"iblees ka aiyteraaf"

by aaina on May 09, 2009, 11:30:26 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3544 times)
aaina
Guest
Reply with quote
tu ne jis waqt ye inssan banaya ya rab
us ghadi mujhko to ek aankh na bhaya ya rab

is liyn maine sar apna na jhukhya ya rab
lakin ab palti hai kuch aisi hi kaaya ya rab

aqalmandi hai isimai ke mai touba kar lu.n
sochta hun ki ab insaan ko sajdah kar lun

ibteda thi bhut narm tabiyat uski
qalb wa jaan paak thay, shffaaf thi niyat uski

phir batadreej badalne lagi khuslat uski
ab to khud mujh pe musallat hai shararat uski

isse phele ke mai apna hi tamasha kar lun
sochta hun ke ab insaan ko sajda kar lun

ab to ye khoon ke rishton se bhi akad jata hai
baap se, bhai se, baite se bhi lad jata hai

jab kabhi taish mai hattay se ukhad jata hai
khud mere shr ka tawazun bhi bigad jata hai

ab to lazim hi ke mai khud ko hi seedha kar lun
sochta hun ke ab insaan ko sajda kar lun

kuch jijhkta hai na darta hia na sharmata hai
nit nayi fitna gari roz hi dikhlata hai

ab ye zalim mere behkaawe mai kab aata hai
mai bura sochta rehta hun ye kar jaata hai

kya abhi is ki mureedi ka iraada kar lun
sochta hun ke ab insaan ko sajda kar lun

isteqaamt thi kabhi is ki museebat mujhko
apne dhub par ise lana tha, qayamat mujhko

karni padti thi bhut is pe mushqqat mujhko
ab ye aalam hai ke din raat hai fursat mujhko

ab kahin gosha naseeni mai guzara kar lun
sochta hun ke ab insaan ko sajda kar lun

mast tha mai tere aadam ki hiqarat karke
khud pe naazaan tha bhut tujhse baghawat karke

kya mila mujhko magr aisi himqat karke
kya ye mumkin hai ke phir teri ataa'at karke

apne khoye huwe rutbe ki tamanna kar lun
sochta hun ki ke ab insaan ko sajda kar lun


     (poetry by talib khundmeeri)



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
~~~~~~""'"nazar-e-ishq"""~~~~~~~ by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
/////////"""HAAL-E-BAYAAN"""/////////////// by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
""Hamein Jab Alwida Kehne Lago"" by angel4u in Shayri-E-Dard
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: May 09, 2009, 01:14:20 PM »
Reply with quote
Subhan_allah waise to sharing item par dad nahi deta par kya cheeze share ki hain tumne Aslam wah. Insan ko uska aaina dikha diya shayer ne.....Maza aa gaya.

Tu kya tha kya ban gaya insaa.N

Kis had tak tu gir gaya hain insaa.N

Ab to shaitaan bhi tujhpar sharminda hain

Jo na socha tha Iblis ne karaye tujhse

Woh amal bhi tu kar gaya insaa.N

Tu kya tha kya ban gaya insaa.N

Kis had tak tu gir gaya insaa.N....

-SG-
Logged
syednaami
Guest
«Reply #2 on: May 09, 2009, 01:34:52 PM »
Reply with quote
Apne ashaar par nazr-e-saani kar len, kahin anjaane men koi ulti baat to nahin kar rahe hum... Allah ghafoor-o-raheem hai...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 09, 2009, 01:55:25 PM »
Reply with quote
Bohat Achche Aslam Bhai, Aur Sajid Bhai,.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: May 10, 2009, 03:00:13 AM »
Reply with quote
bahut khoob aslam ji nice sharing,
nice one by sajid ji ,
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #5 on: May 10, 2009, 03:23:19 AM »
Reply with quote
Very good Aaina Ji

SARVESH RASTOGI
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: May 10, 2009, 04:32:32 AM »
Reply with quote
Subhan_allah waise to sharing item par dad nahi deta par kya cheeze share ki hain tumne Aslam wah. Insan ko uska aaina dikha diya shayer ne.....Maza aa gaya.

Tu kya tha kya ban gaya insaa.N

Kis had tak tu gir gaya hain insaa.N

Ab to shaitaan bhi tujhpar sharminda hain

Jo na socha tha Iblis ne karaye tujhse

Woh amal bhi tu kar gaya insaa.N

Tu kya tha kya ban gaya insaa.N

Kis had tak tu gir gaya insaa.N....

-SG-

thnxxxxx sajid sahab............sahi kaha hai apane jawab nhi
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: May 10, 2009, 04:33:32 AM »
Reply with quote
Waah behad achi sharing Aslam ji..insaan-o-insaaniyat par..har sher me kitna vazan hai..behad involve hoke likha hai shayar ne..awesome Clapping Smiley Clapping Smiley
ji kaash sahi kaha aapne bhut khoob likha hai.......thnxxxxx for ur comment
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: May 10, 2009, 10:36:04 AM »
Reply with quote
Apne ashaar par nazr-e-saani kar len, kahin anjaane men koi ulti baat to nahin kar rahe hum... Allah ghafoor-o-raheem hai...

syednaami sahab nazr e saani jisne likhi hai wahi karega....shayad aapne theek se padha nahi meine shayar ka naam bh likha hai, bhetr hoga ke jo bhi behes o moabhesa hai wo unke sath karain, vese mere khyaal se agr unwaan ki taraf jayen to bhi bhut kuch waazeh ho jata hai, duniya mai har qism ke log moujood hain aur yaqeenan hewaaniyat par insaaniyat abhi bhari hai, beshuk wo bada gharoor ur reheem hai,
Allah hum sabko apni hifz o huma mai rakhay aameen

Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: May 10, 2009, 10:38:11 AM »
Reply with quote
Bohat Achche Aslam Bhai, Aur Sajid Bhai,.

bhut bhut skhukriya mere bhai.......
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: May 10, 2009, 10:41:23 AM »
Reply with quote
bahut khoob aslam ji nice sharing,
nice one by sajid ji ,

thnxx madhuwesh ji....
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: May 10, 2009, 10:43:07 AM »
Reply with quote
Very good Aaina Ji

SARVESH RASTOGI

shukriya sarvesh ji............
Logged
diya786
Guest
«Reply #12 on: May 10, 2009, 10:50:15 AM »
Reply with quote
bahut khoob slam Bhai Applause Applause
bahut acchi sharing ki hai aapne

and nice lines Sajid Sahab...
Applause Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: May 10, 2009, 10:52:20 AM »
Reply with quote
bahut khoob slam Bhai Applause Applause
bahut acchi sharing ki hai aapne

and nice lines Sajid Sahab...
Applause Applause

thnxxx diya ji...............
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #14 on: May 10, 2009, 11:12:51 AM »
Reply with quote
Bahut umda sharing hai Aaina Ji
N good response Ghayel Ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 10:07:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer