua hai
Meri dhadkanon pe yeh chhaaya kya nasha hai, haan

--FEMALE--
Dekha jo tumko, yeh dil ko kya hua hai
Meri dhadkanon pe yeh chhaaya kya nasha hai, haan

--MALE--
Mohabbat ho na jaaye, deewana kho na jaaye
Sambhaaloon kaise isko, mujhe tu bataa, haan

--FEMALE--
Mohabbat ho na jaaye, deewana kho na jaaye
Sambhaaloon kaise isko, mujhe tu bataa

--MALE--
Dekha jo tumko, yeh dil ko kya hua hai

--FEMALE--
Meri dhadkanon pe yeh chhaaya kya nasha hai, haan

--MALE--
Bheegi bheegi alkon se, chori chori palkon se
Kyoon mera sapna churaaye
Jhunki jhunki ankhiyon se, dheere dheere batiyon se
Kyoon mujhe apna banaaye

--FEMALE--
Meri nazron pe chhaaye, khushboo ke jaise aaye
Mera tan mann mahekaaye
Saanson mein yeh pal pal jaane kaise halchal
Kuch bhi samajh mein na aaye
Sharaarat ho na jaaye, mohabbat ho na jaaye
Sambhaaloon kaise isko, mujhe tu bataa

--MALE--
Sharaarat ho na jaaye, mohabbat ho na jaaye
Sambhaaloon kaise isko, mujhe tu bataa

--FEMALE--
Meri hai yeh mushkil, ab to yeh mera dil
Bas mein huzoor nahin hai
Itna bataa de mujhe kaise samjhaaoon
Tujhe mera yeh kasoor nahin hai

--MALE--
Chaahe hum chaahe bhi to pehre lagaaye bhi to
Kaise din raat ko roke
Aag bina yeh jale, zor na koi chale
Kaise jazbaat ko roke
Yun chaahat ho na jaaye, mohabbat ho na jaaye
Sambhaaloon kaise isko, mujhe tu bataa, haan

--FEMALE--
Yun chaahat ho na jaaye, mohabbat ho na jaaye
Sambhaaloon kaise isko, mujhe tu bataa
Dekha jo tumko, yeh dil ko kya hua hai

--MALE--
Meri dhadkanon pe yeh chhaaya kya nasha hai, haan

--FEMALE--
Mohabbat ho na jaaye, deewana kho na jaaye
Sambhaaloon kaise isko, mujhe tu bataa

--MALE--
Mohabbat ho na jaaye, deewana kho na jaaye
Sambhaaloon kaise isko, mujhe tu bataa
Logged
bhambra
Guest
«Reply #78 on: July 15, 2005, 08:38:11 AM »
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan

Khulte badn hote labhon ki ye ankahi
Khulte badn hote labhon ki ye ankahi
Mujhse keh rahi hai ki badhne de bekhudi
Mil yoon ki daud jaayein nas nas mein bijliyaan

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan

Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand
Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand
Uljhi uljhi saanson ki aawaaz hai pasand
Moti luta rahi hai saawan ki badliyaan

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan .
Logged
bhambra
Guest
«Reply #79 on: July 15, 2005, 08:42:02 AM »
--MALE--
Kabhi to nazar milao, kabhi to kareeb aao - 2
Jo nahin kaha hai kabhi to samajh bhi jaao
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 2

--FEMALE--
Kabhi to nazar milao, kabhi to kareeb aao - 2
Jo nahin kaha hai kabhi to samajh bhi jaao
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 2

(Humne tumko dekhte hi dil diya
Tum bhi socho tumne humse kya kiya) - 2
Tumne kya kiya, kya kiya
Mera dil na todo, kabhi dil se dil milaa lo
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 2

--MALE--
Kabhi to nazar milao, kabhi to kareeb aao - 2
Jo nahin kaha hai kabhi to samajh bhi jaao
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 2

(Dil yeh chaahe teri zulfein choom loon
Sochta hoon aur tumse kya kahoon) - 2
Tumse kya kahoon, kya kahoon
Koi faislaa do, kabhi to gale lagaao
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 2

--FEMALE--
Kabhi to nazar milao, kabhi to kareeb aao - 2
Jo nahin kaha hai kabhi to samajh bhi jaao

--CHORUS--
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 7

--FEMALE--
(Tumhaare deewane, deewane, deewane)
(Deewane, tumhaare deewane, deewane)
(Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane)
Logged
bhambra
Guest
«Reply #80 on: July 15, 2005, 08:44:15 AM »
do pal miltey hai, saath saath chalte hai,
jab modh aaye toh bachke nikalte hai,
kitney ajeeb rishtey hain yahan pe,

thokar bhi khana hai, chalte bhi jana hai,
vaada kiya toh usko nibhana hai,
yahan sabko saare daav aazmaney hai
sabhi ek duje se zyada sayane hai
Logged
bhambra
Guest
«Reply #81 on: July 15, 2005, 08:46:44 AM »
Kitne bhi tu kar le sitam, has haske sahenge hum - 2
Yeh pyaar na hoga kam sanam teri kasam
Ho, sanam teri kasam, sanam teri kasam
Kitne bhi tu kar le sitam, has haske sahenge hum
Yeh pyaar na hoga kam sanam teri kasam
Ho, sanam teri kasam, sanam teri kasam
(Jitna tadpaayegi mujhko, utna hi tadpegi tu bhi
Jo aaj hai aarzoo meri voh kal teri aarzoo hogi) - 2
Yeh jhooth nahin sach hai sanam, sanam teri kasam
Ho, sanam teri kasam, sanam teri kasam
Nafrat se dekhna pehle andaaz pyaar ka hai yeh
Kuch hai aankhon ka rishta, gussa ikraar ka hai yeh
Bada pyaara hai tera zulam, sanam teri kasam
Ho, sanam teri kasam, sanam teri kasam
Kitne bhi tu kar le sitam, has haske sahenge hum - 2
Yeh pyaar na hoga kam sanam teri kasam
Ho, sanam teri kasam, sanam teri kasam
Logged
bhambra
Guest
«Reply #82 on: July 15, 2005, 08:48:00 AM »
Ho, Chehra Hai Ya Chand Khila Hai
Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kyaa

Tu Kya Jaane Teri Khaatir
Kitna Hai Betaab Ye Dil
Tu Kya Jaane Dekh Raha Hai
Kaise Kaise Khwaab Ye Dil
Dil Kehta Hai Tu Hai Yahaan To
Jaata Lamha Tham Jaaye
Waqt Ka Dariya Behte Behte
Is Manzar Mein Jam Jaaye
Toone Deewana Dil Ko Banaaya
Is Dil Par Ilzaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya...

Ho, Aaj Maein Tujhse Door Sahi
Aur Tu Mujhse Anjaan Sahi
Tera Saath Nahin Paaun To
Khair Tera Armaan Sahi
Ye Armaan Hain Shor Nahin Ho
Khamoshi Ke Mele Hon
Is Duniya Mein Koi Nahin Ho
Hum Dono Hi Akele Hon
Tere Sapne Dekh Raha Hoon
Aur Mera Ab Kaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #83 on: July 15, 2005, 08:48:34 AM »
Sach Mere Yaar Hai, Bas Wohi Pyaar Hai
Jiske Badle Mein Koi To Pyaar De
Baaqi Bekaar Hai, Yaar Mere....

Jis Haath Mein Ik Haath Hai
Us Haath Ki Kya Baat Hai
Kya Manzilein Kya Faasle
Ik Humsafar Gar Saath Hai
Jiski Qismat Koi Yoon Sanvaar De
Vo Hi Dildaar Hai, Yaar Mere....

Jhoome Zameen Jhoome Gagan
Tere Liye Hoke Magan
Khilti Rahein Khushiyaan Teri
Mehka Rahe Dil Ka Chaman
Zindagi Tujhko Aisi Bahaar De
Dilki Pukaar Hai, Yaar Mere....

Sunte The Hum Yeh Zindagi
Gham Aur Khushi Ka Mel Hai
Humko Magar Aaya Nazar
Yeh Zindagi Voh Khel Hai
Koi Sab Jeete Sab Koi Haar De
Apni To Haar Hai, Yaar Mere....
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #84 on: July 15, 2005, 10:12:26 AM »
Wowwwwwww all nice songs Bhambra

Haanii humaari aur aapki pasand kaafi milti hai
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #85 on: July 27, 2005, 04:23:54 AM »
Woh haseen dard de do jise mein gale laga lo
Woh nigaah mujh mein daalo ki mein zindagee bana lo
Woh haseen dard de do jise mein gale laga lo

Mein tumse maangti hoon mujhe apna haath de do
Mujhe aaj zindagee ki woh haseen raat de do
Jise paake kuch na mango aur maang mein saja lo
Wo h haseen dard de do jise mein gale laga lo

Meri aarzuu to dekho tumhe saamne bitha kar
Kabhi dil ke paas laakar kabhi dilruba banakar
Koi daastan sun lo koi daastan suna lo
Woh haseen dard de do jise mein gale laga lo

Kabhi pyaar ke alaava maine tumse kuch na maanga
Jaane kya tumhe samjhkar maine har kadam mein chaaha
Mera aaj faisla hai tumhe humsafar bana lo

Woh haseen dard de do jise mein gale laga lo
Woh nigaah mujh mein daalo ke mein zindagee bana lo
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #86 on: July 27, 2005, 05:07:36 AM »
Ek din tum bahut bade banoge ek din
Chaand se chamak uthoge ek din
Will you forget me than

How I can tell me how I can

Maan lo kahi ki shazaadi ko
Baithi hoo tumhari liye aankhein bhichaaye
Aur isse ye zidd ki woh shaadi kisi se na karegi
Tumhaari sivaaye
Will you forget me than

Yes I can if only you can

Ek din le gaya tumhe jo koi ajnabi
Gair ki ho gayee ye zindagee
Will you forget me than

Gentleman………….getleman…………………

Saans saans mein tumhari khushbo
Kis tarah jiyunga bolo tumko bhula ke
Dil pe jaan pe kar chuki hoo jaadu
Jaanti hoo poochti hoo fhir bhi sata ke
Will you forget me than

Gentleman ……….sorry gentleman

Ek din…………………………….
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #87 on: July 27, 2005, 05:29:14 AM »
Pyaar tune kya kiya
Ae pyaar tune kya kiya
Ek hi pal mein achaanal di hai nayee duniya
Di hai nayee khushiyaaan

Pahli dafa usse dekhkar
Hone laga kuch aisa asar……….2
Khud hi huee mein bekhabar
Mein hoon yaha par dil mera hai waha

Pyaar tune kya kiya
Ae pyaar tune kya kiya
Ek hi pal mein achaanak di hai nayee duniya
Di hai nayee khushiyaan

Tu de raha hai ahsaas ye
Jaise koi mere paas hai……………..2
kiske badan ko chukar
Mere badan ko cho rahi hai hawa……….

Pyaar tune kya kiya
Ae pyaar tune kya kiya………………..
Logged
bhambra
Guest
«Reply #88 on: July 27, 2005, 05:47:16 AM »
Nice songs Khushi, but which film this song belongs to..............................

Quote from: "khushiiiii"
Ek din tum bahut bade banoge ek din
Chaand se chamak uthoge ek din
Will you forget me than

How I can tell me how I can

Maan lo kahi ki shazaadi ko
Baithi hoo tumhari liye aankhein bhichaaye
Aur isse ye zidd ki woh shaadi kisi se na karegi
Tumhaari sivaaye
Will you forget me than

Yes I can if only you can

Ek din le gaya tumhe jo koi ajnabi
Gair ki ho gayee ye zindagee
Will you forget me than

Gentleman………….getleman…………………

Saans saans mein tumhari khushbo
Kis tarah jiyunga bolo tumko bhula ke
Dil pe jaan pe kar chuki hoo jaadu
Jaanti hoo poochti hoo fhir bhi sata ke
Will you forget me than

Gentleman ……….sorry gentleman

Ek din…………………………….
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #89 on: July 27, 2005, 05:54:53 AM »
Quote from: "bhambra"
Nice songs Khushi, but which film this song belongs to..............................

Quote from: "khushiiiii"
Ek din tum bahut bade banoge ek din
Chaand se chamak uthoge ek din
Will you forget me than

How I can tell me how I can

Maan lo kahi ki shazaadi ko
Baithi hoo tumhari liye aankhein bhichaaye
Aur isse ye zidd ki woh shaadi kisi se na karegi
Tumhaari sivaaye
Will you forget me than

Yes I can if only you can

Ek din le gaya tumhe jo koi ajnabi
Gair ki ho gayee ye zindagee
Will you forget me than

Gentleman………….getleman…………………

Saans saans mein tumhari khushbo
Kis tarah jiyunga bolo tumko bhula ke
Dil pe jaan pe kar chuki hoo jaadu
Jaanti hoo poochti hoo fhir bhi sata ke
Will you forget me than

Gentleman ……….sorry gentleman

Ek din…………………………….


thanx bhambra
from the movie........................Akhiyon ke Jharon se..............
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 12, 2024, 05:15:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer