"Agar Tum Laut Aao"

by angel4u on January 02, 2009, 04:38:24 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2369 times)
angel4u
Guest
Reply with quote
TuMhari Aas Ke GaMlon Mein Rakhe Phool Murjhane Lage Hai,
Judayi Dhup Lagti Hai Bahut Hi Talkh Chubhti Si,
DeceMber June Lagta Hia,
Kisike NaaM Ki Ghanti Baje, Mujhko TuMhara Phone Lagta Hia,
TuMhare Laut Aane Tak, Najane Kis Kadar LaMbi Udaasi,
Aankh Ke Bistar Mein Chhup Ke Ret Likhegi,
Na Jane Kis Kadar Sapnon Ko Degi Beghari Ka Dukh,
Abhi To Phir Bhi Baaki Hai Koi Sapna,
TuMhare LaMs Ke Zinda Warq Par,
TuMhari Khushbuein Zinda Hai, Phoolon Ke Badan Par,
Magar Aisa Na Ho Ke Phool Jal Jayein Kisi Sapne Ke Bujhte Hi,
TuMhara LaMs Mar Jaye,
Gulabon Ke Badan Mein Zang Lag Jaye,
Kahin Aisa Na Ho Jana,
Aana Ki Surkh Tehni Par Koi Talwar Ug Aaye,
Kahin Aisa Na Ho Ke, Soch Ki Khidki Mein Koi WaheM Aa Baithe,
Main Is TakMeel Ke Aadhe Safar Mein Hi Na Mar Jaun,
Ye MausaM Jo Adhura Hai, Adhura Hi Na Reh Jaye,
Abhi To Aaina, Chehra Dikhata Hia,
Saraab Hi Sahi Janan Ye Rasta Per Ke Niche Hi,
Abhi To Aas Likhta Hai,
Abhi Hai Waqt Mutthi Mein,
Agarche Ret Ki Maanind Phisalta Jaa Raha Hia,
Par,
TuMhare Laut Aane Tak, SaMbhalungi Koi LaMha,
Ye Sara Waqt Girne Se,
Mere Haathonse Behne Se,
Zara Ek LaMha Pehle Tak, Agar TuM Lauto To,
Agar TuM Laut Aao To, Meri TakMeel Ho Jaye...


NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"Laut Aaounga Toumhare Liye..." by Amanush... in Shayri-E-Dard
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
"Janha mai agar ye mohhabat na hoti" by amarhellboy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
"zindagi agar aapki nahi hoti" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 02, 2009, 04:45:07 PM »
Reply with quote
Waah Ji, Waah,.
Kya Khoob Share Kiya Hai, Huzaina Partner,.
Nice One Yaar..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: January 02, 2009, 05:03:16 PM »
Reply with quote
Thanks re...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 02, 2009, 05:09:37 PM »
Reply with quote
Yaar Re Kyun Kaha,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: January 03, 2009, 04:42:31 AM »
Reply with quote
aise hi.. problem hai?
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 04, 2009, 09:14:52 PM »
Reply with quote
Hota Hai Hota Hai,.

Ek Nahi Mere Seene Me To Hazaaron Dard Palte Hain,.
Tabhi To Mere Muskuraane Par Ye Saare Log Jalte Hain,.

Maine Rishton Ko, Sachcha Samjha, Rishton Ki Kadar Ki,.
Maloom Na Tha, Ke Rishte Bhi Mausam Ki Tarah Badalte Hain,.

Ab Meri Hasi Ko Dekhkar, Tum Ye Na Samajhna ke Main Khush Hoon,.
"Azeem, Ke Aansoon Bhi Yaar, Ab Darr Darr Ke Nikalte Hain,.

___________________________________________-Jaanasheen.

Dil Se Ek Sachchi Koshish,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: January 06, 2009, 02:50:00 AM »
Reply with quote
Nice one azeem

Jo Dilko Dega Ek Dard UMar Bhar Ke Liye,
Tadap Raha Hoon Abhi Tak Usi Nazar Ke Liye,

Meri Nazar Ka Hai Maqsad Teri JaMal Ki Deed,
Tujhe JaMal Mila Hai Meri Nazar Ke Liye,

HuM Bawafa The Is Liye Nazron Se Gir Gaye,
Shayad TuMhari Talash Kisi Bewafa Ki Thi...

NM
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 06, 2009, 03:23:50 AM »
Reply with quote
nice sharing angel....
good work Lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: January 06, 2009, 08:41:05 PM »
Reply with quote
Shukriya Huzaina Ji,.
And Pooja Didijaan,.
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 36 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #9 on: August 28, 2009, 01:46:23 AM »
Reply with quote
Hota Hai Hota Hai,.

Ek Nahi Mere Seene Me To Hazaaron Dard Palte Hain,.
Tabhi To Mere Muskuraane Par Ye Saare Log Jalte Hain,.

Maine Rishton Ko, Sachcha Samjha, Rishton Ki Kadar Ki,.
Maloom Na Tha, Ke Rishte Bhi Mausam Ki Tarah Badalte Hain,.

Ab Meri Hasi Ko Dekhkar, Tum Ye Na Samajhna ke Main Khush Hoon,.
"Azeem, Ke Aansoon Bhi Yaar, Ab Darr Darr Ke Nikalte Hain,.

___________________________________________-Jaanasheen.

Dil Se Ek Sachchi Koshish,.

in aansuon ki keemat tum kya jaano, innhe girne na diya karo...
dard hai tho baanto muhjse, khud par koi boje na liya karo...


ye januray 20th se pehle ka post hai, shuka hai ji!!! Winking
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: August 28, 2009, 02:05:07 AM »
Reply with quote
Bahut khoob... Thanks for sharing Angel dear..

Touching lines...Azeem ji and sidr..

Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: August 28, 2009, 02:05:44 AM »
Reply with quote

Humare Chale jaane ke Baad
Yeh Samandar Ki Ret Bhi
Tumse Pucha Karegii
Kahan Chala Gaya Woh Shaqs
Jo Tanhaii Main Aa kar
Bas Tumhara hi naam likha karta tha



nm
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: August 28, 2009, 02:08:21 AM »
Reply with quote
Beautiful sharing Angel ji.wonderful lines by Azeem bhai and AD ji. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: August 28, 2009, 12:29:23 PM »
Reply with quote
in aansuon ki keemat tum kya jaano, innhe girne na diya karo...
dard hai tho baanto muhjse, khud par koi boje na liya karo...


ye januray 20th se pehle ka post hai, shuka hai ji!!! Winking


Hmmmm,.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #14 on: August 29, 2009, 10:42:22 AM »
Reply with quote
...nice sharing Huzzena...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 01:25:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 27 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer