Yoindia.com
Yoindia.com : One of the Biggest Asian Poetry Community
Hello,
Yoindia Shayariadab is full of poetic talent, it is almost impossible to share all those talent here, still we try to share few from thousands of gems we receive each month..
Emotions poured in words..
Find us also on : Facebook Twitter
YOFM for August 2013

This month's YOFM goes to saahill for his charming presence and active participation on YOS bazm.

Tip of the Month
Take some time to appreciate others too, if you can help someone to improve then do it immediately, just don't forget to be polite and humble.

MOTM for August 2013
MOTM Trophy

This month's Iqtedar for his presence on YOS and love for poetry. He is member of Yoindia Shayariadab bazm not from long, time to time he writes simple but expressive poetry.

Your Feedback is important to us, you may discuss this edition of newsletter at :
Aug2013 Newsletter-Feedback & Discussion


A community of experts guiding and helping each other in technology, life, studies and many more subject. You may also JOIN and contribute to eTI community.

Some poetry updates from previous month


Kar khoon apne khoon’ ka,gairon ke waste-Beete palon ke saye by Ram Saraswat

Koi  bataye   ham    ko    ki,    kis   aur   jayen hum,
Is    dard- e -dil   ki  dastan    kis   ko   sunayen     hum.

Har    taraf   dhuaan  hi   dhuaan  hai  aaj   fiza      mein,
ab   tum   hi   kaho  kaise  nikal,   ghar   se   aayen   hum.

Ham     kaise    kahein   ye   ki  haqiqat   kuchh  aur   hai,                
wo  dil  mein  dar  rahe  hain ,  kahin  khul  na  jayen  hum.

Jeetein    hain   wo     to  raat   din, jannat  ki  zindagi,
un   ki   balla  se   chaahe,  jahannum  mein  jayen     hum.
Click here read rest..


उम्र भर हम ये भूल करते रहे. by Sudhir Ashq

UMR BHAR HUM YE BHOOL KARTE RAHE.
UNSE NISBAT    FAZOOL KARTE RAHE.

APNA   DAAMAN  SAJAAYAA KANTO SE,
UNKI  RAHON  ME PHOOL KARTE RAHE.

DOSTI  HO  YA  DUSHMANI  KI BAAT,
JO  BHI  HO, BAUSOOL  KARTE RAHE.

JAB  TAMANNA  THI  AAM KHAANE KI,
BOYA  KYONKAR  BABOOL KARTE RAHE.
Click here to give your comment

Bas Sirf Ek Baar Tum Mera Aitbaar Kar Lo. by Shireen Hakani

Khud Ko Zaraa Sa Tum Be-Karaar Kar Lo.
Jhootha Hi Sahi Par Mujhse Pyaar Kar Lo..!!

Tak Kar Chand Ko Raat Bhar Meri Tarah,
Tadap Kar Tum Bhi Kabhi Intezaar Kar Lo..!!

Jo Ho Jaao Tanhaa Duniya Ki Mehfil MeiN,
Chup Kar Meri Tasveer Ka Deedaar Kar Lo..!!

Keh Na Paaye YeH Honth Jo Baat Dil Ki,
AankhoN Se Un JazboN Ka Izhaar Kar Lo..!!

Click here to give your comment

मौत रिश्तों को जब भी आती है--- by Anaarhi

मौत रिश्तों को जब भी आती है,
एक इक डाल सूख जाती है.

ख़्वाब लथपथ पङे हैं आँखों में,
नींद ऐसे में किसको आती है.

तुम सितारों में ले के जाते हो,
ज़ीस्त वापिस ज़मीं प लाती है.

यूँ तो ठंडी है चाँदनी पर क्यूँ,
रूह दिल जिस्म सब जलाती है.

तन- इमारत ढही है कुछ ऐसे,
देख कर रूह कंपकंपाती है.
Click here to give your comment

----/// Apni Haalat ///---- by  ~Hriday~

kuch  to  hai  baat  jo  apni  yeh haalat kharaab rakhte hain
bhulaane ko unhein hum haathon mein sharaab rakhte hain

jalaa  chuke  hain  unki  har  tasveer , har khat unke, magar
kitaab mein chhipaake unkaa  diyaa  laal gulaab rakhte hain

unse  jo  meraa  rishtaa  thaa  woh  ab bas ek kahaani hi hai
logon ke  har sawaal kaa  bas  yahi  hum jawaab rakhte hain
Click here to give your comment

Aansu KHAREED laaya hooN...!! by Taish

main bure ahche deed* laaya hooN,
aaj fir kuch umeed laaya hooN...

tumne bhi gham diye haiN tohfe meN,
maiN bhi aaNsu khareed laaya hooN...

qatl kar dena aaj sabka tum,
apne saare mureed* laaya hooN...

ishq ka sab saboot maaNgte haiN,
dastkhat ko raseed laaya hooN...

ab to ehsaash bhi naye nahiN haiN,
ho chuke jo shaheed laaya hooN...

todte waqt dil haNsi thi tum,
aur ik dil khareed laaya hooN...
Click here to give your comment


Main Us Ko Soch lun Mujhe Manzil Dikhayi De. by Rajnish.raaj

Toofan Mein jaise Door Se Shahil Dikhayi De,
Main Us Ko Soch lun Mujhe Manzil Dikhayi De.

Har Aks Mein Dikhta Hai Ab Us Ka Hi Chehra,
Aise Wo Meri Rooh Mein Shamil Dikhayi De.

Mere Jaan Se Bhi Pyaara Hai Mehboob Mera,
Us Ki Har Adaa Muhabbat Ke Kabil Dikhayi De.

Us Ke Saath Chalna Mera Naseeb Hai Ya Nahin,
Bina Us Ke Ab Jina Mujhe Mushkil Dikhayi De.

Kash Mujhe Hashil Ho Jaye Us Ki Muhabbat,
Ye Sara Jahan Mujhe Phir Haashil Dikhayi De.
Click here to give your comment

आओ सृजन - पथ पर चलें  by srishti raj chintak

आओ सृजन - पथ पर चलें
कुछ शब्द ढूँढे, कुछ अर्थ बुनें
कुछ पंक्ति जोड़ें, कुछ मर्म कहें
ऐसा रचें हर एक सुने
आओ सृजन - पथ पर चलें

उसकी कथा, अपनी व्यथा
कुछ अनकही, कुछ घुट रही
सब कुछ उंडेलें, कुछ ना रहे
ऐसा रचें हर एक सुने
आओ सृजन - पथ पर चलें

कभी दर्द हो, कभी प्यार हो
कभी हो खुदा, कभी यार हो
कभी प्रेरणा, कटाक्ष हो
ऐसा रचें हर एक सुने
आओ सृजन - पथ पर चलें
Click here to give your comment


Andaaz nirala hai by Ghulam Haider


Parde ko uThane ka, andaaz nirala hai.
Deedaar karane ka, andaaz nirala hai.

Ek husn ki devi ka, ek ishq ke paikar se,
NazroN ke milane ka, andaaz nirala hai.

Izhar e tamanna par, chehre ko wo sharma kar,
HaathoN se chhupane ka, andaaz nirala hai.

AaNkhoN se chhalakte haiN, sao jaam mohabbat ke,
Har jaam pilane ka, andaaz nirala hai.

Madhosh kiya ham ko, kis tarh se uf! tauba!,
Phir hosh meN lane ka, andaaz nirala hai.

LooTa hai hameN Haider, qatil ki adaaoN ne,
Deewana banane ka, andaaz nirala hai.
Click here to give your comment

कब तलक by ramspathak

कब तलक लोगों को लूटते जाओगे ,
वो दिन कब आएगा जब पछताओगे !

जिनकी दुआओं से राजा बन बैठे हो ,
उनकी ही नज़र से एक दिन गिर जाओगे !

मंदिर मज़्जिद के नाम पे खूब लूटा ,
एक दिन वहां भी दरवाज़ा बंद पाओगे !
Click here to give your comment



Zindagi ka Unwaan  by samir parimal

हर धड़कते दिल में इक तूफ़ान होना चाहिए,
ज़िन्दगी का कोई तो उन्वान होना चाहिए।
 हक़ ख़ुदाई पर तेरा है, मानते हैं हम मगर,
अपने हिस्से भी कोई भगवान होना चाहिए।
 हर घड़ी हर पल ही बनता जा रहा है जानवर,
आदमी को भी कभी इंसान होना चाहिए।
 शायरी में यूँ असर आता नहीं, समझो मियां,
इश्क़ में पहले तुम्हें क़ुर्बान होना चाहिए।
 नफरतों के इस जहां में जब अमन की बात हो,
हर तरफ चर्चा-ए-हिन्दोस्तान होना चाहिए।
 पुरखतर राहों पे 'परिमल' चल पड़ा तो क्या हुआ?
साथ तेरे दीन और ईमान होना चाहिए।
Click here to give your comment

Abke ruka to, iss dil ko na rok paunga.. by nashwani

Judaa abke baras tujhse ho hi jaunga,,
Laut ke kabhi wapas, phir na aaunga,,
Awaaz na dena, sanam tujhe hai kasam,,
Abke ruka to, iss dil ko rok na paunga..

Kai bate.N adhoori hi chhor jaunga,,
Tujhko kabhi haal-e-dil na sunaunga,,
Rehna iss bhram me, daga de gaye ham,,
Apni safaai me kuchh na keh paunga..

Teri yado.N sang apna jeevan bitaunga,,
Thoda yaad to tujhe, main bhi aaunga,,
Bas yaad karke mujhko ansu na bahana,,
Unn motiyo.N ko abke chunn na paunga..

Click here to read rest of the work..

HUNAR ......... by sksaini4

Chhod  kar  maiN  anaa saath kaise chalooN saath meraa tumhe jab gawaaraa naheeN.
MaiN to taiyaar baithaa thaa kab se sanam tumne khud apne dil se pukaaraa naheeN.

Tod  kar  dil  meraa  aap  kahte  fireN  haath  ismeN koi  bhee  hamaaraa naheeN.
Aaj  tak  kyaa  huaa  ek  bhee haadisaa  haath  jismeN rahaa kuchh tumhaaraa naheeN.

Tairne  kaa  hunar jaantaa thaa  magar  saahiloN be bhataktaa hee maiN rah gayaa.
Vaqt  toofaan  banke  daraataa  rahaa  maine  dariyaa meN khud ko utaaraa naheeN.

Too  naheeN  thaa  to  kitne sahaare mile unko  thukraake  maine badee bhool kee.
Maine  sochaa  ki  shaayad  tumhaare  binaa aur  dunyaa  meN koi sahaaraa naheeN

Click here to read rest...

NAZAR SE WAAR KARTA HAI. by Iftakhar Ahmad

HijaboN meiN bhi rahkar mujhse aaNkheiN chaar karta hai
Musalsal  wo  mere  dil   pe    nazar   se   waar   karta hai

Taqaza  jins   ka   hai   jo   wo   lab   se   kah  nahiN pata
Wo kahta   hai   ishaaroN   se   k   mujhse  pyar karta hai

Kahe  bin   rah   nahiN   pata    kaha   bhi   to  nahiN jata
Yahi  to   haal   hota     hai     jo    pahli   baar   karta hai

Hai dil meiN pyar  jab   uske   to  mujhko kyuN satata hai
Jo  maiN   izhar    karta   huN   to    wo   inkar   karta hai
Click here to give your comment


Mausam Abhi Itna To Suhana Bhi Nahi Hai by Syed Mohd Mahzar

WAPAS WO ZAMANA KABHI AANA BHI NAHI HAI
GUZRI JO JAWANI USEY PANA BHI NAHI HAI

MAZBOOT BAHUT APNA THA RISHTA E ULFAT PER
AB TUJH SE MERA DOOR KA NAATA BHI NAHI HAI

HER RAAT MAIN DARWAZA KYON KHOL KE SOTA HOON
MALOOM HAI MUJHKO TUMHE AANA BHI NAHI HAI

BACHPAN GAYA SHABAAB GAYA PEERI HAI LEKIN
DUNIYA KO ABHI THEEK SE JAANA BHI NAHI HAI

Click here to read rest...

SAATH APNA TO BUS SAFAR TAK HAI '  by F.H.SIDDIQUI

Kaun   kahta  hai  Umr  bhar   tak  hai  ,
'Saath  apna   to  bus  Safar  tak  hai'

GaaoN-GaaoN    ,  Nagar-Nagar   tak  hai  ,
Baat  abb  phaili  har  Bashar  tak  hai

Kaise  tujh  bin  guzar  rahi  hai  Hayaat  ,
Tujh ko  Zaalim  naheeN  khabar  tak  hai

Click here to read rest...


KUTTAA....... (Mazahiya) by sksaini4

Museebat  meN  hameshaa  daal  kar rakkhaa hai begam ne.
Mujhe  kuttaa  samajh kar paal kar rakkhaa hai begam ne.

Padosan  ne  mangaalee mujhse sabjee kyaa sharaafat meN.
Ki  ro-ro kar  buraaa  ab haal kar rakkhaa hai begam ne.

Nikalne  hee  naheeN  detee  mujhe ghar se hawaa khaane.
Meree aazaadee  kaa  din  taal kar rakkhaa hai begam ne.

Nikmmaa hooN nithllaa hooN karakter se maiN geelaa hooN.
Binaa  kanghe  rahooN  bebaal  kar rakkhaa hai begam ne.

Click here to read rest...


Waswasa----- by marhoom bahayaat

                           khush-khush  sa  phool  jo kal  khilaa  tha!
                            rotaa  hua   mujh  ko   wo  aaj  milaa  tha!

                            lafzo.n ki adaaye  gi mein hai kamzor bahut!
                            kaise   kahu.n  mujh   se  kya  gilaa   tha!

                            rooth  gaya  akhir  maiqade  se aaj  saaqi  !
                            chhotaa  saath  iska jo azal se silsila tha!

                            unki  aamad  ne  phir se ek zindagi bakhshi!
                            hua  khamosh  dil  mein  jo  ek zalzala tha!

                            kiya  qaid safeene ne  uss roz jo dariya ko!
                            yaqeen  na  ho MARHOOM wo aisa marhalaa tha!

Click here to read rest...


Zindagi Kaise Jeete HaiN Tumhe Samjhaa Raha Hai Koi by khwahish

Naa Jaane Kya Dil meN Apne Kuch Chupa Raha Hai Koi
Kareeb Reh Kar Bhi Mujh Se Door Jaa Raha Hai Koi

Faasle Panap Rahe HaiN DiloN MeN Kuch Iss Kadar
Taish MeN Kiye Gaye FaisloN Ko Nibha Raha Hai Koi

Zindagi MeN Haste Hue ChehroN Ki Hi Keemat Hai..
Ashq AankhoN MeN Rakh Kar Muskura Raha Hai Koi

Kabhi Khairaat MeN Mohabbat Ki Daulat Nahi Milti
Phir Kya Soch Kar Apne Dil Ko Behlaa Raha Hai Koi

Click here to read rest...

PYAR KE GEET GUNGUNATA REHTA HOON .. by soudagar

aajkal main yuhin pyar ke geet gungunata rehta hoon
jane kya soch kar akele hee muskurata rehta hoon

ishq ki raah par main chal pada hoon shayad, isiliye
phulon ke sang sang kanto.n ko bhi sehlata rehta hoon

na waqt ki koi khabar naa hee koi mujhko kaam raha
bas baithe baithe ek pari ki tasveer banata rehta hoon

It  is impossible to show here all those remarkable work we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry then you may see it yourself and even share your with community of many thousands poetry admirer , visit Yoindia Shayariadab ... !

Some more noticeable work :


/// Ek teraa deewaanaa hai /// by ~Hriday~

Love me dil fall hota hai.. by nashwani

Hume Log Tumhaara Kehte Hain by Azeem Aarzu

Ek Dawa Ki Tarah Hoon Jis Ka Sab Asar Gaya by khwahish

Na maar baabla ve- A lovely request of unborn baby girl child. by Sunil Malhotra

Chal Na Dena Kaheen Tu Ta Ta Kar by Satish Shukla

विरह की आग में जलते हुए एक नज़ारा देखा by ishk ek ibadat

Gham ke saath baser apni raat kar doon. by sahal

Pyaar Karne Lage by Ruhama

Agra To Delhi  by khwahish

Naam meN mera NAAM rakhte haiN... by Taish

Bin Tere Yon Bhi Meri... by Iqtedar

Ya rabb meri qismat ko aise jagmaga by aqsh

Haq......... by adil bechain

बिजली, आग और बिना मुंडेर की छत  by srishti raj chintak

Bar bar priya patni ko namaskar by nandbahu

Auron ke mahal banaata hai, per khud bhookha so jaata hai by Ram Saraswat

Muskuraa lo....sheba by Sheba

ग़ज़ल  by ramspathak

Tum bewafa hona bhi chaho to hone nahin  by premdeep

yaad by Samaydeen Rana

हाथों की लकीरों में तेरा नाम लिखा है 
by ishk ek ibadat

We are always open for your suggestion and feedback, please visit Feedback and Suggestion section to let us know your views and suggestion.


Now Some Brief Updates About Yoindia Shayariadab!

Yoindia Stats:
Total Poetry Lovers: 49,689
Total Posts: 1,397,987
Latest Member:khalsai

You are receiving this email update because you are a Member of http://www.yoindia.com/ and you agreed to receive updates . If you wish not to receive any future updates from Yoindia then please login to your account and disable email updates here. Also, if you believe you received this email because of mistake then please notify us by replying this mail so that we can work on it.