Yoindia.com
Yoindia.com : One of the Biggest Asian Poetry Community
Hello,
Lets have celebrations together this new year...
New year celebrations with YOS and Poetry..

Find us also on : Facebook Twitter
Poetry is an effective Stress buster - YOS Verdict

Last month we asked "Is it true that Poetry is a stress buster" , below we have some of the reactions as well verdict of YOS for you..

Saman Firdaus
said "She felt it when she wrote poetry on shayari-e-dard or shayari-e-dard-e-judai or bewafai" while Bishwajeet 'Musaahib' called it magical.

Muhammad Touhid
even shared few lines on it :

Qalaam ho ghazal ho ya ho sher-o-shayari, likhna achha lagta hai mujhe...
Ek yahi zariyaa hai dil se dil milane ka, milna achha lagta hai mujhe...


aqsh
also agreed saying :
"It helps me to divert my mind from negative stressfull feelings....poetry is a great stress reliever to me."

There are more reaction interesting commets and verdict, you can read it "Verdict - Poetry as Stress Buster.."

Discussion this Month.
What will be your new year resolution as a POET as well  as a POETRY ADMIRER.
Please share your views "HERE".

YOFM for December 2013
YOFM TItle
This month's YOFM goes to, qalb for his diversified skills and activities on YOS. As a gesture of recognition and contribution both as reader and writer at Yoindia Shayariadab community , he now receives title of YOFM.
Tip of the Month
Spread happiness this year.. yes, you can use your poetic skills and can bring smile on any face with your words.


MOTM for December 2013

MOTM Trophy


This months MOTM goes to Biswajeet 'Musaahib', he has been continuously improving his poetic skills & now for his hard work and love for poetry, we are recognizing him as MOTM for December 2013

Visit eTI - etalkindia.com
A community of experts guiding and helping each other in technology, life, studies and many more subject. You may also JOIN and contribute to eTI community.

Some poetry updates from previous month


NETAA.................................. by sksaini4

Zabaanee jang lad-lad kar hameN phuslaa rahe netaa.
Samajhataa ye naheeN koi ki hamko khaa rahe netaa.

Masaail par to charchaa aajkal hotee naheeN koi.
Faqat ik doosre ke eb hee ginwaa rahe netaa.

Kabhee is dal meN jaate haiN Kabhee us dal meN jaate haiN.
Ilakshan meN tikit miltaa naheeN pachhtaa rahe netaa.

Safaachat jhooth kahte haiN magar ham aql ke andhe.
Dikhaakar khaab din meN hamko yooN bahkaa rahe netaa.


Click here to give your comment


Aye raat! gavaahi do gi na? by vb

Ye taareeki……
Ye khunk hava…………
Khaamosh kharay in pairoN ki har daal say lipta sanaata
Aur door ufaq k maathay par
Aasaar………….
PareshaaN maazi k…

Ye chaand…..?
Anjaam say Ghafil kirnoN ka ik khel zameeN ki zulfoN say
Aur zard, unaabi patoN ki …..
Aavaaz men yaadeN maazi ki.

Click here to give your comment


Le Jana by Lovely-Prince

Le Jana

Sahil Dil Ki
Yaadon Ki,

Kashtiyan Bhi Sath
Le Jana,

Milan Ki
Khushiyaan,

Furqat Ki Talkhiyaan
Bhi Sath Le Jana,

Woh Rang-o-Boo
Aur Sandesy,

Jo Qaid Ha!n
Kitabon Main,

Woh Khat
Woh Gulaab,

Aur Woh Titliyaan
Bhi Sath Le Jana,
Click here to give your comment


PAANEE ..... by zarraa

kab hai roke se bhi rukaa paanee
beh n paayaa hua hawaa paanee

band mut’thee se ris gayaa paanee
haath phailaa diye bharaa paanee

kitne bhookhoN ki hai ghizaa* paanee
kitne beemaaroN ki dawaa paanee

wo kaheiN kya lahoo hua paanee
kab bhalaa is qadar bahaa paanee


Click here to give your comment


बेशक जो हम कर रहे हैं वो सज़दा नहीं है ... by  Bishwajeet 'Musaahib'

जो भी कहना है आज कह दो फरदा नहीं है ...
सब जाहिर है उनपे कुछ भी दर परदा नहीं है ...

बुत ओढ़े हुए है मखमली चादर नज़ाकत से ...
हया पर आज लेकिन आपके परदा नहीं है ...

किसी कि जान अपने शमशीर पर रखकर ...
बेशक जो हम कर रहे हैं वो सज़दा नहीं है ...

ऐसा हो कि मुलज़िम का दिल बदल जाये ...
सज़ा काटी है उसने पर वो शर्मिन्दा नहीं है ..


Click here to give your comment


Kya hoga ??.......  by sahal

Ishq mein ho gai khata to kya hoga.
Umer bhar ki mile saza to kya hoga.

Wo rait ka ghar bana raha hai,
guzregi jab hawa to kya hoga.

Andheron ne diya hosla jeene ka,
Ye charagh bujh gaya to kya hoga.

Zakhm raazi hi nahi bharne ke liye,
Hum karte rahe dawa to kya hoga.

Click here to give your comment


PYAAR KI KHUSHBOO ..........................  by F.H.SIDDIQUI

KaheeN KhalaaoN se aayi hai Yaar ki Khushboo
Dil - o - Dimaagh pe chhayi hai Pyaar ki Khushboo

Lage hai Daur - e - KhizaaN aaj Ikhtitaam pe hai
Chaman se aane lagi hai Bahaar ki Khushboo

Ghareeb - Khaane pe woh bus pahunchne waale haiN
Lagee hai dene maza Intizaar ki khushboo

Woh eik Gul hai Chaman ka , magar juda sab se
Nisaar uss pe karooN maiN Hazaar ki Khushboo


Click here to give your comment


Bhurji..... by Shihab

Likhne Mein Na Apna Time Waste Karta Hoon
Main To Sidhe -Sidhe Copy Paste Karta Hoon.

Dauda Te Ho Jahan . Tum Dimag Shoharat Ko
Laga Ke Wahan Dil Ko .Main Rest Karta Hoon.

Jane Kyon Pasand Nahi Aati Usko Hansi Meri
Ghiske Roz. Main To Tooth Paste Karta Hoon.

Jhuth .Ladki Kya Makhi Bhi Nahi Aati Hai Pas
Lagaa Ke Saare Body Spray . Test Karta Hoon
Click here to give your comment


संग है उसके.................................. by alfaaz

जिंदगी एक है पर कितने रंग है उसके
मौत भी एक है पर कितने ढंग है उसके

अंधेरा है फ़ैला चारो तरफ़
शमा एक है पर कितने उमंग है उसके

शायरी भी क्या कम है
लहर एक है पर कितने तरंग है उसके

आंसू, शबनम, जहर, लहू
शराब एक है पर कितने अंग है उसके
Click here to give your comment


Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai toota... by  aqsh

Na jaane kyuN tere dil par kuch asar hota nahiN
Maine toh paththaroN ko bhi dekha hai pighalte hue


Kabhi koi khwaab toota, toh kabhi aitbaar hai toota
Teri muhabbat meiN mera dil, baar baar hai toota

Teri judaai ke in lamhoN ko, shumaar karte karte
Kabhi dekh bhi le kaise, mera sabr e intezaar hai toota

Paaya kuch bhi nahiN, teri yaadon ke daldal ke siwa
Har ek mod par bas meri, palkhon ka qaraar hai toota

Roz nikal hi jaate hain, aankhoN ke zabt aansoon
Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai toota


Click here to give your comment


रेत का घर बनाने से क्या फायदा by  Sudhir Ashq

झूठे रिश्ते निभाने से क्या फायदा.
रेत का घर बनाने से क्या फायदा.

पल में बदले हैं वो मौसमों की तरहा,
उनको दिल में बसाने से क्या फायदा.

आईना झूठ हरगिज़ नहीं बोलता,
अपनी सूरत छुपाने से क्या फायदा.

कर सको गर किसी की मदद कीजिये,
झूठे आँसू बहाने से क्या फायदा

Click here to give your comment


Jisse Bhi Milo Dil Se Milo  by khwahish

Ajeeb Sa Ek Pal Tha Woh,Tera Mujh Se Yuh Bichadne Ka
Zindagi Ka Falsafa Hai Yeh,Har Tajurbe Se Guzarne Ka

Yahaan Doobte Hue Ko Aakhir Kaun Bachaane Aayega Saheb..!
Log Kahenge Shukar Hai,Tamasha Khatam Hua Dubne-Ubharne Ka

Andhere Aur Ujaale Ki Kahaani MeN Fark Sirf Itnaa Hi Hai..!!
Har Naya Din Le Aata Hai Ek Umeed, Ek Mauka Phir Sawarne Ka

Main Koi Ashq Ka Qatra Nahi Jo Sar-e-Raah Giir Jaaun Kaheen
Gham-Khushi,Sukh-Dukh,Zindagi Ki Tasvir MeN Har Rang Bharne ka

Click here to give your comment


@shohrat  by Sheba

baat zaroorat ki chali phir izzat kaun dekhe hai!
 ghareeb maa ke chehre ki zahmat kaun dekhe hai!!

 hai emaarat ke baashindo.n ko pyaar oochaai se.
 sakht dopahri ,mazdoor ki mehnat kaun dekhe hai!

anaadi hi sahi , hai shahr qaazi ka betaa.
 rahi pahchaan shakhsiyat ki, zehaanat kaun dekhe hai.

main ghalib, tu faraaz, wo mir samjhe hai .
ab kis ke ghazal ki shohrat kaun dekhe hai!


Click here to give your comment


ZINDAGI KHWAAB HAI.... by Iftakhar Ahmad

Zor ki pyaas hai dhoop meN saraab hai
Zindagi khwaab hai zindagi habaab hai

Zindagi raaz hai jab talak hai zindagi
Ho gae jo fanaa raaz benaqaab hai

Ayk uljhi hui dor hai wabaal hai
PeNch hai kya kaheN khayr laajawaab hai

Soz hai taab hai ishq hi panaah hai
Chal chaleN chaaoN meN tez aaftaab hai

Click here to give your comment


Seekhna baaqi abhee hai ... by mkv

Dard-e-dil apna chupana seekhna baaqi abhee hai
Hamsafar bin muskarana seekhna baaqi abhee hai

Ghair ki baahoN me dekheN aankhoN ko aadat nahee hai
Dil hi dil me tilmilana seekhna baaqi abhee hai

Lootkar sukh chain mera de gaye jo vo andhere
Apne ghar ko hi jalana seekhna baaqi abhee hai

KoshisheN bekaar meri sabr-o-taaqat ab naheeN hai

Click here to give your comment

HAVAAAAA YE KYAA KAHH GAEE MUJHE!!! by qalb

ab   toh   jazba-e-aazaab  hua.
mohabbat   ka  ye  hisaab  hua.

kisee roop me.N asardaar nahin.
angoor   raha na   sharaab hua.

arrey  woh  insaan  bann  gaya.
haadsa    ek    nayaab     hua.

neend  bhee  mazaak  kar  gaee.
tere  aane   ka   khawaab  hua.
Click here to give your comment


shq Mein Ab Khud Se Bhi Door Ho Gaya Hun by Rajnish.raaj

Apne Dil Ke Hanthon Majboor Ho Gaya Hun,
Ishq Mein Ab Khud Se Bhi Door Ho Gaya Hun.

Junoon Hai Aisa Mujh Par Us Ki Muhabbat Ka,
Diwana Is Shaher Mein Mashoor Ho Gaya Hun.

Use Pana Bhi Mushkil Hai Khona NaMumkin,
In Halaaton Se Ab Main Ranjur Ho Gaya Hun.

Saanson Se Bhi Jyada Mujhe Chahat Hai Us Ki,
Par Us Ki BeRukhi Se Chur-Chur Ho Gaya Hun.

Click here to give your comment



देखिये हुज़ूर............ by SURESH SANGWAN

तमाम  जिस्म की  नज़र  बना के देखिये हुज़ूर
दुनियाँ-ए-नज़र सि नज़र बचा के देखिये हुज़ूर

क्या  इम्तिहान-ए-ज़ब्त अगर  वो सामने नहीं
रु-ब-रू  दिल  पर  क़ाबू  रख के  देखिये हुज़ूर

नुक्ताचीन् और  क्या है  सिवा कसरत-ए-लफ्ज़
हाज़िर -जवाब  सि  झूठ  बोल के  देखिये हुज़ूर

झूम   ही  लेता   है   क़ामयाबी   में   हर   कोई
नाकामियों   की  इज़्ज़त  कर   के  देखिए  हुज़ूर

Click here to give your comment


हम एक मकाँ तक......  by Satish Shukla

इनकार मोहब्बत का करेगा तू कहाँ तक
आएगा कभी नाम मेरा तेरी जुबाँ तक
 
मिल जुल के चलो प्यार का संसार बसाएँ
तनहा न बना पाएँगे हम एक मकाँ तक
 
ये राह मोहब्बत की, मोहब्बत का सफ़र है
इस राह पे ले चल तू मुझे चाहे जहाँ तक
 
शातिर हो बड़े प्यार की शतरंज में तुम भी
देखेंगे न खाओगे भला मात कहाँ तक

Click here to give your comment

Aakhiri Raat -  by Zaif

Nikla nahi phir maahtaab aaj ki raat..
Dam tod gaye hain khaab aaj ki raat..

Shab-e-furqat* hai, jal rha hai tan,
Lage barish bhi tezaab aaj ki raat..
(* separation)

Gale lipat kar rone laga chaand,
Hairaan pada taalaab aaj ki raat..

Gam-e-hayaat ab saha nahi jaata,
Mujhe maar do janaab! Aaj ki raat..
Click here to give your comment


It  is impossible to show here all those remarkable work we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry then you may see it yourself and even share your with community of many thousands poetry admirer , visit Yoindia Shayariadab ... !

Some more noticeable work :

kabhi aisaa bhi lagta hai......  by sidra04

ik sharaabi tha mar gaya ho ga by vb

अधूरा लफ्ज़.... by amit_prakash_meet

Ek ret ka mahal banaya tha..... by premdeep

KUCHH NA KUCHH ........ by F.H.SIDDIQUI

@aagosh by Sheba

SABHEE KE HAIN --- by zarraa

Rukh se parda hatakar.... by aqsh

Yaadon ki Amaanat... by Intezar

sawaaaaaaal..by adil bechain

aashiyanaa------------------- by marhoom bahayaat

!!!..Ishq ka sabab..!!! by nashwani

khairmaqdum. by khamosh_aawaaz

khwa.b palkon per suhaanaa chaahe,.. by laaiba

SAANJH DHALE ------ by srishti raj chintak

Maayus Baitha Hai Naa Jaane Aaj Kis Soch MeN by khwahish

BAT KAR.................................. by sksaini4

Hum to nikle the kahi aur hi jaane ke liye by Syed Mohd Mahzar

-----/// Ek aur ilzaam sahi ///----- by ~Hriday~

Teer kitne jubaan se nikal...... by mann.mann

KABHEE GHAZLO.N KO TANHAA CHHODDOO!!!!!!!!!!!!!!!!! by qalb

Zamana kia hai by admani

Umar 55 Ki. DIl Bachpan Ka...  by Shihab

HAI GHARAZ JIS KO CHAL KE AAEGA....  by Iftakhar Ahmad

We are always open for your suggestion and feedback, please visit Feedback and Suggestion section to let us know your views and suggestion.

Now Some Brief Updates About Yoindia Shayariadab!

Yoindia Stats:
Total Poetry Lovers: 47,427
Total Posts: 1.4 million
Latest Member: Maheshwarsinha994

You are receiving this email update because you are a Member of http://www.yoindia.com/ and you agreed to receive updates . If you wish not to receive any future updates from Yoindia then please login to your account and disable email updates here. Also, if you believe you received this email because of mistake then please notify us by replying this mail so that we can work on it.